PART 3
Major nair ka phone ring hota hai.
NAIR-halo.....
GEHLOT-main bol raha hoon lala.
NAIR-jii sir boliye, main aap hi ko phone karne waala tha ki mission rajveer toh aapne aain waqt par rukwa diya , toh ab humein capt. rajveer ke saath kya karna hai?
GEH-abhi kuch nahin, kyunki main philhaal apni beti sherry ke paas jaa raha hoon.
NAIR-toh phir mere liye kya order hain sir jii?
GEH-jo ho raha hai jaisa bhi ho raha hai, use hone do, abhi kuch bhi karne ki zaroorat nahin hai.
NAIR-toh sir red box ke baare mein kuch socha hai aapne?
GEH-phikar mat karo raj kabhie bhi ustak nahin pahunch paayega.
NAIR-toh iska matlab philhaal main shaant rahun.
GEH-haan aur aage kya karna hai, won main jab aayunga tab bataunga.
NAIR-lekin sir jii aap wapas kab lautenge?
GEH-tum sawaal bahut karte ho nair.
NAIR-maaf kijiyega sir jii.
GEH-koi baat nahin, abhi philhaal main, iske baare main iske baare mein kuch nahin keh sakta, aur haan ek baat aur nair, jab tak main london se wapas nahin aa jaata, tab tak mujhe contact karne ki koshish mat karna, main jab lautunga tab tumhe khud contact karunga ok.
NAIR-ok sir jii.
GEH-aur haan nair mere phone cut karne ke baad tum apna mobile aur apna sim dono khatam kar dena , kyunki main nahin chahta ki rajveer ko koi bhi suraag mile jisse ki woh tum tak, aur tumse red box ya phir mujhtak pahunch sake samjhe.
NAIR-samajh gaya sir jii, aap fikar mat kijiye, woh kabhie bhi hum tak nahin pahunch paayega.
GEH-tumhare liye wahi achcha hoga nair.
aur itna kehkar gehlot phone cut kar deta hai.
agli subah jab rajveer apne kamre se bahar nikalta hai, toh use saamne corridoor se naina aati hui dikhayi deti hai, woh naina ko dekhkar ek pal ke liye khush ho jaata hai, lekin doosre hi pal kuch sochkar, uske chehre se hansi gayab ho jaati hai, aur woh ek tak bas naina ko hi dekhta rehta hai.
NAVEEN-(at the back ground)-kabhie-kabhie zindagi humein aise mod par laakar khada kar deti hai, jahan par hum yeh sochne par majboor ho jaate hain ki humein apne dil ki baat sunni chahayiye, ya phir dimag ki, aur is waqt rajveer bhi kuch aise hi daur se guzar raha hai, jahan par use samajh mein nahin aa raha hai ki kya woh naina se apne mann ki baat kahe, ya phir uske prati kiye hue vaade ko apna farz samajh kar nibhaye.
cut to naina jo ki rajveer ko apni aankhon ke saamne dekhkar bahut khush ho jaati hai, aur woh dheere-dheere raj ke paas aa rahi hai.
NAV-(at the background)-magar meri bahan naina, woh toh poori tarah se badal chuki hai, usne toh bas abhi-abhi hi rajveer ke prati apne pyaar aur lagaav ko mehsus karna shuru kiya hai.
aur kuch hi der mein naina rajveer ke ek dum paas pahunch jaati hai,ab raj aur naina ek doosre ko ek tak dekhe jaa rahein hain.
(aur background mein RN ka famous music piece chal raha hai, the all time fav. track of LRL, jab bhi raj aur naina milte the)
NAV-(at the background)-rajveer aur naina ke dil mein jo ek doosre ke liye, pyaar ke yeh jazbaat hain, kya woh kabhie inko zahir karenge ya nahin, yeh toh mujhe bhi nahin pata , lekin haan mujhe itna zaroor pata hai ki, pyaar se bhi bhadkar in dono ke beech mein jo ek atut vishwaas ka rishta hai, woh humesha inhe saath mein jod kar rakhega.
cut to rajveer and naina.
RAJ-kuch kaam tha cadet singh?
naina jo ki rajveer ki aankhon mein hi khoyi hui hai, raj ki awaaz sunkar achanak se kehti hai.
