Kidnap kisane kiya riya ya sik ne..
What Arjun is going to do now..
Update soon
Thanks for pm
Deepika starts shooting for King
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
🏏 Asia Cup 2025: Sri Lanka vs Bangladesh, Super Four, Match 1 Dubai🏏
Anupamaa 20 -24 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Downfall is Real! No one even cares for SPA pics this year
Star Parivaar Ki Favourite Saas
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 21, 2025 Episode Discussion Thread
Book Talk Reading Challenge & Book Bingo ~ Oct 2025 Sign up open!
🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
Baseer’s Accent
Akshay Kumar Is Back To Giving Hits
H-1B Visa Crisis: Families Forced to Return, Futures at Stake
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Chunkey Panday happiest for Ahaan’s success (Saiyaara)
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
Tabu likes a reel shading Deepika on Instagram
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 21st Sep 2025 - WKV
24 years of Ajnabee
Saiyaaara spoof
Dono car main mein baithte hai, Arjun drive karta hai, achanak uske man mein woh Ladki aati hai, woh car turn karta hai...
Rathore: kaha jaha rahe ho???
Arjun koi jawaab nahi deta aur apne raaste par jaata rehta hai
Rathore(irritate hota hai): KUCH BOLOGE BHI???
Par woh jawaab nahi deta hai
Rathore(disbelief mein) : I don't believe this!!! TUMHE UNKI FIKAR HAI YA NAHI !!!
Arjun: WILL YOU SHUT UP!!! MAIN JAANTA HUN MEIN KYA KAR RAHA HUN
Rathore: Ek Bhi Angle Se Lag Nahi Raha
Arjun(annoyed): bol toh aise rahe ho jaise tumhe bahot fikar ho rahi hai
Rathore: KEHNA KYA CHAHTE HO TUM? Mujhe Unki Fikar Nahi Hai? MUJHE TUMSE ZYAADA FIKAR HAI UNKI SAMJHE TUM!!!
Arjun: AGAR AISA HOTA TOH ITNE DINO TAK TUM UNKE SAATH REHTE NAA KI SIRF APNE GAM MEIN DUBE REHTE!!! TUMHE APNE ILAWA KOI DIKHTA KAHA HAI!! MAANA KI TUMNE AYESHA KO KHOYA...LEKIN UNHONE BHI APNI TEEN DOSTON KO KHOYA HAI!! EK BAAR BHI YEH SOCHA TUMNE??? NAHI??? KABHI UNKA GAM BAANTNE KI KOSHISH KI??? NAHI!!!! DOST KO KHONE KA DARD KYA HOTA HAI YEH TUM JANTE BHI HO?? Huh!! Baat Kar Rahe Ho!!!
Rathore ko kya jawaab dena pata nahi chalta, uske paas kehne ke liye koi counter argument nahi hai, woh chup ho jaata hai
Arjun chai ki dukaan ke paas rokta hai aur window niche karta hai
Arjun: Munna!!!
Munna turn hota hai: are dada aap? Acha hua aap aa gaye, woh Ladki aap ke liye chithi chodke gayi hai. Aur use letter deta hai
Rathore: kaunsi Ladki?
Arjun jawaab nahi deta aur letter par focus karta hai
Bungalow no. 16, third Left
Rathore: iska kya matlab hai?
Arjun: gaadi main road par se gayab hui thi, usi road pa third lane left side ki...
Rathore: aur bungalow no.16
Arjun nod karta hai, au firse car start karta hai
Rathore thoda impress hota hai: aisa kaunsa informer hai tumhara? Hume kitna aur kya pata hai yeh bhi jaanta hai?
Arjun hasta hai: woh antaryaami hai use sab pata hota hai
Rathore uske jawaab se unconvinced rehta hai par firse usse jhagda karne ke mood mein nahi hai, isliye jaane deta hai...
2-3 ghante bad woh log mahad island pahunchte hai, tab tak raat ho chuki hai, woh log us chit ke mutabik, main road se third left lete hai aur bungalow no.16 ko taraf jaate hai...par
Rathore: ye kya yaha toh no.15 par hi bungalow khatam ho gaye
Arjun soch mein pad jaata hai
Rathore: lagta hai tumhari khabri ki information galat hai
Arjun (sharply): Nahi!!!! Uski information kabhi galat nahi ho sakti
Rathore: tum itna confidently kaise keh sakte ho?
