PART 4
aur naina jaise hi saamne turn karti hai ki, aalekh ko apne saamne khada hua paati hai, aalekh naina ki haalat dekhkar sab kuch samajh jaata hai, aur naina aalekh se lipatkar zor zor se rone lagti hai.
AALEKH-(to himself)-nahin naina apun tere ko is haalat mein nahin dekh sakta hai, ab chahe jo bhi ho jaaye, apun tujhe aur rajveer sir ko ek karke hi dum lega, yeh vaada hai apun ka khud se, aur tab tak apun chain ki saans nahin lega.
rajveer jo ki ek wall ke piche se chup-chap yeh sab dekh raha hota hai, jab aalekh aur naina wahan se chalein jaate hain, toh woh bahar nikalta hai, aur uski aankhon mein bhi aansoon bhare hue hain, aur woh apne mann mein sochta hai.
RAJ-(to himself)-mujhe maaf kardo naina, mujhe maaf kardo, main kya karun main majboor hoon, main tumse chahkar bhi apne dil ki baat nahin keh sakta, ek baar pehle bhi meri wajah se, tumhe takleef hui thi, lekin ab main tumhe aur takleef mein nahin dekh sakta.
NAV-(at the background)-main raj ko bahut achchi tarah se jaanta hoon, woh naina ke liye apni jaan bhi de sakta hai, lekin naina par koi ungli uthaye yeh woh kabhie bhi bardaasht nahin karega, aur ab main yeh bhi jaanta hoon ki, raj ka agla kadam, ya phir yeh kahun ki uska akhri phaisla kya hoga.
RAJ-(wiping his tears)-mujhe pata hai ki mujhe kya karna hai.
aur itna sochkar raj wahan se chala jaata hai.
cut to aalekh and naina.
AALEKH-naina tune rajveer sir ko kyun nahin kaha, ki tu unse pyar karti hai.
NAINA-main toh kehna chahti thi, par shayad woh sunna hi na chahte ho, woh mere saath aisa kyun kar rahein hain aalekh?
AALEKH-shayad main jaanta hoon ki woh aisa kyun kar rahein hain.
NAINA-kyun?
AALEKH-kyunki woh......
NAINA-kyunki unhe meri zara si bhi parwah nahin hai.
AALEKH-yeh tu bhi bahut achchi tarah se jaanti hai naina ki rajveer sir ke dil mein tere liye kya jazbaat hain.
NAINA-agar hain, toh woh unhe zahir kyun nahin karte.
AALEKH-kyunki woh tujhe dobara se takleef mein nahin dekhna chahate hain.
NAINA-takleef....kaisi takleef?
AALEKH-tu bhul gayi naina ki ek baar tere aur rajveer sir, ke rishte par kaise ungliyan uthayi gayi thi.
NAINA-toh kya isiliye rajveer sir...............
AALEKH-haan....ab tujhe samajh mein aaya.
NAINA-toh ab main kya karun aalekh?
AALEKH-kya karun matlab......are fauran jaa unke paas, aur jaakar unse kehde ki tu unko kitna chahti hai, isse pehle ki aur dre ho jaaye.
NAINA-lekin aalekh main khud kaise?
AALEKH-(chaunk kar)-tu khud kaise matlab.......jab pyar tune kiya hai, toh khud hi jaakar kahegi na.
NAINA-lekin mujhe darr lagata hai aalekh, ki kahin rajveer sir.........?
aalekh naina ki shoulder par haath rakha kar use samjhaata hai.
AALEKH-naina tu itna kaheko soch raili hai, jaa ke bol de, jo hoga dekha jaayega.
NAINA-lekin aalekh agar.....?
AALEKH-(angry)-thik hai, toh tune phaisla kar liya hai, ki tu nahin bolegi.
NAINA-nahin aalekh..............
AALEKH-tu rehne de naina, tujhse nahin hoga, bhul jaa.
NAINA-bhul jaaon.........?
AALEKH-haan bhul ja, bhul ja rajveer sir ko.
NAINA-aalekh tu yeh kaisi baatein kar raha hai?
AALEKH-tu apun ko majboor kar rahi hai, yeh sab bolne ke vaaste, dekh naina apun saaf baat karta hai, agar rajveer sir ko sachcha pyar karti hai, toh jaakar bol de unse, varna phir bhul ja.
NAINA-thik hai aalekh, par tu mere saatha hai na?
AALEKH-nahin.....ab tak toh apun nautanki kar raha tha.
