You should write for the show. Brilliant!!
Woah.. That is one huge compliment!! ☺️
Thank you!!😃
Bigg Boss 19- Daily Discussion Thread- 9th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 9, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025- AFG vs HK 1st Match, Group B, Abu Dhabi🏏
SUPER HEROO 9.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 10, 2025 EDT
Karan Nandini Kids are here
20 years of Salaam Namaste
MAIRA AGAYI 10.9
3 Years Of Brahmāstra
Sidharth Malhotra is just the same as Arjun Kapoor, just with looks!
Happy Birthday Akshay Kumar
How many more chances for Janhvi Kapoor!!?
You should write for the show. Brilliant!!
Woah.. That is one huge compliment!! ☺️
Thank you!!😃
Thank you!! I'll update it in a while!!😃
Hey guys.. A big hug to y'all for your lovely response!! 🤗Keep showering your love by commenting your views on the updates!! It motivates me to keep writing!! So here you go…
Part 6
Srinivasan House:
After what happened outside, Preesha was sitting on her bed hugging her legs close to herself and resting her head there,. Bubbles comes inside and sits in front of her.😕
Bubbles – preesha.. tu theek hai na?
Preesha lifts her head up and looks at her; then smiles vaguely.
Preesha – haan bubbles.. completely fit and fine.. voh mujhe na uss Rudr se baat nahin karni thi.. isiliye jaldi andar aa gayi.. aur koi baat nahin hai..
Bubbles – you sure na? 🤓
Preesha – haan yaar.. tu chill kar..
Bubbles – dekh yaar Preesha.. agar mann mein kuch bhi ho na.. toh tu mujse keh sakti hai.. you know na, problems baatne se kam ho jaati hai..
Preesha takes a deep breath.
Preesha – bubbles.. jo kuch bhi pehele hua na voh mein bhool chuki hoon.. aur usse connected har cheez se bhi peecha chuda chuki hoon.. mujhe iss baare mein ab koi baat nahin karni..
Bubbles – yaar uss baat ko huwe bohot time ho chuka hain.. tu keheti toh hai ke uss baat ko bhool chuki hai, lekin aaj bhi badminton ke bat ko choothi bhi nahin hai.. kyun?
Preesha (nervously clutching her fingers) 😒– bubbles.. kahaan na.. nahin baat karni mujhe uss baare mein.. mujhe akela chod de..
Bubbles🤔 – preesha..
Bubbles gently keeps her hand on preesha’s, but she jerks her hand away.
Preesha – please bubbles.. mujhe akela rehena hai..
Bubbles leave from there reluctantly.
It’s night and Rudr has come to Preesha’s house.
Vasu – aree Rudr.. aao kanna.. vahaan kyun khade ho.. andar aao..
GPS who was reading newspaper keeps it on the table and looks at him.
GPS – rudr.. aao na..
Rudr comes inside and touches both their feets. Mahima too comes out from kitchen.
Rudr – main aap keliye London se kuch laaya tha.. har baar dena bhool jaata tha.. isiliye abhi jab yaad tha main leke aa gaya.. 😃
And he starts giving each of them a wrapped box.
GPS – aree kanna ye sab laane ki kya zaroorat thi? Hamaare liye toh itne saal baad tum waapas aa gaye ho vahi kaafi tha..
Rudr – aree ese kaise uncle.. aap sab ne bachpan se ithna pyaar diya hai mujhe.. usske saamne toh yeh gifts kuch bhi nahin hai..
Vasu caressing his face.
Vasu – kaise nahin dete.. tum ho hi ithne pyaare..
Rudr smiles at her and gives her a hug. 🤗
Rudr – acha ab aap sab log apne apne gifts kholke dekhiye aur bataaiye kaisa laga.. mahima tum start karo..
Mahima (excited) - ok..
Mahima starts unwrapping it and she gets a pretty designed golden watch with the London Buckingham Palace engraved inside and a perfume.
Mahima – wow rudr.. ye toh bohot ache hai..👍🏼
Rudr – pasand aaya?
Mahima – ofcourse!! Thank you!!
Rudr – ab aap bhi kholiye..
GPS got a sunglass and London Bridge souvenir which can be used as paper weights too. Vasu gets a maroon and golden designed scarf made of London fabric and a tea-set.
GPS – ye toh bohot hi acha hai beta..
Vasu – haan.. kithna mulaayam hai ye scarf.. aur tea set kitni sundar.. par ithna sab lane ki kya zaroorat thi kanna..
Rudr – kya aunty.. ek pal mein kanna bolke doosre hi pal mein paraaya kar diya.. 😒
Rudr makes a puppy face. Mahima and GPS laughs seeing this. Vasu then pacifies him.
Mahima – vese rudr.. preesha keliye tum kya laaye?
