Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 11

Created

Last reply

Replies

143

Views

37.6k

Users

25

Likes

77

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear i have come here with my comments on Seyahat.. i hope tumko mere comments pasand aaye.... sorry main woh zara late hogayi comment karne mein.. anyway now let me start typing my comment..😊 tho part kii shuruwaat wahaan se hothi hai, jahaan par kavya, angad aur sujal ko tho samaj hii nahii aa raha hotha hai kii woh agge kya kare.. aakhir woh log nandini ke saamne apni baat ko sach kaise sabith kare.. i'am sure woh theeno hii issi baat ko lekar pareshaan ho rahe honge... lekin sabse zyada pareshaan hai humara hero sujal.. woh bkartha.. woh kashish se wadaa karke tho aagaya kii woh usse hii shaddi karegi.. uski shaddi wahaan hogi, jahaan woh chahthi hai.. lekin ab tho mushkhilein aa rahii hai, and he is not able to prove anything... lekin main ek baat tho jaanthi hoon, which is for sure aur woh yeh kii sujal, kashish se kiya hua wadaa kissi bhi haal mein nibhayega... chahe sujal ko kuch bhi karna pade, lekin kashish tho sirf aur sirf sujal kii hii dulhan banegi... aur sujal is baat kakhayal ralhega ki kissi bhi keemat par aisa ho jaye... and i'am also sure kii sujal ne joh wadaa kiya hai na woh usse nibhayega... aur tabhi unko yeh patah chaltha hai kii nandani un logon se milna chahthi hai.. and then when the three go to meet her.. she finally breaks down in front of them saying kii she knows kii uske pati kaise hai.. par woh is baare mein kuch nahii karr sakthi.... well is baat par main nandini se kehna chahthi hoon kii, you don't need a husband who is as useless as siddarth... uska tumhari zindagi mein hone ya na hone se koi bhi farq hii nahii padtha.. i think tumhare liye yeh best hoga kii tum siddarth ke pass jao usse expose karo, aur usse do thappad marroo.. and then part ways... yahii achcha hoga nandini ke liye, according to me... lekin when we see from nandini's point of view woh bhii sahii hai.. shayad uske liye apne pati, apne raj-gharane ke khilaaf jaane ke liye utna aasaan nahii hoga... she has many responsibilities to take care off... even she is in majboor state... lekin yahaan koi tho ho joh sujal kii haalat ko samjhe... nandini is his last hope... what can he do, he is desperate to save kashish from going into wrong hands.. woh apne pyaar ke saath aisa kaise karr saktha hai... lekin dusari taraf nandini bhi kare tho kya kare.. ek taraf sujal, kashish ka pyaar balli ho jaayega agar woh chup rahii tho aur doosri taraf she cannot even raise her husband.... but i'am glad kii sujal has come up with other plan. jisse kii nandini bhi apne rishthe se bach jaayegi, koi us par yeh ilzaam nahii lagayega kii usne us ghar kii parampara kii lekeer paar kiya aur isse sujal, kashish bhi ek dusare se alag nahii honge... i'am glad kii nandini is supporting true love... nice.. very nice.. waise sujal's brain is very quick in making up a alternative idea, zaahir si baat hai sujal ka dimaak tho double raftaar se chalega hii as he has to save kashish... lage raho sujal.. keep the good work going.... and then now coming to the next scene, jahaan kashish, kripa aur anjali bait karr baatein karr rahe hothe hai.. kashish, sujal ke baare mein jaan na chahthi hai, aur kripa and anjali tell kashish about sujal.. and they even keep teasing kashish.... mujhe aise lagtha hai kii kashish sujal kii pasand jaan kar, sujal ke aane ke baad sujal ke rang mein dalna chahthi hai.. woh sujal ko har woh khushi dena chahthi hai , jis khushi ka ehsaas kashish ko hua hai, after sujal coming into her life.. i think kashish sujal ke saamne sujal ko yeh dikhana chahthi hai kii usse sujal se kitna pyaar hai... i think kashish sujal se yeh kehna chahthi hai kii sujal bhale hii kashish kii zindagi mein ajnabi bankar aaya tha, lekin ab woh kashish kii zindagi ka maalik hai... very well written dear... ab coming to the bad people community, mera matlab kii vasu, swayam aur woh siddarth.. in logon ko dekh kar mann karr raha hai kii ek , ek ko itna maaroon kii woh log apni jaan ke liye bheek maange...yeh swayam aur vasu aise kaise kar sakthe hai, souteli hii sahii woh hai tho vasu kii beti na, souteli hii sahii woh hai tho swayam kii behen hii na.. lekin woh log kashish ke apnepann ke bhi layak nahii hai.. i wish kii jab kashish unko expose kare, aur agar tab jaake vasu aur swayam ko apni ghalthi ka ehsaas bhi ho tho kashish unhe maaf na kare aur unhe tadapne ke liye kaal-khotri mein band kar de... aur yeh siddarth uske liye tho koi bhi sazaa kum hai.. he has a wife, he has kids, phir bhi paison ke liye kashish se shaddi karna chah raha hai, kashish ko dhoka dena chah raha hai, mujhe tho is siddarth par ghinn aa rahii hai.. uski tho main.. i wish sujal uski baand bajaye... tab aayega mazaa... waise yeh dushmann party bohat khush ho rahii hai na, jab sujal, angad aur kavya wapas aayenge tab aayega asli mazaa.. aur tab hoga dhood ka dhood aur paani ka paani.. bas ek raat ka waqt hai yeh guzar jaane do..phir aayega asli mazaa.. then kashish ke kamre mein yeh siddarth ka aana.. uska behaving thoda ajeeb se.. kashish ke kareeb jaane kii koshish karna... mann tho karr raha hai kii usko itna marroon kii uske haath, pair thod daalon... irritating creature on earth.. woh tho sachchi mein bhoj hai dharthi par.... sachchi mann tho karr raha hai kii uska cachumbar bana kar, ussi ke juice mein daal kar sabko pila doon.. i'am seriously getting very damn angry on him.. how dare he... yeh tho achcha hua kripa aur anjali aagaye wahaan.... and siddarth leaves from there... woh bada smart act karne kii koshish karr raha hai na.. mujhe is baat par usse kehna hai siddarth zara rukh jao, sujal aayega aur woh tumhe poori tarah se seedha kar dega.. aur phir jaise kripa aur anjali kashish ke mood change karne kii koshish karthe hai.. they try and divert kashish's mind, away from siddarth, talking about sujal... aur phir kashish kii sharam.. all this was too good.. i love it... sujal, kashish ke pyaar ko kissi ki nazar na lag jaye.. waise i'am happy kii sujal has decided kii agar ghee seedhi ungli se na nikle tho unko ungli tedhi kar leni chahiye.. now i just cannot wait for the trio and nandini to come back... very good going dear.. keep it up....i'am liking it very much.. the story is progressing very well.. awesome...šŸ‘
now coming to my guess on the forth coming parts.. well coming up parts mein i think it will be to damn interesting to read... sujal, angad, kavya will come back and will behave normally.. aur yeh baat dushmann party ko tho samaj hii nahii aayegi.. it will be like sujal, angad and veer dushmann party par peeche se vaar karenge... woh log chori, chupe siddarth ko itna majboor karenge kii siddarth khud apne aap sabke saamne sachchayi sweekar kar le.. aur issi tarah swayam aur vasu bhi apne khud ke bune jaal mein phas jaayenge.. aur nandini ka bhi koi nuksaan nahii hoga... i also think kii dujal wapas aane ke baad there will be some dil ko choo jaane waale moments between sujal, kashish.. and also some romantic moments between them... jaise chori-chori ek dusare ko dekhna.. ek dusare ka khayal rakhna aur yeh sab hoga i think.. tho kashish dear kya mera yeh guess sahii hai.. mujhe zaroor batana.. i really want to know kii kya mera yeh guess kitna sahii hai aur kitna ghalat........šŸ˜‰ kashish dear next part jaldi se post karna.. i'am waiting for the next part very eagerly..... šŸ˜ŠšŸ˜›šŸ˜ƒ
Edited by sun_423 - 16 years ago
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-11

