Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 13

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.3k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago

Originally posted by: sun_423



hii deepa... you have a nice name....😊

thanks ya...and continue the next part soooooooooooooooooooooooooon....and also bring sk first meet too sooner....
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
awesome part. loved the nok jhok of armaan n ridzi. Loved yash's charchter and best was rishi. among the elders pallavi was the best tit for tat for vasu.
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: golu_1677

awesome part. loved the nok jhok of armaan n ridzi. Loved yash's charchter and best was rishi. among the elders pallavi was the best tit for tat for vasu.


thanku so much golu....i'am glad you liked it.....i'll surely try & continue soon...😊

spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
hey surya dear when u gonna continue?
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: spvd

hey surya dear when u gonna continue?



deepa my MBA Semester-2 final exams are going on.. as soon as the exams finish i'll post the part... sorry for the delay..hope you understand.. 😊

spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
hey surya.....no prob dear take ur time and al the best...some days back only my 1st sem MBA exams got over....take care....
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Hello Guys…😊
Kaise ho aap sab…mujhe tho lagtha hai kii aap mujhse naraaz honge, naraaz is liye kyunke maine itne dino se apni fanfic "Hogi Pyaar Kii Jeet", continue nahii kiya…Woh kya hai na guys darasal my college people are irritating me so much.. pehle tho nine projects de diya complete karne ke liye… aur uske baad my Semester 2 finals ke date announce kar diye… abhi mere eight exams khatam hue hai… one more is left which is on monday march sixteenth… but still kyunke my Mondays exam is easy I thought kyun na I start writing my fanfic… I'am really sorry kii aap sabko maine itna lamba intezaar karwaya.. I never meant to make all of you wait… but kya karoon my college life is so damn hectic… chaliye ab "Hogi Pyaar Kii Jeet", kahani ko agge badathe hai.. lekin usse pehle ek nazar recap par…

Recap:- In the last part we saw the introduction of the garewals old generation & new generation… we saw kii what type of relationship each one person in that house share with the other.. we saw kii yash, ridhimma ko samjhatha hai kii woh armaan se baat kare, armaan ko apni baat rakhne ka, kehne ka ek mouka de… and we also saw kii yash ko kin cheezon se dukh hotha hai… but there are also people who cheer im up and they are akshat, rishi & ridhimma…. Unki zindagi mein woh sab khush hai… ab chaliye agge dekhthe hai kii yeh kahani kaunsa modh lethi hai…