NAINA-jii nahin sir kuch nahin.
RAJ-toh main chalun.
NAINA-(mesmerised)-jii.
aur raj bas jaane hi lagta hai ki, achanak se naina use rokti hai.
NAINA-sir woh........
raj naina ki taraf turn hokar usse kehta hai.
RAJ-kuch kehna hai cadet singh?
NAINA-jii sir woh main aapse us............
RAJ-kahin tum iske baarein mein toh baat nahin kar rahi ho.
aur itna kehkar raj apne gale mein pehna hua naina ka diya hua pendant bahar nikaal ta hai, aur yeh dekhkar naina khushi se khil jaati hai.
NAINA-(extremely happy)-thanky sir, thanky so much, ki aapnr mera gift accept kar liya hai.
RAJ-(smile karte hue)-woh toh mujhe karna hi tha, after all pehli baar kisi ne mujhe itne vishwaas ke saath itna khubsoorat aur pyaara sa tohfa jo diya hai.
NAINA-sir aap ko pasand aaya.
RAJ-yeh bhi koi poochne waali baat hai naina, afcourse mujhe pasand aaya hai. lekin mujhe ek baat samajh mein nahin aayi ki mera naam toh R se shuru hota hai, magar ispar toh N likha hua hai, aisa kyun?
NAINA-(halke se smile karte hue)-sir woh N ka matlab nai.......
magar rajveer naina ki baat ko beech hi mein kaat te hue kehta hai.
RAJ-N ka matlab naveen hai right.
NAINA-(shocked)-jii.........naveen......?(lekin phir apni feelings ko chupate hue)- haan N ka matlab naveen hi hai.
RAJ-(smile karte hue)-that means i am right.
NAINA-(sounding in a slow and sad voice)-yes sir.
RAJ-by the way iska aadha hissa kahan par hai?
NAINA-(maintaining the same tone)- jii mere paas hai
RAJ-aur uspar zaroor R likha hua hoga right, yaani ki rajveer.
NAINA-(maintaining the same tone)-yes sir.
RAJ-tum nahin jaanti naina ki tumne mujhe yeh tohfa dekar, kitni badi khushi di hai, balki mujhe yeh kehna chahyiye ki tumne meri aur naveen ki dosti ko aur bhi zyaada mazboot dorr se bandh diya hai, jismein tumhara bharosa bhi shaamil hai, hai na naina?
NAINA-jii........?
RAJ-tumhe mujhpar bharosa hai na naina?
NAINA-khud se bhi zyaada.
RAJ-toh ab main jo bhi karunga , mujhe poora yakin hai ki tum usmein mera saath dogi, dogi na naina?
NAINA-haan.
RAJ-(smile karte hue)-mujhe tumse yahi umeed thi.
NAINA-main aapki umeedon par khari utarne ki poori tarah se koshish karungi sir.
RAJ-mujhe pata hai, achcha naina toh ab main chalta hoon , mujhe kuch zaroori kaam hai.
NAINA-hmmm.
aur itna kehkar raj wahan se jaane lagta hai, aur naina ek baar raj ko mud kar dekhti hai.aur apne mann mein sochti hai.
NAINA-(to herself)-mere saath hi har baar aisa kyun hota hai bhaiya, main jise bhi chahti hoon, woh kyun mujhse door chala jaata hai, pehle aap, aur ab rajveer sir bhi mujhe.............
aur itna sochkar naina ki palkein nam ho jaati hain.
NAV-(at the back ground)-meri bahan naina, jo ki yeh samajh rahi hai ki usne rajveer ko humesha ke liye kho diya hai, use nahin pata hai ki rajveer usse door kyun jaa raha hai, use is baat ka bhi zara sa bhi andaza nahin hai ki is waqt rajveer ke upar kya beet rahi hai, aur rajveer kis daur se guzar rah hai, lekin mujhe pata hai, ki rajveer ke dil mein kya chal raha hai, aur woh kis takleef se guzar raha hai, aakhir main bhi kabhie aise hi mod par khada tha.
END OF PART 3. PLZZZZZZZ DO COMMENT.
267