Ariya Caught in Revenge - Page 3

Created

Last reply

Replies

879

Views

380.4k

Users

63

Likes

2.8k

Frequent Posters

affuaffu thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago
#21
New story wow
Awesome update
Love it
Sakshi ne arjun ko dhamki di
Arjun is kidnapped damn sure riya hi hogi
Matlab ri zinda hai lekin sam ne aisa kyu kaha(martyred)
Cont soon
Thanks for pm

RiyaA123 thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#22
Awesome
Waiting desperately for next part
UPDATE SOON
Thanks for the PM
Sorry exams hai so no long comment
armishra thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 7 years ago
#23
Awesome superb starting
Loved it
Thanks for pm
Eagerly waiting for next part
Continue soon
ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 750 Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 8
Posted: 7 years ago
#24
My god sakshi Puri psycho hai le arjun kidnap ho gaya aur kidnapper sakshi nahi to kya riya fab start dear eagerly waiting for nxt and thanks for pm
aashi24 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 7 years ago
#25
nice update
thanks for pm
waiting for next part
etfr thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#26
Welcome back dear. Waited for your exciting story. And see here you are with a blast.
Interesting concept superb update
Nicely written
Loved it.
Strange Arjun didn't recognise his kidnapper's voice. I mean what are ACP. It's not Sakshi and who she is we all know.
Sakshi sounds something dangerous. Is she aware about Arjun's likeness towards Riya.
Thanks for PM
Continue soon.

AnjuRish thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 6
Posted: 7 years ago
#27
u did not send me PM 😕 i am sad
super beginning...

so who kidnapped Ri but shes dead na ????


cuteariya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 7 years ago
#28
Very interesting concept
Oh hell that bitch sakshi threaten Arjun to accept her so called love
Arjun feel something is not right which is bothering him
OMG who kidnapped Arjun?
I really hope it's riya
Even Arjun got shocked seeing the girl face
Continue plz
bloomie thumbnail
Posted: 7 years ago
#29

Originally posted by: AnjuRish

u did not send me PM 😕 i am sad

super beginning...

so who kidnapped Ri but shes dead na ????


so sorry, I do remember clicking on your user id, anyway. I'll cross check this time
bloomie thumbnail
Posted: 7 years ago
#30
Part 2

Arjun: TUM?!?!?!...

Ladki apni nazre jhukati hai: I'm sorry! Main aisa nahi karna chahti thi but... main kya karti... I... mera dimag kaam nahi kar raha tha... mujhe aapko aise bandh kar nahi rakhna chahiye tha...par...

Arjun(exasperated): shut up!

Ladki chup ho jaati hai.

Arjun: tum...tum kaise? You...YOU'RE DEAD RIYA!!!

Riya: umm...apparently not...woh.. main...

Arjun(trying to get his senses back): tum...tum sach mein zinda ho?

Riya: umm...ha...

Arjun (uthte hue): par...humare...humare saamne tum...tumhari la..ash ko chita di thi

Riya: woh nakli laash thi (finally raising her eyes) I'm so sorry maine aapko is tarah kidnap kiya aur sabse jhut bola, sach mein. Agar mere haath mein hota toh main aisa nahi karti par...par situation hi aisi thi. Please mujh par bharosa kijiye...trust me...main toh sirf...main kaise...

Use hyper dekhkar Arjun use shaant karne ki koshish karta hai: hey relax! Tum...dekho, Riya mere kuch samaj mein nahi aa raha hai, please mujhe batao ki yeh sab ho kya raha hai? warna mera sar fat jaayega.

Riya obediently bolna shuru karti hai: woh main mari nahi thi, balki Virus ki wajah se paralyze ho gayi thi aur aap sabko laga ki main mar chuki hun. Aap sabke jaane ke baad jab Nurse ne mujhe as a formality check kiya toh use meri pulse mili. Usne Doctor ko bulaya aur fir usne mujhe hosh mein laaya. Jab maine hosh sambhala aur mera dhyaan Doctor par gaya toh main bahot dar gayi. Woh Nurse ke saath kuch baat kar raha tha lekin main jaanti thi ki ho na ho usne kisi maksad ke liye hi zinda rakha...

