Ariya Saathi - Page 16

Created

Last reply

Replies

879

Views

375.6k

Users

57

Likes

3k

Frequent Posters

RiyaA123 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago
Awesome
Means sameer too knows nothing... highly immature...
Khair... team ki nok jhok was adorable
Oh... riya yaha kyun?
UPDATE SOON
Thanks for the pm
RiyaA123 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago
Adorable UPDATE
Ariya are so cute
Narvekar or sameer ka scene was fabulous...
Dono chief against arjun
UPDATE SOON
Thanks for the pm
bloomie thumbnail
Posted: 6 years ago

Originally posted by: Aayat.ariya14

phenolic acid q lia?? harpic plus pi k maar jati na?? veise v wo konsi kam ka thi?? thi to virus hi... huhh!! btw, superb updt.. thnx for pm..

acid nahi tha...warna pakka mar gayi hoti
phenyl tha khaali
harpic ka cheap version...lol
bloomie thumbnail
Posted: 6 years ago
Hi! Thank you so much for the wishes and sorry for suddenly disappearing. My college suddenly realised it had to furnish us with assignments before the pre-sems exams start so got stuck up.

Part 7

Riya: are yaar! (woh phone bed par chod deti hai) ye Arjun sir itna sharmaate kyun hai? kitni achi awaaz hai unki. Pata nahi kab sunne ko milegi firse?...

Aise hi din jaate hai. Riya apni saza puri kar rahi hai aur use pura karke bore ho rahi hai.

Crime Branch-

Riya Narvekar ke peeche-peeche ghum rahi hai: Narvekar sir, ab bas bhi na, mujhse aur nahi saha jaa raha hai. mujhe field par aana hai

Amod apne kaam mein pura office ghum raha hai: jab tak tumhari saza puri nahi hogi tab tak tum field par nahi aaogi

Riya: par main bore ho gayi hun

Amod: ye tumhe apne pairon par kulahdi maarne se pehle sochna chahiye tha Riya

Riya: par mujhse zyaada galti toh Vishal sir ne ki, toh phir unhe saza kyun nahi mili? Ye Nainsaafi hai!!!

Amod ruk kar use face karta hai: Riya...

Riya: unhe toh sirf daant padi aur mujhe? Mujhe daal diya us kabaad khaane mein record likhne ke liye!!

Amod: Ri...

Riya: ye bhed bhaav kis khushi mein? Sirf isliye kyunki woh ACP hai? second in command hai? aur main ek normal research specialist?

Amod: tumhara dimag kharaab hai?

Riya: abhi toh bas shuruwat hai thode din aur us room mein rahi toh zaroor ho jaayega

Amod sigh karta hai: Riya shut up! Please? Tum achese jaanti ho aisa kuch nahi hai. you really think mujhe uski padi hai? nahi! Mujhe tumhari fikar hai uski nahi!

Riya: toh phir...

Amod haath upar karke use rok deta hai: aur rahi baat uski saza ki toh woh main use de chuka hun

Riya (confused): kaunsi saza?

Amod: woh 6 mahine tak office ke ilawa training grounds par disciplinary action face kar raha hai

Riya khushi se use hug karti hai: Really?!?! Oh My God Amod Sir! Thank You So Much!! I Love You!!!

Amod hasta hai: your welcome!

Riya use alag hoti hai: lekin mujhe pata kaise nahi chala?

Amod smile karta hai: woh isliye madam kyunki aap record room mein baithi hai aur humse itne dino se naraaz hokar baat nahi kar rahi toh humne bhi sabko aapko batane se mana kar diya

Riya raised her eyebrow: oh, toh ye sab sirf meri naraazgi dur karne ke liye? For your kind information, itni aasani se aapko maaf nahi karungi main

Amod apne hands cross karta hai: toh aap hi bataiye, hum kya kare?

Riya: hmm...sochna padega. Ye record room ne toh dimag kha liya hai mera, subah kab hoti hai raat kab kuch samaj hi nahi aata, bloody khidki bhi nahi hai. theekse khaana bhi nahi kha paati pata hai aapko?

Amod(weirdly): tum chahti ho ki main pure building ka structure change karke record room mein tumhare liye khidki banau?

Riya: kya? Nahi!! Main ye keh rahi hun ki...itne din ho gaye hai toh mujhe ye sab jhelna ke liye prize milna chahiye na? toh aaj raat...aap mujhe dinner par le jaayenge! Oriental restaurant! Mexican khaaye hue 15 din ho gaye mujhe!!

Amod hasta hai: sure! Aur koi hukum?

Riya: nahi! Abhi ke liye itna kaafi hai

Amod: chalo ab jao aur apna kaam karo!

