briliiant update..!
awesome MayUr scenes..!!!
thnks for the PM..!
waitin for ur nxt part..!
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
PARAYI AURAT 13.9
Aabeer Gulaal reviews and box office
Tanya was fab today👏🏻
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Part ' 8
(Mayank apni book padhne ki koshish karta hai)
M to himself : kya zarurat thi usse itna bolne ki. Ab wo fir se nazar ho kar room me baithi hai. Jaa aur jaake usse mana.
(Mayank nupur k room me jaata usse manane k liye. Wo dekhta hai k nupur bed per baith kar bade interest k sath koi filmy magazine padh rhi hai. Mayank door per knock karta hai )
N : mayank tum??
M :- haan main. Main andar aa jau.
N : Haan aa sakte ho. Isse apna hi ghar samjho.
M :- Haan. Waise yeh ghar mera hi hai.
N :- to fir puchte kyun ho. Aa jao.
(mayank jakar gunjan k bed per baith jaata hai aur wo hairna bhi hai k nupur uss per nazar nhi hai aur normally baat kar rhi hai )
M :- Tum mujhe se naraz to nhi ho??????
N :- wo kis liye???????
M :- thodi derr pehle bahar to tum bada gussa dikha rhi thi.
N :- wooooh woh to main bas aise hi. Aur mayank tum na bahut sochte ho. Bhala koi itni si baat k liye naraz hota hai kya. Agar tumhe abhi bhi lagta hai k main naraz hu to mujhe ice-cream khila do.
M :- Nupur tum bhi naa kamal karti ho.Thik hai Main market se lekar aata hu. Tab tak tum ghar me raho.
N :- main bhi chalti hu na. Main akele bore ho jaungi.
M :- Nhi. Agar gunjan ghar aa gyi to ghar band milega use. Main 10 min me aaya. Pass se hi lekar aaunga.
N :- thik hai Jao.
M :- Ok .
(Mayank jaane lagta hai. Nupur piche se awaz lagati hai)
N :- Mayank Strawberry flavour lekar aana.
M :- thik hai. Ab main jaun.
N :- haan.
(Mayank jaane lagta hai to Nupur fir se pich se awaz lagati hai)
N :- mayank k'''. family pack lekar aana. Gunjan bhi aane wali hogi. Aur gunjan akeli to aayegi nhi uske sath samrat bhi aayega,
M :- thik hai. Ab main jau.
N :- haan.
(Mayank jaane lagta hai to Nupur fir se pich se awaz lagati hai)
N :- mayank jaldi aana. (with her cute smile)
M :- thik hai Ab main jau.
N :- haan
M :- pakka na.
N :- haan pakka.
(Mayank smile karta hai aur chala jaata hai)
M to himself (suddenly ) :- Mayank sharma Yeh bekwufo ki tarah smile karna band kar. Aur jo kaam karne jaa rha hai wo kar. Aur waise tu kis khushi me ice-cream lene jaa rha hai aaj naa hi nupur ka b'day hai aur na hi tera. Aur ice-cream khane se tere gale per bhi fark padega. Aur tu yahaan smile kar rha hai. Abhi k abhi smile karna band kar.
(Nupur ghar me akeli hoti hai tabhi samrat aur gunjan ghar aate hai. Aur aate hi mayank k bare me nupur se puchte hai )
S :- Nupur mayank kahaan hai.
N :- wo bahar gya hai
G to N :- kya? Tumhe ghar me akela chod kar
N to G :- arre maine hi usse bheja hai.
S to N :- cool. Aur mayank chala gya. Waise kisi kaam se bahar bheja hai kya
N to S :- Haan bhi aur nhi bhi.
G & S to N :- Matlab??????
N to both :- wo actual me mera ice-cream khane ka mann tha isliye usse bola
G & S (surprisingly) : aur mayank chala gya (then both smiles )
N :- haan per tum log itne surprise kyun ho.
S :- ice-cream aur mayank sath me. Aur wo bhi tumhare kehne per gya hai. Surprise hone wali baat hai.
N :- arre aisi baat nhi hai. Usse laga k main naraz hu.
G :- matlab k tumhara fir jhagda hua. Mujhe pta tha aisa hi kuch hoga.