Arjun: ek minute! Kaisa maksad? Aur tum Doctor ko dekh kar kyun dar gayi?

Riya: kyunki uski kalayi par wahi nishaan tha

Arjun: kaisa nishaan?

Riya: ek gang ka...jab research desk se humare selections ho rahe the tab as a drill hume kuch chote cases diye gaye the, mujhe undercover ek drug dealer ka peecha karna tha lekin ... lekin woh case jitna chota dikh raha tha usse kayi zyaada bada tha. Us dealer ka peecha karte-karte main ek brothel par pahunchi aur waha...waha sex racket chal raha tha!!!

Arjun: par yeh toh kaafi aam baat hai isme itna chaukne waali baat kya hai?

Riya: sir chaukne waali baat yeh thi ki woh jitni bhi ladkiyon ko kidnap karte the woh saari bikti nahi thi, jinka acha dam mila unhe bech dete the aur baakhiyon ko...(cringing) zehar dekar mar dete the, aur fir unki laashon ko katkar...usme (disgusted) drugs daalte the (Arjun ki aankhein bhi badi ho jaati hai). Laashon ko koi check nahi karta isliye aaram se woh log drugs ki smuggling kar paate the. Maine jab yeh baat apne senior ko batayi toh unhone strict action liya aur main bhi uska bada hissa thi. Mujhe laga ki woh sab khatam ho gaya hai. Lekin jab maine wahi nishaan us Doctor ke haath par dekha toh main bahot dar gayi aur unhe chakma dekar wahase bhaag gayi. Maine aap logon ko dhundhne ki koshish ki lekin aap mein se koi bhi waha nahi tha. Utne mein uske kuch admi mere peeche pad gaye toh mujhe bhaagna pada. Isiliye mere gayab hone par usne aap logon ek nakli laash di.

Arjun: par tum...tum gayi kaha?

Riya: mujhe kuch samaj mein nahi aa raha tha ki main kya karu? Aur underground ho gayi. Tabse apni pehchan badal-badal kar ghum rahi hun. Kabhi is shehar mein toh kabhi dusre mein. Dhundhte-dhundhte mujhe pata chala ki woh gang kabhi khatam hua hi nahi tha, woh abhi bhi operational hai aur utna hi faila hua hai jitna ki pehle tha

Arjun: par tum waapis kyun nahi aayi? Firse humse contact kyun nahi kiya? kya tum sure ho, ki yeh wahi log hai?

Riya: ha sir main bilcul sure hun, in fact jab main proofs ikatha karte hue Patna pahunchi toh... (shivering) maine khud apni aankhon se dekha, ek 13 saal ki bachi...bachi ko unhone maar diya tha...aur...aur uske shareer ke andar...drugs...(apni aankhein band karke) it was horrible! Aur...mujhe ye bhi pata chala ki...woh log abhi bhi mujhe dhundh rahe hai, isliye main waapis Mumbai aa gayi aur (nazre jhuka kar)...aapko isliye kidnap kiya kyunki...mujhe sabke saamne aane se dar lag raha tha. Maine socha ki aap...aap bina...bina emotional reaction diye meri madad karenge, woh log pakka mujhe maar daalenge. maine aap sab se isliye firse contact nahi kiya kyunki main already bhaag gayi thi...aur sab mujhe mara hua samaj rahe the, toh mujhe saamne aane se dar lag raha tha. Aur jab mujhe us gang ke baare mein pata chala toh maine apne us time ke boss, ACP Harshit Desai ko contact karne ki koshish ki lekin, unki maut ho chuki thi, swimming pool mein doob kar. Main jaanti thi unhe woh ek champion swimmer the, swimming pool ke 6 feet paani mein woh doob kar nahi mar sakte!!! jab tak ki unhe dubaya na gaya hoga aur main aur dar gayi.

