Love ArNi... <3
Shree's dialogue was fab...
Waiting for the next part 😊
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 20 Aug 2025 EDT
IMMORAL CRINGE 20.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 21 Aug 2025 EDT
DASHI FUTTT 21.8
So the roles are officially switched…
Out Now - Official Preview - The Ba***ds Of Bollywood
Savage Katrina!!
Anupamaa 20 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aishwarya Rai Bachchan in a new advertisement for #Loreal
Chal jhooti; Shaadi ka Har nhi Fansi ka zehrila Fanda (pics only)
How beautiful Katrina used to be.
Mann main koi aur, shaadi se kisi aur
Book talk reading challenge September 2025 ~ Sign up open!
Why is this show so PG? S1 was more 15 Rated or nowadays A.
Which movie will you watch 29th August release?
Anupamaa 21 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Media in India: Democracy’s Watchdog or Power’s Megaphone?
Proud Parents SRK-Gauri Watch Aryan 🥰
21 years of Fida
EK DUJE KE VAASTE ------------- anuraya fan -------------------------
DELHI NEWS DAILY
'BREAKING NEWS: DON SIKANDER'S ENEMY KESHAV DUBEY MURDERED IN PUBLIC BY UNKNOWN SHOOTER'
Delhi: 'Keshav dubey, arch enemy of sikander in underworld was killed by an unknown shooter.
Keshav dubey was shot in public in chandni chowk market when the former was said to be having his 'me time'. The shooter, however fled from the place before anyone could grab him, is said to be a man woking for sikander. The --------------------'
Sikander threw the paper on the tipoi and screamed at his men
"kisne kiya hai ye kaam...BOLO KISNE KIYA HAI??? HUM YAHAN USSE TAPKANE KELIYE TAB SE BAITHE HAI AUR YE KOI NAYA CHICHUNDER USSE MAARTA HAI"
"bhaijaan, pata nahin kaun tha... magar maan na padega ki koi bhi ho bohut tez hai banda. Chandni chowk mein keshav ko maarna wo bhi uss tareeke se?? mein rehman se baat karta hun."
"pooch pooch usse ki wo kaun hai.. wo humare bade kaam aa sakta hai"
"ji bhaijaan"
************************************
Another place in delhi:
A small dingy house made of sheets in sub urb. A cot in the corner of the room, three chairs and a television. Two doors in an end which lead to kitchen and toilets.
"aap ye sab kyun kar rahe ho saab?? Aapki jaan ko khatra ho sakta hai"
"rehman, main jaanta hun. Magar mujhe meri parwah nahin hai. Ye mera farz hai ki mein logon ko bachau aur uske liye mujhe jo karna pade wo mein karoonga. Samjhe ya...samjhau?"
"ji saab... ab wo log kabhi bhi aa sakte hai yahan. Aap taiyaar raho saab"
"haan."
There was sudden knock on the door and the two exchanged glances. Arjun quickly lay down on the cot, pretending to be asleep.
Rehman opened the door and saw abdul
"arre abdul bhai. Salam alaikum...aao aao..."
"alai ku assalam.. koi hai kya ghar pe..?"
"nahin. Sirf main aur aaqif hai... baitho. Chai loge ya thanda"
"dilli ki garmi mein chai? Na. thanda sharbat dede.."
Arjun slowly got up from the cot and sat yawning loudly. He could not be recognized by anyone... his usual stubble was much more grown and so was his hair. His voice was bit hoarse.
"rehman bhai... humare liye ek cup chai hojaye to maja aajata..."
"abhi laaya aaqif bhai.. bas do minat"
Aaqif turned to abdul and said
"salaam. aap kaun?"
"ye sawal to mujhe poochna chahiye janaab... aap kaun?"
At the same time rehman made his way out off kitchen carrying sharbat and chai
"abdul bhai ye aaqif hai. Punjab se hai. Mere acche dost hai ye"
He handed over chai and sharbat and sat on a chair.
