~~~~Part 13: A Moonlit Night~~~~
Nupur feels like over the moon today. Mayank has responded to her email pretty much instantly and the content of that email has finally put a rest to all her insecurity and confusions about their relationship.
The letter:
tumhari dost ne bilkul sahi kaha hai…per humain hairatgi iss baat ki hai tumhe apne bachpan ki dost per itna bhi aitbaar nahi. itni choti si baat k liye tumne khudko humse 2 din door rakkha. ekbar bhi yeh nahi socha k shayed mujhe bhi taqleef horaha ho yeh sochke k shayed meri iss achanak harqat se tumhe chaut pohunchi ho….bura laga ho…tumne yeh nahi socha Nupur? tumhe andaaza nahi hoga yeh do din maine kis tarha guzaray! mujhe lagah barson k baad jo saathi mujhe wapas mili hai woh phir mujhse kho gayi..woh bhi meri apni hi ek choti si ghalti ki wajah se. sach kahe to main bhi issi kashmkash se guzar raha tha k tumhe mail karoon ya na karoon. khauff sa baith gaya tha dil me k kahi tum mujhe aur bhi ghalat na samajh lo. aur mere paas tumhare jaise dost bhi nahi hai jo kuch salah de…himmat de..sahi qadam uthane k liye. By the way, yeh kaun dost hai aap ka? zara taaruf to karayye! hum bhi to dekhe k aisa kaun hai jisski soch humse itna milta hai :)
Nupur, pata nahi kyun aaj tumse bohat baatein karne ko dil kar raha hai. shayed yeh do din maine tumhe khonay ki darr se guzari issi liye tumhe phir se dekh kar dil yehi chahta hai k phir kabhi aisi naubat na aaye hamare zindagi me jab iss tarha ghalat fehmi me humain door rehna pare. humain ek doosre k saath aur bhi waqt guzarna chahiye Nupur..taaki dobara aisi baatein na ho. hum dono hi sochte hai k 10 saal me shayed sab kuch badal gaya hai..kabhi kabhi hum ek doosre se bas ajnabeeon ki tarha hi milte hai aur phir lagta hai k hum woh nahi hai jinnke saath humnain apni zindagi shuruwat ki thee. kya main ghalat keh raha hoon? shayed ghalat ho bhi sakta hoon…in do dino me dimagh ka fuse lagta hai kaafi urra hua hai..hahhaa. per dil me roushni bhar gayi hai aur iss baar main mazak nahi kar raha. agar tumhe main sahi lagta hoon aur tum mujhse sehmet ho to kya tum hum dono ko ek mauka dauge?…iss daffa tumse ijjazat maang raha hoon…iss weekend me kya tum online aa sakti ho? aamne saamne mil sakte hai hum?
mujhe pata hai yeh email parhke tum na jaane kya soch rahi hogi aur mere sawal ka kya jawab hoga tumhara per maine apne taraf se aaj tumhari orre ek qadam aage barhaya hai ek doosre ko aur bhi acchi tarha se jaanne aur samajhne k liye…ab tumhari baari hai. chaahe qadam aage barhao aur khud ko hamare kareeb le aao ya phir ek qadam peeche le jaao aur humain bas dost bannke rehne do.
Tumhari jawab ka besabri se intezar rahega.
-Mayank
Nupur has read this email billions of times! Yesss….she is in love! she feels like flying…her heart is filled with joy. She couldn't have asked for anything more in her life. She comes home dancing and as soon as she sees Aparna, gives her a biggg hug and showers her with kisses.
A: arrre kya hogaya hai tujhe..chorr mujhe! paghal hogayi hai kya??
N: haan maa hum paghal hogaye hai. aap ek kaam karo..paghal khane ko phone karo aur humain bharti kara do
A: chup besharam larki! kya..hua kya hai tujhe? lottery lag gayi kya? ya phir chaand pe safar karne ka ticket mil gaya hai?
N: wohi samajh lo maa chaand pe duniya basaane ki ijaazat mil gayi hai Khuda se
A: mujhe to kuch samajh nahi aaraha..
N: tum samjhoge bhi nahi maa..mmmuaaahh
…and she runs off to her bedroom. As she enters the room and throws her bag on the bed, she looks at her room as she has never seen it before. Everything is so beautiful…the wall..the paintings, the ceiling, the furniture…everything seems so bright and happy. She sees the row of her teddy bears on the couch and picks her best buddy from there..
