Part 3: -
Riddhima and Sujal came to the dining hall and took their seats.
Ragini (Sujal's mom) served him the food and forced a smile at him. It's not like that she didn't believe in her son but it's just her inner soul that is warning her that if Sujal will not be successful in his plan then he will be heartbroken. Sujal kept his hand on Ragini's and gave her an assuring look to tell that everything will be alright, she just nodded her head.
Rest of the dinner passes like that, everyone was just going towards their room, when Samrat said that he wanted to discuss something with them, so they all settles themselves in the lounge.
Ragini: - "Ab tum bataoge bhi ki tumne humhe yahan kyun roka hai?"
Samrat: - "Maa, wo mein aap sab se kuch important baat discuss karna chahta tha?"
Sanjeev (Sujal's Dad): - "To bolo na samrat, humne kabhi tumhe kisi bhi cheez ke liye mana nahin kiya, to tum aaj aise kyun behave kr rahe ho?"
Samrat: - "Dad, mein Mumbai jana chahta hoon."
Sanjeev: - "Lekin yeh sab achanak Kyun?"
Samrat: - "Dad, Sujal bhaiya aur Mayank bhaiya dono hi Mumbai ja rahe hain, mein un dono ke bina yahan nahin rehna chahta."
He said with a determination. Sujal gave him a look to say that "Tell me the truth" and Samrat just pleaded him with a look that he will tell him later.
Ragini: - "Par kyun Samrat, pehle bhi to mayank aur sujal bahar the aur tum hamare pass, phir ab aise kyun?"
Samrat: - "Mom, me ab apni further studies vahiin karna chahta hoon, please mom?" He said with a puppy face.
Sanjeev: - "Theek hai jaisa tum chaho..."
Ragini: - "Yeh aap kya bol rahe ho, Samrat abhi chota hai, usmein bahut bachpana hai, mein use aise nahin jane de sakti."
Sujal: - "Mom, mein manta hoon ki samrat me bahut bachpana hai, par aap chinta kyun karti hai mein hoon na aur mayank bhi to hoga mere saath, hum isse sambhal lenge."
Ragini: - "Par phir bhi..."
Mayank: - "Maa, kya aapko hum dono par bilkul bharosa nahin hai?"
Ragini: - "Yeh tum kaisi baatein kar rahe ho, mujhe tum dono par pura bharosa hai."
Samrat: - "Phir mom, let me go and spend some quality time with my brothers. M sure aap na mujhse jealous ho, ki aap yahan sujal bhaiya aur mayank bhaiya ke bina rahoge aur mein vahan un dono ke saath masti karunga. Sahi kaha na mene?"
Ragini: - "Chup kar warna maar khayega mujhse." She said smiling.
Samrat: - "Matlab, mein ja sakta hoon na?"
Ragini: - "Haan, tum ja sake ho, par tumhe apna poora dhyaan rakhna hoga."
Samrat: - "Wo kaam karne ke liye mere do bhai honge na, mein to vahan bas Gunjan ke saath masti karne ja raha hoon."
Ragini raising her eye brow: - "To ab mein samjhi ki achanak yeh Mumbai jane ki baat kyun ho rahi hai. Gunjan..." She said holding his ear.
Samrat: - "Maa, please ab mujhe chood dijiye. Please maa."
Ragini left her ear; he immediately kissed her cheek and ran from there. All were laughing and ragini just said: - "Pagal". After sometime, all of them retired to their rooms.
It was around 10:30 and sujal was just lost in some thoughts, when he heard a knock on the door. He opened the door and saw Samrat standing there.
Sujal: - "Aao Samrat, mein tumhari hi wait kar raha tha."
Samrat: - "Wo kyun bhai?"
Sujal: - "Tumse sach janane ke liye." Samrat looked at him in surprise. "Tumhe kya lagta hai ki tumne neeche job hi kaha, mene wo maan liya hai...Nahin, me janta hoon tumhare aisa karne ke piche koi na koi raaz to hai."
Samrat: - "Bhai..."
