Arjun andar se blanket le aata hai aur usse Riya ko cover karta hai...
kuch ghanto baad Riya ki aankh khulti hai. Riya dheerese apni aankh kholkar stretch karti hai. woh blanket ko dekhti hai
Riya : ye yaha kaise aayi aur ye...(woh hawa ko smell karti hai) hmm...ye khushboo?
Riya uthkar kitchen ki taraf jaati hai. kitchen mein Arjun stove par maggi bana raha hai. Riya uske paas jaati hai
Riya: aap kab uthe?
Arjun uski awaaz se uske taraf turn hota hai: are tum uth gayi?
Riya: ha...par aap ye...
Arjun: mujhe bhuke marna ka shauk nahi hai Riya. Aur stove par concentrate karta hai
Riya longingly vessel ko dekhti hai mv "aur main mar jau?
Arjun: and don't worry, tumhe bhi nahi marne dunga...tumhare hisse ki bhi banayi hai
Riya ke chehre par smile aati hai: aapko noodles bahot pasand hai ya fir...
Arjun bhi smile karta hai: basically, main woh chef hun jisse sirf survive hone karne ke liye ek cheez banana seekhi hai
Riya hasti hai: survival story toh mere paas bhi hai, aapko pata hai? jab main college mein thi tab hostel mein rehti thi, and...ek hi compound mein ek side par girls hostel and dusri side par boys hostel and waha ke rules kaafi strict them and you know ladke toh ladke hote hai...(Arjun apni eyebrow raise karta hai) it's a fact... you can't argue, so...mere dost the woh bhi waise hi the, exam ke time pe humesha end moment par raat jaag jaag kar padhai karte the and obviously raat raat bhar jaagenge toh bhook toh lagegi. And humare hostel ka canteen band ho jaata tha 8 baje aur 10 baje ke baad gate par taala, toh woh sab terrace par ikatha hokar chule pe maggi jalate the
Arjun(amused): chule pe?
Riya(haste hue): ha stove nahi laa sakte na toh ghaas aur lakdiyaan jala kar uspe tapela rakhkar!!!
Arjun ki bhi hasi nikalti hai: that's interesting! Hum yaha gaav mein stove jala rahe hai aur woh shehar ke andar chula jala rahe hai...kabhi pakde nahi gaye?
Riya: surprisingly nahi
Arjun gas off karta aur kadhai ko utarne ki koshish karta hai
Riya(worried): sir jal...
Arjun reflexively kadhai chod deta hai(apna haath pakad kar): ouch!!!
Riya(concernedly uska haath pakadkar): sir! aise garam kadhai kaun utatha hai...rukiye paani ke neeche haath rakhiye
Riya Arjun ko tap ki taraf guide karti hai. kuch pal baad Arjun ko relief milta hai
Riya: dikhaiye (uska haath check karke) dard ho raha hai?
Arjun: halka sa...I'll be fine
Riya disbelief mein sar hilati hai: aap bhi na!
Arjun: par ghar par toh mein aise hi karta hun
Riya: aapke ghar ki kadhai ka handle kis material se bana hai?
Arjun: pata nahi koi plastic
Riya: use Bakelite kehte hai
Arjun: ha woh jo bhi
Riya: aur ye handle steel ka hai, Bakelite garam nahi hota, steel hota hai itna bhi nahi pata aapko?
Arjun: are par handle toh dur haina, matlab loop mein hai, toh use thodi itna garam hona chahiye?
Riya(sternly): aapka haath jal gaya fir bhi aapko sabut chahiye?
Arjun: huh? Umm...(sheepishly)nahi
Riya disbelief mein apna sar hilati hai: chaliye chodiye, main serve karti hun.
Riya do bowls mein serve karke , ek bowl Arjun ko deti hai
Riya(pehla bite lekar): hmm...aaj zyaada achi bani hai kya daala hai aapne isme...(isse pehle Arjun kuch keh paaye)...pyaar?
Dono shock ho jaate hai, Riya bas flow mein bol di
Riya(horrified): I'm so sorry !!! mera woh matlab nahi tha, woh...darasal kehte na, ki pyaar se bani hui cheez zyaada tasty hoti hai, toh mere muh se nikal gaya , I'm so sorry, aap please bura mat lagana (aur sheepishly use dekhti hai)
Arjun bas halke se smile karta hai: maine kuch nahi daala, tumhe bhook zyaada lagi hai isliye zyaada achi lag rahi hai
Riya uske normal baat se relief hoti hai: ha ...maybe
Dono pet bhar ke khaate hai.
