Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 12

Created

Last reply

Replies

143

Views

37.6k

Users

25

Likes

77

Frequent Posters

jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
yeh kripa aur anjali andar kya kar rahi hai they shld be outside teasing sk 😆😆😆 gr part cont soon
swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Cho Chweet... really luved the update.... Finally Kashish n Sujal r goin to get married.. Thanx to tht Daima..... Well Kashish gr8 job.... very nicely written... Looking forward to the marriage.. Plzz do continue soon.....😊
SecretKhabri420 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 9
Posted: 16 years ago
Keep it on Kashish! 👏
Edited by farislove - 16 years ago
heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
very cute n sweet part kashish.......................xcellent job!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear me here with my comments on "Seyahat".... sorry main woh thoda late hogayi.. actually pehle mere exams chal rahe the, aur uske baad kuch aur kaam mein phas gayi thi.. i hope you understand... now i'll stop by talks & coming to my comments on the part, you have posted...😊 tho ab kashish kii mehendi tho hogayi, mehendi ke din tho uske haathon par Sujal ka naam likh diya gaya hai.. aur tho aur sujal ke pyaar ka rang kashish ke haathon par chad hii gaya hai.. aur aaj ek naya din hai, naya sawera hai, unmein se koi nahii jaantha tha kii aaj ka din unhe kya rang dikhayegi.. zindagi tho har pal apne rang badal thi hai kabhi ghum dethi hai tho kabhi khushi dethi hai... yeh koi nahii bata saktha kii kya ek khushi ka nakaab pehene ghum aa rahii hai, ya phir ghum ke saaye mein rehkar bas khushi do hii kadam baad dastak dene waali hai, yeh koi nahii keh saktha.. yeh tho bas kismat ka khel hai... haathon kii lakeeron par tho ek kii kismat pehle se tay hothi hai, lekin bas woh kismat humein kis tarah, kab azmaye yeh koi nahii bata saktha... bas insaan ke haath mein sirf ek hii cheez hai aur woh hai chahe woh khushi ho ya ghum apni kismat ka saamna karna, aur yahii sujal, kashish karr rahe hai... kashish kii sangeet hai aur yahaan tho kashish bhi pareshaan hai aur sujal bhi pareshaan hai.. woh dono is liye pareshaan hai kyunke woh nahii jaanthe the kii kya unke kismat ko unka saath manzoor tha bhi ya nahii... bas apne kismat ke haathon majboor hai dono.. lekin ek baat achchi hai kii un dono ne abhi thak haalat se harr nahii maani.. they are ready to face every situation that comes their way.. un dono ke liye agar kuch maayine rakhtha hai tho woh hai ek dusare ka saath.. ab jab dono sujal, kashish sangeet mein udaas hothe hai, as a blessing in disguise wahaan par kashish kii daima aathi hai.. kashish ka running to daima & hugging her shows kashish kitni zyada attached hai apni daima se.. joh pyaar kashish ko apni maasa se nahii mila, woh apnepann ka ehsaas, woh maa ka pyaar usse uski daima se mila hai... aur swayam aur vasu , ka baat karna kii ab yeh daima kaise aagayi.. this clearly shows kii daima , kashish kii zindagi ko barbaad nahii honge dengi...jaisa swayam aur vasu chahthe hai.. mujhe tho samaj nahii aatha yeh swayam aur vasu kashish ke apne hai ya phir dushmann.. soutela hii sahii par apne tho hai.. but still they are so bad..they are the limit...now daima asking kashish kii what is happening there.. kashish i'am sure with a heavy heart must have told everything to daima... and then daima revealing the truth that siddarth ka rishtha aaya tha kashish ke liye , but her father refused it.. as he wanted kashish to live away from there.. and choose her life partner.. Thank God....aakhir kaar vasu aur swayam kii sach tho bahar aa hii gayi... God Bless Daima... ab jis tarah se kashish ne saari baatein kii... the way she confronted her step mother and brother.. she stood up for her right.. she stood by what is sahii... and joh baatein kashish ne kahii usmein kashish ka dard, uska hurt bhi chupa hua tha, i felt really bad for kashish.... and joh baatein kashish ne siddarth ko sunaye, maan gaye kashish ko.. kashish tho poori tarah se chah gayi... good siddarth chala gaya wahaan se.. aur ab kashish ne kaise sabke saamne bina darre , datt kar kaha kii she will marry the love of her life sujal on the same tay muhurat.. waahhh.. maann gaye kashish ko.. kashish is surely a princess , from a Raj-Gharana, main aisa is liye keh rahii hoon kyunke jaise koi prince war mein apni praja ke liye ladtha hai, bina darre muqabala kartha hai, yeh bhi joh hua kashish ka imtehaan hii tha, and she faired it to 100 percent... she faced everybody without any element of fear... then sujal's intro with daima was nice... then kashish, dance woh khushi all were just totally superb... ab the last scene of sujal & kashish... hyee..hyee.. yeh scene tho bohat hii pyaara tha.. ek dum badhiya... sujal na apni shaitaani kabhi nahii chodega, he will always tease kashish.. i think kashish ke sharam par hii sujal sabse zyada fida hai.. aur ab jab sab kuch theek hogaya hai, sujal, kashish ek doosre se khul kar, bina kissi darr ke, apne pyaar ka ikraar karr rahe hai... yeh sab padkar tho me jumping with joy.. mere mann mein ek gaana aa raha hai "happy..happy..happy..days are here again.." yahoooooooooo.. party time.....sujal, kashish ka pyaar, unka ek doosre ke prati vishwaas was all just fantastic... out of this world... completely rocking.....👏 ab kashish dear coming to my guess on the coming up parts... hmm.. next parts mein i think chaaron taraf khushiyaan hii khushiyaan hongi... sujal , kashish ka saath hamesha ke saath mein badal ne jaa raha hoga.. they will face nice amount of tang kheenchayi from anjali, kripa, kavya & angad.. daima kashish kii shaddi bade hii dhoom-dhaam se karwayegi.. i think yeh vasu aur swayam kuch tho gadbad karenge.. woh aise chup nahii rahenge... lekin ab ke liye sujal, kashish ke khushiyon ke beech koi nahii aa sakega, chahe swayam aur vasu kitni hii koshish hii kyun na kar le.... i think next part mein sujal, kashish kii shaddi ho jaayegi... and then unki first night hogi.. filled with loads & loads amounts of romance between them.. so dear this is my guess for the next coming up parts.. so am i right.. do tell me.. i want to know..😉kashish dear please continue soon..me waiting for the next part very eagerly...😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-13

