Originally posted by: softly_spoken
superb update already waiting for next
A poem for deewangi, not written by me but a famous urdu poet (Syed Wasi Shah)zakhm muskuraate hain ab bhi teri aahat perdard bhul jaate hain ab bhi teri aahat pershabnami sitaron main phool khilne lagtey hain,chand muskuraate hain ab bhi teri aahat perumer kaat di lakin bechpana nahi jaata,hum diye jalaate hain ab bhi teri aahat perghantian si bajti hain, raks honey lagta hain,dard jagmagatey hain ab bhi teri aahat perteri yaad aaye to neend jati rehti hai,khwaab toot jaatey hain ab bhi teri aahat perjo sitam karay aa ker sab kubool hain hum ko,hum khushi manaate hain ab bhi teri aahat perab bhi teri aahat per chand muskuraata hai,khwaab gungunaate hain ab bhi teri aahat pertere hijr main hum per ek azaab taari hai,chonk chonk jaatay hain ab bhi teri aahat per,dastakain sajaane key muntazir nahi rehtey,raastay sajaatey hain ab bhi teri aahat per.ab bhi teri aahat per aas laut aati hai,hum diye jalaatey hain ab bhi teri aahat per
such a beautiful poem..
loveeddd it...❤️
703