Originally posted by: max_thakker
Oh my lord , marriage certificate, well I hope ur story involves major romance and I can't wait to spread it further
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 26th Oct 2025 - WKV
PICHLE JANM KA PUNYA 26.10
Actor Satish Shah Passes Away
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 26, 2025 Episode Discussion Thread
PHATHAKHEE 27.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27 Oct 2025 EDT
Clip of Deepika justifying infidelity and cheating is going viral
5000 Episodes..
Pakistan Puts Salman Khan On Watch List
Settle all 3 in Virani's family
Alia's agenda behind friendship with Katrina
The Girlfriend - Rashmika - trailer out now.
Male r*pe yuckkkk ??????
Kyunki forums beats yrkkh forum
Finally watching the Bill Gates epi. Live updates: pics attached
Why does Govinda not take on Dad/older brother roles?
24 years of Asoka
Originally posted by: max_thakker
Oh my lord , marriage certificate, well I hope ur story involves major romance and I can't wait to spread it further
Thank you all everyone for reading this story. Here comes the next part 😊
Part 5
Noor enters into Zoya's room and looks at Zoya wiping her tears & trying to hide Adi's pic.
N (Thinking to herself): Allah kasam appi agar aap hamari badi behan na hoti na toh hum aapko pakad kar Hooda mansion le jaate aur adi bhai ke saath room mein lock kar dete. Hame yakin hain ki 1-2 dino ki qaid mein aapki akal thikaane aa hi jaati aur aap khud ko aur adi bhai ko saza dena band kar deti.
Zoya looks up to Noor who is making strange expressions.
Z: Noor! Kya hua aapko? Aap theek toh hain?
Noor shakes her head & says no! I mean yes aapi hum bilkul theek hain while thinking to herself (soch kuch soch noor).
Z: Toh phir aap aise ajeeb se expression kyun de rahi thi?
N: Kuch nahi appi! Drama ki rehearsal actually!! Hamne aaj na arjun ko satane ka ek jabardast plan banaya hai so ussi ki thodi rehearsal kar rahe the (giggles)
Z: Tauba Noor!! Kya hain Aap? Kyun aap bechaare Arjun ko pareshaan karti rehti hain? Sach mein aap toh hadd hain (smiles). Uss bechaare ka bp badha kar rakha hoga aapne?
N: Koi BP VP nahi badhne wala arjun ka!! Woh bas aap badon ke saamne sar jhuka kar adab se sanskaari bachcha bana rehta hai par shararat mein woh hum se bhi aage hai.
Z (smiling): Achcha hame toh nahi lagta. Hame toh lagta hai ki uss ghar mein Aditya se bada shararati koi ho hi nahi sak... (Suddenly stops)
Noor hugs Zoya from the back
N: Bahut miss kar rahin hain na aap adi bhai ko!!
Zoya nods...
N: Thank god appi!! Aapne ye maana ki aap adi bhai ko miss kar rahin hai. Waise jab Miss Kar hi rahin hain toh problem kya hai? Phone uthaiye aur baat kijiye.
Z: Nahi Noor!
N: kyun nahi?
Z (tearing up): Hum nahi kar sakte phone adi ko. Itne dino mein unhone hame ek baar bhi call nahi kiya aur na hi milne aaye. Last week aapke birthday par bhi sab log Mumbai se aaye par Aditya nahi aaye. Hame samajh nahi aa raha ki hum kya karein? Hame pata hai ki hum bahut khudgarzi wali baatein kar rahein hain, Pehle hum unse khud door huye apni kashmakash ki wajah se aur ab hame unhe khone ka darr satata hai? Hum sach mein pagal huye jaa rahe hain. Bahut takleef di hai hamne unhe.
N: Appi hum bata nahi sakte ki hum kitne khush hai (starts jumping)
Z (surprised): hamari pareshaani mein aapko khushi mil rahi hai? Noor aap sach mein theek hain?
N (stops jumping and hugs Zoya tightly): Itne dino ke baad hi sahi aapne maan toh liya ki aap unhe khone ke khayal se darr rahi hain (teases zoya) Waise aapka darr wajib bhi hai appi, aakhir hamare adi bhai hain hi itne dashing ki ladkiyon ki toh line lag jaati hogi unke aage pichche Mumbai mein. Airport par air hostesses toh unke aage pichche hi rehti hongi.
Z: Noor aap phir shuru ho gayi. Adi aise nahi hain.
N (starts laughing): oye hoye appi!! aaj ye suraj nikla kahan se hai? Aaj aap adi bhai par itni meharbaan?
Z: Noor!! Aisi baat nahi hai ki humne itne mahino mein kabhi adi ko yaad nahi kiya ya phir apne faisle par dobara socha nahi. Lekin pichle kuch dino mein bahut si baatein aisi huyi hai jinhone hame ehsaas kara diya ki hamara adi ke saath apne rishte ko lekar itna darna theek nahi tha.