Aaj woh din hai jiski na hi kabhi Kashish ne umeed ki thi na hi Sujal ne khwaish..........haa aaj yeh keh sakte hai bina sach honewala sapna pura hone ja raha hai.........aaj tak humne bahot si shaadi dekhi lekin aaj ki jo shaadi hai woh bahot hi alag hai..........kyunki yeh shaadi Jodhpur ke Maharaja ki ek lauti beti rajkumari Kashish Rajveer Singh ki Mumbai ke ek businessman Sujal Garewal se..........jo kuch hi dino pehle ek aise hadse ne unhe milaya jo ab janmo ke rishto me badalne janewala hai...........aaj to jaise puri Haveli hi badal gayi hai........chaliye dekhte hai subaah subaah yeh neeche kya ho raha hai itne shor ke saath.........Kripa, Anjali, Angad aur Kavya aate hai...........aur dekhte hi reh jate hai kyunki jis haveli ko woh raat ko dekh ke sone gaye the uski to sakal hi palat gayi hai.............puri haveli shaadi ke liye jaise khub saji ho jaise aaj haveli ki khud ki shaadi ho...........jab yeh teeno daima ko dekhte hai.............

Kripa: Daima yeh sab............

Daima: ab lag raha hai ki meri beti ki shaadi hai............

Anjali; haa aapne to sabkuch badal diya........mera matlab bahot hi sundar lag rahi hai..........

Angad: shayad ab yakeen hone laga hai ki Kashish wake me rajkumari hai............

Kavya: woh shayad nahi wake me rajkumari hi hai.............

Daima: achcha hua aap sab aa gaye muje aap sabse kuch baat karni thi.............

Anjali: haa kahiye na kya baat hai..........

Daima: waise koi badi baat nahi hai lekin main aap sab ka apne aur is raj gharane ki aur se shukariya karna chahti hoon ...........aap sab ne meri beti ke liye jo bhi kiya hai woh to uske apne ne bhi nahi kiya...........aur muje khushi hai ki main apni beti ko aap jaise logo ke haath sop rahi hoon...........