Sujal: - "Koi bahana nahin, jaldi se batao."
Samrat: - "Bhai, kal Gunjan ki mail aayi thi, usne mujhe bataya ki uncle usse force kar rahe hain ki wo singing chood de aura age koi business study kare, aur hum sab jante hain ki singing gunjan ke liye kitni important hai. I can't let this happen to her. Aur agar mein wahan jaunga to study ke saath saath mein uski is hobby mein bhi help kar paunga; aur mere samne uncle bhi kuch nahin kar payenge."
Sujal: - "Tumne itna sochna kab se shoro kar diya Kiddo?"
Samrat: - "Kya karun, jab aise bhai mile ho to sochna to padhta hi hai na." He said.
Sujal understood what he meant and continued: - "Kya Karen, ab chote bhai ke dimaag me akal dhalne ke liye itna to karna hi padhta hai na?"
Samrat showing his mock anger: - "Kya bhai, koi aise bolta hai kya?" He said turning his face.
Sujal hold Samrat's ear and said: - "Koi apne badhe bhai ke saath bhi aisa mazak nahin karta hai."
Samrat: - Bhai please chodiye na, agar aap aur maa aise hi karte rahe, then m sure mere kaan haathi ke kano se lamba ho jayega, ab please chodiye na. Please bhaiya."
Sujal left his ear and said: - "Mazak band karo aura b meri ek baat suno."
Samrat getting serious: - "Boliye Bhaiya."
Sujal: - "Mein chahta hoon ki tum gunjan se baat karo aur usse kaho ki wo Kashish se baat karke dekhe."
Samrat: - "Kaisi baat?"
Sujal: - "Gunjan kashish ko bataye ki mein yahan nahin aa raha hoon aur abroad me hi apni studies complete karunga, ask her about Kashish's reaction. Samjhe?"
Samrat: - "Aapki baat to mein samajh gaya Bhaiya, par agar Gunjan ne kuch pooch liya to mein kya answer karunga?"
Sujal: - "Come on Kiddo, tum itna to adjust kar hi sakte ho na." He said winking at him.
Samrat smiled and replied: - "Hanji, samajh gaya ji, mein itna to kar hi sakta hoon."
Sujal: - "Gud, chalo ab ja ke so jao, varna subah phir late ho jaoge."
Samrat: - "Ji Bhaiya." He said and hugged him.
Sujal: - "Kya hua?" patting his head softly.
Samrat: - "Kuch nahin bhaiya, bas apke kareeb hone ka yakeen dilwa raha tha."
Sujal: - "Mein yahiin hun tere pass; aaj, kal aur hamesha."
Samrat: - "Theek hai bhaiya, ab aap so jaiye, Good Night."
Sujal: - "Good Night."
Samrat leaves from there and Sujal relaxed himself and lay back on his bed closing his eyes.
The scene shifted to Gunjan who was sitting silently in their lawn. It was clear from her face that she has cried a lot. Kashish saw this and came to her.
Kashish: - "Ro rahi ho gunjan?"
Gunjan saw her and remove the tear drops from her cheeks: - "Nahin Di, mein to bas kuch soch rahi thi."
Kashish: - "Kya hua, mujhe nahin bataogi?"
Gunjan: - "Kyun bataun aapko Di, kya aapne kabhi apna dard humse banta, kya apne kabhi apne dil ki baat humhe batayi?"
Kashish was stunned by this outburst: - "Yeh tum kya bol rahi ho Gunjan?"
Gunjan: - "Theek hi to bol rahi hoon na Di."
Kashish: - "Gunjan, mein manti hoon ki tum theek keh rahi ho; par is waqt baat tumhari hai, tum ro kyun rahi thi, yeh batao?"
Gunjan: - "Kuch nahin Di, Soch rahi thi ki mene aapke college me admission to le li hai, par mein vahan pe adjust kar bhi paungi ya nahin."