*****"Hogi Pyaar Kii Jeet - Part 4"*****

[Year 2006] We can see the Mehra house in Delhi… Mehra house mein bohat chehel-pehel hothi hai… sab log koi na koi kaam karr rahe hothe hai…. And we can hear a voice from one of the rooms upstaurs, the person is shouting: mom mere books kahaan hai, chah tumne meri red shirt dekhi hai, snehaaaa tumne mere cd's liye the abhi thak loutaye kyun nahii… kajallllllllllll tumse maine kitni baar kaha hai kii tum apni cheezein mere kamre mein matt rakho, tum hamesha apna yeh basket ball mere kamre mein chod dethi ho… mom,chah, sneha, kajal, koi jawaab kyun nahii de raha hai…. Chahhhhhhhhhhh…..
Now we see that the person who is not getting any reply from anyone makes a very irritated face.. we can see that it is armaan.. aur woh khud se kehtha hai: uffff..patah nahii yeh sab log kahaan chale gaye hai.. koi mere sawaal ka jawaab hii nahii de raha hai.. na kajal mujhe marrne ke liye daud rahii hai, na sneha mujhse chid rahii hai, na chah mujhe pyaar se samjha rahii hai aur na hii mom mujhe daant rahii hai.. hmm.. this is very weird…. Chalo neeche chal kar dekhthe hai kii aakhir majra kya hai…
Armaan comes down the stairs and to his surprise he sees kii prerna, chah, sneha, kajal & Gayatri [dadi] are sitting in the dinning table with cotton buds in their ears…. Armaan un logon ke pass aatha hai , he gives them a stern expression.. sab armaan ko dekhthe hai aur apne kaan se cotton buds ko nikalthe hai… armaan stands there like he is waiting for a explanation from them, lekin un mein se koi kuch nahii kehtha.. yeh baat armaan ko aur bhi zyada irritate karthi hai, aur he asks in a irritated tone:- kya main yeh jaan saktha hoon kii yahaan koi mere baat ka jawaab kyun nahii de raha hai…
Now kajal says:- nahiii armaan tum nahii jaan sakthe…..
Armaan:- shut up kajal.. aur mere sawaal ka jawaab do…
Sneha:- armaan sawaal poochna tumhari marzi hai, aur humari marzi hai kii hum uska jawaab de ya phir na de…..
Armaan:- kya matlab?
Sneha:- arre simple si baat hai na armaan, hum sabka mann nahii karr raha hai kii hum tumhare koi bhi sawaal ka jawaab de… tho ab yeh tum par nirbhar hai kii kya tum sawaal poochna band karoge ya phir continue karoge… lekin ek baat bata doon agar tum sawaal bhi poochoge tab bhi yahaan koi tumhare sawaal ka jawaab nahii dega…
Armaan:- lekin kyunn…
Chah:- armaan is kyun ka jawaab bohat hii simple hai…. Aur woh jawaab yeh hai kii tum pichle do ghanto se hum sab se koi na koi sawaal pooch rahe ho, kabhi badi-maa se poochthe ho kii tumhara rumaal kahaan hai, tho kabhi poochthe ho kii mere books kahaan hai, kabhi tum mujhse koi sawaal poochthe ho, tho kabhi sneha se apne cd's maangthe ho aur kabhi charu par bigadthe ho… pichle do ghanto se yahii ho raha hai, aur hum sab teri awaaz sun-sunnkar pakh gaye the aur issi liye hum sab ne humare kaano mein yeh cotton-buds laga liye the taaki hum tujhe kuch dher ke liye sunn na paye.. aur is tarah hum logon ko thodi shanti bhi mil jaathi… lekin tu yahaan aagaya aur hum sabki shanti ko bhung kar diya…
Armaan:- very funny…. Main tho bas packing karr raha tha, issi liye mujhe aap logon kii madat chahiye thi…
Prerna:- armaan agar tujhe madat chahiye tho yahaan neeche aakar bol, poore colony mein log sunn sake aise kyun cheekh raha hai upar se… yeh tho achcha hua kii humne cotton buds rakh liye kaan mein, nahii tho jis tarah se tu cheekh raha tha na hum sabke kaan ke parde hii phat jaathe…
Armaan:- lekin main kahaan cheekh raha tha.. main tho bas…
Isse pehle kii armaan kuch agge bole chah, kajal, sneha milkar kehthe hai:- madat maang raha tha…
Armaan makes a puppy face & says:- haan madat maang raha tha….
Now Gayatri says:- armaan tu itna bada hogaya hai, tujhe sabki kii madat kii kya zaroorat hai….
Armaan:- dadiii main bada hogaya hoon tho kya hua phir bhi is ghar ke liye main, chah, sneha, kajal bachche hii tho hai… aur dadi mujhe apna kaam doosron se karane mein bada hii mazaa aatha hai…
Gayatri:- armaan tu na din par din bada badmaash hue jaa raha hai… tujhe bhi dheere-dheere apni zimedaariyon ko samaj na chahiye….
Armaan:- dadii… yeh kya aap aisi baatein kyun karne lagi.. dadi abhi tho main chotta hoon, zimedaariyon kii baat hum baad mein karthe hai… pehle ab ke liye main apni packing finish kar loon… sneha, kajal ek kaam karna mere kamre mein jao aur wahaan joh saamaan bikhra pada hua hai na unhe saaf kar dena… main tum logon ko bakshish doonga…[armaan says this cheekily, with a naughty smile on his face…]
Yeh baat sunnthe hii sneha aur kajal armaan ko marrne ke liye uske peeche bhaag ne lagthe hai, jab armaan jaake chah ke peeche chup jaatha hai… chah, prerna aur gayatri laugh at the three of them…
Armaan:-[points his tounge out at kajal & sneha & says] ab pakad ke dikhao mujhe…..
Sneha:- chah tu hath saamne se.. aaj tho main is armaan ko chod ne nahii waali hoon..
Kajal:- haan bilkul sahii… diii aap haato agge se… yeh armaan ko tho hum aaj sabak sikha karr hii rahenge.. jab dekho meri aur sneha kii taang kheenchthe rehtha hai…
Sneha:- chah hatho.. har baar yeh sirf tumhari wajah se bach jaatha hai… lekin is baar hum armaan ko nahii chodenge…
Yahaan armaan catches chah's shoulder from the back, not letting chah go… chah says:- sneha, kajal chodo na.. bechara hai…
Kajal:- dii yeh koi bechara-vechara nahi hai….
Sneha:- absolutely right.. ek number ka nautanki hai yeh armaan tho.. lekin aaj hum armaan ko kissi bhi haal mein nahii chodenge…
Chah:- achcha tho kya agar armaan tum logon se sorry keh de, tho tum usse chod dogi…
Sneha:- sorry bole tho….
Chah:- haan agar armaan tum dono se sorry bole tho…
Kajal:- theek hai dii, aapke kehne par hum amaan ko maaf karr sakthe hai, agar woh sorry bolega tho….
Sneha:- lekin humari ek shart hai…
Chah:- kaisi shart…
Sneha:- shart yeh hai kii armaan humse sorry kuch is andaaz se kahega, "main Armaan Mehra, Sneha Mehra, aur Kajal Mehra se aaj tahe dil se maafi maangna chahtha hoon.. main jaantha hoon kii maine Sneha aur Kajal ko aaj thak bohat tang kiya hai.. main apni saari ghaltiyon ke liye unse sorry kehtha hoon.. aur unhe yeh vishwaas dilatha hoon kii main agge se aisa koi kaam nahii karoonga jisse Sneha aur Kajal mujhse rooth jaye… Sneha,Kajal please mujhe maaf kar do.. Agge se aisi ghalthi nahii hogi.. aap log mujhe joh bhi sazaa chaho de rakthe ho, main uf thak nahii karoonga.. please maaf kar do mujhe.. please with a cherry on the top…"
Chah:- lekin sneha….
Sneha:- chah yeh humari condition hai.. aghar armaan ko maafi chahiye tho usse humari yeh shart tho poori karni hii hogi..
Kajal:- bilkul sahii… dii, sneha bilkul sahii keh rahii hai.. agar yeh armaan ko [she points out at armaan & continues] maafi chahiye tho usse yeh sab tho kehna hii hoga.. warna aaj tho hum armaan ko chod ne waale nahii hai…. Soch lo armaan… lekin joh bhi sochna jaldi sochna.. mere aur sneha ke pass zyada befizool ka time nahii hai tumhari tarah, kyun sneha…
Sneha:- haan kajal….
Armaan:-[still hiding behind chah says] tum dono kahiin pagal tho nahii ho gaye ho.. tumhe lagtha main, main Armaan Mehra, tum logon se maafi maanguga…. tum dono bhandariyon se main maafi maanguga.. common yaar give me a life… tumhare mazaak karne kii bhi ek hadh hothi hai…. Agar aisa mazaak tum log karoge tho main tho gir-girke hane lagoonga..[armaan keeps laughing…]
Kajal:- armaan tu pagal hogaya hai kya.. hum ne aisa lya keh diya kii tu itna hase jaa raha hai…
Armaan:- hasoon nahii tho aur kya karoon… tum log ko lagtha hai kii main tumse sorry kahoonga aur woh ek lamba sa speech doonga apne sorry ke saath…. Armaan Mehra kissi se bhi sorry nahii kehtha.. sirf log Armaan Mehra se sorry kehthe hai……
Sneha:- ohhhhh..I see.. Attitude haan….
Armaan:- yes my darling twin sister… waise chah tum please mera ek kaam karogi… zara Delhi ke pagalkhane mein phone karo aur unse kaho kii humare ghar mein do log hai joh pagal ho gaye hai, unse kaho kii isse pehle kii yeh do pagal violent ho jaye woh aakae in logon ko le jaye….
Now sneha and kajal start hitting armaan though he is hidding behind chah… armaan apne aap ko bachchane kii koshish kartha hai.. he keeps moving chah front & beack, turning chah from left to right, taaki sneha aur kajal usse maare na… aise karthe-karthe armaan right time dekhkar he runs out in the garden aur kajal aur sneha uske peeche bhaagthe hai….
Gayatri:- uff..yeh bachche bhi na.. kbhi nahii sudhrenge…. Main tho yahaan armaan se keh rahii thi kii woh samajdaar ho jaye, apne zimedaariyon ko samjhe, lekin yahaan tho inka bachpana abhi thak gaya hii nahii hai….
Chah:- dina yeh bachche hii tho hai… rehne dijiye kuch saal mein yeh log khud apni-apni zimedaariyaan smaj ne bhi lagenge aur unhe woh badi hii khoobi se nibhayenge…..
Prerna:-[on a serious note says] bachchi tho tu bhii hai na chah… lekin tujhe dekh tujhe tho abhi se apne zimedaariyon ka ehsaas hai na… mujhe tho kabhi-kabhi aisa lagtha hai kii woh logon tere jaise kyun nahii ho sakthe… agar unko kuch soojhtha hai tho har waqt masti, mazaak, khel, khood.. chah tu hii sikha de na un logon ko kuch…
Chah:- badi-maa meri baat alag hai… [they hear the sounds from outside of armaan, sneha & kajal shouting & playing..]
Gayatri:- kyun alag hai teri baat… tu bhi tho issi ghar kii bachchi hai….
Chah:- haan hoon dina… lekin joh bachpann mein mere saath hua, shayad us wajah se main apni umar se pehle hii badi ho chuki hoon.. zimedaariyaan samajne lagi hoon…. Lekin armaan, kajal, sneha unki zindagi meri jaisi na ho main yeh dua har pal maangthi hoon.. jin paristithiyon ka saamna main bachpan se lekar aaj thak karthi aayi hoon… jis dard ko maine apne dil ke kissi kone mein daba kar rakha hai, main nahii chahthi kii us dard kii ek boond bhi un theeno ko chue….
Prerna:- bachcha…main bhi tho yeh keh sakthi hoon na, kii main yeh kabhi nahii chahthi kii meri badi beti, Mehra khandaan kii Sabse badi beti ko koi bhi takleef ho.. aur tu maane ya na maane lekin mere liye tu meri badi beti hai chah, is ghar kii badi beti… aur ek maa hone ke naathe main yeh kabhii nahii chahoongi kii meri beti takleef mein ho… bachcha tu apna yeh dard apne dil se nikaal de… tere dil mein joh dard hai, usse bayaan karde, ro de, aur phir kabhi us dard ko apne dil mein jagah banane hii matt dena…..
