CHAPTER 6 - The sisterly bond
Scene - A garden of Magadh Rajmahal
Mohini - Hum tumse vinti karte hai Manyata, itni dukhi mat raho... khush raho!!
Manyata - Mohini, hum jitni prasannata dikha rahe hain asal mein hum utne bhi prasanna nahi hain. Agar tum hume apne priya pita ko bhoolna nahi sikha sakti, to hume khush dekhne ki aasha mat rakho...
Mohini - Haan ab hum samajh rahe hain. Tum humse utna prem nahi karti jitna hum tumse karte hain. Agar aisa hota to tum humare pitaji ko hi apna pita maankar khush rahti... yadi hum tumhare sthaan par hote, to aisa hi karte..
Manyata - Theek hai behna hum tumhare liye kuch bhi kar sakte hain... aaj se hum tumhare saath prasanna rahenge.
Mohini - Ye hui na baat!
Tum to janti ho ki hum pitaji ki eklauthi santaan hain. To unhone jo tumhaare pitaji ke saath kiya, uske badle mein jab singhaasan humare haath aayega, tab hum tumhe saup denge kyonki tum hi iski sacchi uttaradhikari ho... yadi humne apna vachan toda to hum mar jaayenge... toh isliye tum prasanna raho..
Manyata - Haan avashya prasanna rahenge... par hume batao apna man bahlaane ke liye kya kare? prem mein pad jaaye to?? 😛
Mohini - Lekin dhyaan rakhna ki khel khel mein ya sach mein agar tum kisise prem karo to tumhe bina kisi daag ke usse bahar bhi aana padega...
Manyata - To phir hum kya kare??
Mohini - Haaan... ek kam karte hain, hum niyati ki devi ki ninda karte hai! vah apne saare uphaar soche samjhe bina baatthi hain...
* Niyati ki devi - Goddess of
Fortune
CHAPTER 6 done... plz comment!!!
Edited by frozen.devil - 12 years ago