S :- waise jhagde wale halat ho nhi lag rhe. Ghar ekdum sahi salamat hai. Per hua kya
(Nupur sari baat gunjan aur samrat ko batati hai itne me mayank bhi aa jata hai )
M to N :- Yeh to tumhari ice-cream wo bhi tumhare fav. flavour me
M to S,N :- tum log kab aaye.
(Nupur ice-cream leti hai )
N to M :- Main sab k liye ice-cream lekar aati hu.
G to N :- Main bhi sath chalti hu.
N to G :- nhi tum abhi to bahar se aayi ho main lekar aati hu waise bhi main akele bore ho rhi thi
( Nupur kitchen me chali jaati hai. )
S to M :- Kya baat hai. Mayank sharma ice-cream k sath
M to S : aisa kuch nhi hai. Bas wo thodi si naraz thi
S to M :- to mayank sharma ko kab se kisi k naraz hone ki chinta hone lag gyi. Aur tumhara aur uska to jhagda hi hota rehta hai.
M to S :- haan wo bhi hai. (interrupted by gujan )
G to both :- tum log yeh sab chodo aur samrat tum bhul gye na. Hume mayank ko kuch batana tha.
S to G :- yaad hai chismish. Main to bas aise hi
( Tabhi nupur sab k liye ice-cream lati hai aur sabko deti hai )
N to S, G :- Tum log mayank ko kuch bta rhe the na. Mujhe bhi btao na.
N(thinking) :- agar aaj inhone bta dia to iss sadu ko bhi pta chalna chahiye k yeh dono ek dusre ko kitna psnd karte hai. Aur main galt nhi thi. Achcha hai in logo ne batane ka failsa kar lia.
(but hota kuch aur hi hai )
S :- Mayank. Actual me uss competition ki last date 2 din baad hai. Wo to achcha hua nupur hume time se gyi. Hume kal hi jake apna band wahaan registered karwana hoga warna hum participate nhi kar payenge.
M :- thik hai. Hum log kal hi chalenge. Tumne dia, benji aur uday ko yeh bta dia na. wahaan band k har member ka hona zaruri hai.
N :- Arre meri to koi taiyari bhi nhi hai. Aaj to tum logo ko maine haan ki hai. Main nhi kar paungi.
S :- Relax nupur. Hum sab hai na tumhare sath. Kal bas registered karwane jaana hai. Kal gaana nhi hai.
N :- per samrat. Mujhe rock music k bare me kuch nhi pta. Tumhe lagta hai tum logo ne mujhe lekar sahi decision lia hai.
M to N: - Haan Nupur. Hum sabko yahi lagta hai. Aur jo kuch bhi hoga hum sath me handle karenge. Tum tension mat lo. Hum hare ya jeete. Hum sab friends rahenge. Tum iss baat ki chinta mat karo k koi tumhe kuch blame karega
N to M :- tumhe kaise pta main yeh soch rhi hu
M to N :- har insane jo tumari situation me hoga wo yahi sochega.
S to M, N :- to kal subah hum log jaa rhe hai. Right
M to S :- Haan bilkul.
S to G :- aur chismish tum bhi sath aa rhi ho na.
G to S :- haan. Kabhi aisa hua hai tumhare band me tum logo ka maine sath na dia ho.
S to G :- nhi. Aisa nhi hua hai aur aisa karna bhi mat. Tum iss ice-cream se bhi zyada sweet ho.
Gunjan smiles.
M to all :- to kal hum sab jaa rhe hai
S to M :- bilkul. Per abhi main ghar jaa rha hu
(samrat apne ghar chala jaata hai )]
Next Morning
(aaj band ko competition k liye register karwana hai isliye sab mayank k ghar ki jagah wahaan pahuchte hai jahaan registered karwana hai. Jahaan Shukla ji iss umeed se apni beti k sath hai agar mayank k band ko koi female singer nhi mili to majburi me unki beti ko uss band me jagah mil jayegi. )
S to M :- wo dekho shukla. Apni beti k sath. Pakka wo tumhe bula k bolege apni beti ko band me rakhne k liye.