Arjun jaanta tha ki Riya kitni sensitive hai isliye uske reactions par comment nahi maarta hai, lekin use abhi bhi sab kuch ek sapne jaisa hi lag raha hai. He could barely believe what all had unfolded in front of him in the past few minutes. Despite all of that he was elated. Only he knew the amount of efforts he was putting in to control his facial expressions and not pull her onto his arms.

Arjun (clearing his throat): waise...tum reh kaha rahi ho?

Riya: yahi par

Arjun: aur kaunsi jagah hai yeh?

Riya: mera ghar

Arjun looks at her as if she was the dumbest person on the planet. She knew exactly the meaning of his stare and gulps down the lump in her throat.

Riya: mere paas aur koi ...

Arjun: woh tumhe dhundh rahe hai and you decide to Stay At Your Legally Registered Home? (she doesn't answer and keeps her gaze down, he shakes his head in disbelief) tum Mumbai kab aayi?

Riya: kal raat ko

Arjun: acha ek kaam karo, apna zaroori saaman bag mein bhar lo aur mere saath chalo

Riya meekly nodded. She dared not to disobey or question him knowing she would be in a soup for her carelessness if she already was not. Arjun went outside and waited by his car for her. She arrived a few minutes later. Keeping her bag on the back seat, he gestured her to sit inside. He took the driver's seat and started the engine taking the car to its destination. Silence prevailed between them. Riya on one hand was still a little afraid of him while he silently looking at her from the corner of his eyes.

He had always looked at her like she was the Sun, in that he never looked at her except in frustration like a person who squinted when he looked up at the midday Sun which was burning him. He had always basked in her warmth. He complained in her absence and ran from her in her presence but yet he never looked at her. He never saw her until she was leaving and in the beauty of her sunset he wondered why he hadn't seen her before. If only she could rise again, he would stop complaining and being ungrateful. Just when he was beginning to realize his night had no dawn, her rays had peeped through the hills to end the cold night.

Their car stopped in the private garden of a well-maintained house. Without any exchange of words they entered the house. He led her to a room and wheeled her American Tourister inside the helm of the room while they stood at the doorway.

Arjun: tum yaha safe rahogi

Riya: thank you

Arjun nodded: tumhare paas koi aisa naam wagera hai jisse main database search kar saku

Riya: main kar chuki hun, koyi faayda nahi

Arjun: tumne kaise kiya?

Riya hesitates: aapko pata hai ki Shree Rathore sir ki daant kha kar bhi baar-baar out of budget jaakar bhi software updates karta rehta hai? (Arjun nods) woh zaroori hai...humare department ko jo main database hai use main 50 second mein hack kar sakti hun. Shree technology update karta rehta hai isliye ETF ka system safe hai

Arjun had a blank look on his face: tumhe hacking aati hai?

Riya: ha maine shauk ke liye ethical hacking mein diploma kiya tha

Arjun(taken aback): oh... Aur umm, tumne kaha tha ki tum apni identity badal kar ghum rahi thi? Toh tumhe nakli ID's kaha se mili?

Riya(darte hue): woh...maine...ETF ki ID use karke ek nakli kaagzaat banane waale ko arrest karne ki dhamki dekar banwayi

Arjun mv "matlab ye rules todna bhi jaanti hai...great!

Riya barely moves a muscle fearing his wrath for the misuse of her power but he does no such thing.

Arjun:...toh tumne Intelligence reports ko bhi intercept kiya hoga?

Riya: umm...nahi, use karna mushkil hai, pakdi jaa sakti thi, woh koyi system ka admi hi kar sakta hai

Arjun mv "fantastic! Matlab main kuch toh kar hi sakta hun: ok, main kal ETF jaakar reports check karta hun, tum mujhe subah us nishaan ka koi photo ya description de dena

Riya nods: ji

Arjun: good night!

Riya(lightly surprised): good night!