Chah [holds prerna's hand & says]:- badi-maa main jaanthi hoon kii main aapki beti hoon… shayad aap ne mujhe utna pyaar diya hai jitna kii kabhi koi saji maa bhi apne bachche ko nahii dethi.. aap sab ne, is ghar ne mera saath kabhi nahii choda.. jab bhi mujhe kissi kii zaroorat thi aap sab the mere liye… lekin badi-maa mere aasooyo par mera bas nahii hai… mere dil ke dard par mera bas nahii hai.. maine kayi baar koshish kii , ki main apne andar chuppe dard ko bayaan kar doon, lekin mere aasoo hai kii kabhi mera saath hii nahii detha.. aur aap jaanthi hai badi-maa, ab tho mera yeh dard mere liye nasoor bann gaya hai.. aur woh mujhe har pal chot pohanchatha hai.. takleef detha hai.. lekin mera tho haal aisa hai kii main apne takleef bhi bayaan nahii kar sakthi… aap jaanthe hai badi-maa, kabhi-kabhi tho mujhe aisa lagtha hai kii aakhir agar Bhagwaan ko mujhe itne dard, takleef deni thi tho unhone mujhe is jahaan mein hii kyun bheja… yeh zindagi bemayine lagthi hai mujhe badi-maa….
Prerna aur gayatri mein se koi kuch nahii kehtha… tho chah says:- achcha aap log yahiin rukiye main zara armaan, kajal, aur sneha ko dekhkar aathi hoon..isse pehle kii saare colony ke log humare ghar ke saamne jama ho jaye… chah gives a smile to them and leaves the place… gayatri & prerna, can see the pain through chah's smile… prerna chah ko rokhne waali hothi hai… jab gayatri kehthi hai:- jaane de usse prerna.. usse kuch waqt akela rehne de… woh kabhi apne dard ko humse nahii baatengi.. woh apna dard khuud se nahii baanttthi hai, tho humse kya baatengi…
Prerna:- lekin maa… hum usse yun akela tho nahii chod sakthe na.. agar aise hii chaltha raha tho mujhe darr hai kahii hum humari hasthi, khelthi chah ko ek din kho na de…. [prerna says in a worried tone…]
Gayatri:- prerna aisa kuch nahii hoga… mujhe lagtha hai humein bas chah ko thoda waqt dena chahiye…
Prerna:- kitna waqt maa… chah ek aise dard ko apne dil mein chupaye baiti hai, joh uski zindagi mein beet kar chala gaya hai… main maanthi hoon maa kii chah ka bachpann uski aaj kii zindagi par asar karega, lekin aisa tho hona nahii chahiye na maa kii uska bachpann uske aaj par haavi ho jaye.. aur usse apni aaj kii zindagi khushi se jeene na de… maa chah ke dil par joh ghaav laga hai trishna aur chetan kii wajah se, na jaane woh kab poori tarah se mitega.. aur patah nahii kab chah khulkar muskurayegi… yeh aankhein taras gayi hai maa, chah ko dil se khush hotha dekhne ke liye….[prerna kii aankhein yeh saari baatein kehthe hue num ho jaathi hai….]
Gayatri:- arre prerna tum hii aisa kahogi tho kaisa chalega.. tum tho is pariwaar kii taakat ho.. chah kii taakat ko.. agar tum yun kamzor padh gayi tho is ghar ko, chah ko, hum sab ko kaun sambhalega…. Prerna mera yeh vishwaas hai kii ek din chah dil se muskurane seekhegi.. uske dil mein koi dard nahii hoga… jiss dard ko chah aaj apne dil ka nasoor bata kar gayi hai na, ek din woh nasoor usse durr bohat durr koi le jaayega… mujhe is baat ka yakeen hai prerna kii jis din chah kii zindagi mein pyaar kii barsaat hone lagegi, us din chah apni zindagi sahii mayino mein khulkar jeene lagegi…
Prerna:- shayad aap sahii keh rahii hai maa.. humein us din ka intezaar karna hoga….
Now anurag enters the dinning area,[he comes from the study room] and says:- kiss din ka intezaar karna hoga bhai.. kya baatein ho rahii hai yahaan par….
Prerna:- kuch nahii..hum tho bas yun hii…
Anurag:- hmm..yun hii tho aap log har baar baat karthe hii rehthe ho lekin aaj mujhe aisa kyun lag raha hai kii koi serious baat hai..
Gayatri:- kuch nahii anurag.. hum tho bas us din ke baare mein soch rahe the jis din chah kii zindagi mein pyaar kii bouchaar hogi…
Anuurag:- aap log phir se shuuru hogaye… agar kahiin chah ne yeh baat sunn li tho usse bura lagega.. aap log bhi na, abhi usne apni padayi bhi khatam nahii kii hai aur aap hai kii aisi baatein karr rahe hai…
Prerna:- anurag shayad tum bhool rahe ho, kii jab tum chah kii umar ke the na tab tumhe mujhse pyaar already ho chuka tha…..
Anurag:- lekin prerna chah ko tho kissi se bhi pyaar nahii hua hai na ab thak.. ab thak aisa koi nahii mila hai chah ko joh uske dil ko bhatta ho…
Prerna:- anurag pyaar kiya nahii jaatha bas ho jaatha hai.. lekin chah apne dil ko kissi ke liye dhadak ne ka ek mouka de tab na….
Anurag:- kya matlab main samjha nahii..
Gayatri:- rehne de prerna yeh samjega bhii nahii….
Anurag:- nahii pehle mujhe aapki baaton ka matlab batayiye..main jaan na chahtha hoon…
Prerna:- anurag simple si baat hai, bachpann mein joh chah par beeti hai us wajah se chah pyaar se apna vishwaas kho baiti hai.. aur shayad issi liye chah khud ko pyaar se durr karne kii koshish karthi hai.. woh darrthi hai pyaar karne se.. woh darrthi hai is baat se kii agar woh apna dil kissi ko degi tho woh insaan uska dil thod dega.. aur shayad yahii wajah hai kii aaj thak chah ko kabhi pyaar nahii hua hai… chah khuud ko majboor karthi hai kii woh kissi ko apna dil na de de, kissi se pyaar na karr baite…
Gayatri:- aur main aur prerna yahii keh rahe the kii rk na ek din chah kii zindagi mein ek aisa din zaroor aayega, jab chah kii zindagi mein ek aisa ladka aayega joh uski zindagi mein pyaar ke rang bhar dega.. joh chah ko jeena sikha dega..joh chah ko apni khushiyon se milwayega.. lekin bas humein us din ka intezaar karna hoga….
Anurag:- sahii kaha aap ne maa…. Mujhe bhi us din ka nesabri se intezaar rahega….
Gayatri, prerna, anurag smile at each other…
Chaliye ab andar kii baat tho hogayi dekhthe hai kii bahaar kya haal hai.. baahar we see that chah is leaning onto a pole & seeing kajal, sneha running behind armaan, to catch him.. lekin armaan hai kii uunke haath aa hii nahii raha hotha hai…. there can be peels of laughter which can be heard….
Kajal:- armaan aaj tho tu gaya… aaj hum tujhe nahii chod ne waale hai….
Armaan:- hahahaha.. pehle tum log mujhe pakad ke tho dikhao….. tabse mujhse yahii keh rahe ho kii mujhe aaj nahii chodoge lekin ab thak tho mujhe pakda bhii nahii hai tum logon ne… [armaan then teasingly continues] awwwwww..howwww saddd….
Sneha:- armaan tu rukh jaa abhi batathe hai tujhe….
Armaan:- sneha kyun khaali-peeli tum log mera exercise karwa rahe ho… main jaantha hoon kii main do din se jogging ke liye nahii gaya hoon lekin iska matlab yeh tho nahii na kii tum log mujhe aise bhagao.. yeh baat tho clear hai kii ab tum dono mujhe pakad nahii sakthe.. tho issi liye achcha hoga kii hum yeh bhaagam-bhaag band kare… aur tum log mujhe sorry keh do.. aur apni haar ko sweekar kar lo…. phir hum andar chalthe hai aur mom aur dadi ke haath ke banaye hue garma-garam pakode khathe hai…
Kajal:- [still running behind armaan] armaan tumhare sapne mein hum aakar tumse sorry kahenge…. lekin abhi no chance….
Armaan:- ohh..no chance tho chalo continue running then… lekin I'am sure kii tum bohat jald thak kar bait ne waali ho.. waise bhi dekho tumhari doosri saathi patah nahii kahaan hai…
Kajal:-[with a confused expression] meri doosri saathi…
Armaan:- haan tumhari doosri saathi sneha.. dekho woh tumhare saath nahii hai.. lagtha hai sneha ne harr mann li hai…. kajal ab bhi keh raha hoon sneha kii tarah tum bhi harr mann lo.. waise sneha hai badi samajdaar usse yeh baat patah hai kii woh mujhse jeet nahii sakthi, issi liye woh chali gayi… aur aakhir kyun na ho woh samajdaar aakhir meri twin joh hai….
Armaan yeh saari baatein kajal ko peeche face karthe hue kartha hai.. jab uske doosre side se sneha kii awaaz aathi hai….
Sneha:- armaannn….
Armaan turns back & sees sneha & says:- sneha aa gayi meri darling twin… kya baat hai darr karr andar bhaag gayi thi kya… tumhe is baat ka ehsaas hogaya tha kya kii tum mujhe haraa nahii sakthi… chalo good for you.. ab bas ek kam karo, apne kaan pakdo aur mujhse kaho kii I'am sorry Armaan… please maaf kar do mujhe…..
Sneha:- whattt…..
Armaan:- haann.. chalo dekho yeh kitna chotta sa line hai… keh do…. Aur apni harr maan lo…
We see that sneha apne peeche kuch haath mein pakad kar layi hai… aur woh kehthi hai:- no wayyy armaan… you just forget it……
Armaan:- ohh, tho iska matlab abhi thak tumhari akad nahii gayi hai.. koi baat nahii tumhe harakar tumhari akad ko choor-choor na kar diya tho mera naam bhi Armaan Mehra nahii…
Sneha:- Mr.Armaan Mehra, agar maine tumhe ek achcha sabak nahii sikhaya hai tho mera naam bhi Sneha Mehra nahii…
Armaan:- ohhh..main tho darr gaya..hahaha..[armaan says this sarcastically…] arre kajal aur kitna bhaagogi, sambhal ke kahiin tumhare pair tumhara saath na chod de aur tum girr na jaao, kahiin tum gir gayi aur tumhe chot lag gayi tho tum ek cry baby ban jaaogi……[armaan says teasingly…]
Kajal:- kya kahaaaa.. cry baby….. tumhe aaj mujhse koi nahii bachcha saktha.. chahe koi kuch bhi kahe….[kajal paces her speed & even armaan starts running faster…]
Now sneha says:- armaan mere pass tumhare liye kuch khaas hai….
Armaan ka concentration thoda divert hotha hai towards sneha, here sneha kajal ko kuch ishara karthi hai….
Armaan:- haan kya hai sneha…..
Sneha shouts:- yehhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh………
And before armaan realizes ek taraf se sneha aur doosri taraf se kajal are spraying water on armaan from the water pipe…. Armaan sarr se paun thak bheeg gaya hotha hai… he tries to go each of then snatch away the pipe lekin he is unable to do it because of the force of the water…
Now suddenly armaan goes towards sneha and snatches the pipe from her and sneha starts running away… yahaan kajal ke haath mein joh pipe hotha hai usmein paani aana band ho jaatha hai… armaan aims his pipe first at kajal, then at sneha…. Theeno aise hii pipe ke saath, paani mein khel rahe hothe hai… jab achanak armaan kii nazar chah par padthi hai joh wahaan khadi hothi hai leaning to a pole….
Armaan:- chahhhh.. wahaan kya karr rahii ho.. yahaan aao…
Chah nods her head in a no & says:- nahiii arman..mujhe koi shouk nahii hai.. tum log paani mein khelo..main yahii theek hoon…
Armaan:- achchaaa.. tho tum wahii theek ho…. Kajal, sneha ek kaam karthe hai chah yahaan nahii aa rahii hai tho hum tho uske pass jaa sakthe hai…
Sneha & kajal say:- absolutely correct….
Armaan, sneha, kajal move towards chah with the pipe in thei hands…. Chah keeps moving back, moving away from them saying:- guys no.. dekho yeh tum kya karr rahe ho… dekho nahii…. Armaan…. Kajal.. Sneha…. Naaaa…..
Isse pehle kii chah apni baat ko complete bhi karthi , chah is fully drenched in water… armaan ke pipe ka rukh uski taraf kar diya hotha hai…
Armaan, kajal & sneha laugh their life out…. Aur yahaan chah shouts:- arrrrmaaannn…. Yeh kya kiya…. Main tum logon ko nahii chodoongi….
