PART 2 B
Arjun, Sameer & entire ETF returned to ETF office after the investigation, Sameer said, "Team hame ab tak ye pata hai ki kissi ne Roshni ke ghar main ghus kar usko maar daala hai, jis chaku se maara wo gayab hai, abhi tak bas taar mili hai jisse uska gala ghot ke behosh kiya gaya hai, hame baaki ke details jald pata karna hoga" all nodded & resumed their work.
Aisha gave her founding's to Sameer & Arjun & said, "Sir ye mujhe mila tha Roshni mam ke room se, ye shayad khooni ka hai main aapko dikhana chahti thi wahi par nikalne ki vajah se tab dikha nahi paayi"
Arjun took the strip in his hands & said, "Ye to high sedatives hai yaani jisne ye sab kiya wo ek pagal hai a psychopath"
Sameer said, "Haan Arjun right ye sab ek pagal ka hi kaam hai, Liza ne bataya tha ki iss tarah se to koi mental patient hi maar sakta hai, lets go to Liza dekhte hai use kya pata chala hai?"
All 3 go to Liza & Sameer asked him, "Liza kya pata chala hai?"
Liza turned & said, "Sir Roshni mam ko marne se pehle high sedatives diye gaye the, jiski vajah se wo zayada react nahi kar paayi aur na hi uska muquabla kar paayi, unhe lorazepam ka injection diya tha, ek aur important baat hai sir jis chaku se khoon hua woh koi special surgical knife hai jo ki bahut acchi quality ka hai, ye sab jagah nahi milta khas doctors & surgeon ke pass hi hota hai"
Sameer said forwarding her the sringe vacant medicine bottle & Strip "Liza kya yehi wo medicine hai, tum check kar sakti hoo?"
Liza checked & said, "yes sir Roshni mam ko injection isi se diya gaya hai, ispe unke blood tissues bhi hai par kisi ke bhi finger prints nahi hai"
Arjun said, "ye jo bhi hai bahut chaalaak hai, par zayada din humse bach nahi paayega"
Sameer said, "Haan Arjun & Liza thanks tum ye muze dedo mere jaan pehchaan ke ek bahut acche doctor hai Dr Karan Khanna famous psychologist & Brain surgeon hai, main unse details leke aage badta hoon aur kal baat karte hai"
Liza nodded & all 3 left the lab.
Bit later in Sameer's cabin Arjun said, "Sam mujhe ek baat samajh main nahi aayi, yadi koi aisa ghar main ghusne ki koshish kar raha tha to Roshni ne gate kyu khola? uski aadat thi wo darwaaza hamesha band rakhti thi, kabhi bhi check kiye bagair darwaaza nahi holti thi, maine tab dhyan nahi diya shock ki vajah se, par mujhe acche se yaad hai kamra bhi khula tha aur darwaaza bhi unlocked tha"
Sameer said, "ho sakta hai koi zabardasti ander aagaya hoo warna Roshni kisi anjaan ke liye darwaaza kyu kholegi?"
Aisha said, "Par sir entrance ki taraf to struggle ke koi nishan nahi ha,i maine Liza ne aur Riya ne khud check kiya tha, jo bhi nishaan hai aapke room main hai yaani.."
Arjun said, "tum sahi keh rahi hoo Aisha, yaani jo bhi hai Roshni use acchi tarhah jaanti thi aur isi liye usne darwaaza khola tha"
Aisha said, "Sir to kya Roshni mam kisis aise shaks ko jaanti thi, unka kisi aisi jagagh se koi connection"
Arjun said, "nahi Aisha aisa to kuch nahi tha, bas kuch samay pehle usne painting exhibition organize kiya tha ek viklang baccho ki organization ke liye "
Sameer said, "ye sab itna easy nahi hoga Arjun aur jo psychopath hote hai wo kissi khaas reason ya obsession ki vajah se aisa kadam uthate hai aur iska reason kuch alag hi hai, use pata tha ki Roshni ghar pe akeli kab hoti hai, usne bahut sooch samajh ke vaar kiya hai"
Aisha said, "right sir aap theek keh rahe hai, hame pehle is murder ke motive ko clear karna hoga shayad tabhi hum aage bad paayenge"
Sameer said, "Theek hai kal main aur Arjun Khanna uncle se milte hai aur zara vajah jaane ki koshish karte hai, hame investigation main aasaani hogi" Aisha & Arjun nodded & left to their cabins.
