MY INTERPRETATION OF A FAIRYTALE-UPDT-PG 99-3/3/10 - Page 5

Created

Last reply

Replies

720

Views

63.2k

Users

104

Likes

540

Frequent Posters

ridzi830 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#41
hey
nice part..loved it..thanks 4 the pm...
dmg_fanatic thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#42

HAPPY HOLI GUYS

THANX FOR MAKING MY DAY WITH UR WONDERFUL COMMENTS
IT IS NOW , AFTER READING UR COMMENTS THAT I FEEL IT IS A FESTIVAL😆😊😛
KAVYA
ENJOY YOURSELVES
I WILL DEFINITELY UPDATE TOMORROW😆
bradford3 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#43
plz continue soon ur an awesome writer plz plz plz continue soon
aarora thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#44
hey sweety..amazing update as always..luvd it..continue soon..
thanx fr PM..
luv ya..
dmg_fanatic thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#45
HEY GUYS, here is part seven, i know the length is not very good but there is a lot of written matter
i thought that to know the feelings of the characters is important so i posted this part and i think that it was needed here
Part 7

Ridhima in her mind: kyun armaan, itni jaldi umeed haar gaye,apne par na sahi apni basket par to bharosa kar sakte the, kyun sabse jhooth bolkar itna dukh sehen kar ke tum nahi aaye, apni basket ko is jode mein to dekh lete, uski haathon mein vo mehendi to dekh lete jo rachi hi nahi,uske dil ki vo aahat to sun lete jo tumhare dastak dene ka intezaar kar rahi hai, uske labon pe vo dard bhari muskaan to dekh lete jo tumhaari chodi hui nishaani hai, uski aankhon mein vo armaan to dekh lete jo tumne adhure chod diye mere se mera sab kuch to le gaye piche chod gaye to ye dil jisme dhadkan nahi, ye mann jisme asha nahi, ye tan jisme ruh nahi sab kuch le gaye armaan sab kuch, kuch to chod jaate is ruh mein apna ehsaas to chod jaate jiske choote hi main kaanp uthti hun, apne labon ki vo nishaani to chod jaate jo koi chaaha kar bhi mujhse alag na kar paata,

Armaan ye sab chod gaye tum yahaan tak ki apni basket ko, mujhe, bhi chod gaye. Tum hi to kehte the ki pyaar karna aasaan nahi hai lekin pyaar mein itni taakat hoti hai ki saari mushkilon se aage badhta chala jaaye. Aur dekho main bhi kitni badi paagal thi ki jo tumne kaha usse pathar ki lakeer samafh ke maan liya aur bina soche samjhe tumhaari ho baithi.

----------------------------------------------------------

Armaan: basket main jaanta hun ki tum yahi soch rahi hogi ki maine jhooth kyun bola lekin basket main majbur tha, main nahin dekh sakta apni basket ko kisi aur ka hote hue, is dil mein jo thodi si umeed baaki hai vo bhi tut jaati jo main hone na deta basket, main tumhe nahi kho sakta lekin main apne parivaar ko tut ta hua bhi nahi dekh sakta, tum dekhna dr shashank khud mujhe aur tumhe ek karvayenge, ye mera vaada hai tumse. Bus ek bhikh maangta hun ki tum mera saath mat chodna. Tumhaare bina armaan phir se adhura hi jaayega, nahi sah paayega duniya ko, ridhima dr shashank ye nahi sehen kar paate ki sanjeevani band ho jaaye aur ek baar ko agar vo ye sehen kar bhi lete to vo ye na sehen kar paate ki unki ridhima unki baat na maane, main jaanta hun ki tum soch rahi hogi ki ridhima to meri hai lekin ridhima meri na to thi, na hai aur na hi hogi, meri to basket hai. Ridhima to ek aisi ladki hai jiski pehchaan hai dr shashank ki beti ya dr anjali ki behen, jisko agar koi mazzak mein bhi kuch keh de to turant aansu bahane lag jaati hai, humesha duniya se darti hai aur kisike saamne chipkali ban ke baith jaati hai lekin meri basket aisi nahi hai. Vo basket jisse maine pyaar kiya tha vo to ek passionate ladki thi, jo nakchadi thi, jise haarna nahi aata tha, armaan mallik se bhi better basketball aata tha, jise ladna bahut pasand tha, jo aakhon mein ek famous doctor banne ka sapna li hui thi, jo itni strong thi ki jab armaan tut gaya tha aur sanjeevani chodkar kasauli chala gaya tha tabhi vo nahi tooti aur jo apne pairon pe khade hokar dusron ka naam karna chahti thi, ye ridhima ki acting karte karte meri basket na jaane kahan kho gayi aur jis din vo basket vaapas aa jayegi usi din dr shashank tumhe legally mera kar denge.

He said all this sitting in loneliness in his room and imagining how would his ridhima be

looking in the dress of a soon to be wife

----------------------------------------------------------

Sahil thought to himself: kyun ridhima, kyun main tumhaari aakhon mein vo pyaar nahi dekh paa raha hun jo meri aakhon mein tumhaare liye hai. Kya tum kisi aur se pyaar karti ho aur agar aisa hai to mujhe bata kyun nahi deti, mujhe bura zaroor lagega lekin ye teen zindigiyan kharab karne se to acha hi hai na, ridhima mujhe tumse is baare mein baat karni hi padegi, tumhaari aakhon mein ek aisi parchai hai jise ek taraf to vo aine ki tarah dikha rahi hain aur dusri taraf aansu ke parde se chupa rahin hain. Ridhima I am sure jitna pyaar main tumse ya tum usse karti ho usse kahin jyada pyaar vo ladka tumse karta hai kyunki hum aansu tab dete hain jab kisi apne ko chot pahuchate hai lekin hum dil mein dard tab dete hain jab hum apne kisi hisse ko apne se alag kar dete hain aur tumhaare dil ka dard tumhaari aankhein saaf bayaan kar rahi hain, I hope ki tum mujhe sach bata deti lekin I promise ki tum bolo ya na bolo main us ladke ko dhund ke rahoonga kyunki main nahin chahata ki main tumse tumhaari koi bhi khushi cheenun aur main jaanta hun ki usse jyada khush yumhe duniya mein koi nahi rakh sakta hai.

----------------------------------------------------------

"Never lose hope because it is in hoping that we live and in defeat that we die. But it is better to live before we die because we never know whether we will ever get a chance to live again but we know that we can never lose a chance that summons us to death"

I hope u people like it,

I have tried my best and here is the first precap of the series

next part: only atul-anji

enjoy

kavya

sasya thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#46
wow that was short but a very lovely part,u wrote it soo well.the way u wrote everyone's view was great.
sahil is a good fellow,he really loves ridhima.hope he will be able to bring armaan and ridhima together.continue soon........
Laddoo.Phaddoo thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
#47
hey kavya thnkx a lot 4 da pm sweety nd i thnk i dnt ve 2 said ds bt ds ws da most touchng part of ur fic till now at least 4 me so keep gng nd ya upda8 da next 1 soon ok?nd whn ll u gt armi nd ridz 2gthr yaar aur kitna rulaogi.ha
-take care anu
guju_girl1 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#48
hey kavya
GREAT part continue soon😊
Lovely_Diva thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#49
Hey Kavya, gr8 part. loved the way u potrayed their emotions.
thanx for the pm:)
plz update sonn :))
Robin_M thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#50
aww feel so bad for ar, both so sad :(
glad sahil is a good guy! he loves ridz but wants her to be happy with the one she loves!
good part, continue soon!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 years ago

Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22 Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22

Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.

Expand â–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".