This poem is written by me. Hope u'll like it. Do give the feedback...
Kia karo gay???
Ho jis khata peh tum ho rothay,,,
Hui khata na tu kia karo gay???
Apni dil ki adaalatoon main saza kay pehlu ko dhoondtay ho,,,
Jo itnay saaloon keh bawajood mili saza na tu kia karo gay???
Swal hai keh sakoon ki khatir kis had ko tum ne khatam kia hai??
Per hadoon keh paar pohanch keh bhi mila maza na tu kia karo gay???
Hazaar ghaltiyaan kar chuka hoon, ab sajday main sir jhuka hai,,,
Ibadatoon keh bawajood Khuda hua raza na tu kia karo gay???
Kitnay arsay ki museebatoon ko apnay andar chupa lia hai,,,
Jo is baar bhi ghata ke baad i fiza na tu kia karo gay???
Main ne tum ko apnay man se, apnay tan se chahatoon ki devi jana,,,
Jis ki tum nay ki hai pooja, hua khuda na tu kia karo gay???
Mujh say nazrain pher ker, talaash kar liya kisi aur ko,,,
Per mehfiloon main nazar uthey aur main mila na tu kia karo gay???
350