Chah starts moving towards the three of them… armaan, kajal, sneha start running with chah behind them… issi bhagham-bhaag mein the pipe falls down…. Aur yeh chaaron bachon kii tarah khelne lagthe hai…. they fall, get up, again run behind one another… aise hii hasi mazaak karthe rehthe hai….
Tab baahar aake prerna, kehthi hai:- chah, armaan, kajal, snehaa yeh kya.. tum log yeh kya karr rahe ho.. tum log tho bachon se bhi bhattar ho.. tum logon ka na jaane kya hoga…..
Armaan:- mommm.. humara wahii hoga joh manzoore khuda hoga…
Prerna:- armaan tu yeh baatein chod… aur tum chaaron andar aao aur apne kapde badal lo.. warna tumhe thand lag jayegi.. bimaar pad jaaoge…..
Chah, kajal, sneha & armaan are sitting in the garden, laughing…. Ab prerna dekhthi hai kii uski baton ka in chaaron par koi asar nahii ho raha hai… tho she says:- dekho agar tum mein se koi bhi beemaar padh gaya, tho main uska khayal bhii nahii rakhne waai samjhe tum log… isse pehle kii main tum logon ko yahaan se andar jaane ke liye majboor kar doon, use pehle tum log apne-apne kamre mein jao aur apne kapde badal lo.. samaj ahe ho kii nahii meri baat… aur armaan tujhe kal subah nikal na hai na, jao aur apni packing poori karo aur rest karo…
Armaan [in a naughty tone says]:- mommm aap yeh pehle decide kar lijiye kii kya main apne kapde badloon ya packing karoon… ab decide karne ke baad mujhse kahiye main aap joh kahengi woh karoonga.. after all main aapka agyakaari beta joh hoon…
Prerna:- armaannnnnnn tu jaa raha hai kii nahii…
Armaan:- chill mom ghussa kyun ho rahii hai… abhi jaatha hoon.. see you later girls… [yeh kehkar armaan uttha hai & runs inside…]
Yahaan prerna sees him going & says:- bada aaya mera agyakari beta….
Then prerna turns her attention back to the girls….. the girls are still sitting & smiling… tho prerna kehthi hai:- ab tum logon ko apne kamre mein jaane ke liye kaunsi muhurat ka intezaar karr rahe ho.. chalo jao….
Chah, sneha, kajal smile and go inside.. yahaan prerna sees them & thinks:- kaash yeh in bachon kii yeh khushi hamesha bani rahe….
Ab kuch waqt baad we see armaan in his room… woh aayine ke saamne apne baal comb karr raha hotha hai… jab uska mobile bajne lagtha hai…. armaan dekhtha hai kii ridhimma ka call hai.. he picks up the call immediately…
Armaan [in a low tone , darr-darrke kehtha hai…]:- hello ridhimma….
Ridhimma smiles on the other side, kyunke she can imagine armaan's darra hua chehra & she says:- hii armaan.. kaise ho??
Armaan:- theek hoon ridhimma…
Ridhimma:- yeh kya armaan itna rookha sa theek hoon….armaan maine tumhe call kiya hai tum itne rukhe se kyun bol rahe ho…
Armaan:- nahii ridhimma, woh darasal baat yeh hai kii mujhe aise lag raha hai kii tum ab bhi….
Ridhimma does not let him complete & she says:- main ab bhi tumse kya armaan…
Armaan:- mujhe lag raha hai ridhimma kii tum ab bhi mujhse naraaz ho…
Ridhimma:- ohhhh..tho tumhe aise lag raha hai kii main tumse ab bhi naraaz hoon…
Armaan:- haan…
Ridhimma:- armaan yeh baat tho tumne sahii kaha main tumse naraaz tho hoon…
Armaan:- dekha maine kaha tha na kii tum mujhse ab bhi naraaz ho…. Dekho ridhimma main jaantha hoon maine joh kiya woh ghalat kiya, main yeh bhii jaantha hoon kii meri wajah se tumko bohat takleef hui hogi, main yeh bhi jaantha hoon ridhimma kii tum mere phone ka intezaar karr rahii thi, lekin main tumhe call karna bhool gaya… main jaantha hoon main is duniyaan ka sabse bada idiot hoon, stupid hoon… main aise kaise karr saktha hoon… I know kii a girl like you does not deserve a loser like me.. main is duniyaan ka sabse bada loser hoon.. main hamesha tumhe hurt kartha hoon.. unjaane mein hii sahii I always end up hurting you…. Main nahii jaantha aise kyun ho jaatha hai, kaise ho jaatha hai main jitna sochtha hoon kii mujhe tumhe hurt nahii karna chahiye, utna hii zyada main tumhe hurt kartha hoon.. ridhimma tumne achcha kiya kii tum ne abhi thak mujhe maaf nahii kiya hai… ek baat kahoon ridhimma main khud ko bhi kabhi maaf nahii kar paaunga..lekin ridhimma meri baat par yakeen karo it was just unintentional.. us din late ho gaya tha aur main tired tha issi liye so gaya tha…. Aur phir jab maine tumhe call karne ka try kiya tho tum mujhse naraaz thi… aur tum meri baat sunn hii nahii rahii thi… please ridhimma mujhe maaf kar dena…
Ridhimma:- armaan tum please meri baat tho suno…
Armaan does not let ridhimma speak further & he says:- nahii ridhimma pehle tum please meri baat sun lo…
Ridhimma thinks:- ab bhi kuch hai aur sunn ne ko..uff armaan…..
Ridhimma kuch nahii kehthi tho armaan continues saying:- ridhimma dekho I'am sorry from the bottom of my heart… dekho please main maantha hoon kii tumhara mujhse ghussa hona jayaz baat hai, lekin tum apne is ghusse mein koi ghalat faisla matt le lena… koi aisa faisla nahii le lena jiska asar hum dono kii agge kii zindagi par ho.. please ridhimma I beg of you….
Ridhimma in a confused tone asks:- main aisa kaunsa faisla le loongi armaan… main kuch samjhi nahii…
Armaan:- ridhimma tum tho aise keh rahii ho jaise kii tumhe kuch patah hii nahii…
Ridhimma:- you know armaan you are right, I cannot make head or tail of what you are saying.. please tum phele khud soch lo kii tumhe kya kehna hai… tum itna darr kyun rahe ho…
Armaan:- ridhimma main yeh kehna chah raha hoon, [he hesitates & then says] main is liye darr raha hoon kyunke mujhe kahiin na kahiin yeh darr hai kii tum jald-baazi mein mujhse yeh na keh do kii armaan let's part ways.. it's all over between us…
Ridhimma yeh baat sunnkar giggle karthi hai aur kehthi hai:- armaan kya kaha tha tumne, tum ek number ke idiot ho, stupid ho.. yahii kaha than a tumne…
Armaan:- haan…
Ridhimma:- well tho main tumhe bata doon tum ne bilkul sahii kaha tha.. tum ho ek number ke idiot, stupid aur uske saath-saath tum ek number ke bewakoof bhi ho…
Armaan:- [isse pehle kii ridhimma kuch kahe armaan use tokhtha hai.. aur kehtha hai…] I know it.. issi liye tho sorryyyy keh raha hoon… please maaf kar do na mujhe…
Ridhimma:-[thode ghusse mein kehthi hai] armaan tum please mujhe meri baat kehne ka mouka doge… tabse mujhe tokh rahe ho.. beech mein kuch na kuch bol rahe ho… now you just shut-up armaan & listen to me…
Armaan:- okkk…
Ridhimma:- armaan tum idiot ho, stupid ho aur tum
Armaan ridhimma ko phir thoktha hai aur kehtha hai:- bewakoof hoon….
Ridhimma:- armaannnnnnnnnnnnn.. shut up.. agar ek aur baar tumne mujhe baat karthe hue tokha tho main phone cut kar doongi.…
Armaan:- ok..sorry.. is baar pukka nahii tokoonga.. tum kaho…
Ridhimma:- okie last chance….. main yeh keh rahii thi kii tum idiot ho, stupid ho, bewakoof ho, lekin in sab ke saath-saath tum kuch aur bhii ho.. tum jaan na chahthe ho woh kya…
Armaan just says a hmm & does not say anything….
Ridhimma:- tho suno, tum adorable ho cute ho aur sabse sweet ho….
Armaan:- whatttttttttt…….. tum…tum..ne mujhe adorable, cute aur sweet kaha…
Ridhimma:- sweet nahii sabse sweet kaha…
Armaan:- haan wahii tumne mujhe adorable, cute aur sabse sweet kaha… kya main sahii sunn raha hoon… kahiin yeh mere kaan ka dhoka tho nahii…
Ridhimma:- armaan tumne joh suna woh bilkul sahii hai…. aur yeh tumhare kaan ka dhoka nahii.. aur nah ii tumhare kaan baj rahe hai… aur maine joh bhi kaha I really mean it…. Armaan tumne kaise soch liye kii humari is chotti si ladayi par main humara rishtha thodne kii baat sochoongi.. very bad armaan.. kyat um itna kum jan paaye ho apne pyaar ko…
Armaan:- woh darasal main darr gaya tha.. [he feels like a idiot… he then continues saying after a small pause] lekin tum ne tho mujhse kaha tha kii tum mujhse ab bhi naraaz ho…
Ridhimma:- haan naraaz tho main ab bhi hoon tumse.. lekin woh pehli waali baat par nahii…
Armaan:- pehli waali baat se tumhara matlab kii mera tumhe phone na karne kii bhool jaane kii baat… right…
Ridhimma:- haan armaan right…
Armaan:- ok tho agar tum mujhse us baat se naraaz nahii ho tho tum mujhse ab kiss baat se naraaz ho.. ab maine kya kar diya kii tum mujhse naraaz ho gayi ho...
Ridhimma:- well tum hii socho…
Armaan:- nahii ridhimma tum hii batao na mujhe….
Ridhimma:- [with a bit of irritation] tho suno, yaad hai jab humne ek dusare se apne dil kii baat kahii thi, apne feelings express kiye the tumne mujhse kaha tha kii tum mujhe hamesha ridsy bulaoge… yaad hai tumhe armaan tumne mujhse kaha tha kii "tumhare ghar par sab tumhe ridzi bulathe hai lekin main aaj se tumhe ridsy bulaoonga.. ridzi aur ridsy mein zyada kuch farq nahii hai, lekin yeh farq mera dil jaantha hai aur tumhara dil jaantha hai.." yaad hai kya armaan tumhe tumhari yeh baat…
Armaan:- haan ridsy mujhe yaad hai.. us baat se tumhara mujhse naraaz hone ka kya naatha hai.. main kuch samjha nahii….
Ridhimma:- uff armaan..tum tho kuch nahii samajthe… jab maine tumhe call kiya tha abhi tho tum yaad karo kii tumne mujhe kaunse naam se refer kiya tha…
Armaan:- main tumhe kiss naam se refer kiya tha…. Haan maine tho tumhe ridhimma kaha tha….
Ridhimma:- kya kaha tha…
Armaan:- ridhimma…. [then it clicks to him kii ridhimma usse naraaz hai kyunke he refered to her as ridhimma and not as ridsy, how he usually calls her….]
Ridhimma:- ab aayi baat samaj mein… Mr. Armaan Mehra…
Armaan:- haannn.. woh maine socha kii shayad tum mujhse naraaz hogi, issi liye maine tumhe ridhimma kaha.. lekin ab se kabhi bhi main tumhe ridhimma nahii kahoonga.. main hamesha tumhe ridsy kahoonga.. meri ridsy…
Ridhimma:- that's like a good boy…
Armaan:- waise ridsy tum tho mujhse bohat naraaz thin a, yahaan thak kii tum mujhse baat bhi nahii karne waali thi tho, tho phir achanak se badlaav kaise aa gaya…
Ridhimma:- woh kya hai na armaan, yash big-b ko humare bare mein sab patah hai.. unhone mujhse mere ghusse ka, foul mood kii wajah poochi tho maine unhe humare beech hue jhagde kii baat batayi tho big-b ne mujhe samjhaya kii mujhe tumko ek mouka tho dena hii chahiye.. unhone mujhse kaha kii main tumhari baat sunne begair koi bhi natije par kaise pohanch sakthi hoon… aur phir maine unki baaton par ghour kiya aur mujhe laga kii woh sahii hai and you surely deserve a chance… aur main kal hii sham mein tumse baat karne waali thi, lekin phir big-b, bhai, bhaiyya ke saath waqt kaise beet gaya patah hii nahii chala.. issi liye main tumhe aaj phone karr rahii hoon…
Armaan smiles & says:- tho iska matlab mujhe tumhare big-b ka shukriyada karna hoga.. joh baat main tumhe samjha, samjha kar thak gaya woh baat unhone tumhe samjha diya.. chalo achcha hai kissi mein tho itni patience hai woh tumhare garam dimaak mein apni baat ko rakhe…. Warna tum tho hamesha ladne ke liye taiyaar rehthi ho….
