Originally posted by: sweet_tania
@bold : And he failed his big time his real mother because of his father . Agar uske father ne usko akele kisi dusre ghar mai raise kiya hota toh Armaan ke paas yeh naam ki family and naam ke rishto ka boj nahi hota.
Madhav ne Armaan ko naam ki family and naam ke rishto ka boj bachpan mai he gale mai pehnaya aur uss bacche ko aise ghar mai rehne diya jaha usko constantly parayapan ki nazar se dekh kar paala ja raha tha, aisa bachpan jine ki wajah se woh baccha khud ko uski so called family ka karzdar maanta hai. Kya mila Madhav ko apne bete ko aisi family mai la kar ?! Isse acha hota ki khud akele apna baccha raise karta or Armaan ko kisi loving family ko adopt karne de deta atleast waha woh baccha bachpan se ehsaan ke boj niche toh nahi palata.
Jaise abhira ko single parent ne paala agar waise he Armaan ko bhi single parent he bachpan deta toh Armaan bhi naam ki family , naam ki dadi and naam ki maa ke ehsaano ke niche daba hua raise nahi hota. Usko bhi uski maa kya thi , kaisi thi iss baat par khul kar Madhav se janne ka mauka milta and vidya ki absence mai apni real maa se pyar kar ke usko guilty feel karanewala bhi koi nahi hota.
Keeping aside Madhav's behaviour, he is a weird character and Ar not standing up for himself or can't choose anything is inherited from him only.
Agar Madhav ko itni hi fikar h Armaan ki to use vo aise eshaan bhari zindagi nahi jeene deta. Agar ek baar ghar le bhi aaya to 1-2 saal dekhke wapas le jata par use khudki zimmedari dusro ko dekar apni job par focus karna tha. And by listening to few conversations he was a absent father for both of his sons.
Vidya raised Ar to vo usi ki side lega na.
Abhi bhi sab achha tha, Abhira bhi ghar se bahar thi, Poddars bhi khush the, ye hi beech mein aa gaya. Ab ki itni chinta h to or kayi tareeke h help k.
Use pata h Ab ka behaviour and Dadisa aur Ar ka bhi to aisi faltu demands hi karta h. Ye sab natak khud ki 2nd marriage k time karta to itna mess create nahi hota.
0