*k so dialogue spamming..*
Humsafar firsht😛
+++++++++++
Khirad -
Tumse saamna ab mein sirf roz-e-hashar chati hoon Ashar Hussain! iss dunya mein nahin!
yahan tum taqatwar ho aur main kamzor hoon :(
jab mujh par zulm hoa toh sabse bade zalim tum they, mein yeh baat kabhi nahin bhoolongi, Qayamat ke din tak yaad rakhoongi main
aur us roz jab mezaan qaem hoga sabse badi adaalat lagegi, sab munsifon se bada munsif insaaf kar raha hoga, tab tumhe kahin panah nahi miley gi tumhare saari taqat us roz khaak mein mil jayegi!
jab tak mein tumhe maaf nahin karoongi Ashar, mera Allah bhi tumhe maaf nahin karega aur Ashar Hussain apni beti ki qasam kha ke kehti hoon us roz mein tumhe maaf nahin karoon gi...!!
😭👏
+++++++++++++++
asher - tum usse nafrat karte ho, aur woh tumhe tumhare nafrat se zyada nafrat karti hai, iss surat main dono toh sahi nahi ho saktey..
...tumhe aaj iss haal mai dekhkar mujhe samajh nahi aa raha ki, chaar saal akele tum kaise hareem ki bimaari se ladti rahi, main nahin jaanta ki khirad tumne jo kiya woh kyun kiya, par main ek baat jaan chuka hoo, ki main tumse nafrat karne main haar gaya hoo🥺
+++++++++++++++++++
Khirad - asher, aapne meri izzat ki gawaahi toh de di, par humaare bich chaar saal nahi, chaar sadiyaa illahil hai, mohabbat mari toh nahi hai, par kahin kho zaroor gayi hai😭 agar aaj mujhi ko, mujhse maangenge, kahaa se laaogi mai apna wajood..mai uss khirad ko kahaa se laao jo chaaro peher aap par apne aapko nyochhawar karne ke liye taiyaar rahti thi..
asher - toh mat dhundo tum apne aapko khirad, main toh mohabbat ke kaabil hi nahi ho, mohabbat karne wale meri tarah tangdil nahi hotey, mohabbat karne wale meri tarah hargeez nahi hotey..tum beshak mujhse nafrat karti hogi aur tumhe saari umar karni chahiye, shayad isse mere andar jalta hua lau kucch kum ho sakey😭💔
+++++++++++++