Riya: dijiye main rakh deti hun
Arjun Riya ko apna bowl deta hai. achanak Riya ke chehre ka expression change ho jaata hai
Arjun: kya hua Riya?
Riya(khidki ki taraf dekhte hue): waha...waha shayad koi tha
Arjun us direction mein dekhta hai lekin window ke baahar koi nahi dikh raha
Arjun: tum ruko, main dekhta hun
Riya nod karti hai, Arjun ghar ke baahar jaakar dekhta lekin koi bhi aas paas nahi. Kuch pal baad waapis aata hai
Riya: kaun tha?
Arjun: koi bhi nahi
Riya: par maine toh...khair shayad mera wahem tha
Arjun: ho sakta hai, lekin
Riya: lekin?
Arjun: kisi bhi cheez ko ignore mat karo, hume nahi pata ki yaha kya ho raha hai ya kaun kar raha hai
Riya: ji
Arjun: aur ek baat, kisi ko nahi pata chalna chahiye ki hum asal mein kaun hai
Riya: sir I think hum undercover aaye hai, toh zaahir si baat hai ki kisi ko pata nahi chalna chahiye
Arjun: mujhe pata hai Riya lekin maine ye tumhare liye kaha
Riya ko thoda gussa aata hai: aap kehna kya chahte hai???
Arjun: main bas yeh kehna chahta hun ki yaha sirf kapde dhona, ladke nahi...kuch din abla naari ban jao
Riya(realize karke): oh... Lekin...ek thapad toh chalega na
Arjun: Riya...
Riya: agar kisine zyaada tang kiya toh hi...promise
Arjun: fine!
Riya khush hoti hai: thank you!!
Arjun: aur...
Achanak ghar ka darwaaza force se khulta hai, aur kuch log haath mein laathi lekar andar ghuste hai, ek admi unhe lead karte hue...Arjun aur Riya dono choukte hai
Arjun(angrily): Kaun Ho Tum Log Aur Andar Kaise Ghuse???
Unka leader(proudly): Kallu naam hai mera!!! Is gaav ki maan maryada aur usulo ko kayam rakhna meri zimmedaari hai...pakad lo inhe!!!
Uske orders par uske admi Arjun aur Riya ko zabardasti pakad lete hai
Riya struggle karti hai: Chodo Mujhe!!!
Arjun bhi : HAATH MAT LAGAO USE!!!
Arjun ek admi ko kick karke dusre ko punch karke apne aap ko chudwata hai ...lekin agle hi second teesra use lathi maarta hai
Riya: Arjun!!!
Arjun gir jaata hai aur teeno fir use pakad kar restrain karte hai
Kallu: le chalo inhe, ab inka faisla panchayat karegi!!!
Uske admi Arjun aur Riya ko forcefully gaav ke bade chowk tak ghasit ke le jaate hai. pura gaav ikatha hua hai. ek jagah par Panchayat ke members...
Kallu: Sarpanch saab!!! Yahi hai woh dono shehar se aaye hue jo humare gaav ko ganda kar rahe hai
Arjun: Kya Bak Rahe Ho?
Kallu: apna muh band rakh!!!
Sarpanch: Kallu shaant ! (Arjun ko) dekho ladke, humare liye parampara aur reeti riwaaz hi sab kuch hai... is tarah akela ladka ladki ko rehna shobha nahi deta!!! Tum shehar waale humare gaav ke ladke ladkiyon ko bigad rahe ho!!!!
Arjun: What Nonsense!!! Hum toh bas...
Kallu: Sarpanch saab maine khud apni aankhon se dekha hai, Karamchand ji ke ghar mein yeh dono akele gulcharre uda rahe the!!!!
Riya: Iska Matlab Ghar Ke Andar Tum Taak Jhak Kar Rahe The??? Tumhe Sharam Nahi Aati!?!?!?
Kallu use thapad maarta hai, Riya use disgust ke saath dekhti hai
Arjun struggle karta hai: RIYAAA...TERI HIMMAT KAISE HUI USE HATH LAGANE KI???
Kallu: Chup!!! Laaj Aur Sharam Ke Baatein Iske Muh Se Achi Nahi Lagti, Kapde Dekho Apne!! Is Tarah Ke Kapde Pehan Kar Kaunsi Sanskaari Ladki Kisi Ladke Ke Saamne Ghumti Hai??