She did not know why he was letting her off so easy but then she had made enough of a blunder already and decided to keep quiet. They both turn to go in their respective directions but suddenly Arjun catches hold of her arm.

Riya (surprised) : kahiye sir

Arjun steps closer cornering her: I'm glad you're back

Riya's breath caught in her throat, her eyes fixed with his as came more near.

Arjun: tum andaaza bhi nahi laga sakti ki tumhe dekhkar mujhe kitni khushi mehsoos ho rahi hai

Riya(nervously): you...you're awfully close

Arjun smiled: that's...kind of the point.

Leaning further he softly kisses her zapping her out of all sanity...

Arjun(hugging her tight): Maine tumhe bahot miss kiya

Riya(blushing): maine bhi

Somewhere else-

Sakshi gusse mein chakkar kaat rahi: ab tum dekhte jao Arjun, ki main kya karti hun. Tumne mujhe thukraya hai, iska badla toh main tumse lekar rahungi

Next morning-

Arjun aur Riya dono dining table par baithe hai. Arjun Riya ke ikatha kiye hue proofs dekh raha hai aur Riya logo ko sketch kar rahi hai.

Arjun: tumne toh kaafi information nikali hui hai, ye log toh har jagah par faile hue hai

Riya: ha sir, lekin fir bhi mujhe ye nahi pata chala ki inka boss kaun hai aur ye log kaafi structured hai, jo log actual mein sab kuch kar rahe hai unhe authority ke baare mein kuch nahi pata, woh sirf paison ke liye kaam karte hai aur jo authority hai woh inke peeche chupi baithi hai...(final touch dekar) ye lijiye sir, inka ID proof

Arjun smile karta hai: are you sure ki ye nishaan aisa hi tha?

Riya: main ise kabhi nahi bhul sakti sir! Main 100% sure hun, par aap aisa kyun puch rahe hai?

Arjun: confirm kar raha hun, tumhari bhulne ki aadat humesha sahi time par cheezein bhulti hai

Riya squint karti hai: aap zara mere bajay in logon par dhyaan denge?

Arjun: Main office jaakar Intel check kar leta hun, kuch na kuch zaroor pata chal jaayega...

Tabhi Arjun ka phone bajta hai. Caller ko dekhkar woh Riya ko chup rehne ka ishara karta hai.

Arjun: Rathore mujhe aane mein thodi der ho jaayegi, baad mein baat karta hun...(woh cut karne waala hai lekin Rathore rokta hai)

Sameer: nahi Arjun ruko! It's urgent!!

Arjun: bolo

Sameer(incredulously): kya bolo Arjun? Kaha ho tum? Tumhe pata bhi hai ki kitni badi problem khadi ho gayi hai Sakshi ki wajah se?

Arjun ki nazar Riya par padti hai: kaho (woh uthkar room ke dusre kone mein jaata hai aur softly baat karta hai) kya kiya usne?

Sameer: Arjun usne, usne tumhare khilaaf complaint kar di hai

Arjun(ignorantly): really? Kya complaint ki hai usne? Ki uske senior ne uska so called pyaar thukra diya?

Sameer(angrily): Arjun For Once In Your Life Apne Ego Ko Side Par Rakho Aur Meri Baat Suno!! Usne tum par harassment ka case kiya hai

Arjun: case toh mujhe us par karna chahiye, woh bhi torture ka! resulting into mental harassment!!

Sameer bangs his fist on the wall: Shut Up Arjun!!! Stop Playing Around!! Sakshi Ne Tum Par Uske Saath Zabardasti Karne Ka Ilzaam Lagaya Hai DAMMIT!!! Sexual Harassment!!!!

Arjun ek second ke liye koi response nahi de paata, fir: use jo karna hai karne do!! Main uske saamne jhukne waala nahi hu...Bye!!

Aur bina aage kuch sune phone kaat deta hai. Sameer dusri taraf use curse karta hai

Sameer: DAMMIT ARJUN!!! Meri baat toh suno! (phone fek kar) Kab Sudhrega Yeh Admi!?!?!?!

