Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 25th Oct 2025 - WKV
APAHARAANN 24.10
PLAN CHANGED 25.10
🏏India tour of Australia, 2025: Australia vs India, 3rd ODI, Sydney🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 25, 2025 Episode Discussion Thread
Actor Satish Shah Passes Away
Tanya Boss not Bigg Boss
AT - Abhishek Bajaj 🐐 Humara Bajaj ❤️
Akash & Isha Ambani s birthday celebration in Jamnagar.
Ayan told Karan he blundered leaving Dharma
🏠Caption Writing Contest -Bring Pictures to Life!🏠 RESULTS
I'm disgusted
Sunny Deol accuses few actors of corporate bookings
Abhinav Kashyap about Aamir & Saif
Sooooo Happy with This Weeks Elimination
The Girlfriend - Rashmika - trailer out now.
Ram Aur Shyam By Anees Bazmi
Kyunki forums beats yrkkh forum
Sorry for the late update. Thank you all for liking and commenting on my story. It really means a lot to me. So a big THANK YOU to all for taking their time out and reading it. Hope you will like the next parts as well. So, here comes the next part J
Part 3
Noor continued her rant.
N: Appi hame pata hai hamari engagement party mein Mahi ne aapse bahut kuch kaha tha. Lekin usse iss tarah apne dil par lagane ki kya jaroorat hai? Jaise duniya mein ek wahi hai jiska opinion matter karta hai aapke liye aur hum sab kuch nahi?
Z (tears welling up in her eyes): Noor aap nahi samajh sakti. Yahan kasoor na hamara hai aur na hi aditya ka. Hum sab apni apni jagah sahi hain. Rahi baat mahi ki toh hum jaante hain hamse kaafi shikwe shikayate hain unhe. Lekin uss din unhone jo bhi kaha woh ek tarah se sach bhi toh tha na. Beshak hum murder case se bari ho gaye lekin log hamare aur adi ke rishte koh kabhi bhi yakeen se nahi dekh payenge aur ye hum nahi dekh sakte. Aur sirf yahi ek masla hahi hai aur bhi kafi masail hain jinhe suljhana jaroori hai.
Roshana enters
R: Aap dono ka nashta karne ka irada hai ya nahi aaj? Chaliye aap log neeche chaliye issse pehle ki aapke abbu nashta lekar yahin aa jaaye.
Z: (smiling through her tears) Ji ammi hum aa rahein hain and leaves.
N: Ammi aap hi kuch samjhaiyye na appi ko. Aap aur abbu kuch kehte kyun nahi appi ko adi bhai ke baare mein? Aapko toh pata hai na ki Adi bhai ne apne saare official documents mein Zoya appi ko apni wife ka darza diya hai. Unhone uss adhi adhoori shaadi ko apni zindagi ki sachchai bana rakha hai aur appi hain ki kuch samajhane ke liye tayyaar hi nahi. Aakhir kab tak chalega iss tarah ki ek rishta jo sirf adi bhai akele nibhate rahenge?
R: Hum sab jaante hain aur samjhate bhi hain noor beta. Lekin aap bhi ek baat samajhane ki koshish kariye ki beetein dino zoya ke saath itna kuch hua hai ki woh khud ulajh gayin hai. Zoya bahut sanjeeda bachchi hain unhe lagta hai ki ek baar unhone yash ko chunkar galti ki hai. Woh koi bhi kadam uthaane pehle ab hazaar baar sochengi. Aur hame ye waqt unhe dena hoga. Par ab itne dino ke baad hum aur aapke abbu zoya ke saath jaroor iss mudde par baat karenge.
Rahi baat Aditya ki toh yakeen maniye inn dono ko koi alag nahi kar sakta ye dono khud bhi nahi. Hum maa hain zoya ki hame pata hai hamari bachchi ke jehan mein kya chal raha hai. Unki subah aur raat adi ki tasveer dekh kar hi hoti hai. So aap fikr na karein hame yakeen hai ki aapse pehle aapki Zoya appi hooda mansion mein hongi. Kayi baar dooriyaan insaano ko aur nazdeek le aati hain. Adi ne bahut achcha kiya ki itne dino mein unhone ek baar bhi zoya se baat karne ya milne ki koshish nahi ki. Zoya ko mehsoos karne dijiye aditya ki ahmiyat unki zindagi mein aur unhe khud mehsoos karne dijiye ki unki zindagi aditya ke saath hi mukammil hain unse alag nahi.
Ab chaliye nashta kariye.
To be continued...\
PS. Adi will be making entry in next part :D.