NAINA-sorry.
AALEKH-thik hai-thik hai, ab jaldi jaa, varna zindagi bhar khud ko hi sorry bolti rahegi.
NAINA-(smile karte hue)-haan.
aur naina jaise hi jaane lagti hai ki aalekh use rokta hai.
AALEKH-naina.
naina turning towards aalekh.
NAINA-haan.
AALEKH-apun humesha se tere saath tha, hai aur rahega.
NAINA-thanx aalekh.
AALEKH-ab jaldi jaa.
aur naina chali jaati hai.
cut to rajveer jo ki apne kamre mein, packing kar raha hai ki tabhie uske door par knock hota hai.
RAJ-come in.
tabhie darwaaza khulta hai, aur abhimanyu saamne khada rehta hai.
ABHI-kya hum andar aa sakte hain dost?
RAJ-are chauhan tum.......yeh bhi koi poochne waali baat hai, aao na.
aur abhi andar aa jaata hai, aur andar aate hi maan uski nazar suitcase par padti hai.
ABHI-aap kahin jaa rahein raj?
RAJ-haan.....ab mera kaam toh yahan par khatam ho chuka hai, toh phir main yahan par ruk kar kya karun? so i must leave now, aur waise bhi main yahan par kuch hi dino ke liye aaya tha, par shayad kuch zyaada hi din yahan par ruk gaya.
ABHI-aur woh kuch zyaada din aap yahan par kis liye ruke the, yeh hum bahut achchi tarah se jaante hain.
raj chaunk kar abhi ki taraf dekhta hai.
ABHI-actually humein yeh kehna chahyiye ki kis ke liye ruke the.
RAJ-achcha kis ke liye?
ABHI-yaani ki ab humein yeh bhi batana padega.
RAJ-main yahan par sirf apna mission poora karne ke liye ruka tha, jo ki ab khatam ho chuka hai.
ABHI-magar humein nahin lagta, balki hum toh yahi kahenge ki, abhi bhi aapka mission adhura hi hai.
RAJ-magar mujhe aisa kuch bhi nahin lagta hai.
ABHI-apna-apna nazariya hai.
RAJ-sahi kaha tumne.
ABHI-hum jaante hain raj, magar jo aap kar rahein hain, kya woh sahi hai?
RAJ-kyun tumhe aisa kyun lagta hai ki, main kuch galat kar raha hoon?
ABHI-toh phir yeh kya kar rahein hain?
RAJ-kyun kya packing karna galat hai.
ABHI-nahin.....lekin apne emotions aur feelings ko pack karna galat hai.
RAJ-what? yeh tum kya bol rahe ho chauhan? mujhe toh kuch bhi samajh mein nahin aa raha hai.
ABHI-ab samajh mein nahin aa raha hai, ya phir aap na samjhi ka dikhawa kar rahein hain, yeh toh aap hi jaane raj.
RAJ-dekho chauhan tumhe jo bhi baat kehni hai, woh saaf-saaf kaho.
ABHI-thik hai, toh ab hum saaf-saaf hi kehte hain, aap kuin apni chahat se door jaa rahein hain?
raj chaunk kar dobara abhi ki taraf dekhta hai, aur usse kuch kehte nahin banta hai.
ABHI-kya hua? aap chup kyun ho gaye? jawaab dijiye humare sawaal ka?
RAJ-zaroori toh nahin chauhan ki har sawaal ka koi jawaab ho.
ABHI-baat ko badaliye mat raj, kyunki humein nahin lagata hai ki humne aisa koi sawaal poocha hai aapse, jiska aapke paas koi jawaab na ho.
RAJ-tum samajhne ki koshish kyun nahin kar rahe ho chauhan, ki kabhie-kabhie zindagi mein humein kuch phaisle dil se nahin, balki dimag se lene padte hain.
ABHI-magar hum toh aapse yahi kahenge raj ki, is waqt aapko apne dil se sochna chahyiye, dimag se nahin.
RAJ-lekin chauhan..........
ABHI-jaise aapki marzi raj.........lekin hum phir bhi yahi kahenge ki, dilon ke phaisle dimag se nahin lene chahiye, isse uljhane aur bhi bhad jaati hain.
RAJ-(to himself)-mujhe pata hai, kyunki dil humesha sach hi bolta hai, magar is waqt maine agar apne dil ki awaaz suni toh........
tabhie door par knock hota hai.
RAJ-come in.
END OF PART 4. PLZZZZZZ DO COMMENT.
267