anuj gave surprise to anu
she got so overwhelmed with all this and ran away from there
anuj also ran after her
and said kya hua anu mujhse koi galti hui kya maine hurt kar diya tumhe I m really sorry agar maine tumhe hurt kiya tha
anupama was seeing him with so much adoration and suddenly she hugged him
anuj shock ho gaya sudden hug se
and anu said aapko pata h anuj meri pehli shadi mein mujhse kisi ne nahi pucha meri pasand napasand mujhe us ring ka design bilkul pasand nahi tha lekin maa ne kaha kyunki teri saas ko pasand h to tujhe yehi pehenna padega . Maine apne gehne bhi bech diye kyunki rakhi ben ki shart thi ki kinjal diamond ring hi pehenegi . Lekin uske liye bhi sabne mujhe hi galat tehraya bahut ulta seedha bola mujh par ilzaam lagaye . Koi mera saath nahi de paya tab bhi Main bilkul akeli thi anuj. Aapke aane se pehle mujhse meri marji meri pasand koi nahi puchta tha anuj . Thank you so much anuj meri life mein aane ke liye . thank you so much mujhse itna pyar karne ke liye . THank you so much mera intezaar karne ke liye. Thank you so much mujhe itni izzat dene ke liye anuj
ye sab wo anuj ko hug kiye hue hi bolti h
anuj kissed her forehead and said shh anu please chup ho jao aur rona nahi bilkul . Mujhe pata h tumne bahut kuch saha h lekin ab nahi sahogi tum main vada karta hu tumse tumhe jindagi ki har khushi milegi tumhe wo izzat milegi jo tum deserve karti ho aur ye sab karke main koi ehsaan nahi kar raha tum par na maine tumse pyar karke tum par ehsaan kiya na tumhara intezaar karke aur hum mile kyunki hamara milna likha tha We should thank GOD ki usne humein dusra chance diya aur jaha tak rahi izzat ki baat to wo duniya ki har lady deserve karti h aur humein unhe wo deni hi chahiye wo kehte h na BHAGWAN bhi usi ghar mein rehte h jaha lady ki izzat hoti h aur tumhari pasand janne ki baat to meri wife hone se pehle tum ek individual ho jiski khud ki life h khud ki pehchan h to main kaun hota hu tum par apni pasand napasand thopne wala Ye relation hum dono ka h aur hum dono ek dusre ke husband wife hone ke saath saath individuals bhi h to hum dono ko right nahi h dusre ke liye usse puche bina decision lene ka hum ek dusre ko salah denge ek dusre ka saath bhi denge but apne decision saamne wale par kabhi thopenge nahi
and he again kissed her and wo dono wapis showroom mein aa gaye khushi khushi and this time anu was not at all nervous in fact she was happy and excited
PS: ye scene agar aisa hota to kaisa lagta please batana sab
main koi writer nahi hu mujhse review bhi dhang se na likha jata so please bear with me 😳
Ree! Too good! Kya beautiful alternatives nikal rahe hain from our FD today! Kaash koi inhe padhkar inspiration le leta!
❤️
6