Kavya: aap hume apna manti hai aur sukhriya bhi karti hai.........Kashish jaise ladki ko hamare ghar ka parivar banake hume bahot khushi hogi.............aap befikar rahiye Kashish bahot bahot khush rahegi hamare saath...........

Angad: aur yeh jo humne kiya hai woh sab humne Kashish ke liye nahi kiya............

Daima: to phir.........

Kripa: ise bhi na her waqt majak.........iska kehne ka matlab hai ki humne sab kuch Sujal ki khushi ke liye kiya hai.................Sujal Kashish se bahot pyaar karta hai yaha tak ki woh usse durr nahi reh sakta.........Kashish bahot kismatwali hai ki use Sujal jaisa jeevansathi mil raha hai.............

Daima: muje to pehle hi yakeen tha jab maine Sujal ko dekha.........uski aankhoin se saaf saaf pata chalta hai ki kitna pyaar karta hai woh Kashish se..........lekin ek baat main aap sabse bata dena chahti hoon.........

Kripa: kya...........

Daima: Kashish ko kuch bhi nahi aata.........mera matlab woh to kabhi rasoi me gayi bhi nahi...........woh yeh sab kaise sambhalegi...........

Anjali: bas itni si baat..........aap kyun pareshan ho rahi hai.........main aur Kripa hai na .......sab kuch kar lenge..........Kashish ko rasoi me aane ki kya zaroorat.............

Kripa: lekin daima use na gajjar ka halwa aur mulli ke parathe sikhne honge...........

Daima: kyun.........

Kripa: kyunki pati ke dil ka rasta uske pet se hoke gujarta hai...........aur yeh dono Sujal ko bahot bahot pasand hai..............

Daima: to yeh tum dono ki jimedari Kashish ko sikhaneki........

Angad: yeh sab hum bad me tai karenge..........pehle hum shaadi ki taiyariyaan kare............

Daima: haa chalo ab tum log bhi haath batao..............

sab log kaam karne lagte hai...............

****************************************************************************************

Ab sham ko Kripa aur Anjali kitni sari maids ke saath Kashish ko taiyaar karne aati hai..............

Aankhoin me sapna sapne me sajna (Kashish apni khidki se bahar apni shaadi ki roshni dekh rahi hai)

Sajna ke dil me chupe roop sunehara (Kashish ke hothon pe hasi hoti hai)

Roop sunehara haye jaadu ka gehna (Kripa aur Anjali aake Kashish ko piche se pakadte hai)

Jaadu ke gehne me hai duniya nayi (Kashish sharma ke aaine ke samne beth jati hai)

Yeh mera kajal ha ha mera kajal (Kashish apni aankhoin me kajal lagati hai)

Sajna ko yeh kar dega pagal (aur phir palke uthake khud ko aaine me dekhti hai)

Jab pass woh mere aayenge (Kripa Kashish ke bal ko banati hai)

Aur naina ban chalayenge (Jab Kashish ki aankhein Sujal ki tasvir pe girti hai)

Tadpayengi usko mere naino ki chanban (Anjali Kashish ke sir pe dupatta dalti hai)

Yeh mera kajal ha ha mera kajal (Kashish shamrake apni nazre juka deti hai)

Mann ke andhero me jagi kiran banke lagan (Kripa Kashish ko uski maa ka haar pehnati hai)

Charo dishao me zume zameen nache gagan (Jab Kashish apne kamre me dekhti hai jaha charo aur diye hi hote hai)

Rasto me beeche sitare ho (Kashish jane lagti hai jab Maids use paayal pehnati hai)

Rango se saje nazare ho (Kashish jane lagti hai lekin Maids use pakad ke rakhti hai)

Ban jayega darpan mere jeevan ka hal pal (Kashish ko phir se aaine ke samne bithate hai)

Yeh mera kajal ha ha mera kajal (sab log phir se taiyar hone lagte hai)

Saasoin ki bagiya me dil ki khali khilne lagi (jab neeche se zor si dhol ki aawaze sunai deti hai)

Hothon se ruthi hasi hothon ko phir milne lagi (Kashish ki hasi yeh khabar sunke muskurane lagti hai)

Meri bindiya chamcham chamkegi (Kripa Kashish ke sir pe tikka lagati hai)

Haye chudi khan khan khankegi (Anjali bahot si chudiyaan dalti hai)

Ho jayenge sona chandi se sare badal (Daima aake Kashish ki nazar utarti hai)

****************************************************************************************

Kripa: Daima kaisi lag rahi hai hamari dulhan................