Arjun: Apni Bakwas Band Karo!! Kisi Aur Ke Ghar Ke Andar Jhaankna, ANDAR GHUS KAR EK LADKI KE SAATH BADTAMEEZI KARNA KAUNSE SANSKAAR HAI TUMHARE??
Kallu: mere sanskaaron ki chinta mat kar!!! Sach yahi hai ki tu ek gair ladki ke saath ek ghar mein reh raha hai!!!
Bheed mein se ek aurat bolti hai: Hey Bhagwaan! Sarpanch Ji Agar Ye Log Yaha Rahe Toh Humare Bache Bigad Jaayenge...Kuch Kijiye!!!
Koi Aur Admi: Are Inhe Toh Dhakke Maar Ke Gaav Se Baahar Nikal Do!!
Dusri Aurat: Are Ab Kya Faayda??Inhe Dekh Kar Toh Humare Bache Ke Man Mein Pata Nahi Kya Kya Ghus Gaya Hoga!!!
Kallu: ghus gaya hai toh nikalna bhi hume hi hai... inhe toh aisi saza deni chahiye jisse dekhkar!!! Is gaav ka koi bhi ladka ya ladki dobara aise koi bhi jurrat na kare!!!
Puri bheed uske ha mein ha milati hai
Riya Arjun ko tensely dekhti hai, Arjun ko bhi kuch samaj nahi aa raha, aakhir kare toh kare kya, woh chahe toh do minute mein Kallu aur uske admiyon ko sabak sikha sakte hai lekin case abhi bhi baakhi hai.
Kallu: Sarpanch ji, main toh kehta hun ki in dono ko ped se baandh kar pathar maaro!!
Arjun aur Riya dono ke pairon tale zameen khisakh jaati hai. pura gaav Kallu ki baat ko cheer karta hai.
Sarpanch haath upar karke sabko chup karte hai: theek hai, pehle is ladki ko baandho
Riya struggle karne lagti hai: nahi!!!
Arjun: Nahi Please Use Chod Dijiye!!! Aapko Jo Karna Mere Saath Kijiye!!!lekin koi nahi sunta
Kallu Riya ka haath pakadkar use kheenchne lagta hai
Riya: Arjun!!!!
Arjun khud bechain hai, use samaj nahi aata ki Riya ko kaise bachaye? Achanak use ek idea aata hai
Arjun: nahi!! RUKIYE!! SARPANCH JI!!! Aapka kam toh nyay dena haina? Toh ...toh kya mujhe nyay nahi milega?
Kallu: nyay hi mil raha hai tum dono ko!!
Arjun use ignore karta hai: Sarpanch ji! Aap sab ke liye parampara aur dharm sabse zyaada maayne rakhta hai...toh kya meri biwi ki raksha karna mera dharm nahi hai?
Sab confuse hote hai
Sarpanch: ye ladki tumhari biwi hai?
Arjun: ha! Riya meri biwi hai... pati aur patni toh ek ghar mein ek chat ke neeche reh sakte haina? Apni patni ki raksha karna bhi toh pati ka farz hota hai
Sarpanch soch mein chala jaata hai
Kallu : are Sarpanch ji aap iski baat mat suniye, hum kaise maan le ki ye jo bhi keh raha hai woh sach keh raha hai
Ek aurat: Kallu sahi keh raha hai, is ladki ke gale mein na mangalsutra hai na maang mein sindoor!
Arjun: main bilcul sach keh rahi hun, aur...rahi baat mangulsutra aur sindoor ki toh...mere...mere ghar mein sab yahi maante hai ki shaadi, do dilon ka bandhan hota hai...humaare yahi reewaz hai. meri baat ka vishwas kijiye
Sarpanch: aise kaise tumhari baat par vishwas kare hum?
Arjun: main aisa kya karu ki aapko meri baat par vishwas ho jaaye?
Kallu (slyly): toh tum dono sach mein shaadi shuda ho?
Arjun: ha
Kallu(meaningfully): toh saabit karo
Arjun questioningly use dekhta hai
Kallu: tum dono ko hum sabke ke saamne gaav ke mandir mein firse...shaadi karo!!
Arjun aur Riya shock ho jaate hai
Arjun: k..ya?
Kallu: kyun? Tum dono ki shaadi toh ho chuki haina? Toh phir, phirse karne mein kya takleef hai?
Arjun aur Riya ki nazre milti hai, Riya negatively nod karti hai lekin Arjun bhi majbur hai, kuch soch kar woh apne aapko compose karta hai
Arjun : hume manzoor hai!!!...
1.3k