Ridhimma:- kya kaha tumne.. jao.. main tumse baat nahii karoongi…
Armaan:- arre yeh kya phir se.. ridsy main sirf mazaak karr raha tha.. tum tho serious ho gayi…
Ridhimma giggles & says:- main bhi mazaak karr rahii thi…
Armaan:- Thank God.. warna agar tum phir naraaz ho jaathi tho aafat aa jaathi..
Ridhimma:- waise yeh sab baatein chodo aur yeh baato tum kal kab thak pohanchoge yahaan..
Armaan:- mujhe wahaan aane thak shayad dopeher ke barah baj jaayenge.. aur seedha main university hii aaunga…
Ridhimma:- achcha theek hai phir..main bhi ussi time ko university pohanch jaaungi…
Armaan:- ohh tho tum mere aane ke time par hii university pohanchogii… kyunn koi khaas wajah…… [armaan asks in a teasing tone…]
Ridhimma:- armaan tum mujhe chedna band karo… aur hum kal milthe hai.. byee armaan…
Armaan:- bye.. tum apna khayal rakhna…
Armaan & ridhimma cut the call with a smile on their faces… ab hum zara dekhthe hai kii Garewal house, Shimla mein kya ho raha hai.. what are the people in garewal house upto… hum dekh sakthe hai kii ridhimma apne kamre se baahar aathi hai, with a smile on her face.. she enters yash's room.. hum dekh sakthe hai kii yash apne la[top par kuch kaam karr raha hotha hai.. ridhimma sees yash is working & decides to leave the room, without disturbing yash… ab jab ridhimma baahar jaa rahii hothi hai, tab yash usse rokhtha hai… aur kehtha hai:- kya hua ridzi.. kahaan jaa rahii ho…
Ridhimma:- nahii big-b woh aap kaam karr rahe the, iss liye maine socha kii main aapko disturb na karoon… mujhe laga kii aap busy hai….
Yash smiles & says:- ridzi aisi koi baat nahii hai.. tum idhar aur mere pass baito….
Ridhimma smiles & walks near yash & sits beside him on the sofa…
Yash:- ridzi ek baat jaan lo, mere pariwaar ke liye main kabhi busy nahi hotha hoon.. joh log mere liye mayine rakhthe hai mere pass unke hamesha time hotha hai.. tho tum jab bhi mere pass aana chaho tum aa sakthi ho.. aur tumhe tho yeh baat sochne kii bhi zaroorat nahii kii main busy hoon… tum bas mujhse kaho, aur main haazir ho jaaunga tumhare liye….. samjhii…..
Ridhimma: - jee big-b.. main samaj gayi…
Yash:- good.. achcha chalo ab mujhe batao kii tum mujhse kya kehne aayi thi…. Kuch kehna hai kya mujhse…
Ridhimma:- big-b aapko kaise patah chala kii main aapse koi baat kehne aayi hoon…. Main tho aise hii chupke apne big-b se milne aa sakthi hoon..
Yash:- jaan ridzi tu mujhse milne bina kissi wajah ke bhi aa sakthi hai, lekin dekh tu meri chotti behen hai.. aur main tere baare mein bohat achche se jaantha hoon… aur mujhe is waqt yeh lasg raha hai kii tum mujhse koi baat kehne aayi ho… aur shayad main yeh bhi jaantha hoon kii woh kaunsi baat hai joh tum mujhse kehne aayi ho…
Ridhimma:- tho batayiye big-b, main aapse kya kehne aayi hoon…
Yash:- well let's see.. [acts like he is thinking & says..] mujhe aisa lagtha hai kii tum mujhse yeh kehne aayi ho kii tumne meri kahii hui baat par ghour kiya aur ghour karne ke baad tumne armaan se baat kii.. aur tho aur mujhe tho yeh bhi lagg raha hai kii tumhara aur armaan ka sulhaah hogaya hai…. kyun ridzi kya main sahii hoon…
Ridhimma is wondering kii yash ko yeh baat kaise patah chal gayi.. she has a confused expressed on her face..
Tab yash kehtha hai:- bada bhai hoon tera.. tere dil mein kya chal raha hai main tumhara chehra dekhkar bol saktha hoon.. aur ab tumhare chehre se khushi saaf jhalak rahii hai, joh yeh baat dikha raha hai kii armaan aur tumne ek doosre ke beech ke differences ko khatam kar liye…
Ridhimma smiles & says:- big-b you are the best…
Yash:- thank you.. waise mujhe bohat khushi hai kii tune armaan se baat kii.. baat karne se pyaar ke beech joh misunderstandings hothi hai woh durr ho jaathi hai… kabhi kabhi jab do logon ke beech unjaane mein hii sahii durri aa jaathi hai, us durri ko mitana bohat mushkhil ho jaatha hai… [while saying this yash has a distant look on his face… yeh baat ridhimma observe karthi hai aur woh yash se kehthi hai..]
Ridhimma:- kya hua big-b, kya aapki zindagi mein aisa koi tha, joh aapka khaas tha aur waqt ne haalat ne usse aapse durr kar diya ho..
Abhi bhi yash koi jawaab nahii detha.. he is still thinking about something with that distant look in his eyes… ridhimma nudges hum & says:- batao na big-b.. kahaan kho gaye ho…
Yash apne khayalon se bahar nikaltha hai.. aur kehtha hai:- ridhimma tum kuch keh rahii thii kya…
Ridhimma:- big-b kya hua, kahaan kho gaye the aap.. main tho bas aapse yeh pooch rahii thi kii kya aapki zindagi mein aisa koi tha, joh aapka khaas tha aur waqt ne haalat ne usse aapse durr kar diya ho.. aur aapko un baaton ko clear karne ka aaj thak bhi mouka hii nahii mila ho….
Yash:- nahii ridzi.. meri zindagi mein aisa koi nahii tha… aur na hii kabhi hoga… [yash yeh baat ridhimma se nazar churathe kehtha hai…]
Ridhimma:- big-b, agar aap mujhse nahii kehna chahthe tho koi baat nahii, main samaj sakthi hoon… lekin big-b aap kabhi jhoot nahii bol sakthe hai.. yeh aapki aankhein hai na yeh aankhein aapka sach bayaan karr hii dethe hai.. big-b mujhe aisa lagtha hai kii aap ne zaroor koi aisi insaan ko khoya hai, joh aapke liye bohat khaas tha.. shayad ek aisa insaan jisse aap pyaar karthe the.. [yash turns around in shock at looks at ridhimma, tho ridhimma says] ya phir main aisa kahoon tho theek hoga jisse aap aaj bhi pyaar karthe hai.. [yash turns his fave away again from ridhimma..] & ridhimma continues:- big-b shayad aapko aaj bhi afsos hai kii aapko woh ek mouka nahii mila jisse aap, apne us apne khaas se apni se misunderstandings clear kar sake… shayad koi misunderstand ya kuch aur, lekin aap ne apne apne dil ke kareebi khaas shaks ko khoya hai…
Yash tries to divert the topic & says:- ridzi tu yeh saari baatein chod, kal se teri university shuru ho rahii hai na saathd din ke chuttiyon ke baad….
Ridhimma smiles, as she knows kii yash topic ko divert karne kii koshish karr raha hai, she says:- big-b aapko topic badal ne kii koi zaroort nahii hai.. agar aap mujhse apne us khaas ke baare mein baat nahii karna chahthe tho it is completely ok, and I completely understand…
Yeh baat kehkar ridhimma wahaan se jaane lagthi hai.. she is about to leave the room.. jab yash kii awaaz usse rokhthi hai…
Yash:- ridzi….
Ridhimma turn around & says:- jee kahiye big-b…
Yash:- bohat badi ho gayi hai tu…
Ridhimma:- aisi koi baat nahii hai big-b.. main chahe jitni bhi badi kyun na ho jaaun, lekin phir bhi main aapse chotti hoon… aur chotti hii rahoongi…. Bas ab itna hii farq hai kii main apne bade bhai ko samaj ne lagi hoon…
Yash:- hmmm.. yahaan aa tu… [yash calls ridhimma, and opens his arms for her…] ridhimma comes and hugs yash….
Yash:- tu sach mein badi hogayi hai…. lagtha hai mujhe dadi, mumma aur chachi se kehna hoga kii tumhari shaddi umar ho gayi hai… tho kya kehthi ho ridzi keh doon kya ghar mein, armaan aur teri baat ched doon kya…
Ridhimma thoda sa sharmathi hai aur kehthi hai:- nahii big-b maine aur armaan ne faisla kiya hai kii hum thoda life mein settle ho jaye, ek doosre ko aur behtar samaj le aur phir hum shaddi karenge…
Yash:- achcha hai… it is good kii tum aur armaan apne is rishthe ko waqt dena chahthe ho… issi bahane waqt ke rehthe tum log koi ghalat faisla nahii loge.. nahii jald baazi karoge…. It is better to take things forward slowly… aur waise bhi tumhe tho abhi aur two & a half years kii padayi karni hai… kyunn…
Ridhimma:- jee bilkul bhai….
Yash:- achcha ab bata kal se tumhara university shuru ho raha hai na…
Ridhimma:- haan big-b kal se university shuru ho rahii hai.. and big-b sachchi keh rahii hoon abhi se mujhe patah hai kii university kitni boring hone waali hai.. [ridhimma makes a face..]
Yash tease karne ke andaaz mein kehtha hai:- kyun ridzi university mein tho armaan hoga na…
Ridhimma:- haan hoga big-b…
Yash continues his teasing tone:- tab tho I'am sure kii university tumhare liye bilkul bhi boring nahii hogi…
Ridhimma:- kya big-b aap bhi…. Achcha ab main chalthi hoon….
Yash:- ridhimma sunn woh tune joh baat kahii, woh baat main tumhe zaroor bataoonga.. main ek din tujhe yeh baat zaroor bataoonga kii maine aise kaunse shaks ko khoya hai joh mere dil ke bohat khaas hai.. main tujhe zaroor bataoonga kii woh kaun hai jisne mere dil ko toda.. lekin abhi nahii.. shayad tujhse yeh baat karne ke liye mujhe thoda waqt lagega, shayad is liye kyunke main aaj thak apne toote hue dil ko samait nahii paaya, sambhal nahii paaya… tu samaj rahii hai na…
Ridhimma:- haan big-b main aapki baaton ko samaj rahii hoon.. aap jab bhi mujhse apne ateet ka woh pannna share karna chahe, tab kariye… jab aap ko lage kii yeh sahii waqt hai, aap tab mujhse kehna… tab thak ke liye main aapko pareshaan bhi nahii karoongi, aura apse poochoongi bhii nahii kii woh shaks kaun tha… aur aapko bhi mujhse ek waada karna hoga kii aap pareshaan nahii honge.. aur is bare mein sochege bhii nahii… waada…
Yash:- pukka waada.. cha lab main apna kaam kartha hoon.. tu bhi kal ke liye university kii taiyaari karr.. joh chhezein chahiye nikal ke rakh….
Ridhimma:- Jee big-b..
Ridhimma leaves the room.. aur yahaan yash walks over to the window.. he stares at the open sky & khud se kehtha hai:- dekho na aaj thak main tumhara chehra us chaand mein dhoondtha tha, lekin ab tho subaah hai agar main chahun bhi tho tumhara chehra dhoond nahii paa raha hoon.. kyun chali gayi tum mujhe chodkar.. mujhe ek baar bhi apni baat ko kehne ka mouka thak nahii diya… agar tumhe mujhse durr jaana hii that ho tum meri zindagi mein aayi hii kyun… well shayad issi milne aur bichad ne ko hii zindagi kehthe hai.. agar yeh zindagi hai tho mujhe yeh bhi yakeen hai kii issi zindagi mein main kabhi na kabhi , kahiin na kahiin usse miloonga.. aur apna pyaar paakar hii rahoonga.. main apne pyaar ko kabhi adhura nahii rehne doonga…. Yash wahaan window pane ke pass baiththa hai aur woh apne purane yaadon mein kho jaatha hai… dekhthe hii dekhthe sham ka waqt ho jaatha hai aur yash abhi bhi apne kamre ke window pane ke pass baittha hai… aur woh dektha hai kii aasmaan mein chaand nikal aaya hai, aur tare aasmaan mein tim-tima rahe hai.. yash smiles aur woh kehtha hai:- aasmaan ka hai saare tare hai mera chaand kahaan.. kaah mujhe mere chaand se mulaqat karne ka mouka jald hii mil jaatha.. yash then continues staring at the moon waiting & searching for his moon.. his lost love……