Riya haste hue chali jaati hai.

ETF mein bhi life normally jaa rahi hai. Arjun aur Rathore ke beech jaise koi informal truce ho gaya hai. Rathore Ayesha ki baat ko seriously lekar Arjun par zyaada dhyaan hi nahi deta. Kabhi- kabhi chillata hai aur Arjun bhi counter karta hai par woh baat wahi ki wahi khatam ho jaati hai. Uske dil mein abhi bhi Arjun ko lekar koi humdardi nahi hai lekin ab woh us baat ko khud ko affect nahi hone deta.

Baakhi sab ab Arjun aur uski aadaton aur behaviour se used to ho gaye hai. unhe ab pata chal gaya ki woh kaunsi baaton se chidta hai aur kaunsi baaton mein usse leniency expect ki jaa sakti hai. nevertheless, woh kabhi koi risk nahi lete aur jaisa woh kahe waisa karte hai. Sakshi ka sudharne ki koi chance nahi hai. us din ke baad kisi ne dobara Arjun ke muh se Riya ka naam nahi suna isliye Sakshi khush hokar abhi bhi uske peeche padi hai despite the fact ki Arjun abhi bhi, uski taraf aankh uthakar nahi dekhta.

Ek din team ko raid maar kar office jaate hue bahot late ho jaata hai. Arjun seedhe jaa kar apne cabin mein ghusta hai. woh apni seat par collapse hokar aankhein band karta hai. kuch pal baad apna phone nikal kar check karta hai.

Arjun mv "are Riya ka missed call? (woh time check karta hai almost 12 baj gaye the) aadhe ghante pehle hi hai, shayad jaag rahi hogi

Woh use call back karta hai. Riya aadhi neend mein answer karti hai.

Riya: hello?

Arjun uski awaaz se pehchaan jaata hai: So jao, kal baat karenge!

Woh phone katne waala hai par Riya rokti hai

Riya: are nahi jagi hui hun abhi tak office mein hi hun

Arjun(confused): toh phir itni neend mein kyun lag rahi ho?

Riya: are record writing karte-karte kisko neend nahi aati?

Arjun(concerned): Riya main maanta hun tumhe saza mili hai lekin iska matlab ye thodi hai ki tum aadhi raat tak wahi baithi raho

Riya: are nahi, woh kaam zaroori hai, isliye...warna kab ki ghar bhaag gayi hoti. Aap kya kar rahe hai?

Arjun: abhi raid se laute

Riya: ghar nahi jaana?

Arjun: jaunga...formalities puri kar rahe hai sab

Riya: hmm...acha ye toh bataiye ki aapka kaam hua ya nahi?

Arjun: kaunsa kaam?

Riya: are wahi jiske liye aap Crime Branch chod kar ETF mein chale gaye

Arjun sigh karta hai: nahi abhi nahi

Riya: toh kabhi?

Arjun: commissioner sir ne kaha tha ki Sikandar ke khilaaf jo lead mili hai use pehle Intelligence follow karegi aur fir jab kuch substantial haath aayega toh woh ETF ko denge

Riya: aur us baat ko kitna time hua?

Arjun: yahi kuch 6-7 mahine

Riya: exactly! Aur ab tak kuch nahi hua. Aap khud us lead ke baare mein pata kyun nahi karte?

Arjun(upset): main teen saal se wahi karne ki koshish kar raha hun Riya par jab main hi nahi dhundh paaya toh unse kya kahu?

Riya: sir aap please hataash mat hoiye, dekh lena, ant mein jeet aapki hi hogi aur zaroori thodi hai jo itne time se ho raha hai wahi aage bhi ho? Aap us lead ko lekar toh dekhiye shayad aap woh pakad le jo intelligence agencies nahi pakad paa rahi hai

Arjun: par kaise Riya? Mujhe ye tak nahi pata ki woh lead kya hai aur woh database mein store bhi nahi hogi, itne saare employees mein se kaise pata chalega ki kaun us case par work kar raha hai?

Riya: agencies ko maariye goli, aap seedhe commissioner sir se baat kijiye na. itna time ho gaya aap ek baar puch toh sakte hi hai.

Arjun: tum sahi keh rahi ho, main baat karta hun unse...bye!

Riya: ek second ek second

Arjun: ha?

Riya: aap abhi phone karenge unhe?

Arjun: ha toh?

Riya: sir...woh commissioner hai

Arjun: toh kya? Woh aadhi raat ko phone nahi karte?

Riya: ha lekin hum unke junior hai woh thodi hai? aur waise bhi subah ko unka mood bhi fresh hoga, aur dimag bhi chalega toh kya pata aapke chances badh jaaye?

