ITS MY PREDICTION FOR THE STORY FOR MONDAY'S EPISODE.. AFTER CM DECIDED TO ALMOST CALL OFF THE WEDDING
part 1
Shiv left without saying anything after choti ma declared to reconsider the rishta once again.the whole of the Singh family was shocked at what happened .. they had never thought this situation would take such a turn' anandiwas standing ther silently with her eyes full of tears ' again her world has come crashing down in front of her'''''
Dadisa: hey devi ma ' ye ke ho gaye ho' mahne to sapne mein bhi na socho tha ki aisa kuch howoga'
Basant: masa' hame lagta hai ki hamein shiv ke mata pia se bat karni chahiye
Gehna(angrily): ye sab iss nandu ki wajah se hua hai'itna badtameez ho gaya hai ajkal.. bado se kaise baate karni chahiye ye tak bhul gaya hai ye' ( saying that she slapped nandu hard .he started crying)
Dadisa came and embraced nandu
Dadisa: kyun mar rahi hai mahre nand kishore ko.. arrey bacha hai.. isse kaha samajh hai ki kab kya bolna hai'
Gehna: nahi masa aj isne jo kiya , jis tarah shiv ke sath pesh aya, bilkul galat tha' zyada ladesar keh keh ke sir pe chadha rakha hai' apne sanskar tak bhul gaya hai ye' chal mere saath , aj pure din kamre mein band rahega to thik ho jaega..
Dadisa: arey kahe dante hai tu ise. Isme iski koi galti nai hai'
Bhairav: masa bilkul thik keh rahi hai bhabhisa.. isme nandu ki koi galti nahi hai'
Dadisa: aur kya mein bhi to yehi kahu
Bhairav: par jiski galti hai use to abhi tak ehsaas bhi nahi hua hai'
He said glaring angrily at dadisa
Dadisa: mahne kahe aise ghur ghur ke dekhe hai tu' mahne ke kio'
Bhairav(LOST HIS TEMPER COMPLETELY) ab kuch karne ko baki kya reh gaya hai masa' phir se meri anandi ko do rahe pe lake khada kar diya, phir se uski khushiyan chin li , aur ap mujhse puch rahe hai ki apne kiya ke hai'maine kitni baar kaha tha apse ki jagiya ko aspatal mein bharti karwa dete hai par nahi'
dadisa: to ke karti.. sadne deti us aspatal mein use.. ye na bhool chora ki jagdish is ghar ka beta hai.. khoon hai is ghar ka'
bhairav: wah masa.. aj kar di na apne wahi baat ki apna khoon khoon hota hai.. aur paraya khoon kuch nai'
everybody was shocked to hear this..
dadisa(angrily): ye ke bakwaas kar raha tu chora.. kehna ke chahta hai tu ki mahre ko anandi pyari nahi hai.. mein uski khushi nahi chahti'. Main bhi chahti hoon uski khushi par jagdish mahra pota hai'
bhairav: bas masa' pota- pota' kaisa pota' jab itne salo tak apse jhooth bolta raha tab kaha gaya tha apka pota' jab us gauri ke liye pure parivar, apko sab rishto ko laat mar ke gaya tha tab kaha gaya tha apka pota'kaha tha jab property mein se hissa mang ne ke liye basharmo ki tarah a kar dhamki dekar chala gaya tha, kaha tha - uska pyar jab bapusa ki akhri nishani ko bazaar mein nilaam kar ke a gaya tha' bataiye mujhe'
dadisa: mein manu hu ki chore se galti hui thi.. par wo ye sab us gauri ke behkawe mei a ke kar raha tha' lekin ab chore ko apni galti ka ehsaas hai'tune dekho na kitna pachtawa hai use ki dusro ke kheto mein kaam kare phire hai.. aur tune dekho na ki kaise gaon walo ki din raat seva karke bimari se bachaya choro ne'to ab jab wo prashchit kar raha hai to hamara bhi to farz bane hai ki ham use maaf kar dewe..