Arjun: kyunki main jaanta hun
Rathore: oh come on Rawte!! Uski information galat kyun nahi ho sakti ? shayad intentionally nahi...galti ho gayi hogi
Arjun mv " aisa kaise ho sakta hai? Aaj tak toh usne jo bhi kaha sab sach hi kaha...aur waise bhi woh toh..."
Rathore(annoyed): Rawte!! Kaha kho gaye?
Arjun: uski information galat nahi ho sakti! Mujhe pura vishwas hai, woh galti nahi kar sakti
Rathore: ugghh!!! Tum kabhi kisi ki sunte bhi ho?
Arjun: sun raha hu isliye tumhare saamne baitha hun warna tumhe baahar nikaal kar apna kaam kar raha hota
Rathore: what do you mean by mujhe baahar nikaal kar...
Arjun: just shut up!!! Sochne do mujhe!!
Rathore apna muh ferta hai: huh!! Sochne do bol toh aise raha hai...jaise dimag toh khud hi ke paas hai puri duniya mein
Arjun snap karta hai: Tumhare Paas Better Idea Hai?
Rathore jawaab nahi deta
Arjun: nahi na? toh chup raho!!!
Arjun firse dimag par zor daalne lagta hai, woh aas paas ki surroundings dekhne lagta hai...slowly car aage drive karte hue dead end par pahunchne waala hai...lekin end par ek aur turn hai, jo aasani se kisi ko piche se dikhai na de
Woh turn karke us by-lane mein jaata hai and sure enough there it was...Bungalow no.16
Arjun proud feel karta hai,
Rathore choukta hai aur questioningly Arjun ko dekhta hai,
Arjun use look deta hai " maine toh pehle hi kaha tha!!!"
Tab tak raat ho chuki hai, Arjun ke thoda dur car park karta hai, dono apni guns nikal kar check karte hai...dheere-dheere dono aage badte hai...main gate ke paas, waha koi nahi hai, Rathore caution se gate kholta hai...woh creak karte hue khulta hai...Arjun andar lawn mein enter karta hai...
Rathore front door ki taraf jaata hai aur Arjun piche ka darwaaza dhundhne ki koshish karta hai, use darwaaza nahi milta, woh ek khidki Kholkar silently andar jaata hai, idhar-udhar dhyaan rakhta hue, woh us room ke baahar aata hai...waha bhi koi nahi hai, woh ek-ek room check karte hue aage jaa raha hai, kuch der baad use realize hota hai ki waha koi nahi hai.
Arjun mv " strange, yaha toh kuch bhi nahi hai...toh phir usne hume yaha kyun bheja? Woh car bhi toh yahi aayi thi, toh gayi kaha?"
Arjun: Rathore!!!
Koi reply nahi aata
Arjun mv "ab ise kya hua??"
Woh use dhundhne lagta hai par woh kahi nahi milta, ab Arjun ko chinta hoti hai
Arjun: Rathore!!!...Rathore Where The Hell Are You!!!...This Not A Joke GodDamnIt!!! ...Rathore!!!
Woh hall mein pahunchta hai, waha table par ek note
Agar apne saathiyon ko firse zinda dekhna chahte ho toh Aarey colony ke Phase 2 ke forest guard ke purane office par pahunch jao, akele warna...
Arjun numb ho jaata hai, use apne aankhon par vishwas nahi ho raha hai, uske dimag mein sirf ek baat aati hai
Arjun mv "firse...??"
Uska dimag kaam karna hi band kar deta hai, use kya karna kuch samaj nahi aa raha...
Kuch der baad Shock se nikal kar
Arjun: nahi firse nahi...ab chahe jo ho jaaye, ya toh Sikandar rahega ya fir main!!
Woh bhaagkar apni car mein baithta hai, aur tezi se drive karne lagta hai
Arjun mv "Aarey colony ka phase 2...woh office toh band ho chuka hai...forest guards ne naya office banaya tha...waha aaspaas locals bhi nahi hai, isse behtar jagah use kaha se milegi...par...kahi yeh uski koi chaal toh nahi?... Ho bhi toh kya, unke ilawa aur bacha kya hai mere paas??"