Arjun (sochte hue): hmm...ye bhi sahi hai. theek hai, main subah unse baat karta hun.

Riya : aapne khaana khaaya? Ya raid ke chakkar mein chod diya?

Arjun smile karta hai: nikalne ke pehle thoda kha liya tha

Riya: thoda? Kitna hota hai aapka thoda? I hope ek cup chai nahi hota

Arjun hasta hai: nahi baba, sach mein khaaya tha maine thoda canteen mein

Riya: kya khaaya tha?

Arjun: samose

Riya: kitne?

Arjun: are itna kya interrogation kar rahi ho tum mera? Bharosa nahi hai mujh par?

Riya: bharosa haina lekin pura bharosa is baat ka hai ki aap is maamle mein bahot jhut bolte hai

Arjun(whining): maine sach mein khaaya! Ab kya tumhe CCTV ki footage bheju?

Riya use tease karti hai: hmm...idea bura nahi hai

Arjun: Riya!!!

Riya hasne lagti hai. Arjun disbelief mein sar hilata hai.

Arjun: kaam nahi hai kya tumhare paas koi?

Riya: wahi kar rahi hu par bahot bore ho raha hai, ye filen toh khatam hone ka naam hi leti upar se mujhe do aur mahine yahi bitaane hai...(whining) Arjun sir main kya karu?!?!?

Arjun(smiling): faayda uthao thoda apne Narvekar sir ka aur kya?

Riya: woh bhi try kiya kuch nahi hua, ulta unhone mujhe Vishal sir ki punishment aur Dinner se pata liya...haala ki dinner ka option maine hi diya tha, kyunki bahot din ho gaye the mujhe Oriental gaye. Bahot din se yaad aaya hume bhi bahot din ho gaye Oriental gaye...

Arjun(confused): bahot din? Riya hum pichle hafte hi toh gaye the?

Riya: par mujhe firse khaana hai...(use patane ki koshish karte hue) aapko pata haina mujhe Mexican kitna pasand hai?

Arjun sigh karta hai: Riya tum mujhe lekar hi jaogi na?

Riya: ha!!

Arjun: kab jaana hai? kal?

Riya(khush hokar): ha!

Arjun: fine!! Main jaldi nikal jaunga office se, pick karu tumhe?

Riya: are nahi, nahi, seedhe wahi milte hai

Arjun: okay, jaise tum kaho

Riya: acha Arjun sir, suniye na

Arjun: ha kaho

Riya: ek choti si request hai, aap maanoge?

Arjun: ha Riya bolo na

Riya: mujhe na bahot bore ho raha hai, aur neend bhi bahot aa rahi toh thoda refresh hona hai

Arjun(confused): par usme main kya kar sakta hun?

Riya: aap kar sakte hai, karenge?

Arjun: acha?...uh bolo, kya karu?

Riya: sing for me na

Arjun groan karta hai: Bye Riya!!!

Riya: are sir...suniye toh...

Lekin har baar ki tarah gaane ka naam sunte hi Arjun bina kuch sune phone kaat deta hai. Riya table par phone patakti hai.

Riya: uff! Kaise manau inhe main? (sochte hue) kal milenge na firse. Tab kahungi, aamne saamne toh phone nahi kaat sakte woh.

Woh apne thought se khush hokar apna kaam continue karti hai.

Dusri taraf Arjun apna phone firse pocket mein daalta hai. use khud baar-baar Riya ki request ko ignore karne par acha nahi lag raha hai lekin kare bhi kya? Usne kabhi bhi kisi ke saamne ya kisi ke liye nahi gaaya yaha tak ki Roshni ke liye bhi nahi isliye woh shy feel karta hai.

Agle din-

Arjun office jaane ke bajay commissioner ke office jaata hai. use dekhkar Vikram ka PA andar call karta hai.

PA: hello, sir? woh ACP Arjun Rawte aaya hai aapse milne

Vikram(surprised): achanak subah-subah?

PA Arjun ko dekhta hai jo as usual apne khadoos avtar mein khada hai: aap hi puch lijiye na sir, mujhe kyun fasa rahe hai?

Vikram sigh karta hai: bhejo use

PA(phone rakh kar): Sir ne bulaya hai aapko

Arjun cabin mein chala jaata hai

Vikram: good morning Arjun! Baitho, subah-subah kaise aana hua

Arjun: main baithne nahi kaam karne aaya hun

Vikram uski seriousness dekhkar apne aap ko mentally prepare karta hai: kaunsa kaam Arjun?