Ab subaah hoti hai Kashish kab se apne kamre ki Khidki se Sujal ke aane ka intzaar kar rahi hoti hai...........jab waha pe Kripa aur Anjali aate hai.........

Kripa: kya dekh rahi ho.........

Kashish: kuch nahi..........is ugte huye Suraj ke saath ek umeed judi huyi hai...........lekin kya pata aaj raat Suraj dubte hi hamari wahi Umeed tut na jaye.........

Anjali: agar umeed Sujal se judi hai to woh kabhi us umeed ko tutne nahi dega...........

Kashish: lekin abhi tak woh aaye nahi........aaj mehndi hai............

Kripa: kaun kehta hai woh nahi aaya...........woh dekho uski car............

Sab log dekhte hai to durr se uski car aa rahi hoti hai.......

Anjali: chalo jaldi se neeche............aakhir pata to chale kaun si khuskhabri leke aaye hai.............

Sab log neeche jake dekhte hai to Sujal, Angad aur Kavya Nandini ke saath kahde hote hai...........

Anjali: Kavya......yeh..........

Kavya: woh sab bad me batayenge...........tum yeh batao ki sab thik to hai......

Anjali; haa sab thik hai .........

Sujal; woh teeno kaha hai.........

Kashish: apne kamre me........abhi bulwate hai............

sab log waha pe aate hai.........Siddharth to Nandini ko dekhta hi reh jata hai.......

Vasu: aap logo ke saath yeh kaun...........

Sujal: woh delhi gaye the na ........wahi se yeh hamari durr ki behen hai..............kitne salo bad hum mil rahe hai.........

Swayam: lekin yeh tumhare saath yaha kya kar rahi hai..........

Angad: woh kuch waqt pehle inke pati inhe chod ke chale gaye aur yeh baat hume abhi pata chali is liye hum inhe apne saath Mumbai leke jayenge.........

Sujal: lekin usse pehle Nandinijee ke Pati ko dhudhna hai.........suna hai woh pichli bar yahi kahi se the..........koi baat nahi kal bahar ke logo se kuch puchparach kar lenge............

Kashish: koi baat nahi...........Sujal yeh aapki behen hai iska matlab yeh hamari bhi behen hai..........aur aapka mere ghar me swagat hai...............aap aapke kamre me chaliye aur thoda aaram kar lijiye......safar se aap thak gayi hongi..........

naukar aake Nandini ko kamre me leke jate hai aur unke piche Siddharth bhi jata hai.........vasu aur Swayam bhi apne kamre me chale jate hai...........
AnjalI; ab kuch bataoge ki woh aurat kaun hai.........kyunki hum sab jante hai ki hamara ek dusre ki alawa aur koi nahi...........

Kripa: ab chup kyun ho kuch to kaho..........

Sujal: yaha nahi pehle kamre me chalo.................

sab log Kashish ke kamre me jate hai...........

*************************************************************************************

Kashish: ab to kuch bataiye..........kya yeh shaadi to ruk sakti hai...........

Anjali: Sujal jante ho jab se tum gaye ho Kashish ek pal bhi chain se nahi rahi........her pal ek hi sawaal hota tha..........kya woh log yeh shaadi ko rok payenge...........ab tum hi woh jawaab de do.........

Sujal: haa ab tumhari shaadi hogi to sirf mujse..........tumhe mujse koi alag nahi kar sakta...........woh jo aurat mere saath thi woh meri behen nahi hai........woh Udaipur ki Maharani hai........yani Sidhdharth ki Patni.........

Kashish: kya...........unki shaadi ho chuki hai.......unhone mere saath dhoka to kiya lekin Maharani ke saath bhi.....

Sujal: shaadi hi nahi....balke teen saal ka bacha bhi hai..........aur to aur Sidhdharth ki kamzori hai ladki.......woh use sirf ek cheez samajta hai............uski patni ke alawa kitni aur bhi aurat hai unki zindagi me jiske rishtey ko koi naam nahi de sakte hum........is liye jab humne Nandinijee se sari haqeeqat batayi aur woh hamari madad karne ko taiyaar ho gaye.............

Kashish: woh to thik hai.......lekin aapki behen banne ka kuch samaj me nahi aaya.........

Sujal: main chahta hoon ki Sidhdharth khud sabke samne apni shaadi ko kabool kare...........

Anjali: lekin yeh sab hoga kaise kuch socha hai...............

Sujal: haa socha hai waqt aane pe bataunga...........