After a while It was late night & Sameer called the day off for every one.
One by one all left the office accept Arjun. Sameer came to him & said, "Chal ghar chal maa ne mujhe kaha hai ki tujhe saath leta aau"
Arjun in a lost tone said, "nahi sam mera mann nahi hai, tu chala jaa kaki se kehna ki main baad main kabhi aa jaaunga"
Sameer said, "Bakwaas band kar aur chal saath, teri vajah se main maa se daant nahi khane waala hoon"
Arjun said, "Please Sam zidd mat kar, mujhe kuch deer akela chod de, main kaka kaki aur tujhe koi pareshani nahi hone doonga, khaas kar meri vajah se"
Sameer in irritated way, "Arjun tu jaanta hai na main tujhe liye bagair nahi jaaunga, main tujhe aise haalat main akela nahi chod sakta hoon aur meri ek baat kaan khol ke sun le ab se tu mere saath waise hi rahega jaise hum teri shadi ke pehle rehte the, mere ghar pe aur ye main nahi maa ne kaha hai aur main unhe bilkul sahi samajhta hoon aur is maamle main main unke saath hoon, ab tu faisla kar ki seedhe se ghar chalna hai ya main tera kidnap karke le jaaun tujhe"
Arjun looked at Sam & gave him a tight hug & said in a choaked voice, "Sam Roshni kyu chali gayi mujhe chod ke? Ek wahi to thi jisne mujhe sambhala tha"
Sameer patted him & said, "Bas Arjun mein samajh sakta hoon tu kya feel kar raha hai, par fikar mat kar use bahut jaldi insaaf milega"
Arjun said, "haan par uske jaane ke baad ab saari zindagi mujhe bemaani lagne lagi hai, mujhe samajh main nahi aa raha ki ab main.."
Cutting him short Sameer said, "Main jaanta hoon Arjun tu kya kehna chahta hai, par kya ma baba aur main, hamari saari team ye sab tumhare apne nahi hai, Shree, Chotu, Aisha, Riya, Liza sab tumhare saath hai aur hum sab jee jaan se koshish kar rahe hai aur ab main koi bahana nahi sununga tera samajh main aaya, ab chal saath main"
Arjun tried to protest it but Sameer didn't listen to him & dragged him towards the SUV & took him to his home.
This scene was watched by Aisha & Liza Aisha said, "Rathod sir kitni fikar karte hai Arjun sir ki, bahut acchi dosti hai dono ki"
Liza said, "Tum aur Riya bhi to saath the academy main Rathore sir aur Arjun sir ke saath"
She replied, "Haan 2 saal ki training main Rathore sir aur Arjun sir mere seniors the tab se jaanti hoon, dono ki dosti bahut mashoor thi poori academy main, jai veeru kehte the sab, Riya research wing ki thi isliye sirf 6 mahine ki training ke liye aayi thi uski aur Arjun sir ki bahut acchi banti thi, fir meri posting Delhi ho gayi aur 1 saal pehle ETF join kiya aur Riya to research wing main thi uski transfer bhi yaha ke research work ke liye hui, par Arjun sir ko aise dekh kar yakeen nahi aata kitna pyar karte the wo Roshni mam se aur aaj wo is duniya main nahi hai"
Liza said, "right yaar that's life, khair chale late ho raha hai"
Aisha nodded & both went back to their houses & Sam too brought Arjun home
P-RECAP: ETF gets few vital proofs & a new important discovery in the case 😊
So how was it guys please drop in ur comments as I write for u guys so please do let me know all ur bashing, feedback & suggestions are more than welcome excuse for typing & formatting errors love u all
EDIT CREDIT : SNEHA 😊 Good work dear 😃
Regards Goldie & Rimi
Edited by GOLD.A - 10 years ago