Daima: bahot hi khubsurat.........kahi meri hi nazar na lag jaye...........

Kashish: kabhi beti ko maa ki nazar lagti hai............

Daima: tune muje maa kaha hai na.........aaj main kuch baatein karna chahti hai..........teri zindagi ab naye arse se shuru hone ja rahi hai..........teri aanewali zindagi tere liye muskil hogi kyunki tune woh zindagi kabhi dekhi nahi lekin is safar me tera saath Sujal dega..............aur haa kabhi is gharane ke naam ko zukne ka moka mat dena.........aur ek baat hamesha kuch bhi ho Sujal aur apne parivar pe hamesha vishwas aur pyaar banaye rakhna..............aur anjane me bhi kisi ka dil mat dukhana............aaj se tumhe Sujal ke liye jina hoga........tum samaj rahi ho na.........

Kashish: hum apni puri koshish karenge ki kabhi aapko koi sekayat ka moka na mile............

Anjali: Daima aap bhi kya in baatoin ko leke beth gayi..........neeche chaliye kabhi bhi barat aati hogi..............

Daima Anjali aur Kripa ke saath neeche chali jati hai...........aur jaha dusri aur se Sujal Angad aur Kavya ke saath barat leke aata hai...............Daima Sujal ki aarti karti hai.............

Kripa: oye aise kaise..............pehle shagun phir mandap.............

Angad: Kripa tum shagun logi woh bhi Sujal se...........

Anjali: zaroor ab jaldi se nikalo paise............

Angad: Sujal ise 10 rupe de de..........

Kripa: oye yeh lo main tumhe 20 rupe deti hoon.............hume 10 rupe nahi dono ko 10000 rupe chahiye..........

Angad: apni sakal dekhi hai...........

Kripa: ha bahot bar aur hume pata bhi hai ki hum bahot khubsurat hai..............

Kavya: ab ladna bandh karo...........

Sujal; yeh lo paise.........ab main andar chalu.............

Anjali: shaadi ki bahot jaldi padi hai...........

Angad (whispers): shaadi ki ya suhaag raat ki........

Sujal (whispers): sab ke samne marvayega...............

Daima: sujal beta andar aao...............

****************************************************************************************

Sujal Mandap me aa gaya hota hai......

Panditjee: kanya ko bulane ka waqt aa gaya hai........

Sujal ki nazar sidiyon pe lagi huyi hoti hai jab Kripa aur Anjali ke kashish ko leke aate hai...........Kashish ke aage 20 maids rose pedals bicha rahe hote hai........Kashish ki char saheli Kashish ke sir pe piche se duppata pakad ke chal rahi hoti hai.............jise aaj sab dekhte hi reh jate hai...........Kashish aaj sach me rajkumari jab dulhan banti hai to uski khubsurati ki koi seema nahi rehti...........ek pal ke liye Sujal ke dil ki dhadkan tham si jati hai.......Kashish Sujal ke samne aake khadi hoti hai......sharam ki waje se Kashish ki aankhein num hoti hai.......Kripa dono ke haath me varmala deti hai........Sujal Kashish ko varmala dal deti hai aur Kashish Sujal ko......Ab Shaadi ki sari rasme shuru hoti hai,...........

Panditjee: Kanya ke pitah ya Bhai Kanyadan ke liye aage aaye........

Kashish ke aankh se aanshu behne lagte hai.........jo sab log dekhte hai...........

Kavya: Panditjee yeh rasam main aur Angad karenge..........agar koi aitraaz na ho to..........

Kashish Kavya aur Angad ki aur dekhti hai...........

Panditjee: aaiye..........aap kanya ka haath leke iske honewale pati ke haath me de dijiye...........

Angad aur Sujal ka aur Kavya Kashish ka haath ek dusre ke haath me de dete hai..........

Panditjee: aaj se aap vachan le rahe hai ki aap apni patni ka haath shukh dukh me thame rahenge........

Sujal: main vachan leta hoon ki zindagi ke her kadam pe main Kashish ka haath thame rahunga,,,,,,,,

Daima aake Sujal aur Kashish ka gath-bandhan karti hai.....