"ab bataiye kaise aana hua?"
"kuch nahin rehman. Wo bus sikander bhaijaan ne bheja hai hume. Wo keshav ko maarne wale ke baare mein pata lagane..."
"aap sahi jagah aaye ho miyan... wo koi aur nahin aaqif tha jisne usse maara tha"
"ye... isko dekh ke lagta nahin hai ki ye uss keshav ko maar sakta hai"
Aaqif pulled his gun and pushed it into abdul's mouth
"usse haramzade ka naam mat lo apne zuban pe. Warna main bhul jaaunga ki tum rehman bhai ke kuch lagte ho"
"kyun maara usse tune?"
"kyun batau tujhe? Kya karega tu agar na batau to?"
"aaqif bhai shant ho jao. Main abdul se baat karta hoon...
Dekho abdul bhai. Aaqif wahan Punjab mein tha. Magar ye keshav aur uske aadmi uske poore khandaan ko ujaad daala. Iske ammi-abbu ko maar daala aur uski behan ka...uska kya hua kisi ko nahin maloom. Ye baat wahin daba di gayi thi. Isiliye ye badla lene aaya tha yahan pe...aur kuch nahin"
"dekho. Agar tum chaho to humare saath kaam kar sakte ho. Sikander bhaijaan ke neeche..."
"sikander?? Ye kaun hai??"
"aaqif tum sikander bhaijaan ko nahin jaante??!! Hairani ki baat hai.. punjab mein to unka itna naam hai. Jehad ke liye jaane jaate hai wo. Humare mulk mein ye jo bhi chal raha hai na, ye kya kehte hai? Hann carrapsun, baki netaon ke kale kartoot, unse logon ko azad karane ke liye aaye hai wo. Humara maseeha... humare liye bhagwan hai wo... logon ki bhalayi ke liye kaam karte hai"
Aaqif aka Arjun made a mental note on the image sikander had created about himself in his followers mind. It was not surprising for him as he had expected some what similar thing about him.
Abdul continued without bothering about anything
"wo kya hai na, iss mulk ki sarkar unhe bura bata ti hai. Magar hai to wo bohut hi nek."
"maine suna hai ki wo ladkiyon ko uthwate hai??" aaqif slowly asked him
"nahin nahin aaqif miyan... uthate nahin hai. Aurat to hoti hi mard ki gulami karne ke liye. Aurat ko paron ki jooti ke neeche dabakar rakhna chahiye. Wohin hum karte hai. Wo ladkiyan hum mardon ki har tarah se seva karti hai. Har ek mumkin tareeke se. badle mein uss ladki ke ammi-abbu ko bhi to tofe milte hai?? Bhaiijaan kabhi bhi ladki ke gharwaalon pe museebat aane nahin dete hai haan...paison ki barsaat hoti hai haan..."
arjun was very angry.they thought this low about women??? he wanted to puke out everything in his stomach. but work...for that he controlled himself
Arjun ate a pan which was made by rehman and spoke between bites
"waah rehman bhai.. kya paan hai. Maza aagaya... rehman bhai mujhe lagta hai ki mujhe uss sikander se milna chahiye. Kya hai mujhe ab waapas Punjab mein koi kaam nahin hai. Kya pata yahan ek zindagi bas jaaye?? Aap kya kehte ho?"
"aaqif bhai soch to nek hai. Kyun abdul bhai? Leke chaloge?"
"zaroor zaroor. Hum yahan aaye hi iske liye hai. Sikander bhaijaan bohut khush honge iss janab ko dekh ke..."
*****************
TO BE CONTINUED...Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Arakshi SS: Chance By Kismat Prologue, Part 1 and 2 Part 3: Arjun kneeled before lifeless Sakshi, who didn’t even blink from past 5minutes. She...
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
Hey all iam Navya , this is my first fan fiction, iam so obsessed of our beloved arakshi ,i almost read all ffs of arakshi ,now I thought of...
615