bhairav: kya prashchit masa ,, kya pachtatawa.. aj use apni galti ka ehsaas hai to phir main apni anandi ko us agg mein jhonk doon' nahi masa mein aisa hargiz nahin hone doonga' apki baat sunkar pehle hi meine bahut badi galti kar di.. aur uska natija bhi dekh liya meine.. aj meri anandi wahi ki wahi ake khadi ho gai hai'..
anandi was full of tears now.. her family was fighting for her and she could not do anything''
dadisa( she was adamant and not ready to listen anything against jagiya): par chora shiv ke parivaar ko bhi samajhna chahiye ki chora beemar hai.. aise mein hum patthar dil to ho sake aur sadak mein marne ke liye to na chod sake' mahra thare jaisa dil na hai ki apne khoon ki parwah na kare'.
Bhairav: aur shiv masa'kya wo kisi ka beta .. kisi ka pota nahi hai.. kya apne ek baar bhi socha ki use kitni takleef hoti hogi jagiya ko anandi ke itne karib dekh kar..
Dadisa: par bahirav, maine to bas jab tak jagdish thik na ho jawe tab tak hi kaha tha ki wo bas jagiya ki beendni hone ka natak kare.. dil se to mein bhi yehi chah wu ki annadi ka byaah shiv se hi howe'
Bhairav: masa ye jhooth ap mujhse bol rahi hai ya apne ap se.. mujhe to lagta hai ki jagiya ka pasina behta dekh apka dil bhi pinghal gaya hai.. aur ab ap anandi ko phir se us nark mein wapis bhejna chahti hai'
dadisa(lost her temper on such accusation): bas bhairav .. bahut ho gaya'.apni had par mat kar mahre saath..
bhairav: had to apne par ki hai masa' is ladki ki zindagi ko gude gudiyon ka khel bana ke rakha hai.. ki ja pehla khilona gum gaya to dusre ke saath khel le.. aur jab wo naye khilone ko apnane lagti hai to ab jab purana guda mil gaya.to ab nay gude ka kyaam .. hain na masa .. yehi chahti hai na ap'jab apki marzi hui keh diya jagiya ko bhool ja.. shiv ko apna le.. aur jab chahe keh diya ki jagiya ki beendni ban ja.. is bachi par apko zara sa bhi taras nahi ata' kyun kyun karegi wo natak jagiya ki beendni hone ka' bimar hai to illaj karwaenge' is ladki ki zindagi ke saath khelenge nahi'. Aj keh raha hai anandi mujhe khana khilaegi .. kal koi aur order kar dega.. bachpan se hukum hi to chalata aya hai is anandi par wo' kal ko kuch aur mange to kya uski har zidd puri karenge'
Aur mujhe nahi lagta ki aj jo bhi hua usme shiv ke parivar ki koi gal;ti i hai'ap hi ne unko vachan diya than a ki jagiya hamare ghar mein nahi rehta.. to ab ap apni hi baat se mukar gaii.. aur shiv hi kyun . kaun shadi karwaega apne bte se jab unhe pata chalega ki jis ladki se unke bte ki shadi hone ja rahi hai uska pehla pati usi ghar mein reh raha hai'''.batao masa''..
Everyone was shocked to hear such words from bhairav's mouth' both gehna and basant felt that bhairav was right and they had done wrong with shiv and his family.. but dadisa was fuming with anger and still not ready to accept her mistakes' she still was only thinking about her ladesar'bhairav left from there without saying any further as he knew that she wont have anything to say.. she had to accept it that what she did was wrong.. and this time he was not going to succumb to her love for her potaafter few seconds anandi ran upstairs crying and fighting with her inner turmoil'''..
In evening
Bhairav was sitting In his roomstill angry at the events of the day when anandi enters with a cup of tea..
Anandi: bapusa.. chai pi lijiye'
Anandi: mera mann nahi hai beta.. tu ja
Anandi: bapusa mein janti hu ap naraz hai par mein collector sahib se baat karungii .. unhe samjhungi ki dadisa ko jagiya se kitna lagav hai ' wo zarur samjhenge''''.