Rudr – oh haan.. uss keliye toh.. (taking out a small packet) ye laaya hoon.. vese voh kahaan hai?
Mahima – voh toh sham se apne kamre se nahin nikli.. pata nahin kya kar rahi hai..
Rudr (thinking in mind) – sham se? kahin abhi tak uss baat ko toh nahin leke bethi hai..
Vasu – abhi bulaati hoon.. preeshaa… kannaa..
Preesha comes down.
Preesha – haan amma..
She sees rudr and then her expression his cold.
Preesha😕 – tum? Yahaan kya kar rahe ho?
Mahima – rudr hum sab keliye gifts laaya hai London se.. dekho na preesha kitni sundar watch hai.. aur ye perfume ki smell bhi bohot achi hai..
All of them show their gifts to Preesha one by one.
Preesha 🤔– haan sab acha hai.. amma aapne ye dikhaane keliye bulaaya tha?
Vasu – nahin kanna.. rudr tumhare liye bhi kuch laaya hai..
Preesha (shocked)😲 – mere liye?
Mahima – haan..
Preesha – I’m sure kuch bekaar hi hoga..
Rudr – aree.. dekh toh lo pehele..
He hands over the gift while Preesha makes a “whatever” expression and takes it.
Mahima – kholo na preesha..
Preesha nods and unwraps it’s.
Preesha😡 – what the!?
Mahima (trying not to laugh) – aree wah.. bohot cute hai.. tumne ye gift kaafi soch samajke liya hoga na rudr? 😆
Rudr – haan mahima.. bohot time laga iss keliye gift choose karne mein..
Preesha (angry)😡 – aur ye bohot hi bakwaas gift hai..
Vasu – kya bakwaas.. kitna acha hai.. preesha ko bohot kaam aayega.. haina GPS?😊
GPS – haan..
Rudr – hai na?? mujhe bhi isse dekhke preesha ka hi chehera yaad aaya tha..
Preesha – (in anger)😡 really!? Tumhe ye alarm clock dekh ke meri shakal yaad aa gaya?
Preesha was holding a a small alarm clock which was red and had the London flag printed inside.
Rudr – haan bilkul.. tumhare liye isse acha gift kya ho sakta tha? Hamesha late hoti ho.. kabhi samay pe kahin nahin pohunchti tum.. toh isiliye ye ek dum perfect gift hai tumhare liye..(smirks)😈
Preesha 😡– shut up.. tum jaan bhooj ke ye leke aaye ho na..
Rudr –(innocently)😔 aree.. tumhe thank you bolna chahiye mujhe.. sabse perfect aur kaam waala gift main tumhare liye hi laaya hoon.. aur tum ho ki ulta gussa ho rahi ho..
Preesha keeps the clock on the table and goes up angrily.
Mahima – aree preesha.. ruko.. (about to go behind her)
Rudr – (taking the clock) ek minute mahima.. main jaata hoon..
Suddenly the lights go off and they hear preesha’s scream..
Preesha – ammaaa….
Vasu –Ayyayyo.. preesha ko toh darr lagta hai.. mahima jaldi jaao na uske paas..
Rudr (confused) - kya? preesha? Aur andhere se darti hai? Usse toh andhere se darr nahin lagta tha..
All give each other a worried look. That’s when they hear noises from preesha’s room followed by her scream.
Rudr and others runs upstairs while mahima goes to find the electric lamp. Rudr enters first to see everything scattered in Preesha’s room.
Rudr – preesha? Kahaan ho?
Vasu – kanna??
Mahima comes with the lamp and they see preesha. Rudr is shocked to see preesha sitting in the corner of the room hugging her legs. He carefully goes near her, without stepping on the broken pieces lying down.
Rudr 🤔– preesha kya hua?
Preesha looks up teary eyed.😭 She can’t make out his face in the dim light and pushes him.
Preesha – dur raho mujse.. pa.. paas mat.. aa.. aanaa.. main.. ma.. maar daalungi..
She gets up and is about to run outside when mahima catches her after keeping the lamp on the side table.
Mahima – preesha.. dekho meri taraf.. kuch nahin hua hai.. voh rudr hai.. rudraksh.. dekho..
Preesha was still shivering and tears were continuously flowing out from her eyes. GPS helps rudr in getting up. Rudr could not make out what was happening.
Rudr 😳– uncle.. ye.. kya ho raha hai? Preesha ese kyu behave kar rahi hai?
GPS and vasu exchange a worried glance. By then mahima calms preesha and makes her lie down on the bed. Vasu stays with her while the rest of them goes down.
Rudr – aap sab ese chup kyun hai? bolo na.. kya hua hai preesha ko? mujhe kuch samaj nahin aa raha..
Mahima – haan rudr hum sab bataaenge lekin pehele mujhe badi maa ko bulaane do..