N (pleasantly surprised): Kya? Kya hum sahi sun rahe hain appi? Aap apne faisale ko gair wajib yani galat keh rahi hain?
Z: Haan Noor! Kai baat aisi pata chali jinhone hamari akal par pade parde hata diye aur ehsaas kara diya ki har rishta alag hota hai aur uske nibhaane ka tareeka bhi. Hame hamari galti ka ehsaas ho gaya hai. Yash aur Aditya do alag insaan hain aur unke saath hamara rishta bhi alag hai. Yash ke saath hamara zidd wala pyaar tha jahan humne apne parivaar ki keemat par unhe paaya aur unhone hame khone mein waqt bhi nahi lagaya. Aur dusri taraf aditya hain jo hamari wajah se huyi har mushkil ke baad bhi hamare saath bane huye hain kagaz par hi sahi. Woh apna waada nibha rahe hain. Hum unki patni hain duniya ki nazron mein aur ye haq abhi bhi hamara hai
N (wiping her tears): Appi hum bata nahi sakte ki hum kitne khush hain ye sun kar ki aap apne rishte ki ahmiyat jaan gayi hain aur adi bhai ke pyaar ko bhi sach mein maan gayi hain. Par ye ajooba hua kaise? Kiski baton ne itna asar kar diya aap par?
Z: kai logo ki baton ne!! Pehle Ammi ne hame marhoom Rukhsar khala ke baare mein bataya jo kam umar mein hi bewa ho gayi thi aur unse hamare london wale Waqaar chacha nikaah karna chahte the. Lekin uss waqt duniya samaaj ke darr se rukhsaar khaala ne mana kar diya jabki ammi abbu chahte the ki ye rishta ho par woh iss baat se darr gayi thi ki log kya kahenge? Waqaar chacha ne kabhi nikaah nahi kiya aur Rukhsar khala issi gham mein iss duniya se chali gayi ki unki wajah se Waqaar chacha kabhi apni zindagi mein aage nahi badh paaye.
N: Kya? Rukhsaar khala aur Waqaar chachu? Hame toh yeh pata hi nahi tha. Aur kisne kya kaha appi?
Z: Phir phichle hafte office mein ek colleague ne apni behan ki shaadi ke liye invite kiya aur unki kahani batayi tab hame ehsaas hua ki duniya ke darr ki wajah se hum kitne logo ko dukhi kar rahe hain. Adi ko, dono families ko aur sach kahein toh sabse jyada apne aap ko (sighs)!!
N: Unki kahani mein kya tha?
Z: Unki behan Shweta apne pariwar ke saath gaon mein rehti thi aur graduation ke dauraan hi unki shaadi tay ho gayi thi. Par theek shaadi se ek hafte pehle ladke ne yeh kehkar shaadi se mana kar diya ki ladki chhote shehar se hai aur woh ek MNC mein engineer ban gaye hain aur desh videsh mein aate jaate hain. Unke mutabiq shweta unke saath adjust nahi kar sakti thi. Shaadi tootne ke baad shweta depression ki shikaar ho gayi aur suicide ki koshish ki. Lekin unki family ne unhe support kiya aur unke treatment ke baad shweta ne apni graduation complete ki, civil services exams clear kiye aur foreign services mein select ho gayin. Training ke dauraan unhe Rohit mile jo khud ek bure rishte se ubar rahe the. Dono ek dusre ka dard baatne lage aur phir aakhri mein unhone shaadi ka faisla le liya. Aaj unka parivaar kitna khush hai. Happy's ending u see (smiles). Kai baar do toote dil milkar ek poori zindagi bana lete hain.
N: Ye toh bahut achcha hua na appi. Hame khushi hai ki aapko ehsaas ho gay ki hame zindagi ko doosra mauka dena chahiye khule aur saaf dil se...
Z: Haan Noor! Hamne faisala kar liya hai ki hum Rukhsaar khala ki tarah zindagi nahi bitayenge balki Shweta ki tarah apni zindagi mein pyaar ko doosra mauka jaroor denge. Anjana maa ne bhi hamse yahi kaha tha ki zindagi mein kai baar hame aise faisale lene padte hain jo bhale hi uss waqt hamare dil ko gawara nahi hote par aakhri mein jaakar sab kuch sahi ho jaata hai. Zindagi mein hame sabko ek aur mauka jaroor dena chahiye.
N: Not bad haan appi! Anjana maa hmm!!
Z (blushing): Haan hain toh woh saasuma hi na!
N (hugging her tightly): Toh matlab ye samjhoon ki aapki life mein devdas wala period over ho gaya aur DDLJ chalu hmm...
Z: haan par ek mushkil hai (giggling)
N: Woh kya?
Z (blushing): Hamare Adi...
(To be continued)