Is taraf Arjun gusse mein hai ya irritated use khud samaj mein nahi aa raha. Phone rakhkar jab mudta hai toh... uske kadam wahi ruk jaate hai.

Riya: kya hua?

Arjun(control karke): kuch bhi nahi

Riya: toh phir aap is tarah uthkar yaha kyun aa gaye? Aisa kaunsi baat ho gayi jo aap mere saamne nahi kar sakte?

Arjun(defensively): nahi Riya aisa nahi hai

Riya: toh phir kaisa hai?

Arjun Riya ko is sab mein involve nahi karna chahta tha: main...(sigh karke) Riya chodo na ab in baaton ko

Riya: agar kuch aur hota toh chod deti lekin mujhe dekhkar aapki shakal ka rang ud gaya

Arjun(gehri saans lekar): fine...actually tumhare baad, teen aur ladkiyon ne ETF join kiya, usme se ek crime reporter Sakshi ko Home Ministry ne bheja tha. Aur usne (carefully choosing his words) kal mujhe...kind of propose kiya

Riya: kind of?...matlab?

Arjun: matlab usne mujhe Valentine card diya aur usme proposal likha tha. Maine use mana kar diya lekin woh nahi maan rahi thi, humari behas ho gayi aur fir woh chali gayi. (khud ko safeguard karte hue) Maine card ko dustbin mein fek diya par woh mujhe dhamki dekar gayi thi, abhi Rathore ne bataya ki usne, mujh par...(aankhein band karke) case kar diya hai

Riya(confused): kis cheez ka case?

Arjun ki aankhein abhi bhi band hai: ha... harassment ka

Riya(confused): kaisa har.. (realize karke) WHAATT????

Arjun ko pata tha, woh aisa hi kuch reaction degi. Woh use shoulders se pakadta hai.

Arjun: Riya, maine aisa kuch nahi kiya...please tru...

Riya(scolding him): OF COURSE AAPNE AISA KUCH NAHI KIYA! YOU EXPECT ME TO BELIEVE THIS SORT OF BULLSHIT?!?!

Arjun (muttering to himself): ye gaali dena bhi jaanti hai?

Riya: Kya Badbada Rahe Hai Aap?

Arjun: kuch nahi...kuch bhi toh nahi...mera matlab...main yeh keh raha tha ki, tum, shaant ho jao...

Riya(tensed): par sir, aisa karke use kya haasil hoga? Aur aap... aapka kya hoga? Agar usne aapke khilaaf aisi complaint ki hai toh...

Tabhi doorbell unhe disturb karti hai.

Arjun: Riya tum andar jao! Aur chahe jo ho jaaye tum baahar nahi aaogi... It's an order!

Riya: par...

Arjun: please Riya go! I Don't feel too good about this

Doorbell firse bajti hai. Riya nod karke andar room mein chali jaati hai lekin darwaaze ke paas khadi hai taaki use pata chal sake ki kya ho raha hai. in the meanwhile Arjun darwaaze ki taraf jaata hai. woh darwaaza kholta hai aur waha teen police officers khade hai.

Ek: Inspector Ranjeet, aapke khilaaf cognizable offense darj kiya gaya hai. hum aapko arrest karne aaye hai

Arjun calmly nod karta hai mv "oh God! Riya please baahar mat aana. aur unke saath jaata hai.

Ranjeet thoda surprised feel karta hai ki woh bina koi complaint ya koi paper check kiye aa gaya par dikhata nahi hai. on the other hand Riya shocked hai. usne apni cheekh rokne ke liye muh par haath rakha hua hai. Ranjeet aur uske officers Arjun ko le jaate hai...

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

9 days ago

Ayesha Arjun/Ariya OS: Case of the Heart

Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

7 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-38 Updated (Page-69)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Ariya FF: Tera Mera Rishta Purana {Part 12, P. 12}

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: RiyaA123

11 months ago

Search Help (lost Ariya/Arjun Stories)

Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

8 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".