Rudr – 🤓maa ko? Lekin esi kya baat hai?
Mahima calls sharda; tells her everything and asks her to come over. After some time sharda comes.
Sharda – mahima.. preesha kahaan hai?
Mahima – voh upar hai.. amma ke saath..
Vasu then comes down.
Sharda – vasuda, preesha kaisi hai?
Vasu – abhi toh theek hai.. bohot mushkil se soyi hai..
Rudr – 😕aree aap log mujhe bataaiye preesha ko hua kya hai?? aaj shaam ko badminton khelne ko kahan toh weirdly behave kar rahi thi.. jabki badminton uski favourite hobby hai..
Mahima – kya? shaam ko? Isiliye voh tabse kamre mein hi thi..
Rudr – 🤔par kyun? Aur usse kabse andhere se darr lagne laga? aur upar uski reactions se toh lag raha tha ki jaise ussne kisi bhoot ko dekh liya hai.. kya solid dhakka diya ussne mujhe
Vasu glances worriedly at sharda. She gives a positive nod and breaks the silence.
Sharda – tumne sahi kahan rudr.. preesha ko andhere se bilkul darr nahin lagta tha.. aur badminton uski favourite hobby hua karti thi.. lekin 2 saal pehele kuch esa ho gaya tha jo nahin hona chaahiye tha..
Rudr 🤔– kya hua tha?
Mahima – preesha ne jab college join kiya tha toh harr din college ke baat bubbles ke saath badminton khelti thi.. vahaan pe saare students keliye separate jagah hai sports keliye jo ki kaafi badi hai... akele badminton, tennis, sab khelne keliye ek machine bhi hai..
Vasu - Preesha ko jab bhi koi tension ya phir mood off ho na.. voh vahan jaake khelti hai..
Sharda – aur tab usse time ka pata bhi nahin chalta..
Mahima – haan aur ek din Preesha kaafi late tak vahin pe badminton khelti rahi.. kaafi raat ho chuka that oh maine usse call kiya aur kahaan ki main usse lene aa rahi hoon aur baahar aa jana.. par jab mein vahaan pohunchi toh preesha baahar nahin thi.. toh main building ke andar gayi aur usse awaaz laga rahi thi.. tab maine dekha ki 2 ladke mujhe dekhke bhaag gaye.. lekin main unke shakal nahin dekh paayi.. maine phir preesha ko phone kiya toh ek room ke andar se ringtone sunayi diya.. aur andar preesha bilkul ese hi bethi huyi thi jaise abhi upar kamre bethi thi.. main uske paas gayi aur usko bulaaya toh voh bohot dari huyi thi.. maine bohot poocha par voh kuch nahin bol rahi thi.. sirf kaapti rahi..
Sharda – aur baad mein vasuda, mahima aur maine jab usse araam se poocha toh pata laga ki un donon ladkon ne preesha ke saath.. zabardasti.. karne ki koshish kit hi..
Rudr (shocked)😲 – kya!?
Mahima – haan.. jab voh storeroom mein bat rakhne gayi thi tab 2 ladkon ne lights bandh karke usse zabardasti karne ki koshish ki thi.. lekin preesha kaise bhi karke vahaan se bhaag kar uss room mein chupi rahi..
Vasu – venkateshwara ki kripa se kuch bura nahin hua.. lekin uss ek haadse ne preesha ke mann mein bohot bada ghaav chod diya.. ussne kabhi bhi bat ko haath tak nahin lagaaya hai..
Rudr who had heard more than enough was feeling his blood boil but also guilty as he unknowingly reminded her of that haunting incident. 🥺
How was it guys?? I know kaafi long update hai.. but I hope you enjoyed it.. don’t forget to comment your views on it!!😃
so badminton darawani sapnahogayi Preeshakeliye...
will that idiot boyz come in the story.........
wat abt hike........... abb ru ko jaana padegaa...
need to take care of Pree 🤣
so badminton darawani sapnahogayi Preeshakeliye...
will that idiot boyz come in the story.........
wat abt hike........... abb ru ko jaana padegaa...
need to take care of Pree 🤣
Hehe... Hmm... The boys... They might come..😉
And the hike... Yep.. Very soon... But ru may or may not go...
Wait till the next update!! 😈😉
Originally posted by: VinithaDhawan
Hehe... Hmm... The boys... They might come..😉
And the hike... Yep.. Very soon... But ru may or may not go...
Wait till the next update!! 😈😉
w/o RU kyaa mazaaa 😉
Very nice update...loved it... continue soon...want more of rusha scenes please....
So Ru will find out who they are and beat them up for hurting pree and I guess they will come apologising to her when they see her at the trek and run away from there in fear....nice
Looking forward to the pitayi
dont tell he snt coming 🤔😲