M to S :- haan yeh to hai. Koshish karte hai k shukla se baat hi naa ho. Hum aisa pretend karenge k humne usse dekha hi nhi.
U to M, S :- haan yeh thik rahega. Waise uski beti dekhne me hi achchi hai. Per awaz suni hai uski wo gaana to kya, koi bhajan bhi nhi gaa sakti.
B to U :- Uday mere bhai mere dost. Kisi ladki k bare me aisa nhi bolte. Aur wo to shukla ki beti hai.
U to B :- per main sach keh rha hu. Uski awaz kafi heavy hai.
D to U :- tumne kaha suni uski awaz.
U to D :- wo main nhi bta sakta. Abhi tum log bhi sun loge.
G to all :- yahaan time waste karne se achcha hai. Jaldi se registrar k pass chalte hai. Iss se pehle shukla ji aur unki beti hume dekhe.
(sab jaane lagte hai per shukla mayank ko bula leta hai )
Sh :- to tumhe female singer abhi tak nhi mili
M :- nhi sir. Hume female singer mil chuki hai.
Sh :- achchi baat hai. Per kaun hai wo. Gunjan to baat hi kam karti hai. Aur dia ko to singing me interest nhi hai. Yeh nyi ladki dekhne me hi kisi chote shehar se aayi lagti hai. Tumhe syad pta nhi hai k register karte whqt band k sab members ka hona zaruri hai
M :- G aapne bilkul sahi kaha. Aur hamare band ki female singer bhi hamare sath hi hai. Wo chote shehar ki ladki. Uska naam nupur hai wo hi hamare band ki female singer hai.
Sh :- huh. Iss se to meri beti ko apne band me female singer bana lete. Uska kitna mann tha tumhara band join karne ka. Yeh ladki rock music gaa payegi.
M :- Sir, yeh hmare band k sab member ne mana hai nupur achcha gaati hai. Aur yeh competition jitna na jitna luck ki baat hai. Aur ab to waise bhi derr ho chuki hai hum sab ne nupur ko band ki female singer k liye select kar lia hai. Aapki beti aapke sath zyada achchi hai.
(Mayank wahaan se chala jaata hai. Per iss conversation k dauraan Shukla ji ki beti mayank ko attract karne ki bahut koshish karti hai. Per as usual mayank ko koi fark nhi padta. Aur band k sare members dur se khade ho kar yeh sab dekh rhe hote hai. Aur sab shukla ji ki beti ka mazak banate hai per nupur feels jealous)
M to all :- hume chalna chahiye.
S to M :- wo shukla ki beti kya kar rhi thi.
M to S :- wo tum uss se hi pucho.
N to M (with little bit anger ) :- kyun. Tumhe badi sharm aa rhi hai. Tum usse mana bhi to kar sakte the.
M to N :- per nupur. Mujhe koi fark nhi padta. Yeh to ladkiyo ki adat si ho gyi hai.
N to M :- oh ho. Ladkiyo ki adat ho gyi hai. Ya tumhe ladkiyo ki adat ho gyi hai.
M to N :- dekho. Mujhe kuch nhi kehna hai aur nab hi main jhagda karna chahta hu.
S to N :- relax nupur. Mayank aisa bilkul nhi hai. Aur mayank ne kaha k usse fark nhi padta to usse sach me nhi padta. Hum sab usse bachpan se jante hai.
Everyone says : - yes nupur. Mayank aisa nhi hai.
S to N :- per tumhe kyun fark pad rha hai.
N to S :- mujhe koi fark nhi padta. Main to bas aise hi. Ab kisi ko derr nhi ho rhi.
(Sab registrar k pass jake band ko registered karwate hai. Registrar batata hai k competition ka format change ho gya hai. Iss baar kafi bands se register karwaya hai isliye iss baar competitions parts me hoga. Competition k sponsors sab bands ko kuch alag alag place denge gaane k liye. Aur Jo bands inn alag alag place me achcha perform karenge. Last best 10 groups ko hi uss stadium me gaane ka mauka milega.Yeh sun k sab hairaan ho jate hai aur nupur preshan)
TO BE CONT'''''.
PART 9 PG 16
This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...
In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...
Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
80