Panditjee: ab aap sab phero ke liye khade ho jaye......

Sujal aur Kashish phero ke liye khade hote hai,,,,,,Sujal abhi bhi Kashish ka haath thame huye hota hai,,,,,,dono phero lena shuru karte hai..........sab unpe phool barsa rahe hote hai........aakhir main phere pure ho jane pe Panditjee Sujal ko mangalsutra deta hai..........

Panditjee: ab aap apni patni ko mangalsutra pehna dijiye......yeh mangalsutra ke kale moti aapke shaadi ke bandhan ko buri nazar se bachayenge.........

Sujal Kashish ko mangalsutra pehna deta hai........

Panditjee: ab is sindoor se apni patni ki mang bhar dijiye..........yeh sindoor ek patni ke liye shaadi ka pratik hota hai,,,,,,,

Sujal Kashish ki mang me sindoor bhar deta hai.........

Panditjee: Beti.........yeh aaj se tumhare gehne hai........iski izzat karna tumhara kartvay hai...........sindoor aur mangalsutra me bahot taqat hoti hai,,,,,,,kisi bhi musibat ka samna kar sakte hai......

Kashish: hum vachan lete hai ki pure dil se is sindoor aur mangalsutra ki izzat karenge..........

Panditjee: aaj se aap dono pati-patni hai.........aaj se aap dono ek nayi zindagi ki shuruaat karonge...........jake bado ka aashirwad le lo......

Sujal aur Kashish jake daima ke pair chute hai........aur dusro ke gale lagte hai.................

****************************************************************************************

Ab Kashish ki bidaai ki bari aati hai..........Daima Kashish ko uske Babasa aur Maasa ki tasvir ke pass le jati hai.........

Kashish: Babasa .........Maasa........hum hamesha ke liye aapse is haveli se durr ja rahe the jaisa aap hamare bare me chahte hai..........hum jante hai ki aap bahot khush hai hamare liye lekin aapko aise chodke jane ka mann nahi kar raha.........aap humse vaada kare ki aap hamare saath rahenge.........aap hamare saath hai na........

Yeh kehke Kashish rone lagti hai.........jab Daima aake use diya jalake chalne ko kehte hai............

Daima: Kab meri beti itni badi ho gayi muje to pata hi nahi chala............aur jab pata chala to woh apne sasural chal rahi hai...........

Kashish: Daima..........humne to kabhi apne maasa ko dekha nahi lekin humne maasa ka pyaar aapse paya hai.........hamare liye aap hi hamari maasa hai............aapne hamare liye jo bhi qurbani di hai woh hum kabhi nahi bhul sakte..........humne aapko bhi pareshan kiya hai...........kayi bar hamari waje se choti maasa ne aapko data hai lekin aapne kabhi bhi hume kuch nahi kaha..........hum apni sari galti ke liye aapse mafi mangte hai...............ho sake to hume maff kar dena...........

Daima: tu to wake me bahot badi badi baatein karne lagi..........aur kya kabhi maa apni beti se naraz ho sakti hai.........ab rote nahi........main to tuje haste haste jate dekhna chahti hoon...........chal bidaai ka waqt nikla ja raha hai.............

Kripa chaval ki thali leke aati hai..........Kashish chaval haath me leke piche dalti hai jo daima apne aanchal me samet rahi hoti hai.........Jab Kashish ghar ki chukhat pe hoti hai tab Anjali use kumkum ka pani deti hai jisme woh apne haath bigoke apni aakhri nishani woh darwaze pe chodke jati hai..............Daima Kashish ko uski doli me bitati hai aur Kashish ki doli aise hi jyada durr nahi bas kuch waqt ke liye samne wali haveli me jati hai............

****************************************************************************************

Kashish aur Sujal Haveli aate hai...........ghar ke sabhi log unka besabri se swagat karne ko taiyaar hote hai........

Angad: Kripa............jaldi karo woh darwaze pe intzaar kar rahe hai..........

Kripa: aa gayi.........

Kripa aarti ki thali leke aati hai aur uske piche Anjali Kumkum wala thal aur chawalwala Kalash lati hai.............Kripa Sujal aur Kashish ki aarti karti hai..