Song In The Background:-

"Asmaan ke hain sare tare….
Hai Mera chaand kahan…
Ankhein hai num…
Dil mein hai ghum…
Ho kuch to rehem khuda…
OuouOO Oo….
Mere Pyaar se Mila….
OuouOO Oo…
Sun Le meri dua…
Hai char din zindagi..
Ghum hai bepanaah…
Yeh dil mera kho gaya…
Dard-e-be-dawa…
Berang hai mera jahan…
Kismat meri Saja zara…
Asmaan ke hain sare tare….
Hai Mera chaand kahan….
Ankhein hai num…
Dil mein hai ghum…
Ho kuch to rehem khuda…
OuouOO Oo…
Mere Pyaar se mila…
OuouOO Oo…
Sun Le meri dua…
Chahat ki rasmon ko…
Hum nibahye Jaate hain….
Isqh ke dard ko sehte hain…
Aahon mein Ashko mein…
Raaatein guzre sanam…
Imtehaan sab de chuke…
Abb to dede sila…
OuouOO Oo…
Mere pyaar se mila…
OuouOO Oo…
Sun Le meri dua…
Hai char din zindagi….
Ghum hai bepanaah…
Yeh dil mera kho gaya…
Dard-e-be-dawa….
Berang hai mera jahan…
Kismat meri Saja zara..
Dil-e-nada maane abb na..
Yeh zid pe hai yahan…
Chahton de nishani…
Ya mita mere nishan…
Berang hai mera jahan…
Kismat meri saja zara…
OuouOO Oo…
Mere pyaar se mila…
OuouOO Oo…
Sun Le meri dua….
OuouOO Oo…
Mere pyaar se mila…
OuouOO Oo…
Sun Le meri dua…."