Thanks again for reading J
Part 4:
N (Smiles & hugs her mother): Ameen. Khuda kare aisa hi ho ammi ki jab hum hooda mansion jaayein toh wahan appi pehle se maujood ho. Thank you ammi. Aap ne hamare dil se itna bada bojh utaar diya. Hame laga tha ki appi ke bina hum apni zindagi mein aage kaise badh sakte hain par ab aapke yakeen par hame yakeen hai.
R: (Hugging her back) hamari noor !! Chaliye ab nashta kijiye.
Zoya in her room at night.
Zoya is looking at Adi's pic in her phone & wiping her tears thinking about him.
Flashback
Noor overheard the conversation between zoya and mahi in the washroom on her engagement day, where Mahi berated zoya for moving on in her life with adi & how people will never believe that they were not actually cheaters. She taunted her that now since she was marrying into rich Hooda family she would be able to continue her lavish lifestyle. She went on to ask zoya as to what she would tell her children how she met their father? This was enough for Noor to come and smack her face had it not been zoya to intevene. She didn't want any more drama in her life & besides it was Noor's big day & she didn't want anyone to have bad impression of her. But later, Noor told everything to Aditya & adi being adi scolded zoya for always being soft towards evil mahi & called up mahi to give a piece of his mind.
But zoya, something inside her cracked that day. She was now questioning her choices and was unsure about her future with adi. Both of them had been through so much in last few days and that had made them so very close. Both of them had realized that they had fallen for each other. Everyone in the families was happy about them. Arjun & Noor never left a chance to tease them & Anjana used to join in teasing too. But now she was deep in self doubt. What if something goes wrong again? Is it seriously love or just a rebound for both of them? How can they be sure that they are not going to fall out of love like Yash Pooja did & stray? How they will be perceived in society given their past?
Zoya was deep in her thoughts a night before she was leaving for mussorrie, when Adi barged into her room in her rented apartment leaving her terrified &resulted in her smacking him hard on his back. But Adi went on to hug her and she couldn't help but hug him back but soon she excused herself and went back to packing.
A (Pouting): So Tussi ja rahe ho? Tussi na jao
Z: kitne filmy hain aap Adi? Par hamara jaana jaroori hai. Hum kuch waqt apne abbu aur ammi ke saath apne ghar mein beetana chahte hain.
A(pouting again): wow!! Tumhare abbu- ammi aur tumhara ghar? Aur mera kya? Begum jaan kuch iss taraf bhi karam pharmaiye aur bata dijiye aapne hamare baare mein kya socha hain?
Z: Sochna kya hai? Aap apni job join kar rahe hain. Aur apni flying enjoy kareinge aur...
A: Aur kya? Inn sab mein tum mere saath kahan ho? Main hamare baare mein pooch raha hoon? Hamaari shaadi ka kya? Jo adhi adhoori shaadi huyi hai uska kya?
Z(Turning away): hame nahi pata adi
A: Kya matlab tumhe nahi pata? Tumhe nahi pata toh kya main jungle ke sher cheeton se jaakar poochoo?
Z: Aditya please aap hame akela chhod dein.
A (holding her hand and making her face him): No way I'm going to leave you alone. U know that very well...(After a while) Ok Now I understand !! mahi... again. Kuch kaha usne phir?
Z (Eyes welling up): nahi unhone phir se kuch nahi kaha. Lekin jo bhi kuch uss din kaha woh galat bhi toh nahi tha na.
A (angrily): Kya matlab galat nahi tha se? Woh mahi kuch bhi bakwas bolegi aur tum uss par yakeen karogi ki sab uss ki tarah sochte hain... Brilliant!! (Slow claps). Kabhi kabhi toh mujhe doubt hota hai ki kaun sa aisa jadoo kar rakha hai mahi ne tum par ki tumhe saare logic saare facts sirf uski baton mein hi dikhte hain aur koi kuch nahi.
Z: Adi aisa nahi hai. Hum sab ki baat nahi kar rahe hum apni baat kar rahe hain. Adi hum taiyyar nahi hai abhi iss rishte ke liye. Hum aapse pyaar karte hain adi. Yeh kehne aur manane mein hume koi aitraz nahi hai.
A: Toh pir dikkat kahan hai damnit?