Aise hi apna man strong karta hai, aur speed badhata hai...ek do ghante baad woh Aarey colony pahunchta hai, Phase 2 mein jaakar speed slow karta hai...thoda aage ek board aata hai-forest guard office, us board par zang laga hua hai, dekh kar hi pata chal raha hai 2-3 saal se maintain nahi kiya...board par lage direction ki taraf mudta hai, kuch hi der mein uske aage forest guards ka abandoned office aata hai.
woh ek bade se log cabin jaisa hai, aaspaas koi nahi, andar bhi koi ya nahi pata nahi chal raha, woh car se utarkar uski taraf jaata hai, steps chad kar woh darwaaze ke paas aata hai, paas ki khidki se dekhne ki koshish karta hai par uspar itni dhul hai ki kuch dikh nahi raha, woh apne aap ko mentally prepare karke gun load karta hai aur dheerese darwaaza kholta hai...
He steps inside, but its dark, taking another step forward he closes the door behind him. Tabhi us par ek light girti hai, uski Roshni itni zyaada hai ki Arjun ko apni aakhein ko cover karna padta hai...footsteps...
Ek awaaz: Welcome ACP! Mujhe pata tha tum zaroor aaoge...after all tumhe apni zimmedaariyon se bhaagne ki aadat nahi hai...haina?
Arjun ko gussa aata hai,: MERE SAATHI KAHA HAI SIKANDAR???
Sikandar ek admi ko ishara karta hai, Light Arjun se shift hokar dusri taraf project hoti hai, Arjun apni aakhon se apna haath hatata hai, and then he sees three chairs with Rathore, Shree and Chotu on each, their hands tied at the back, their mouths gagged, little beaten slightly bruised. His heart pained to see them like this
Sikandar: lo dekh lo apne saathiyon ko, jee bhar ke dekh lo...akhri baar
Arjun shock se use dekhta hai
Sikandar smile karta hai, woh ek rassi ko pakadta hai jo deewar par ek handle se bandhi hui hai... Arjun us rassi ko apni nigahon se follow karke dekhta hai...and what he sees horrifies him to the core...the rope attached to a blade... a blade huge enough to slice the three of them transversely... together!!!
Arjun toh kuch bhi samajne ki haalat mein nahi, teeno maut ke darwaaze par khade hai, woh sub-consciously ek step aage leta hai
Sikandar: nahi...(Arjun rukta hai)...ek bhi kadam aage mat badana warna...aur rassi ki knot ki taraf ishara karta hai
Arjun : nahi...tum aisa kuch nahi karoge
Sikandar(slyly): main aisa kar sakta hun ACP Rawte and trust me jo main kehta hun woh karke dikhata hun...after all tumse behtar yeh baat kaun samaj sakta hai
Arjun ko yaad aata hai...pehli baar jab woh Sikandar ke piche tha, use phone par dhamki bhare messages aur calls, ghar par chetavni ki chitthiyaan, usne sab ignore kiya tha, ek mamuli gangster ki dhamki samaj kar par uska anjaam, Sikandar ne usse uski Roshni cheen li, usne kabhi sapne mein bhi nahi socha tha ki uski galti ki keemat Roshni ko apni jaan gava kar chukaani padegi
Sikandar: kuch yaad aaya?
Arjun: SIKANDAR!!!!!
Sikandar zor-zor se hasne lagta hai
Arjun: jaane do inhe, kya bigada hai inhone tumhara?
Sikandar: bigada toh kisine mera kuch nahi hai aur na tha, bigada toh tumne hai aur uski keemat in sab ko chukaani pad rahi hai
Arjun(emotionally): please, leave them! Kya chahte ho tum? Main karne ko taiyaar hun
Sikandar: pakka?
Arjun: ha !! tum jo kahoge main karne ko taiyaar hun...par pls inhe jaane do
Sikandar: toh theek hai...apni gun uthao aur in teeno mese kisi do ko maar daalo
Arjun ke pairo tale jaise zameen khisak gayi
Sikandar: maar daalo!! Do ki maut ke badle main tumhe ek ki jaan dunga
Arjun: main...main aisa nahi kar sakta...
Sikandar: are? Abhi tumne hi toh kaha ki tum kuch bhi karne ko taiyaar ho...toh main chahta hun ki tum in teeno mese ek ko chuno aur baakhi do ko maar daalo warna...