Anjali: Bhagwan............tum dono ko duniya ki sari khushiyaan de........jo sapne tum dono ne saath me dekhe hai woh sabhi pure ho........tum dono me aise hi pyaar badhta jaye...........aao Kashish.........hamara yeh parivar me tumhara swagat hai...........pehle is chaval ko girake us kumkum wale pair karke apne shubh kadam is ghar pe rakho............

Kashish kalash girake apne pair kumkum wale karke Ghar me apne pehla kadam rakhti hai Sujal ki patni ke hasiyat se........

Kripa: achcha Sujal ab Kashish ko apne kamre me leke jao bechari thak gayi hongi..........

Anjali: lekin yaad hai na hamare ghar ki rasam kis tarah se tumhe Kashish ko.........

Sujal: bahot achche se yaad hai.............

Angad: kyun nahi hogi hamari shaadi ke din to........ab baari aayi hai hum bhi dekhte hai..........

Sujal: dekhte reh jaoge..........

Sujal kashish ki aur badhne lagta hai........Sujal Kashish ke samne khada rehta hai............

Kashish: Sujal...........

Lekin usse pehle Sujal ne Kashish ko apni baahoin me utha liya hota hai.........Sujal dheere se kashish ko leke sidiyaan chadne lagta hai.......

Angad: pyaar karo to Sujal aur Kashish ki tarah..........

Kashish sharmake Sujal ke gale aise hi lag jati hai....................

****************************************************************************************

Sujal Kashish ko leke kamre me aata hai aur woh Kashish ko neeche utarta hai aur Kamra lock kar deta hai..............Sujal jab mudta hai to Kashish sharmake dusri aur dekh rahi hoti hai.......kyunki aaj Kashish janti hai ki aaj ki raat kya honewala hai.............Sujal Kashish ke pass aata hai..........

Sujal: Kashish

Kashish Sujal ki aur dekhti hai.........

Sujal: ghabra rahi ho ki kya hoga.......agar tum nahi chahogi to kuch nahi hoga.......waise tumse ek baat kahoon...........hum pati patni ke saath hum dost bhi hai.........shaadi jaise is pavira rishtey me dosti ka hona bahot zaroori hai.........main tumhara dost banuga aur tum meri dost........hume ek dusre ka jeevanbhar saath dena hai.........aur main aasha karta hoon ki tum mere her achche kaam me mera saath dongi...........dongi na........

Kashish: hmmm............

Sujal: aur bure kaam me..........

Kashish: jee........

Sujal: waise main dil se kabhi koi bura kaam nahi chahunga...........lekin main ek insaan hoon aur insaan se galti bhi ho sakti hai.............main bhi rasta bhatak sakta hoon lekin tumhara farz banta hai muje sahi raah batana........tum muje dost banke datna agar main koi galti karu to............

Kashish: hume yakeen hai ki aap jaisa insaan kabhi koi galat kaam nahi karega..............lekin hum aapka sukh dukh me saath denge...........aaj se aap akele nahi balke hum bhi aapke saath hai............

Sujal: aaj muje tumhe is raat me kuch tohfe ke roop me dena chahiye ........jo bhi main la sakta woh sab tumhare pass hai is liye uski koi zarooriyat hi nahi........lekin aaj main tumse ek vaada karta hoon..........aaj ke bad meri zindagi me sirf ek hi ladki hogi aur woh tum hogi........aaj ke bad mere liye sari ladki parayi hogi.........mere is janam me aur aanewale saat janam me tumhare alawa aur koi ladki nahi hogi meri zindagi me............Sujal ka naam sirf ek hi se juda rahega aur woh hogi meri Kashish................aaj ke bad muje sab Kashish ka sujal kahenge.........aaj ke bad Sujal aur Kashish hamesha ke liye ek ho jayenge..........jise koi juda nahi kar sakta..............

Jab Kashish ki aankhoin se aanshu behne lagte hai...........

Sujal: yeh kya.......tum to..........

Kashish: yakeen nahi hota ki koi aap jaisa insaan bhi...............aap se koi galti ho hi nahi sakti kyunki aap insaan nahi farishtey hai ............aapne aaj jo hume tohfa diya hai woh hamare liye sabse anmol hai...........aaj aapne jo vaada humne kiya hai wahi vaada hum aapse karte hai...........hum aapka vishwas aur pyaar banna chahte hai..............hum aapse bahot bahot pyaar karte hai...........I love you Sujal.........