Arjun: wahi, jo aap log nahi kar rahe hai (Vikram use confused look deta hai) aapne kaha tha ki Sikandar ka case aap ETF ko denge! 7 Mahine Ho Gaye Aur Abhi Tak Aapne Kuch Nahi Kiya!!!

Vikram use shaant karne ki koshish karta hai: dekho Arjun, aisa nahi hai, hum apni taraf se puri koshish kar rahe hai...

Arjun(angrily): Toh Phir Results Kyun Nahi Mil Rahe Mujhe???

Vikram: Arjun dekho ye sab hadbadahat mein toh nahi ho sakta na? tum fikar mat karo, intelligence agencies lead par work kar rahi hai jaise hi hume koi thos sabut...

Arjun(firmly): mujhe woh lead chahiye!

Vikram: kya?

Arjun: Mujhe Woh Lead Chahiye!!!

Vikram(serious hokar): Arjun main aisa nahi kar sakta...

Arjun ka gussa badh jaata hai: KYUN?!?! DO YOU EVEN CARE OR NOT? US JAAHIL KI WAJAH SE MAINE APNI BIWI KHOYI HAI!!

Vikram: Arjun main samaj sakta hun...

Arjun chair par apna haath maarta hai: KUCH NAHI SAMAJTE AAP! Jis Din Aap Kisi Apne Ko Khoyenge Us Din Aapko Pata Chalega Ki Khone Ka Dard Kya Hota Hai!! Aapko Jo Karna Hai Kijiye Lekin Ab Main Chup Nahi Baithunga!! MAIN USE DHUNDHKAR RAHUNGA FIR CHAHE USKE LIYE MUJHE KUCH BHI KYUN NA KARNE PADE (Apni Finger Point Karke) WITH! OR WITHOUT YOUR HELP!!!

Itna kehkar woh jaane ke liye mudta hai. Vikram use darwaaze par rokta hai.

Vikram: Arjun ruko!

Arjun rukna nahi chahta par ruk jaata hai lekin woh mudta nahi hai.

Vikram: Arjun main jaanta hun tum frustrate ho rahe ho lekin please bharosa rakho mujh par, we are very close. Ye syndicate bahot faila hua hai aur pyaadon se bhara pada hai. Bas kuch din aur, main tumse vaada karta hun ki ek mahine ke andar tumhe information de dunga. Please tab tak kuch mat karo, agar ek mahine mein maine tumhe information nahi di toh tum jo chahe karo main nahi rokunga par abhi agar koi bhi hulchul hui toh saari mehnat bekar ho jaayegi, tumne itne waqt intezaar kiya hai, thoda aur sahi

Arjun mudta hai(balling his fists): Agar Mujhe Information Nahi Mili Toh Ye Ek Mahina Bahot Bhaari Padega Aap Par Sir, Yaad Rakhiyega!!!

Aur bina kuch aur sune woh chala jaata hai...

spatika thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 6 years ago
awesome update
thanks for pm
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 6 years ago
Loved it Sharvi
Awesome part
Hmmm so ab Riya ka gussa uske senior jhel rahe hai 😆
Or use pata bhi rahe hai
I loved how she always asks Arjun to sing
So Ariya on dinner date .. Maza aayega
Arjun ka patience choot raha hai
Usne to warn bhi kar diya
Waiting for more
Thanks for the PM
Continue soon 😊
RainOfDew thumbnail
Posted: 6 years ago
Nice updt Sharu
Lol Arjun aur shy wo bhi gaana gane se
Poor Ri
I hope ek mahine me Arjun ko kuch mil jaye
Yaar Ariya moments dikhao na zyada
Cont soon
Thnx for pm
Shalvisharma97 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 6 years ago
Wow dii
Awesome update
Riya amod ko kitni achi tarah paata rahi hai
Arjun k gussa commissioner sir par bap re baap
I m sure commissiner k tho pasina chut rahe honge lol.
Thanks for pm dii
Continue soon
Tumpa12 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
superb
loved it
thnx for pm
cont soon
ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 750 Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 8
Posted: 6 years ago
Amod aur Riya friend hai ya only respect etf mein humesha ki tarah koi changes nahi Arjun aur Riya conversation nice Riya Arjun ko com se baat karne ke liye kehti hai sik se related Arjun com pe bhadakta hai com ne one month ka time manga hai fab update dear eagerly waiting for nxt and thanks for pm

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

23 days ago

Ariya FF: Veiled Darkness [Update 2]

Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

8 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-41 Updated (Page-78)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Queen_Butterfly

7 months ago

Ariya in CiD recreated by queenButterfly

What will happen when Arjun and Riya works with cid team.

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

6 months ago

Ariya FF: Tera Mera Rishta Purana {Part 12, P. 12}

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

8 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".