Z: Dikkat hume apne aap se hai. Hum khud to tayyar nahi kar pa rahe. Hum khud ko bharosa nahi dila pa rahe ki ye jo faisla hamne liya hai woh sabke liye sahi hoga. Aapke liye sahi hoga. Adi aap bhi jaante hai ki kahin na kahin hum apni pichli shaadi mein ek achchi biwi saabit nahi huye the. Kya hoga agar yahan bhi kuch aisa ho jaaye. Adi hame bahut darr lag raha hai. Kya hamara pyar waqt ki kasauti par khara utrega? Abhi tak hum dono do ajnabi the jo ek dusre ke saath ek hadse se jude the aur saath mein unhe uss bure waqt se muqabla karna tha jo humne kiya. Par kya hum aaj se paanch- dus saal baad bhi ek dusre se wafadaari nibha payenge. Kahin hum logo ke beech shaq ki deewarein toh nahi khadi hogi kyunki dhokha hum dono ne khaya hai apne apne rishton mein. Abhi hamara rishta naya hai taaza hai. Alag josh hai alag khushi hai. Har pal hume ek dusre ke baare mein kuch naya pata chalta hai. Lekin kuch waqt baad kya? Jab hum ek doosre ki achchai aur burai dono se bakhoobi wakif honge. Kya tab hamari kamiyan kahin hame ek dusre se door toh nahi kar dengi? Yahi sab soch kar hum pagal huye jaa rahe hai.
A (Holding her both hands): Zoya !! Agar mai ye kahoon ki ye sab sawal mere jehan mein nahi aaye toh main galat hoon. Ye sab sawal mujhe bhi pareshaan karte hain. Bas hum dono mein fark bas itna hai ki mujhe hum dono par aur specially tumpar yakeen hai ki tum kabhi dhokha nahi de sakti aur tum mere liye best life partner ho. Hamaari adhi adhoori shaadi ko mai ab apni zindagi ki sachchcai maan chukka hoon. Saat pheron mein se mai apne hisse ke chaar phere le chuka hoon ab faisla tumhara hai ki tum apne hisse ke teen phere kab lena chahogi? Ye faisala main tum par chhodta hoon.
Zoya (crying) : Adi !! hame maaf kijiye. Hum majboor hain. Hum nahi samjha paa rahe khud ko.
A (his voice choking): Tumhe maafi mangane ki koi jaroorat nahi hai. Mai toh bas itna poochna chahta tha ki mere pyaar mein kuch kami toh reh hi gayi hogi jo shayad ab tak tumhe bharosa nahi hai ki hum dono saath milkar ye zindagi khushi se bita sakte hain?
Z: Nahi adi aisa bilkul nahi hai...
A: Toh theek agar aisa nahi hai toh ek deal hai..
Z: deal matlab?
A: Deal ye hai ki iss court case ke chakkar mein hamari aadhi shaadi ko lekar log kafi baatein bana rahe hain. Dad aur Siddiqui uncle ko jawab dena mushqil ho gaya hai. Issiliye mai ye chahta hoon ki hum apni iss shaadi ko legally formalize kar le. Uske baad tum apne parents ke saath mussoorie jaa sakti ho. Mai tumhe nahi rokunga. Tum officially meri patni, hooda khandaan ki bahu rahogi. Kyunki mujhe apne iss faisale par koi shaq nahi hai. Meri wife sirf tum ho aur koi nahi. Haan agar future mein tumhe lage ki tumhe alag hona hai iss rishte se toh mai nahi rokunga. Par iss waqt ye karna jaroori hai.
Z: Adi...
A (leaving her hands): haan aur ek baat !! ye haath ab mai tabhi thamunga jab tum chahogi. Ab na tumse milne ki koshish karoonga aur na hi baat karne ki. Tum par koi pressure nahi hai kisi cheez ka. Tumhe jitna waqt chahiye tum le sakti ho. Mai tumhara intezaar karoonga. Aur haan !! ek baat hamesha yaad rakhna ki mai tumse bahut pyar karta hoon aur ye baat paanch das kya pachaas saalon mein bhi nahi badalne wali. Ye Aditya Hooda Ka waada hai.
Z: Aditya !!
A: Bye!! Marriage certificate ke liye Arjun tumse paper sign kara lega. Tumhe court aane ki jaroorat nahi padegi...
Noor enters the room & Zoya snaps out of her thoughts wiping her tears.
To be continued...
Whoa.. Interesting 😊 Where Adi loves Zoya & vice versa but Zoya has complicated their relationship thinking how she failed as a wife in her past marriage 😔
The best thing is how you made Adi sensible, letting him realize her emotional turmoil. That deal sucks because bechara has his heart with her but she'll only be staring at his photograph just to be reminded that someone, somewhere is waiting for her to return 🤔You gotta continue & pm me + would like longer updates & may I know which name I should call you too? 😃