Kashish: - "Tum chinta kyun karti ho Gunjan, mein aur nupur hai aur hum tumhe vahan akela feel nahin hone denge; tum chinta mat karo yeh waqt bhi guzar jayega."
Gunjan: - "Theek hai Di..."
Kashish was about to leave when Gunjan called her back.
Gunjan: - "Di, aapse kuch baat karni thi?"
Kashish: - "Haan bolo."
Gunjan: - "Di, wo aaj Mayank bhaiya se baat hui thi to unhone bataya ki Sujal Bhaiya vaapis nahin aa rahe hain, balki wo apni masters bhi abroad me hi karna chahte hain."
Kashish: - "To theek hi to hai na Gunjan, Yeh uski zindagi hai, wo chahe jaise marjhi apni zindagi bitaye aur usse iska pura haq bhi hai."
Gunjan: - "Par kya Di aapko bura nahin laga isse?" She said searching for some feelings in Kashish's eyes but they were looking blank.
Kashish: - "Mujhe kyun bura lagega Gunjan, na uske jane se mujhe koi pharak paha tha, na hi uske aane se mujhe koi pharak padhta, aur agar wo vaapis aa bhi jata, to bhi mujhe koi pharak nahin padhta, yeh uski life hai."
Gunjan was shocked to hear this reply from her, it was least expected from Kashish.
Gunjan: - "Di..."
Kashish: - "Raat bahut zyada ho gayi hai Gunjan, tum so jao; subah baat karenge."
Saying this, she left from there, while leaving a lot of questions in Gunjan's mind. Gunjan was sitting there only, when her phone rang. It was Samrat's call.
Gunjan: - "Hi Samrat"
Samrat: - "Hi Chasmish, kaisi ho?"
Gunjan: - "Theek hoon, tum kaise ho?"
Samrat: - "Mein to theek hoon, par mujhe nahin lagta kit um theek ho?"
Gunjan: - "Nahin, mein theek hoon, tumhe aisa kyun laga?"
Samrat: - "Arre stupid, mene tumhe chasmish bulaya, aur tumne bina kuch react kiye hue mujhse baat ki."
Gunjan: - "Sorry, wo mera dhyaan nahin tha."
Samrat: - "To tumhara dhyaan kahan tha chasmish?"
Gunjan: - "Stop calling me that Samrat, varna aunty ko bata dungi."
Samrat: - "Ab tum aayi na action me; chalo batao kahan tha tumhara dhyaan?"
Gunjan: - "Kashish Di ki baton mein."
Samrat became serious at this: - "Kyun kya hua Gunjan?"
Gunjan told him everything that happen sometime back, which also left a blank spot in Samrat's mind too. He was engrossed in his thoughts when Gunjan call him
Gunjan: - "Sammy, tum ho na, are kahan kho gaye, kuch to bolo?"
Samrat came out of his thoughts and replied back to her: - "Mein yahiin hoon, bas kuch soch raha tha."
Gunjan: - "Tum batao, ab kya karun mein kuch samajh nahin aa raha."
Samrat: - "Kuch mat karo, just wait for me; hum mil ke sab sambhal lenge."
Gunjan: - "Tum kaise?"
Samrat: - "Uff, dekha chasmish, tumhari baton me main main cheez to batana hi bhool gaya. Mein Mumbai aa raha hoon."
Gunjan became very excited on this: - "What, tum yahan aa rahe ho, kab aur kahan. I mean kaise
?"
Samrat: - "Kaise, kya stupid; flight se aaunga, udh ke to aa nahin sakta na." He said making a statement.
Gunjan: - "Stop it Sammy, but tell me when r u coming and y?"
Samrat: - "When ka to pata nahin, par y ka bata sakta hoon. To answer yeh hai ki mein tumhare saath clg me admission lunga aur hum dono saath me studies karenge."
Gunjan: - "Sach Sam."
Samrat: - "Aur nahin to kya jhuth, tum khud batao mein kaise na aaun, tum problem me ho na, aur mein to kahiin bhi adjust kar leta hoon to mein tumhare liye itna toh kar hi sakta hoon na."