Arjun: warna?
Sikandar: warna mera haath fisal kar is rassi ko khol dega aur teeno maare jaayenge
Arjun: Nahi!!...aisa, aisa mat karo
Sikandar: mera kuch karna ya na karna toh tum par depend karta hai ACP Rawte
Arjun gusse mein apni gun us par point karta hai: give me one good reason ki main unki jagah tum par goli na chalau!!!
Sikandar(unaffected): agar tumne aisa karne ki koshish bhi ki toh...
Piche andhere mese ek goli chalti hai, Arjun immediately uski taraf turn hota hai, woh goli Chotu ke kandhe ko chukar nikalti hai
Arjun usi second Sikandar se apni gun hatata hai
Sikandar hasne lagta hai
Arjun defeatedly ghutno par jaa girta hai, unable to think, unable to choose, unable to differentiate between right and wrong...uske aankh se aansu aate hai, woh kaise unme se kisi ek ko chun sakta hai? Unme do aise log the jinhone tab uska saath diya uspar vishwas kiya jab puri duniya uske khilaaf thi yaha tak ki uska best friend bhi...right best friend...woh best friend jisse uska rishta tute hue barso beet gaye, wahi best friend jo kabhi us par jaan chidakta tha par ab...ab woh uski shakal bhi nahi dekhna chahta tha...lekin iska matlab ye bhi toh nahi ki woh uski jaan kurbaan kar de...aur any which ways use do logo ko maarna tha...par un teeno mese kisi ek ko kaise chune?
Sikandar(playing with the ropes' loose end): jaldi ACP...warna teeno ki jaan jayegi
Arjun(sar uthakar): please...let them go...main unhe nahi maar sakta...isse toh behtar hai ki tum mujhe maar do...par pls unhe chod do
Sikandar hasne lagta hai: wah bhai wah maan gaye ACP!! jitna Pathar-dil bankar ghumte ho utne ho nahi...humesha akele kaam karne waala ACP Arjun Suryakant Rawte apni team ki kitni fikar karta hai...
Arjun defeatedly sar jhukata hai
Sikandar: finally Department ke sabse bahadur officer ko maine ghutne tekne par majbur kar hi diya!!! (Aur hasne lagta hai) aaj ka din toh itihaas ke panno mein sunhere aksharo se likha jaayega
Arjun(cracked): sahi kaha tumne Sikandar...main jhuk gaya tumhare saamne...ab toh tumhara maksad pura ho gaya...ab mere saathiyon ko jaane do
Sikandar: are-are itni bhi kya jaldi hai? mera maksad toh tab pura hoga jab tum haar maan kar, apni gun se, apne haathon se khud...apni jaan loge
Charo (ETF) shock se Sikandar ko dekhte hai
Shree mv "nahi...pls for God's sake Arjun sir aisa mat karna...please...aap ek criminal ke aage jhuk jaaye ye hume bardaasht nahi...please"
Chotu mv "Arjun sir aisa mat karna...aapne waada kiya tha aap Sikandar ko saza dilwayenge...ab aap is tarah haar nahi maan sakte...please"
Rathore mv " Damn it!! Is Sikandar ki toh...!!! (use bahot gussa aa raha hai par waha baithe hue bhi kya kar sakta hai)...come on Arjun tum iske saamne is tarah haar nahi maan sakte, (use achanak realization hota hai) kya...Roshni ke waqt bhi isne Arjun ko isi tarah majburi kiya tha? Kya Arjun chah kar bhi kuch nahi kar paya? Aur isi wajah se Rosh...aur woh teeno bhi?"
woh finally ek dost ki nigahon se Arjun ko dekhta hai, uske emotions ko padhne ki koshish karte hue aur jo woh padhta hai usse uska dil baith jaata hai...
Arjun un teeno ko dekh raha hai, aur unke man ke feelings bhaanp bhi leta hai par ab uske paas koi aur chaara nahi mv "im sorry Shree, mujhe maaf karna Chotu main apna waada nahi nibha paaya" woh ek Rathore ki taraf glance karta hai aur fir...apni gun upar karte hue...apne maathe par point karta hai... closing his eyes, he grips the trigger and the next second...a shot reverberates thorough the space of the cabin followed by the fall of the body...
What will happen when Arjun and Riya works with cid team.
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
37