Bhairav: abhi bhi tujhe masa aur us jagiya ki padi hai'.tu ye kyun nahi dekh rahi ki isse tere aur shiv ke rishte pe kya asar pad raha hai''..
Anandi: bapusa' hum ye insaniyat ke nate hi to kar rahe hai na.. aur apne dekha na ki dadisa ki kya halat thi jagiya ko bimar dekh ke' to
Bhairav: bas anandi mein dadisa ke paksh mein ek bhi baat sun na nahi chahta'''..wo mane ya na mane par jo inhone kiya hai galat kiya hai'aur mein to kehta hoon ki galti sirf masa ki nahi.. tumahari bhi hai anandi.. agar tum shiv se shadi nahi karna chahti to saaf saaf keh do.. par is tarah uske vishwas, bharose ka na jayaz fayda uthana bilkul galat hai' tujhe kya lagta hai beta ki wo jagiya ko tere kareeb isliye bardasht kar raha hai kyunki wo bahut acha insaan hai.. beta ache se acha insaan bhi apni hone wali biwi ko kisi aur ke itna kareeb hona bilkul pasand nahi karega .. aur phir jagiya to tera pehla pati hai.. wo ye sab isliye bardasht kar raha hai kyunki wo teri izzat Karta hai ' tujhse bahut pyar Karta hai' janta hai ki tujhse kisi ka dard nahi dekha jata.. par beta mujhe ek baat bata ki tujhe is sab mein ek baar bhi us ka dard nahi dikhai dia ki kaise dil pe pathar rakh ke wo tujhe jagiya ki seva karte hue dekhta hoga' main manta hoon ki shiv se shadi ke liye haaan tune majboori mein ake kahi thi.. samdhan sa ki akhiri ichha unki khushi ke liye kit hi.. par beta jo tu kar rahi hai na use bhi samdhansa khush nahi hogi.. maine pehle bhi kaha tha tujhse ki achai ke badle hamesha achai nahi milti'dusro ki seva karne ka matlab ye nahi hota ki apni khushiyaan apni zindagi daav pe laga do'.aur tune ye sab karke na sirf apni balki shiv ki bhi zindagi daav pe lagai hai aur mein aj pehli baar tere is faisle mein tere sath nahi huu''.
Anandi was dumstruck at his words' she did not know what to say because she realized that he was not wrong at what he isying' bhairav was About to leave in anger but stopped '..
Bhaiorav:Anandi beta aj mein tujhse sirf ek sawal puchna chahta hoon aur mujhe iska sahi sahi jawab chahiye.. kya abhi bhi tu beta ye shadi sirf samdhansa ki khushi ke liye majboori mein karna chahti hai'. Aur agar ha to is rishte ka toot jana hi behtar hoga kyunki majboori aur zabardasti ke rishte kitne safal hote hai wo to tune apne aur jagiya ke rishte mein dekh hi liya hoga.. isliye behtar hoga ki tu ye faisla le ki tujhe apni zindagi mein kya chahiye' hamari taraf se na ab tere upar koi dabav hai na koi bandish' agar tu dil se shiv se shadi karna chahti hai to hi ye shadi hogi''.lekin agar tu wakai mein ye sab majboori mein kar rahi hai to mein aj hi shiv ke parivaar ke paas jakar is rishte ke liye mana karke a jaunga .. .(he did not say further and left in anger)
Anandi remains standing there with tea cup in her hands and eyes fulls of tears.. she felt as if phirse uske pairo tale zammeen khisak gai hai.. use samajh nahi a raha ki kya kaer..she realized that she has been taking undue advantage of shiv's trust, love' she has done wrong and bapusa was right that she has played with his emotions by serving jagiya''but don't know how to rectify it' her heart was pounding fastly thinking that shiv may not remain in her life now after what she did to him''''''.
hope you liked it... it was just my bhadasr towards anandi and dadisa 😡which bhairav singh is saying on my behalf😉hope ki actual mein bhi aisa hi ho...next part coming soon...