Hearing this, Gunjan started crying and Samrat can clearly hear her sobs on the phone.
Samrat: - "Are chasmish tum rone kyun lag gayi?"
Gunjan: - "Tumhe kisne kaha ki mein ro rahi hoon."
Samrat: - "Trying to sob like her, mujhe hun kaise pata hun chalega."
Gunjan: - "Tum na bahut bore na, mujhe nahin baat karni tumse."
Saying this she cut the phone and left for her room, on the other side, Samrat was just happy to saw her reaction.
He then thought: - "Chalo, acha hai mere kehne se pehle hi Gunjan ne kashish di se baat kar li thi, varna mujhe koi jhuth bolna padhta usse." He said and relaxed himself on the bed trying to get some sleep.
In these 2 houses that r far away from each other, everyone was sleeping except 2 people. Both of them stepped out from their rooms and came in the balcony; saw the moon and then they were thinking about the most important people in their life. These 2 people are Armaan and Riddhima.
Armaan: - "Kya mein Kashish ke liye kuch nahin kar sakta." He thought.
Riddhima: - "Kyun nahin kar sakti, mein Sujal Bhaiya ke saath jaungi aur unhe kashish ke kareeb lane me madad karungi."
Armaan: - "Haan, me kahiin se bhi Sujal ko dhundh ke vaapis launga, I know only he can brought her back to her life."
Riddhima: - "Is ke ilava aur koi rasta bhi to nahin hai."
Armaan: -"Aur shayad?"
Riddhima: - "Mujhe bhi apna pyaar mil jaye."
Saying this, she blushed and on the other side, Armaan too was looking at the moon with a passion in his eyes. Riddhima and Armaan are both going through the same phrase in their life, both wanted to help the most important person in their life but along with that, both of them r searching for their own love too.
For some time, they remain in the balcony doing nothing but staring at the moon and then, they moved in and settled themselves in the bed to have a good dreamy sleep.
The morning at Raichand's is same as its always, no activity, no one is talking with each other. Mr. Raichand is busy in reading his newspaper along with his breakfast. Nandini was busy in the kitchen making breakfast for her daughters and the 3 angels of the house are still sleeping in their beds; While Armaan is in the gym.
Mr. Raichand finished his breakfast and left the house after ordering one of the servant to inform Nandini about him. This is the same routine over here. Mr. Raichand didn't like to talk much in the morning at breakfast time. He wants complete silence at dinning table with his newspaper. So everyone on the house thought its better to leave him alone. Nandini cared for him first but then, she got used to it and thus, she stopped asking him much. She just makes sure that Sushant gets everything on time.
On the other hand, at Singhania's its breakfast time and everyone was enjoying it with other. Samrat and Mayank were busy arguing about one or other thing. Mr. Singhania was busy in discussing something with Sujal and Ragini was busy serving them food. But Riddhima was busy in adoring the happy family. She has never seen her family like this. Her father is always busy with his business while her mother was busy in attending as well as organising one or other social events. So, she never gets such attention in her home, it was just her maids who used to ask her anything about what she wants and what she doesn't.
Ragini observed that Riddhima is not eating anything and thus, she walked upto her and placed her hand on her head. Riddhima came out of her thoughts and looked at her.
Ragini: - "Kya hua, Khana kyun nahin kha rahi?"
Riddhima: - "Kuch nahin Aunty, wo bas aap sab ko dekh rahi thi, itni masti mazak wo bhi breakfast table par mene aaj tak nahin dekhi."
Ragini understand what she is talking about and thus, just hugged her and says: - "To kya hua, ab tum yahan ho aur ab poori tarah se hamare saath enjoy karo; samjhi."
Riddhima: - "Ji Aunty."
She said with a smile and then ate her breakfast with a smile on her face, while Samrat and Mayank were still busy in arguing over some topic.
They completed their breakfast and then decided to have some time together in the living room. Mr. Singhania has taken few days off from his work because he wants to spend some quality time with his whole family.