Angad: lekin tab tak yeh sirf raaz rahega..........khas karke Swayam aur Vasujee ke liye

Kripa: lekin Sidhdharth ne bata diya to.........

Sujal: woh aisa kuch nahi karega............mera yakeen karo........ab baji hamare haath me hai............

Kashish: aap keh rahe hai to hume pura yakeen hai.......................

Angad: oye hoye.........kya baat hai...........sujal ne kaha aur man gayi........

kripa: samja karo Angad.........Sujal aur Kashish dono pyaar karte hai........aur pyaar me to sab kuch chalta hai.........

Anjali: aur yaha pe to hamare Sujal hai.........pyaar ke pujari.......Kashish ke deewane........

Sujal; marwana hai........ab chalo shaam ki taiyariyaan nahi karni..........

Kripa: woh sab hum kar lenge.......tum sirf kuch waqt kashish ke saath bitao...........waise Kashish kabhi nahi kahegi lekin yeh uske dil ki baat hai.....tab tak hum zara Nandini se milke aate hai.............

sab log waha se chale jate hai.................

*************************************************************************************

Sujal: Kashish..........

Kashish: hmmm........

Sujal: kuch kehna chahti ho.........

Kashish: aapko kaise pata.......

Sujal: tumhari yeh bechainya..........is tarah dupatte ko modna.........tumhare kampte hoth.......batao kya baat hai..........

Kashish: kuch nahi bas aise hi dil bechen ho raha hai..........aisa lagta hai kuch honewala hai jo nahi hona chahiye..............

Sujal: tum aise pareshan rehti ho to mera dil mujse kehta hai ki tum Kashish ke kabil hi nahi..........

Kashish apna haath Sujal ke hoth pe rakh deti hai............

Kashish: aisa kabhi nahi kehte.........hume khud se jyada aap pe yakeen karte hai............khud se jyada aapko chahte hai........aapki taklif humse dekhi nahi jati............ab itna to hakk banta hai ki aapse itni umeed kare ki aap kabhi bhi apne bare me aisa na soche............

Sujal: itna pyaar karti ho.........

Kashish: hum jitna pyaar kar sakte hai usse kayi jyada kiya hai aapse............hum aapko bata nahi sakte lekin aap hamare liye sabkuch hai............aur aapse alag rehna ab hume gawara nahi..........

Sujal: kisne kaha hum juda honge.........pagal ho gayi ho..........hum milne ke liye hi bane hai........hum milenge aur parso hi............hamari shaadi parso hogi........yeh tumhare pyaar ka vaada hai.........aur Sujal kabhi apne vaado se mudta nahi,..........agar maine sachcha pyaar kiya hai to use main aur meri aatma zaroor nibhayenge.............waise yeh batao tumne muje yaad kiya ...........

Kashish: yaad to use karte hai jise bhula jaye.........aur aap to her waqt hamare pass the hamare dil me..........

Sujal: tum janti ho aaj kal tum dil khol ke baat karne lagi ho.......

Kashish: to kya yeh achchi baat nahi........

sujal: nahi nahi.......mere liye to yeh bahot hi achchi baat hai..........

Kashish: waise aapne hume yaad kiya........

Sujal: sach kahoon ki jooth..........

Kashish: jo aapka dil chahe.......

Sujal: jooth yeh hai ki maine tumhe bahot yaad kiya aur sach yeh hai ki tum to mere saath thi to tumhe kaise yaad kar sakta hoon...........janti ho ek pal bhi sone nahi diya............her waqt khayalo me aake muje pareshan karti rehti ho......pata nahi shaadi ke bad mera kya hal karogi....................

Kashish: Sujallll.......

Sujal: Sujal kya.......

Kashish: kuch nahi.....

Kashish sharmake jane lagti hai jab Sujal uska haath pakad ke uske gale lag jata hai.......

Sujal: janti ho is pal ke liye maine kitna intzaar kiya.........I love u Kashish.......

Kashish: i love u Sujal.........

*************************************************************************************

ab dekhte hai Nandini ke kamre me kya ho raha hai.........

Sidhdharth: Nandini tum yaha kya kar rahi ho........tumhe yaha nahi aana chahiye tha......

Nandini: ab lagta hai humne aane me bahot dair kar di............

Sidhdharth: meri baat ka saaf saaf jawab do..........un teeno ke saath kya kar rahi thi...........kaise janti ho......

Nandini: unse hamara jo rishta ho woh aapko janne ki zaroorat nahi aur waise bhi hume aapki tarah dhoka dena nahi aata..........kitna bada chhal kiya aapne hamare saath..........hum phir bhi seh jate lekin Jodhpur ki Rajkumari Kashish ke saath bhi............aapne kam ladki ki zindagi tabah ki hai ki ab aise sanskari aurat je saath bhi..........hume sharam aati hai aapko hamara pati kehte huye............dusri shaadi karne se pehle ek bar bhi aapne hamare aur sharya ke bare me nahi socha............

Sidhdharth: tum apni maryada bhul rahi ho..........mat bhulo tum apne pati aur Udaipur ke Maharaj se baat kar rahi ho.......

Nandini: Maharaj logo ka achcha sochte hai lekin aapke jaise Maharaj hone se achcha hai ki praja ka koi maharaj hi na ho.........lekin hum yaha aapse woh sab baatein karne nahi aaye..........hum yaha aapke khilaf hone aaye hai..........hum aapko kal tak ka waqt dete hai.......kal tak aapne Rajkumari Kashish se sach nahi bataya to hum jake sare Samaaj ke samne hamare Rishtey ke bare me bata denge uske bad aapki izzat jo beech mehfil uchregi woh aap soch bhi nahi sakte..........aapke pass sirf do din hai........sirf do...........

Sidhdharth: tumhe kya laga main tumhari dhamki se darr jaunga.........tumhe main zinda hi nahi chodunga........

Nandini: aisa sochiyega bhi mat..........kyunki humne un teeno ko bata diya hai ki hume kuch bhi ho jaye to hamari maut ki jimedar aap honge sirf aap...........

Sidhdharth: Nandiniiiiiiiiii...........

Nandini: aawaz neechi kariye........chilana hume bhi aata hai.......