Yeh kehte hi Kashish Sujal ke gale lag jati hai............Sujal Kashish ke mathe ko chumta hai.......aur use apne aap se alag karta hai...........Sujal kiss Kashish's tears.......and then to her neck..........finally he moves back and look at Kashish whose eyes r num............Sujal moves toward Kashish's lips but she puts her finger on sujal's lips..........Sujal looks at her in questioned eyes.........

Kashish: woh ...........woh sare gehne.........

Sujal;bas itni si baat...........chalo betho........

Sujal makes Kashish to sit infront of the mirror..........first sujal took of her dupatta..........than he moved to take of her earrings when he kissed her ear which makes kashish to close her eyes..............than he removed her necklace..........and than comes to her bangles............with each bangle he kissed her hand...........Sujal moved to her leg to take of paayal.............

Kashish: yeh aap kya kar rahe hai.........aap aisa nahi kar sakte ......khade hoiye.........

Sujal: Kashish hum dono dost hai..........aur hamare is rishtey me koi bada ya chota nahi............hum ek saman hai..........agar tum mera yeh kaam kar sakti ho to main kyun nahi.........aur yeh mera hakk bhi banta hai..........hai naa..................

Kashish just noddes her head..........Sujal took of her paayal..............Sujal looks at her .........she was just staring her ........Sujal comes near her and picks up in his hands and takes her to bed......................

Sujal: Thank you kashish for coming into my life and making my life so beautiful...........

Kashish (sujal ke haath ko pakad ke): Thank you sujal for giving me so much love .............

Sujal slowly moves toward kashish and kashish close her eyes..........sujal comes near her and puts his hands on her cheeks and pull her close to him.........then slowly he brings his lips to hers and they had their first kiss.........and it was so passionate and strong......Sujal kashish se thoda durr hota hai.........Sujal Kashish ki aur muskurata hai............jab achanak se khidki khulti hai aur hawa ke zoke se kashish ke bal uske chehre pe aate hai........Sujal Kashish ke nazgig aata hai........thoda aur .........phir Sujal dheere se kashish ke bal ko hatata hai..............Sujal kissed her forehead and looks at her........whose eyes are so closed............Sujal moves from forehead to her neck and then .........when he looks up and see Kashish's eyes are so closed ...............sujal whispers in her ear" tumse pyaar karta hoon tumhara dil nahi dukhaunga" .........Kashish opens her eyes and so how much love and care for her in his eyes...........Kashish hugs him and whispers .......janti hoon...............Kashish kissed Sujal on his lips ......she was so lost in his touch...........he moved his fingers to untie the strings of her blouse........the time passed away.........letting both lovers to tell each other the intensity of their love...........when sujal moved his hand to turn off the light.............

cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago

awesome part kashish👏............................finally shaadi hogi.........................i m soooooooo much happy⭐️ ......................kya part tha .........................words wagira sab kuch buhat acha tha............................kashish ki daima aur kripa,angad,kayva aur anjali kis tarah baat karthe hai😆.........................kashish don't know how 2 cook........................aur phir kashish ka dulhan bana.....................shaadi hona........................all were superb...........................aur the best scene jab sujal kashish ko goth mein ly tha hai aur ofcourse night scene😳............................plz con't next part soon.........................

adventure_gurl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
awesome update, that was so cute!😃
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
mind blowing part kashish
finally the wedding took place the way you described the wedding was amazing it felt so real i could actually imagine it taking place.
The scene were angad and kavya give kashish away was beautifully described.
poor kashish cant cook cant wait to see how she learns.
the scenes between daimaa ,kripa,anjali,kavya and angad were intresting the way daimaa was explaining to kashish how to take care of her new family and to support her husband showed that daimaa was fullfilling her role as kashishs mother.
The scene were kashish was getting dressed and the song you added in the part really went with the scene it was really good.
The way sujal carried kashish to their room was really romantic,the talk between the two of them was awesome finally they are husband and wife in the real sense.The way you showed how they got together was beautifully potrayed.I really enjoyed the way you made everything seem so real and the way you described the love between sujal and kashish was awesome.
👏
Edited by Iqbal Neha1 - 16 years ago
shreya_shweta thumbnail
Posted: 16 years ago
di u r oooofffffffff
👏
👏hope that u keep up ur damn good work sister u know wat rock man

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".