Yash smiles & says:- sunn le na meri dua….
Ab yash wahaan chaand ko dekh hii raha hotha hai jab wahaan akshat aatha hai… akshat sees yash by the window aur yash se kehtha hai:- yash aur kitna waqt tu apne chaand ko dekhega..
Yash turns around sees akshat & says:- arre akshat tu kabhi aaya, mujhe tho patah hii nahii chala…
Akshat:- main bas abhi aaya.. aur mere aane ka patah tujhe tab chaltha na jab tu is duniyaan mein hotha, lekin tut hi asmaan ke chaand mein apne us khoye hue chaasnd ko talash raha hai.. aur kitne din karega tu aise yash… tu apne us chaand ko ek sapna samajkar bhool kyun nahii jaatha…
Yash:- akiii you know amavas kii raat chand aasmaan mein nahii hotha, iska matlab yeh to nahii naa kii log poonam kii raat ka intezaar karna chod dethe hai.. waise hii main maantha hoon kii maine apne us chaand ko kho diya hai, lekin usse dubara pane kii umeed tho main karr hii saktha hoon na.. umeed karna mere haath mein.. us umeed ka sach hona ya na hona mere kismet mein hai.. main tho bas apna kismet azma raha hoon..
Akshat:- teri yeh baatein tu hii jaane yaar… teri philosophy tho mere samaj ke bahar hai.. tho main teri philosophy se durr hii rehtha hoon…
Yash:- [smiles & says] aki tu meri yeh philosophy abhi nahii samjega.. tu meri philosophy ko us din samjega jis din tujhe mohabbat ka bhukhaar chadega, jis din tujhe pyaar hoga… us din tu mujhe aur meri philosophy ko bohat achchi tarah se samaj jaayega…
Akshat:- tho iska matlab yeh kii mujhe teri philosophy, teri baatein kabhi samaj mein nahii aane waali..
Yash:- aisa kyu bhai…
Aksat:- woh is liye kyunke nah ii main is pyaar naam ke cheez mein vishwaas raktha hoon, na yakeen kartha hoon.. aur main tho tujhe is baat kii guarantee detha hoon kii mujhe kabhi bhi kissi se bhi pyaar nahii hoga…..
Yash:- akshat tu rehne de… ek din tujhe pyaar zaroor hoga.. aur ek baat akshat pyaar kiya nahii jaatha bas ho jaatha hai.. pyaar mein tumhare dil par koi zor nahii chaltha.. tum jitney chahe phehre laga do, lekin pyaar ka panchchi aakar dil ko uda le hii jaatha hai….
Akshat:- ufffff.. yash tujhse tho baaton mein koi bhii nahii jeet saktha.. waise yash tu mujhe ek baat bata tujhe apne us chaand se milkar takreeban do saal tho ho hii gaye hai na.. aur in do saalon mein jabse woh tumse durr gayi hai tune tho har pal usse us asmaan ke chaand mein dhoonda hai, lekin kya tujhe lagtha hai kii tere us chaand ne in do saalon atleast do baar tujhe yaad kiya ho.. nahii yash mujhe nahii lagtha…
Yash:- akii main usse pyaar kartha hoon tho yeh zaroori tho nahii na kii woh bhi mujhse pyaar kare… dekh akii mere dil par mera bas nahii woh uska ussi din hogaya jis din maine usse do saal pehle dekha tha…. Agar woh mere liye waise feel nahii karthi jaise main uske liye kartha hoon tho yeh uski problem hai… mera dil tho bas usse chah na jaantha hai.. aur waise aki pyaar koi sharton par nahii kii jaathi.. jab maine usse pyaar kiya tho maine yeh shart tho nahii rakhi na kii woh bhi mujhse pyaar kare.. aur akii pyaar ka ek osool hotha hai aur woh yeh hai kii "Agar tumhara pyaar jaana chahe tho usse jaane do, agar woh lout kar aaye tho woh tumhara hai…"
Akshat:- aur tumhara pyaar nahii louta hai yash.. tho tum kyun agge nahii badthe….
Yash:- akii waqt agge badhtha hai, hum agge badhthe hai, lekin dil hamesha ussi rafter mein dadhak tha hai jis mein woh hamesha dhadhak tha hai… jab mere dil ke dhadak ne mein koi farq nahii hua, tho main kyun apne is dil mein chupe us chaand se apna naatha thod doon… kyun akii yeh logi kaisa hai…
Akshat:- tu aur tere logic.. mujhe tho kabhi-kabhi aisa lagtha hai kii tujhe apni business kii padayi chod kar, love guru ban jaana chahiye… aur waise tere logic main samaj nab hi nahii chahtha.. waise tho tu yeh dawaa kartha hai kii tu us ladki se, apne us chand se pyaar karne ka , lekin tune kabhi in do saalon mein ek baar bhi yeh koshish bhi nahii kii , kii tu usse dhoonde, uska patah lagaye… tere pass thou ski tasveer bhi hai apne system mein, apne laptop mein, lekin phir bhi in do saalon mein tune ek baar bhi uski tasveer nahii dekhi…
Yash:- dekh akkii jahaan thak uske tasveer ko dekhne kii baat aathi hai, mere us chaand ka chehre mere andar hai, mere dil mein samaya hai.. jis din mujhe mera woh pyaar mil jayega na us din main woh tasveer dekhoonga.. aur us din us tasveer se kahoonga kii aakhir maine tumhe paa hii liya…. Aur rahii baat mere us chaand ko dhoond ne kii..well maine apne pyaar ko azaad kiya hai akii aur mujhe yakeen hai kii ek na ek din mera pyaar mere pass wapas loutegi, uske liye mujhe usse dhoond ne kii zaroorat nahii.. hum dono kii kismet hum dono ko ek dusare se phir se milayegi.. mujhe humari kismet par yakeen hai akii…
Akshat:- lekin agar kal ko tujhe yeh patah chale kii woh ladki apni zindagi mein agge badh chuki hai tho, tab tu kya karega… [akshat has a apprehensive look on his face…]
Yash:- tho simpe si baat hai main apne lappy se, system se uski tasveer delete kar doonga , lekin woh hamesha mere dil mein rahegi, aur mere dil kii dhadkan ban kar dhadkegi, aur shayad mere dil se uski tasveer tab jaayegi jab mera yeh dil dhadhak na chod dega… lekin akshat mujhe yakeen hai apni kismet pe kii aisa kuch nahii hoga..
Akshat:- uffff.. yash… tub hi na kaisi-kaisi baatein kartha hai… lekin joh bhi ho main ek baat bohat achche se jaan gaya hoon…… aur samaj bhi gaya hoon….
Yash:- kaunsi baat…
Akshat:- arre yehii baat samaj gaya kii tujhe samjhana mere bas kii baat nahii hai…
Yash:- [smiles & says] achcha chal yeh sab baatein chod aur bata tu yahaan kyun aaya tha…
Akshat:- Godd.. dekha in sab baaton mein, main woh baat bhool gaya joh main tumse karne aaya tha…
Yash:- kaunsi baat bhool gaya…
Akshat:- arre main tujhse yeh kehna bhool gayi kii…
Isse pehle kii akshat kuch agge bole yash ke kamre mein rishi aatha hai aur kehtha hai:- aap dono abhi thak yahii hai.. aur yeh kya big-b abhi thak tho aap taiyaar bhi nahii hue hai..
Yash has a confused expression on his face & he says:- taiyaar nahii hua hoon, kahaan jaana hai humein…
Rishi:- don't tell me kii akii ne aapko bataya nahii…
Akshat:- woh rishi main batane hii waala tha kii tu aagaya… [akshat says this with a puppy expression..]
Rishi:- God.. tu bhi na akki.. aur big-b aap jaldi se taiyaar ho jao, hum cliff valley point jaa rahe hai…
Yash:- cliff valley point.. lekin kyun…
Rishi:- big-b race karne ke liye…
Yash is not able to make head & tail of the baatein and he says:- race… kya race.. kyun race…
Akshat:- offohhhh yash.. bike race kii bet lagi hai… chalo jaldi taiyaar ho jao..
Yash:- bike race, lekin opponent kaun hai…
Rishi:- woh wahaan chal kar hii patah lagega… chaliye aap paanch minute mein taiyaar hokar neeche aa jaaiye, main ridzi auur akii aapka wahiin wait karthe hai…
Isse pehle kii yash kuch bol paatha rishi aur akshat kamre se chale gaye hotha hai.. aur yahaan yash khud se kehtha hai:- race..hmm.. chalo aaj itne dino baad race karne jaa raha hoon.. it's time kii main race mein apna jadoo bikheroon… yeh kehkar yash taiyaar hone chala jaatha hai & then he is completely ready with a sporty look, jacket, gloves… aur yash apna helmet bhi le letha hai.. & he goes down where armaan, ridhimma, akshat are waiting for him.. veena tries to stop them and not let them go kyunke un mein se kissi ne dinner nahii kiya hotha hai, par chaaron veena ko bhela-phuslaakar baahar bhaag jaathe hai….
Veena here sighs & says:- yeh bachche bhi na…
Pallavi who was there smiles listening to veena…
Ab zara nazar ghoomathe hai back to Shimla.. yahaan we can see kii kajal, sneha, chah aur armaan chah ke kamre mein bait kar carom khel rahe hothe hai.. un logon ke beech baatein chal rahii hothi hai, aur khoobsaari masti bhi karr rahe hothe hai.. tabhi kajal ko ek baat soojhthi hai aur woh kehthi hai:- waise dii, sneha aap ne ek baat notice kii armaan ke bare mein..
Armaan ears perks up & says:- mere bare mein kaunsi baat notice karni hai… waise tho mere good looks kii wajah se sab mujhe notice karthe hai.. lekin tumne kya notice kiya…. [armaan says this with loads of attitude..]
Sneha hits him with a pillow on one side and one side chah hits him and chah says:- ab tu apni nautanki band kar.. aur kajal tu bata kaunsi baat notice karne layak hai is mein.. [she points towards armaan..]
Kajal:- arre dii, aaj jab maine aur sneha ne isse kaha kii yeh humein sorry bole tab tho bohat akad raha tha na, kii armaan mehra kissi se sorry nahii kehtha, lekin yeh din mein ridhimma ko dus baar sorry boltha hai.. apni girl friend se sorry kahega lekin apni beheno se nahii… not done na…
Sneha:- baat tho teri bilkul sahii hai kajal… yeh tho bas is bhunde ka attitude hai… humein bhi isse ignore karna chahiye jaise ridhimma karthi hai, tab aayegi iski akal thikhane…
Chah just smiles….
Armaan:- sneha, kajal, aisi koi baat nahii hai... aur waise bhii mujhe sorry bol na sirf chaar logon ke liye achcha lagtha hai, ek hai ridsy, next hai dadi, next hai mom aur last but not the least chah.. bas inhi logon se main sorry bina jhijaak ke keh saktha hoon… you see jab in logon se sorry kehtha hoon tho main comfortable hotha hoon…
Sneha:- lo yeh bhi koi baat hui kii tum sorry sirf unse kahoge jisne sorry kehne se tum comfortable hothe hai…
Kajal:- exactly.. not done at all… sorry bol ne ke liye maa, ridsy, dadi aur chah aur tang karne ke liye main, sneha aur dad… yeh kahaan ka insaaf hai..
Armaan:- arre meri maataon.. kyun pareshaan karr rahe ho… dekho main tum logon ko aise pareshaan kartha hoon kyunke wahaan Shimla mein mujhe koi nahii miltha tang karne ke liye… aur main apni beheno ko tang nahii karoonga tho kya baahar jaake padosi autiyon ko karoonga… lekin agar tum logon ko achcha nahii lagtha jab main tum logon ko p;areshaan kartha hoon tho koi baat nahii agli baar se tum logon ko main pareshaan nahii karoonga.. [armaan makes a sad face…]
Sneha, chah, kajal smile.. chah pulls armaan's left cheek, sneha pulls his right cheek & kajal holds his nose & they together say:- armaan tu jaantha hai jab tu humein tang kartha hasi tjo humein bhi bohat achcha lagtha hai…. saying his they tighten their hold on his cheeks & nose… aur phir chaaron hug karthe hai..