Sidhdharth: hum is apradh ke badle tumhe tumhare maayke bhej sakte hai...........
Nandini: hum yaha aapse muh lagne nahi...........balke Sujal aur Rajkumari Kashish ke pyaar ko pura karne aaye hai...........agar hume aapke khilaf jana hoga to hum ek bar bhi nahi sochenge.......hum bhul jayneg ki aap hamare pati hai.........is liye aap apne kamre me jaiye aur sochiye kyunki aapke pass waqt bahot kam hai........

yeh kehke Nandini waha se chali jati hai.............

*************************************************************************************

Ab shaam ko Kashish taiyaar hoke apne kamre me bethi hoti hai...............Mehndi shuru hone me kuch hi waqt baki tha..............Kashish aaine ke samne khadi apne aap ko dekh rahi hoti hai........Jab Sujal kamre me aake darwaza bandh kar deta hai..........

Kashish: Sujal aap is waqt yaha.........

Sujal: haa main.......kuch kaam tha...........

Kashish: haa kahiye........

Sujal: woh main neeche to nahi keh paunga sab ke samne..........aaj tum bahot bahot khubsurat lag rahi ho..........yeh rang bhi tumpe bahot achcha lagta hai.........aur khas karke yeh zumke..........

kashish sharmake apni palke juka deti hai.........

Sujal: haye haye........tumhari yeh ada meri ek din jan nikalke rahegi..........waise kya baat hai yeh chand kyun buja buja lag raha hai..........

Kashish: hamare yaha riwaz hai ki sabse pehli mehndi honewale pati lagate hai...........aur hum chahte hai ki aap hume.........mera matlab.........aap samaj rahe hai na........

Sujal: samaj gaya..........tum yahi chahti ho na ki sabse pehle aaj main tumhe mehndi lagau.......to main hi lagaunga..........

Kashish: lekin sidhdharth........

Sujal: use main sambahl lunga...........lekin main apne is chand pe yeh mayushi nahi dekh sakta........ab ek bar muskura do............ple mere liye........

Kashish thodi muskurati hai.......

Sujal: thodi aur.........

Kashish sharmake Sujal ke gale lag jati hai........

Sujal: muje nahi pata tha ki Rajkumari muskurane ke bahane gale bhi milti hai.........

Kashish sharmake aur Sujal ki baahoin me chali jati hai.......

Sujal: waise muje koi aitraaz nahi lekin neeche sab mera intzaar kar rahe hai................agar tum chaho to main aur tum yaha reh sakte hai...........

kashish: nahi aap jaiye.......agar kisi ne hume dekh liya to.........aap jaiye.......

Sujal: ek bar keh do na............

Kashish: kya.....

Sujal: yahi ki tum mujse pyaar karti ho.........

Kashish: hum aapse bahot bahot pyaar karte hai..........ab aap jaiye...........koi aa jayega............

Sujal: i love u too.......bye...........

*************************************************************************************

Ab mehndi ki rasam shuru hoti hai........

kripa: nandinijee aaiyena.......aap bhi mehndi laga dijiye............

Nandini: nahi hum thik hai......aap log lagaiye.......

Anjali: aise kaise.......aapko thodi to thodi apne Pati ke liye hi sahi............

NandinI; tab to lagana hi hoga.......

Kripa mehndi lagana shuru karti hai.........

Anjali: aapke pati ka naam.........woh mehndi me likhna hai........

Nandini: pura naam hum nahi batana chahte aap sirf "S" likh dijiye................

Kripa: thik hai........

Nandini Sidhdharth ke samne dekhti hai jo gusse me lal ho raha hota hai...........

Vasu: Sidhdharth bete ab aap bhi aake Dulhan ke haath me apna naam likh dijiye...........

Sidhdharth: jee........

Sujal: yeh kaise likh sakte hai.........

Sidhdharth: kyun nahi likh sakte........

Sujal: aap Udaipur ke Maharaj.............mehndi lagane jaise chota kaam karenge..........yeh aap ko shobha nahi deta............laiye muje dijiye main naam likh deta hoon............

Sujal Sidhdharth ke hath se mehndi leke Kashish ke samne beth jata hai...........woh Kashish ka haath apne haath me leta hai..........Sujal dheere se Kashish ki mehndi se naam likhna shuru karta hai..........

Vasu: yeh kya kiya tumne........tumne apna naam likh diya........

Sujal: maff kijiye......galti ho gayi...............abhi mita deta hoon...........

Sujal woh apna naam mita deta hai.........

Kripa: yeh kya Kashish tumhare haath me to Sujal ke naam ka rang chad gaya.........dekho na kitna gehra rang chada hai itne kam waqt me...........

NandinI; lagta hai bahot pyaar karte hai ek dusre se............

Swayam: kya kaha........

Nandini: kuch nahi..........samajnewalo ko ishara hi kafi hai..........

Sidhdharth: ab kya hoga.........Kashish ki mehndi me to Sujal ka naam hai ab........

Angad: koi baat nahi....naam me kya rakha hai........aur waise bhi dono "S" se hi to shuru hota hai...............

Sidhdharth: thik keh rahe ho..........

Sujal kashish ki aur muskurata hai aur aankh marke waha se chala jata hai aur aise hi Mehndi ka jasan chalta rehta hai........

Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
amazing part
i really enjoyed the scenes between SK they were really good and the way they are getting closer to each other day by day showed how strong there relationship is.
cant wait till siddhart tells everyone about his marriage with nandani, the way nandani stood up to siddhart was amazing finally she is speaking up.the mehndi scene was really good.
cant wait 2 read the next part
adventure_gurl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
love the concept Kashish! keep it up!
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
wwwooooooowwwwwwww superb part..............................finally sujal poch he gaya.....................ab maza aye ga shaadi mein aur band bjae ga vasu aur swayam ka........................kitne pyaar aur romantic mein baat karte hai dono.....................hats off to sujal kia bahna nikalia menhdi laga ne ka.....................con't soon
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear tumne part post kar diya.. lo main aagayi with my comments on Seyahat... i hope tumko mere yeh comments pasand aaye... uttne hii pasand aaye jitna mujhe tumhari writing pasand aathi hai....well tho ab woh subaah hii gayi jab kashish kii intezaar khatam hone waali hai.. aur humare sujal mahashay wapas aane waale hai... kya baat hai.. kashish kii yeh bechaine.. uska intezaar.. har guzarthe pal ke saath uski umeed kii sujal aayega , wo thoda sa dagmaga raha hai.. itna hone ke bawajood bhi kashish ko itna tho zaroor yakeen hai kii sujal aayega.. yeh hui na baat.. i'am sure kashish ke liye yeh kuch pal ka intezaar sadiyon ke intezaar se bhi lamba lagtha hoga... aakhir kyun na lage.. woh kashish joh raahon mein palkein bichaye hui hai.. aur apni zindagi ke loutne ka intezaar karr rahii hai.. at this stage kashish ke liye sujal se zyada zaroori kuch bhi nahii.. khud kii zindagi bhi nahii.. i'am sure kashish ke dil mein tho yeh bhi khayal hoga kii agar uski shaddi siddarth se hogayi, tho uska kya haal hoga she would not care.. lekin she will care kii agar aisa kuch hogaya tho sujal ka kya hoga.. kashish khud se zyada sujal kii chinta karne lagi hai.. aur ab jaakar humare hero sahab apni entry lethe hai... aur yahaan tho jaise kashish ke jaan mein jaan aa jaathi hai.. i'am sure sujal also might have felt the same thing, jab woh wapas kashish ke ghar aaya hotha hai.. kyunke sujal, kashish ek dusare se durr rehkar dono hii tadpe hai.. aur ab tho kashish, kripa aur anjali neeche chale jaathe hai... jahaan they see nandini with sujal, angad & kavya.. and then yeh vasu aur swayam.. yeh dono tho mujhe khoob irritate karthe hai.. un mein tameez naam kii koi cheez nahii hai kya, ghar aaye mehmaan ke saamne hii poochthe hai kii sujal,angad aur kavya nandini ko yahaan kyun laaye hai... uff.. manner less... yeh tho achcha hua kii kashish ne baat sambhal liya tha.. i'am sure siddarth ke pairon tale se zameen kisak gayi hogi, jab usne nandini ko apne saamne dekha hoga... phir bhi woh chup raha.. kitna ghatiya insaan hai woh... uski tho main.. mann karr raha hai kii usko ulta latka kar, usse maroon.. ab phir sujal ka kashish, kripa aur anjali se kehna kii siddarth kii biwi hai nandini... aur phir sujal ka kashish ko yakeen dilana kii uski shaddi ussi se hogi.. kashish ka woh sujal pe blind belief... in sab baaton ne tho maano jaise poori tarah se mera dil jeet liya.... aur yahaan bhi angad sujal, kashish ko chedne se baaz nahii aaya.. balki angad hii nahii lekin sabhi indirectly sujal, kashish ko tung karr rahe the.. too goodd.. aur shayad main yeh baat jaanthi hoon kii woh log aise kyun karr rahe hai, woh aisa isliye karr rahe hai kyunke they want to divert sujal, kashish mann from the up-coming tensions.. they are real friends sachchi... chalo yeh baat tho achchi hui kii kavya, anjali, angad, kripa ne sujal, kashish ko thodi privacy dii.. and they both deserve it, kyunke ek dusare ko itna miss joh kiya dono ne... ab the next scene jahaan kashish ke bina bataye hi sujal samaj jaatha hai kii woh usse kuch kehna chahthi hai.. waah maan gaye inke pyaar ko.. pyaar mein ek dusare kii dil kii awaaz ko sunn na koi, sujal, kashish se seekhe..... aur phir joh baatein sujal, kashish ke beech hothi hai kya kahoon main uske baare main.. main tho bas unki baaton mein kho rahii thi.. itni meeti-meeti baatein karthe hai dono... i really loved the talk between them.. aur ab tho sujal, kashish ek dusare ko samaj ne bhi lage hai.. jaanne bhi lage hai.. aur ek dusare se khulkar baatein bhi karne lage hai... this is very damn good..... then the next scene... jahaan nandini aur siddarth hothe hai.. i liked the way nandini ne siddarth ka saamna kiya... and this siddarth..uska tho abhi bhi dimaak thikhane nahii aaya.. he is so egoistic.. mann karr raha hai kii uske uss ego ko mere pairon tale kuchal doon.. i liked jab nandini gave him the ultimatum , ya tho woh khud sabke saamne maan le kii she is his wife ya phir woh usse badnaam karegi.. chodegi nahii usse.... way to go nandini.. this is the way you have to face that two faced irritating person siddarth.. aur sujal ne siddarth ko theek pehchana, he won't tell vasu or swayam anything.. as he wants money and he wants kashish just for the heck of it.. siddarth's character irritates me to hell... to the maximum extent... lekin i like te plan sujal, angad, kavya, nandini have made aganist him... ab tho yeh siddarth bura phasa... then coming to the next scene.. hyee..hyee.. is scene par tho main marr jawaa.. kitna achcha tha yeh scene.. tumne kitne achche se sujal, kashish ke emotions ko potray kiya... the romance betwen the two of them has started increasing every time they see each other.. sujal kii woh flirting with kashish.. kashish kii woh sharam.. sab kuch A1.. aur wise sujal ke jaise mujhe bhi nahii patah tha kii kashish muskurane ke bahane sujal ke gale lagthi hai.. too cute... waise sujal ne kashish se wadaa tho kar diya hai, kii kashish ke haathon par ussi ke naam kii mehendi lagegi.. and sujal tho kabhi apna wadaa thodtha nahii.. he always keeps his promise no matter what.. ab aayega mazaa.... then woh mehendi ka scene, jahaan siddarth ka bulaya jaatha hai kashish ke haathon mein apna naam likhne ke liye.. aur sujal itne cleverly baat ko sambhaltha hai, aur isse pehle kii siddarth kuch samaj paaye sujal apna naam kashish ke haathon par likh detha hai... wowwwwwww... sujal tum tho poori tarah se chah gaye... aur ab jab sujal ne naam mitaya phir bhi woh naam apna chap chod kar chala gaya, maano jaise kashish ke haatheli par sujal ka naam sama gaya... gooddddddddddddd... is baat par main siddarth se pooch na chahthi hoon ab kya karoge siddarth.. sujal tho sirf kashish kii haatheli par uske nas-nas mein basa hua hai.. woh sujal hai joh kashish ke dil par raaj kartha hai.. ab kya kar loge, kar lo, lekin haarr tho tumari hii hogi.. zaroor hogi tumhari harr siddarth... waise i liked nandini in the whole sequence jaise she was challenging siddarth, then jaise woh taana marrthi hai vasu ko kii samajdaar ko ishara hii kaafi hotha hai.. lekin is baat par i would like to tell nandini , nandini yeh vasu ko akal hii nahii hai.. aur woh na hii samajdaar hai.. tho usse koi umeed rakhna bekaar hai.. hehehe.. aur mujhe is baat kii behad khushi hai kii sujal, ne kashish se kiya hua apna wadaa nibha diya.. kashish ke haathon mein sujal ka naam bhi likh diya.. ab tho bas doli uttne kii dher hai... kashish dear very well written.. tum tho poori tarah se chah gayi.. i'am loving your writing, from the bottom of the heart... wonderful, beautiful, lovely, superb.. absolutely out-standing.... šŸ‘ now kashish dear coming to mu guess work on the forth coming parts.. forth coming parts ke liye i think kii the story is going to get very interesting.. shayad siddarth will do something with shaurya, aur usse he will blackmail nandini.. and due to this sujal, kavya aur angad bhi kuch na karr paaye... shayad sujal, kashish ko kuch pal ke liye judayi ka ghum sehna hoga.. dono ek doosre ke liye tadpe.. lekin sujal tho itni aasani se harr nahii maanega.. woh kuch bhi karega, lekin siddarth kii sachchayi ko sab ke saamne laayega.. and then shayad kashish kii aur sujal kii shaddi bhi hogi, aur is shaddi ke khilaaf vasu aur swayam honge... lekin woh kuch karr hii nahii paayenge to stop sujal, kashishs wedding... i think in the coming up parts kashish kii doli sujal ke naam ka uth hii jaayegi... so kashish dear yeh mera guess hai for the forth coming parts.. tho kya mera yeh guess sahii hai.. mujhe zaroor batana...šŸ˜‰ kashish dear next part please jaldi se post karna.. me waiting for the next part very damn eagerly.. 😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-12