"pooocchhhiii…mmmuaaah. kaise hai aap? kitne dino se aap se baat nahi hui. aaj humain aap se itttnnni saari baatein karni hai…(she hugs the teddy tight and kisses again) aap ko meri khushi ka andaaza nahi hai. yeh dekhiye…yeh khat. parhiye isse..aaree aap ko kahan parhna aata hai. lijiye hum khud hi parh lete hai (and she starts reading the letter to a teddy bear..poochi). ab boliye…hai na unhe humse pyaar? kya jawab de hum iss khat ka boliye? kaise samjhaye unhe k iss din ka humain saalon se intezar tha. kaise bataye unhe k iss duniya me aane k baad..hamari pehli saans se ab tak humnain bas unhi ko apne dil me rakkha hai…unhi ko socha hai unhi ko samjha hai. apna haal-e-dil kaise bayaan kare hum poochi? kaash woh hamare saamne hote to shayed hamari khamoshi iss bat ka izhaar kar deta..kaash hum unhe dekh paate..kaash..(sigh)"
The whole night..Nupur spends in a dreamworld. Sometimes she is talking to herself..sometimes to the night stars and sometimes even with an imaginary Mayank whose face still remains to be a vague thread of her childhood memory. Nupur is in love…she was always in love as Mayank was the first man in her life and she never thought of anyone else but him. But today, she realises it as Mayank has made her think. He has asked her to take this relationship forward and she is in no hesitation whatsoever that not only does she want to take it forward but she actually wants her life to end in his arms too. As Nupur fades into her beauty sleep…she starts dreaming of a new life with Mayank…a small house in a beautiful town, their marriage and a happy life together with kids. She smiles…today is the happiest day of her life.
Next day, she is in a rush to reach college as she has to reply to Mayank. As soon as she reached the lab and opens her email account, she is gone completely blank! In her excitement she did not draft her email as usual and now that she has to respond to the biggest decision of her life, she is sitting clueless in front of the monitor. She knows what to write..its just that she doesn't know how to write..how to express her feelings properly.
N: kya musibat hai! yeh sab humnain kal kyun nahi socha? ab kya likkhe?
N: wohi likh jo dil me hai
N: dil me hai jo woh agar yahan baithke likkhenge to poora college parh lega (as she looks around her. Not sure why but she always felt that people are constantly staring at her monitor and reading her personal notes..hence Mayank's complaints were not completely invalid. She really cannot open herself up in front of mass public that too via an electronic machine…very much against her ethics and beliefs)
N: to ghar jaa aur draft banaake kal likh lena.
N: nahi nahi…woh intezar kar raha hoga (she starts blushing)
N: itna sharma kyun rahi hai. abhi tak to Mrs. Sharma bhi nahi hui hai (starts giggling when she feels a pat on her back)
T: mujhe pata tha tum yehi per apna bael gaari chala rahi hogi
N: Tanmay…kab aaye?
T: jab tum iss computer se behudh pyar se baatein kar rahi thee..tab. humain lagah shayed iss bechare ko tum per taras agaya ho aur koi jawab apni CPU se ugal diya ho. (looking at the PC..kyun bhai?)
N: nahi …woh humain ek sawal ka jawab nahi mil raha tha to yaad karne ki kaushish kar rahe the
T: accha! to mujhe batao…shayed main madad kar doon.
N: arre humain jawab pata hai..its just that kaise likkhe woh nahi samajh aaraha
T: o hello…class me 10 minute baaki hai. hum dono ko project ki report submit karni hai aaj yaad hai na. jo bhi sawal hai..shortcut me jawab deke foran class me aao. jawab agar 'to the point' hua to koi bhi samajh jayega. ok..milta hoon phir class me…mujhe woh report ki tayyari karni hai. come quick..ok?
Tanmay's words gave Nupur a great idea.
N: sahi kaha Tanmay ne..jisse samajhna hai usse itne alfazon ki zaroorat kya hai?
So she types the email: a one liner email in response to the biggest decision of her life to her best friend Mayank
"hum aapse ONLINE milenge…aap ki bataye hue tarikh or waqt pe :) - Nupur "
-Neela-
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ya Khuda…
jhuka hai sir sajde me tere..hum per yeh rehmat karna
har bala-o-mushkil se unki hifaazat karna
woh nahi hai hamari mustaqbil me..na sahi
iss zindagi me unki har aansoo hamari kismat karna
(Ameen)
~~~~~~~~~~~~~~~~
Edited by sharneel - 14 years ago
35