Mr. Singhania: - "Toh Sujal tum mujhe bata do ki tumhe kya kya intezam akrvane hain, mein Mumbai me karwa deta hoon."
Sujal: - "Kuch nahin Dad, mein soch raha tha pehle Mumbai ja kar ek baar sab check kar aaun, phir decide karunga ki kis kis cheez ki zarurat padegi aur saath me apni aur Samrat ke admission papers bhi submit kar aaunga."
Samrat: - "Mein bhi saath jaunga Bhaiya."
Ragini: - "Tum kyun jaoge?"
Samrat: - "Mom, mujhe bhi to apni admission karwani hai, isliye mein bhi bhaiya ke saath jaunga."
Sujal: - "Aane di jiye mom, mein soch raha tha ki Mayank bhi hamare saath chale, is bahane hum teeno saath me bhi rahenge aur thodha time bhi saath me spend kar lenge."
Ragini: - "Theek hai, tum teeno ja aao."
Riddhima: - "Teeno nahin charo aunty."
Ragini: - "kyun, tum bhi ja rahi ho kya?"
Riddhima: - "Ji Aunty, mene socha jab sab ek hi college me admission le rahe hain, to me kyun peeche rahun?"
Mr. Singhania: -"To kab jana hai aap sab ne?"
Sujal: - "Kal morning me Dad, mein chahta hoon ki hum kal jaldi jaye taki sham ko vaapis aa sake."
Mr. Singhania: - "Theek hai mein tickets book karwa deta hoon."
Sujal: - "Thanks Dad."
Mr. Singhania: - "koi baat nahin Beta."
Ragni: - "Aur aaj tum sab ka kya plan hai?"
Samrat: - "Aaj bhaiya humhe gifts dilane ke liye shopping pe le ja rahe hain?"
Mr. Singhania: - "Are Sujal, tumne pehle bataya kyun nahin?"
Sujal: - "Dad, aapki tarah mujhe bhi abhi pata chala hai ki mein in sab ke saath shopping pe jar aha hoon." He said pointing towards Samrat.
Ragini: - "Toh yeh tumhara plan tha?" She said looking at Samrat.
Samrat: - "To kya hua; ab Sujal bhaiya itni der baad vaapis aaye hain, to humhe gifts to dilwayenge hi na; kyun mene galat kaha kya bhaiya?"
Sujal: - "Nahin, theek kaha. Mein tum sab ko bahar le kar chalta hoon."
Samrat: - "Yayyy." He said and ran to his room for getting ready.
All the gang also left the place to get ready and about after half an hour, they r leaving for a shopping mall to get something for each of them.
Reaching a mall, they all went to have something for Mayank and Samrat first. As usual, first they stuck on the same shirts and t-shirts, having an argue but then Sujal has to come and sort out the things between them.
Then, they move on to get something for their Dad. He did bought some gift for Kashish's Dad too. Then, they all moved on to Girls section, to buy something for Riddhima too. All were busy in selecting some dresses for Riddhima, when Sujal found Mayank gazing at one churidaar. He walked upto him.
Sujal: - "Kya soch rahe ho Mayank?"
Mayank: - "Soch raha hun ki yeh dress Nupur pe kitni achi lagegi."
Sujal: - "Kya?" He said in a high tone.
Mayank came out of his thoughts: - "Kuch nahin bhaiya, mene kya kaha?"
Sujal: - "Kuch bhi to nahin, for almost half an hour, tum is direction mein kadhe reh kar is dress ko ghur rahe the aur jab mene poocha to bol rahe ho ki yeh dress nupur pe bahut achi algegi; bas iske ilava aur kuch nahin hua."
Mayank blushed slightly at this but then replied: - "Wo bhaiya mera dhyaan nahin tha na, shayad issi liye aisa bol gaya mein."
Sujal: - "koi baat nahin, chalo ab tumhe yeh dress pasand hai to le lo Nupur ke liye."
Mayank: - "Nahin Bhaiya, mein yeh kaise?"
Sujal: - "Are bol dena ki mene uske liye gift bheja hai."