Aaj Kashish ke sangeet ka din tha lekin jaise Kashish ke chehre pe koi khushi koi raunak hi nahi thi.........haa dil me ek darr tha Sujal se durr hone ka...........aur isi darr ke saath woh taiyaar hoke neeche aati hai sangeet ke liye..............aur woh jake Kripa aur Anjali ke beech beth jati hai................Kashish ki aankhoin se halke halke aanshu ki boondein gir rahi hoti hai jo Nandini dekh leti hai aur phir Sujal ki aur dekhti hai jiski aankhoin me bhi dard hota hai...................

Nandini: to aapne kya socha hai..........aap sabko sach bata rahe hai ki hum jake Kashishjee se keh de ki jisse woh shaadi karne ja rahe hai hum unki patni lagte hai.........

Sidhdharth: tum aisa kuch nahi karogi...........

Nandini: hum aisa karenge aur karke rahenge..............

Nandini Kashish ki aur aage badhti hai jab Kashish daudti huyi darwaze ki aur chali jati hai.............sab log hairan hoke dekhne lagte hai ki aise...........jab woh dekhte hai ki Kashish kisi 50 saal ki aurat (Aroona Irani)ke gale lag kar ro rahi hoti hai.............

Kashish: Daima...........aap kaha chale gaye the.......pata hai hum aapko kitna yaad kar rahe the..............

Daima: beta.....kya hua........aur yeh sab kya hai........

Kashish: aap andar to chaliye...........hum aapko batate hai...............

Kashish aur Daima andar aate hai.............

Vasu: Swayam........yeh yaha kaise aa gayi..........yeh to ek mahine bad aanewali thi.........

Swayam: pata nahi..........

Daima: bata yeh sab kya hai...............yeh kiski shaadi ho rahi hai...........

Kashish: hamari............

Daima: tumhari shaadi.............tum to shaadi ko leke kitna khush hua karti thi to aaj ro kyun rahi hai..........

Kashish: kyunki hum yeh shaadi majburi me kar rahe hai...........

Daima; majburi kaisi..........

Kashish: Babasa ne hamara rishta Udaipur ke Sidhdharth Singh Rathor se tai kar diya tha .........ab hum sirf apne Babasa ka vachan nibha rahe hai.............

Daima: lekin yeh sab jooth hai............

Kashish: jooth..............

Vasu: Krishna.........tumhe kuch nahi pata aur tum hamare ghar ke mamlo me na bolo to achcha hai.........

Daima: maff kijiye.............agar aaj meri beti ki zindagi ka swal na hota to main kabhi rajgharane ke mamlo me beech me na bolti...............

Vasu: tum apni maryada bhul rahi ho..........

Daima: maryada to aapne par kar di hai...........agar aap Kashish ko apni beti mante to itna bada khel na khelte meri bachi ke saath...........aapko pata hai ki woh sab seh legi is liye aap uspe julam karte rahe.........lekin abhi bhi Kashish ki daima zinda hai..............uski zindagi ka faisla main kar sakti hoon kyunki maine Kashish ko maa ki tarah pala hai.......

Kashish: Daima............aap shant ho jaiye.......ab kuch nahi ho sakta.......kal hamari shaadi hai........

Daima: koi shaadi nahi hogi............kyunki sach kuch aur hai.......sach yeh hai ki tumhare Babasa ke pass Sidhdharth Singh Rathore ka rishta aaya tha lekin tumhare Babasa ne use thukara diya tha............janti ho kyun............kyunki tumhare Babasa chahte the ki tum apne humsafar ko khud chuno...........woh tumhe khush dekhna chahte the...........usne hamesha wahi kiya jisse tuje khushi mile to woh aisa kabhi nahi kar sakte..........aur pata hai unhone mujse kya kaha tha.........unhone kaha tha ki Krishna hum chahte hai ki hamari Kashish is Raj gharane se durr kahi aisi jagah apna ghar basaye jaha pe use sirf pyar mile .......aur aap keh rahe hai ki yeh Babasa ka tai kiya rishta hai..........yeh Babasa ka nahi balle tumhari Maasa aur Bhaisa ka khel hai.........puch usse ki usne aisa kyun kiya...........

Kashish: Maasa..............aapne .............

Nandini: Kashishjee..........isse pehle aap kuch kahe........main ek aur raaz kholna chahti hoon........

Sidhdharth: nahi Nandini tum kuch nahi bologi..........

