Hey jaani..yeh song aap k liye..😃
Goonji si hai sari fiza
Jaise bajti hon shehnaiyan
Lehraati hai mehki hawa
Gungunaati hain tanhaiyan..
Sab gaate hain, sab hi madhosh hain
Hum tum kyun khamosh hain..
Saaz-e-dil chhedo na
Chup ho kyon gao na..
Aao na, aao na, aao na, aao na..
Tan man mein kyon aisi dehki hui
Thandi si ik aag hai
Ho saanson mein hai kaisi yeh ragini
Dhadkan mein kya raag hai..
Yeh hua kya hamein humko samjhao na
Yeh hua kya hamein humko samjhao na..
Sab gaate hain, sab hi madhosh hain
Hum tum kyon khamosh hain..
Dil mein jo baatein hain
Hothon pe lao na..
Aao na, aao na, aao na, aao na..
Ab koi doori na uljhan koi
Bas ek ikraar hai
Ab na kahin hum, na tum ho kahin
Bas pyaar hi pyaar hai..
Sun sako dhadkanein itne paas aao na
Sun sako dhadkanein itne paas aao na..
Sab gaate hain sab hi madhosh hain
Hum tum kyon khamosh hain
Ab mere sapnon pe
Tum hi tum chhao na..
Aao na, aao na, aao na, aao na..
Goonji si hai sari fiza
Jaise bajti hon shehnaiyan
Hey lehraati hai mehki hawa
Gungunaati hain tanhaiyan
Sab gaate hain, sab hi madhosh hain
Hum tum kyun khamosh hain..
Saaz-e-dil chhedo na
Chup ho kyon gao na..
Aao na, aao na, aao na, aao na...😳