They bought the dress and then moved towards Samrat and Riddhima. Samrat saw a new packet in their hand and asked them whats it.
Sujal: - "Wo mene Nupur ke liye ek dress li hai."
Samrat: - "Bhaiya yeh galat baat hai, aapne mupur di ke liye gift liya aur meri chasmish ko bhool agye, aap yeh kaise kar sakte hain bhaiya?"
Sujal: - "Are me kahan bhula, ab gunjan ke liye dress tum pasand kar do, emin wo bhi le lunga."
Samrat: - "Theek hai, I will go and select something for her too." Saying this, he left.
Sujal: - "Pagal hai yeh ladka."
Riddhima: - "Bhaiya aap usse hodiye, aur dekhiye yeh dress kaise hai?"
Sujal: - "Bhaut achi hai, aur agar tujhe pasand hai to le le na."
Riddhima: - "Wohi to problem hai na, mujhe yeh sab pasand hain." She said pointing towards a pile of dresses.
Sujal smiled slightly and then placed his hand on her head: - "To sab le le, tujhe pasand hai to mujhe koi problem nahin hai."
Riddhima: - "Thank You Bhaiya!!!."
She said and Sujal turned to have a look on Samrat, when his eyes stuck on a pink churidar having embroidery with silver. It looks simply angelic and Sujal liked it very much. He called a salesman and silently asked him to pack that dress for him. Then, he moved towards Samrat and found him coming towards him with 5-6 dresses in his hand.
Sujal: - "Yeh kya hai Sam?"
Samrat: - "Chasmish ke liye gifts."
Sujal: - "Itne zyada?" He said in a shock.
Samrat: - "Ab bhaiya mujhe kya pata ki Gunjan kaisi dresses pasand karti hai, isliye mene har tarah ki dress le li us ke liye, mene kuch galat kiya kya?"
Sujal: - "Nahin bilkul nahin. Chalo payment kar de."
Samrat: - "Theek hai bhaiya."
They paid for the dresses and came out of the shop. Then, Samrat started complaining that he is feeling very hungry and they must eat something. But Sujal stopped him saying that they haven't bought anything for their mom. But all insisted that they will buy it after having some lunch, Sujal agreed with it and they entered a restaurant in the same mall only.
The time passed while having chat about some useless things with Samrat passing comments on people out there and others were just smiling at him.
Mayank: - "Bhaiya, aapne uncle aur baki sab ke liye gifts to le liye, par aap sab ko gifts doge kaise?"
Sujal: - "Mein nahin dunga, tum doge."
Mayank: - "Mein, mein kaise?"
Sujal: - "Kal hum Mumbai ja rahe hain na, to tum log thodhi der ke liye uncle ke ghar ja aana aur yh gifts bhi de dena, bolna ki mene sare gifts riddhima ke haath bheje hain."
Mayank: - "Mein yeh sab nahin kar paunga Bhaiya, mupur to ek pal me samajh jayegi ki mein jhuth bol raha hoon."
Samrat: - "Kya bhaiya, aap mupur di se kitna darte ho."
Mayank: - "Mein koi darta varta nahin hoon, wo bas..."
Samrat: - "Chodiye, chodiye." He said to Samrat and then turned to Sujal: - "Bhaiya, mein aapka yeh kaam kar dunga, isne nahin hoga." He said pointing at Mayank.
Mayank: - "Kyun nahin hoga?"
Samrat: - "kyunki aap darpok ho."
Mayank: - "Nahin hoon."
Samrat: - "Ho."
Mayank: - "Kaha na nahin hoon."
Samrat: - "Par mene kaha na ho aur ab scene mat create karo, aap ka to pata nahin apr meri yahan bahut respect hai; ladkiyaan pagal hai emre peeche aur mein nahin chahta ki aapki vajah se meri reputation kharab ho jaye." Saying this, he left the cafe.
Mayank was still in shock and recollecting all the things in his mind he said: - "Ruk to ja, abhi dekhta hoon tujhe..." He said running out of the shop.