Nandinil kyun na bole.............bahot darr darr ke zindagi jile humne ab aur saha nahi jata...........humne bardasat kar liya lekin ab koi nahi karega.............jisse aapki shaadi tai ho gayi hai woh hamare pati aur hamare bete ke pita hai...........hum Udaipur ki Maharani Nandini Sidhdharth Singh Rathore hai..........ab aap apne sare sawaal ka jawaab apne maasa aur bhaisa se puch sakte hai ki unhone aapke saath aisa jaan bujke kyun kiya....................

Kashish puri tarah se tutke wahi beth jati hai...........jab Sujal uske pass aake sambhalta hai.........

Sujal: tum thik to ho.......

Kashish: haa.........shayad hosh to ab shambhala hai..........hume kuch Maasa se baat karni hai.............

Sujal; lekin..........

Kashish: humne kaha na................

Sujal: hmmm........

Sujal helps her to stand..............Kashish goes near to vasu...........

Kashish: maasa aapne aisa kyun kiya hamare saath................aapto hamari maasa hai phir bhi.........aapne hamara haath aise insaan ko dena chaha jiski shaadi tak ho chuki hai............hume apni maasa ka chehra yad nahi lekin haa humne dil se aapko maasa mana tha aur man rahe hai...............pata hai itna dukh hume tab bhi nahi hua tha jab aapne hume marni ki sazish rachi...........lekin aaj Babasaa ke naam ki aad me aapne........hamari galti kya hai.....ki humne aapko maa mana..........aapko puja aur aapne hamare saath hi............aapko haveli chahiye thi na............ek bar keh diya hota to main haste haste Bhaisa ke naam kar deti lekin aap is haveli ko bechna chahte hai jo hum nahi hone de sakte.............aaj aapne aisa na kiya hota to hum khushi khushi sab kuch aapke naam karkar hamesha ke liye aapse durr chale jate.............lekin aapne aaj hamare dil ko itni thes pahochayi hai ki hum aapko kabhi maff nahi kar sakte...........lekin agar aaj hamari jagah aapki apni beti hoti tab bhi aap aisa karte..............jab maine kabhi apne aur Bhaisa me sotela nahi samja to aapne hume kaise sotela samja...............aur bhaisa aap bhi..........bhul gaye aap jab bachpan me aap ki waje se humne babasa kitni dant khayi thi...........aap to apni behensa ko khush to nahi rakh paye lekin aapne to us rakhi ki bhi koi kadar nahi ki..........hume her waqt aisa hi lagta tha ki hum kitne kismatwale hai ki hume.................maasa....bhaisa....sare rishtey mile.........lekin hume kya pata tha ki jis rishton se hum pyar karte hai woh to bahot hi khokhle kisam ke hai..............ab hum aapko is haveli me rehne ki izzazat nahi de sakte kyunki aaj aapne hume hi nahi hamare babasa ko bhi zalil kiya hai..........lekin hum aapko beghar bhi nahi kar sakte kyunki aaj bhi rishtey me aap hamare maasa aur bhaisa hai............is liye hum aapse gujarish karte hai ki aap Jaislmer ki haveli chale jaye............aur yeh shayad hamara aapki aur aakhri Namaskar..............

Vasu aur Swayam waha se jane lagte hai.........

Kashish: Maasa ek baat hum aapko batana bhul gaye.............hamari shaadi kal hogi zaroor hogi lekin aapke banaye huye is khel me nahi..........kal hum apne pyaar ke saath saat phere le rahe hai...............haa aapke is khel me humne bahot dard diye hai Sujal ko..........woh insaan jisne bina kuch mange humne se bahot kuch mang liya.............jante hai usne mang ke hume kya diya hai.........hamare aanshu ko mang ke hume khushi di hai..............hum pehle se jante the aapke is khel ke bare me kyunki sujal hi sari sachchai jan ke aaye the..........ab aap hi bataiye ek insaan hamare liye itna sabkuch karta hai uska haath hum kaisi chod sakte hai..............jisne hume phir se jine ki umeed di hai...........jisne hume hasna sikhaya............jisne hume zindagi ki asli mayne sikhaye.,,,,,,,,,,,Sujal ne hume pyaar ka ehsaas karaya..........aur hum bhi use bahot pyaar karte hai aur hum usse kal isi mandap me shaadi kar rahe hai.................

sab log hairani se Kashish ko dekhte reh jate hai ki Kashish ne aaj sab ke samne itni badi baat keh di..........Vasu aur Swayam waha se chale jate hai..................Nandini aur Sidhdharth bhi jane lagte hai...........

Kashish: Nandinijee..........

Nandini: nahi Kashishjee hume jane dijiye.......ab kehne aur sunne ko kuch nahi bacha........haa apne pati ki galti ke liye hum aapse mafi mangte hai..........

Kashish: mafi aap kyun mang rahe hai.........kisi aur ki galti ki saza aapne to puri zindagi ki saza mil rahi hai..........

Nandini: kya kare jaise bhi hai hai to hamare Pati............

Kashish: Sidhdharthjee.......waise hume to aap pe bahot gussa aata hai lekin aapki patni ko dekh ke lagta hai kahi kuch to achchai aapme hogi ki abhi bhi aapki patni aapka saath de rahi hai.............aap bahot kismatwale hai ki aapko Nandinijee jaise jeewansathi mile...........kehte hai ghar tutte dair nahi lagti aur basane me barso nikal jate hai............aaj aapka ghar tutne ki kagar par hai..........haa aap apni galti ko man ke ek naye arse se apni zindagi shuru kar sakte hai..........pichli zindagi me jo kuch bhi hua us bhul jaiye aur naye tarike se apni patni aur bete ke saath zindagi jiye............aapki patni ko aapke bete ko aapki aapke pyaar ki zaroorat hai..............jaiye aur apna ghar phir se basane ki koshish kijiye............

Nandini aur Sidhdharth bhi chale jate hai...............

Daima: Kashish.........

Kashish: jee daima..........

Daima: apne pyaar se nahi milaogi jiske wase tu aaj sabse lad padi.........

Kashish: aaiye Daima..............Sujal yeh hamari Daima hai.......pata hai........Daima ne hume palne ke liye khud kabhi shaadi nahi ki........hume maa se bhi jyada pyaar kiya..........aur daima yeh Sujal...........

Sujal daima ke pair chuta hai............