Now shifting our focus back to Shimla..
Hum dekh sakhthe hai kii it is the Cliff valley point.. yahaan par the raastha is too slippery… yash apne bike par wahaan aatha, followed by akshat on his bike, rishi on his bike aur ridhimma was with rishi.. yahaan par do teams side hothi hai ek team yash ko support karr raha hotha hai aur ek team supporting a person named Rocky… yash kea aate hii supporters cheer him.. aur yahaan start line ke pass yash, akshat, rishi & ridhimma wait for the opponent… abhi suddenly start line ke pass ek aur bike aake rukhthi hai.. aur people start shouting:- rocky, rocky, rocky..
the person removes his helmet & we can see it is none other than Swayam… swayam looks at yash, yash looks at swayam, and now it clicks to yash, akshat, rishi & ridhimma that swayam's name on the race track is rocky…. Yash & swayam are giving each other killing looks….
Swayam:- well, well, well.. what do we have here… mumma's boy Yash Mehra on the race
Track.. kyun yash apni mumma ka pallu chod kar yahaan kaise aagaye… mumma se permission le liya kya yeh race karne k liye.. mumma…mumma main kya race karne jaaun… swayam imitates how yash would ask it to veena.. yash kuch nahii kehtha , he just keeps giving stern look to swayam.. aur swayam kehtha hai:- yash tumhare liye mere pass ek sawaal hai.. kyun na mtum aisa karo kii tum ghar jaao aur apni mumma ka peeche chup jao.. kyunke yeh race tho tum jeet ne se rahe… swayam mehra kabhi koi race harrtha nahii.. chahe woh zindagi kii race ho ya phir yeh maamoli bike race… tho kya kehthe ho yash race shuru karein ya phir main chalun, waise bhi mujhe aur bohat saare kaam hai.. main yahaan aaya tha yeh soch kar kii shayad mera opponent koi achcha bike racer hoga, lekin yahaan tho tum ho… aur waise bhii race shuru hone se pehle hii agar humein race ke result ka patah ho tho humein race ko start karne kii zehmath karke, time waste nahii karna chahiye.. is race ka result tho yahii hoga kii yeh race par meri jeet kii mohar lagegi.. tho agar tum haar ka saamna nahii karna chahthe tho, chale jao yahaan se…
Yash who was silent all this while says:- bakh diya tumne joh tumhe bakna tha… swayam tumhari baaton se muje over-confidence kii jhalak nazar aa rahii hai, aur aksar over-confidence ke chalthe logon ko mooh ke bal girna padtha hai.. I'am sure race ke baad tumhara bhii yahii haal hoga…. Swayam mujhe khud par yakeen hai kii yeh race main hii jeetoonga.. main tumhari tarah nahii hoon joh doosron ko neecha dikha kar khud ko upar rakhtha hoon.. balki main tho yeh maan tha hoon agar ek insaan ko khud par vishwaas ho, yakeen ho, tho woh insaan apne har maksat mein kamiyaab ho saktha hai.. apni manzil par pohanch saktha hai.. aur tumhe kabhi main jeet ne nahii doonga swayam na is race mein aur na hii zindagi ke race mein….
Swayam:- chalo aaj yeh bhi dekh lethe hai.. waise mujhe bohat mazaa aayega tumhara woh haara hua chehra dekhne mein race ke baad…
Yash:- [smiles coolly & says] swayam maine kaha na haar-jeet ka faisla hum abhi nahii karthe.. race ke baad tho yeh baat clear honi hii hai na kii kaun jeetega aur kaun haarega.. tho tum apni baatein chodo aur race karthe hai…. [yash points out to the agge ka raastha…]
Swayam:- bohat akad hai na tum mein.. aaj main tumhara woh akad thod kar hii rahoonga…
Now before yash could say something akshat kehtha hai:- swayam pehle tum khud ko sambhal kar dikhao , phir yash kii akad thod ne kii baat karo.. samjhe tum…
Swayam gets irritated & says:- heyy you.. akshat.. stay out of this.. main tumse baat nahii karr raha hoon…
Akshat:- tum mujhse nahii baat karr rahe ho swayam na sahii lekin main tho tum se hii baat karr raha hoon…
Ab Rishi kehtha hai:- waise Ridzi main tujhse ek sawaal poochna chahtha hoon…
Ridhimma:- poocho na rishi..
Rishi:- joh log hawa mein mehel banathe hai unka kya hotha hai…
Ridhimma:- well let me see hawaa mein banaye gaye mahel hawa mein hii gayab ho jaathe hai.. udan-chuu ho jaathe hai… aur joh log hawaa mein mehel banathe hai unko nah ii zameen milthi hai aur na hii asmaan…
Rishi:- ohh tho iska matlab swayam ke saath bhi aise hii hone waala hai… kyun akii…
Isse pehle kii akshat jawaab detha swayam boltha hai:- kya matlab hai tumhara.. kehna kya chahthe ho tum..
Akshat:- well rishi johg baat kehna chahtha hai woh baat badi hii simple hai, ghar tum yash ko is race mein, zindagi mein, kabhi bhi haarane kii soch rahe ho tho bhool jao aisa kabhi nahii hoga.. yash kii haar bas tumhari khayali biryani hogi.. samjhe tum..
Swayam:- youuuuuu….
Isse pehle kii Swayam kuch kehtha Yash cuts him & says:- guys.. guys.. guys… chalo abhi race karke in mr [pointing to swayam] ka hawayi mehel kii sachayi inhe batathe hai.. kya kehthe ho…
Akshat, rishi & ridhimma nod…
Yahaan Yash says to Swayam:- chalo Swayam abh dhood ka dhood aur paani ka paani ho jaayega.. dekhthe hai kiske naseeb mein aathi hai jeet aur kiske kismat mein aathi hhaar.. dekhthe hai kaun manatha hai jeet ka jashn aur kaun manatha hai haar ka maatham….
Yash & Swayam wear their helmets… they start their bike & start raising the acceletor the refree signals:- three.. two.. one… go….
& the race starts….

( Yash Bike:-

Akshat's Bike:-


Rishi's Bike:-


Swayam's Bike:-
)


And guys with this ends "Hogi Pyaar Kii Jeet- Part 4".. I hope aap aabko yeh part pasand aayi ho… I'am eagerly waiting for your comments, compliments & suggestions… agar aapko criticism bhi karna ho tho feel free & criticize…your comments help me improve as a writer.. I'am really sorry once again for the delay.. hope the part has made up for the delay….

Preview For The Next Part:- Ek aisi mulaqaat joh mulaqaat hokar bhi mulaqat jaisi na ho….

Ab yeh jaan ne ke liye kii kaun woh race jeetha hai, kaun zindagi ka race jeetha hai, aakhir yash kii zindagi mein woh ladki kaun thi jisse woh pyaar kartha hai.. kya hoga jab chah aur yash ek doosre ke saamne aayenge.. will it be love at first sight for both of them or unke pyaar kii shuruwaat ladayi jhagde se hogi.. swayam kya yash kii khushi ko bardhast kar paayega… swayam yash kii zindagi mein mushkhlein paida katne ke liye kya karega.. kya kabhi yash aur lalit ke beech ka rishtha will change for the better.. kya chah pyaar par yakeen karne lagegi.. kya chah ko apna mann chahha humsafar, humkadam milega.. yash aur chah kii zindagi kis modh par ek dusare se milegi.. yeh aur etc etc au kayi sawaalon ke liye padthe rahiye "Hogi Pyaar Kii Jeet".. aur intezaar kijiye "Hogi Pyaar Kii Jeet- Part 5" ka…

Take Care..
Byeeeeeeeeeeee

Love Forever
Rajeev 😳😳

Surya..😃
Edited by sun_423 - 16 years ago
swetha10 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Hey Cool update.. definetly worth the wait.. very excited abt the next part... they r goin meet.. sounds cool.. Plzz continue soon....
adventure_gurl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
thanks for update, what do you study? Even I had lots of exams in a row.
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

sorry for late comment

Edited by goodkashish - 16 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

2 months ago

new morning, new day.

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

6 months ago

Pyaar Ka Tropefest - My Series Of 5 Crossover Couple One-Shots

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter) Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".