Sujal and Riddhima were left alone in the cafe; both were not able to say anything, they just paid the bill and left the cafe to complete their shopping while Samrat and Mayank were running here and there in the mall like small kids.
Sujal and Riddhima entered one sari shop and started looking for some good ones. They selected one for Ragini and one for Nandini. Till then finish all the shopping, Samrat and Mayank have also arrived. They were just leaving the mall when Samrat and Mayank also arrived.
Sujal: - "tum dono ka ho gaya yan aur pagalpan karna baki hai?"
Mayank: - "Bhaiya, yeh Samrat hi nahin manta, isse kya zarurat thi itna kuch bolne ki..."
Sujal: - "Tum dono phir se shoro ho gaye?"
Mayank: - "Bhaiya aap isse kuch kyun nahin kehte?"
Samrat: - "Mujhe kyun bolenge; mene to sirf ek sach hi bola tha."
Mayank: - "Tu chup kar."
Sujal: - "Tum dono chup karo, aur check karo ki humne sab ke liye kuch liya hai ya nahin."
Riddhima: - "Bhaiya sab ke liye le hi liya; Uncle, Aunty, Hum sab, kashish di ke mom dad, nupur, gunjan aur kashish de ke liye bhi le li."
Mayank: - "Kashish Di ke liye kab li?"
Riddhima: - "Are Mayank Bhaiya, aapko lagta hai ki Sujal Bhaiya kashish di ko bhool jate."
Samrat: - "Kya baat hai Bhaiya!!! Chupke chup ke hi..."
Sujal: - "Nahin to kya announcement kar ke leta, ki aao bhaiyon mein kashish ke liye gift le raha hoon, aa kar dekh lo."
Samrat: - "He he he...very funny."
Sujal: - "haan to, chalo ab chale kya?"
Mayank: - "Ek minute Bhaiya, I think hum Armaan ko bhool gaye?"
Sujal: - "Ab yeh armaan kaun hai?"
Mayank: - "Bhaiya, Wo Sushant Uncle ke bhai ka beta hai, apne parents ki death ke baad Sushant Uncle ke ghar me hi rehta hai. Aur wo kashish di ke sabse zyada attached hai."
Sujal: - "Theek hai to tum uske liye bhi kuch le aao; kyunki mein to uski choice ke bare me kuch bhi nahin janta."
Mayank: - "Theek hai Bhaiya, me abhi le kar aata hoon."
Mayank left and returned back after 15 minutes with a bag in his hand. Then, all of them left for their home. Reaching back, Sujal ask Mayank to wait outside only as he wanted to ask something from him.
Mayank: - "Ji Bhaiya boliye."
Sujal: -"Tumne kaha tha ki armaan riddhima ke kafi close hai, yeh tum kaise keh sakte ho?"
Mayank: - "Kyunki Bhaiya, Kashish Di sirf Armaan ke saath hi khul ke baat karti hain, wo hasti hai to uske saath aur roti bhi hai to ussi ke saath."
Sujal: - "Iska matlab hai kashish ke is tarah change hone ki vajah Armaan ko zaroor malum hogi. Kyun?"
Mayank: - "Bilkul theek kaha Bhaiya, mera bhi yehi manana hai. Par sach bataun bhaiya, to wo kashish di se bahut pyaar karta hai, unki bahut care karta hai. Uncle ki nature to hum bhi jante hai, unhe kabhi kisi ki parva hi nahin hoti, par ek armaan hi hai jo kashish di ko ek minute hasane ke liye ulti pulti harkate karta rehta hai, college me bhi har pal Di ke saath rehta hai, tanki koi unhe tang na kare."
Sujal: - "Theek hai, chalo andar chalte hain."
Mayank just nodded and get inside; while Sujal stand there leaning to his car.
Sujal thinks: - "Lagta hai Yeh Armaan hi hai jo meri Kashish ko vaapis lane me madad kar sakta hai."
Edited by -.Preet.- - 14 years ago
41