Daima: jita reh.........main na aaj bahot khush hoon...........meri beti ne bada sahi faisla kiya hai...........muje apni beti ki pasand pe naz hai............ab to kal dhoom dham se shaadi hogi...........lekin abhi sangeet ko to mehfil sajana hai............kyun Kashish..........

Kashish: nahi daima.....hum kaise.............

Daima: Kashish...........aaj tu apne dil ki sun..........aur main janti hoon meri beti ka dil kya keh raha hai............to chal aaj jile apni zindagi...........

Kashish: Daima.........I love you..........

****************************************************************************************************

Kesariya Baalam, Kesariya Baalam, Kesariya Baalam, (Kashish apna Sujal ke samne jake apna haath aage karti hai)

Padhaaro Maare Des Mein, Padhaaro Maare Des Mein (Sujal apna haath Kashish ke haath me rakhta hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re

Piya Re Piya Re Piya Re (Anjali aur Kripa kashish ko durr le jate hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re (Kavya aur Angad SUjal ko durr le jate hai)

Sharmayi Choodi, Ghabaraya Kangana

Aaa (Sujal Kashish ki chudi khankata hai kashish ki palke sharam se juk jati hai)

Bhaj Uttah Jaangra

.Dhak Se Dhadka Yeh Baawra (Sujal Kashish ki payal ko chankta hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Kashish sharmake waha se jane lagti hai)

Chunari Chadaayi, Salma Sitaara, Ghaaghra Bootedha (Sujal Kashish ka dupatta pakad leta hai)

Piche Kateele Naino Mein Sohe, Surmaayi Kajre Ke Dhaar (Kashish wapad mudti hai lekin sharam se apni palke utati nahi)

Sakhiyon Ne Sola Singaar Bhi, Sakhiyon Ne Sola Singaar Bhi (Sujal Kashish ke zumke ko hilata hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Kashish Sharmake waha se jane lagti hai lekin kashish ka dupatta Sujal ki watch me fas jata hai)

Laajo Sajan Ko Ghungta Bichaa Ke, Khole Na Apni Zubaan (Sujal use nikal ke pyaar se use dulhan ki tarah dalta hai)

Sapno Ki Kaliyan, Palko Mein Ddaa Ke, Mare Huyi Beyimaan (Kashish apni palke uthake Sujal ki aur dekhti hai)

Dard Yeh Kaisa Oh Baalma, Dard Yeh Kaisa Oh Baalma (Kashish ki aankhoin me khushi ke aanshu hote hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Sujal uske aanshu ko poch ke use rone se na kehta hai)

Aayi Samarpan Ki Aaj Bela, Hoton Pe Jaagi Hai Pyaas (Sujal Kashish ko apne gale se lagata hai)

Ehame Badan Mein Khushboo Ka Rela, Yovvan Ki Mehki Hai Kaaz (Kashish bhi bahot khush hoti hai Sujal ke baahoin me)

Bahon Mein Sajan Le Pyaar Se, Bahon Mein Sajan Le Pyaar Se, (sab log aise dono ko dekh ke bahot khush hote hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Jab daima dono ko alag karte hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re

Piya Re Piya Re Piya Re (sab log saath milke nachte hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re (sujal Kashish ka haath pakad ke use bahar le jata hai)

****************************************************************************************************

Kashish: yeh aap kya kar rahe hai.....kaha le ja rahe hai............chodiye koi dekh lega...........

Sujal: to kya hua.........kal hamari shadi honewali hai.............main jo chahe woh kar sakta hoon........

Kashish: jee nahi..........aap aisa vaisa kuch nahi karenge hamare saath.............aur yeh hum achchi tarah se jante hai...........

Sujal: achcha itna yakeen karti ho..........

Kashish: ab hum khud pe yakeen nahi karenge to kispe karenge..................lekin aaj bahot khush hai..........

Sujal: woh to tumhare chehre se bayan ho raha hai..........lekin muje nahi pata tha ki tum itna achcha nachti aur gati ho.........

Kashish: yahi to hamare rajshathan ki shaan hai.............

Sujal: aur isi ada ka to main deewana hoon.........waise tum aaj bahot khubsurat lag rahi ho........

Kashish: aap bhi aaj bahot achche lag rahe hai.......................

Sujal: achcha..........pehle to kabhi kisi ne nahi kaha.........

Kashish: sab baat batana zaroori hai..........

Sujal; waise muje dikhao to sahi tumhari mehndi kaisi hai............

Kashish: yeh lo.........

Sujal; are wahh..........mehandi ka rang to bahot gehra chada hai...............

Kashish: haa sabhi yahi kehte hai..............

Sujal; un sabne yeh nahi kaha ki iska matlab tumhara honewala pati tumse bahot pyaar karega.........

Kashish: kaha na..........

Sujal; hmmmm..........lekin muje nahi lagta ki tumhara honewala pati tumse koi khaas pyaar karta hai..........

Kashish: Sujal yeh aap...........

Sujal: main kya.............

Kashish: aap aisa mat kijiye.........hum aapse bahot pyaar karte hai aur hum jante hai ki aap bhi...........

Sujal: nahi Kashish main tumse pyaar nahi karta...........

Kashish: aap jooth bol rahe hai.........

Sujal: main tumse kyun jooth bolunga............

Kashish: kahiye na ki aap humse pyaar karte hai.......aapko hamari kasam............

Sujal: main tumse pyaar nahi.........balke bahot pyaar karta hoon...........

Kashish: aap bhi na...........aapne hamari jaan nikal di thi...........

Sujal: aapki jaan ko kaise nikal sakte hai aakhir aapki jaan me meri jaan jo basti hai...........

Kashish: bahot pyaar karte ho na..........main bhi.........

Sujal; i love you Kashish.......

Kashish: i love u too.......

Sujal kissed kashish's forehead and they both hug in moonlight................

Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
amazing part kashish
i really liked dai maas entry and the way she told the truth.
finally vasu and swayam left the havali hope they dont caause any more problems 4 kashish.
the song that u included in the part was really nice cant wait till sujal and kashish get married.The romantic moments between them were the best.
Paru6 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
just caught up with ur stry.... its really amazing šŸ‘ šŸ‘ šŸ‘ šŸ‘ šŸ‘ cont soon
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
awesome part kashish...........................finally vasuji aur swayam ki asliyat sab ky samne aa he gai.........................aur ab sujal kashish ki shaadi hogi......................itz party time.......................con't soon

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ā–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".