Originally posted by: Not_James_bond
Yaar I swear main kuch nahi karti 😂😂😂 sab hota jaata hain.😂😂😂😂
Ek baar toh warden ko galti sa sleeping pills khila di maina 🤪 . Mujha Laaga woh pain killers hain 😂😂 main second main thi .😂😂😂 Mera seniors na kaaha ki yeh vitamin pills hain madam ko deda .😂😂😂
Ek madam ko dena aur baaki chaar unka khaane main dalna khaana aur healthy ho jaata hain.😂😂😂
Yaar main itna daar gayi thi mujha Laaga yeh maar gayi ab mujha jail jaake bina tel ki roti aur woh paani wali daal khaani padegi.🥴🥴🥴😂😂😂😂
Sab kuch bhool jao ek minute ke liye. Everything aside. Mujhe bas yeh jaanna hai?
Tumhe sab se zyaada iss baat ki chinta thi ki tumhe jail mein khaana kaisa milega?