Part 15: Ek dusarey ki jeet ki khushi aur pyara sa taufa
Sameer (S) - Male Lead, Naina (N) Female Lead , Pandit ( PT) , Munna ( M), Swati ( ST), Preety ( P), Arjun bhaiya ( A), Rakesh sir ( R), Vishakha ( V) , Poonam Bhabhi ( PooB), Pooja didi ( PooD) Karthik ( K ), Sunaina (SN), mama, mami, taiji, chachaji, chachiji, Shefali (SF) , Mundit ( Munna + Pandit) , SaMunDit ( Sameer + Munna + Pandit), Samiana ( Sameer + Naina ), Vicki (VK), Kartik (K)
Trophy presentation:
Princi stage pey aati hain aur sabko welcome karti hain: aaj Teen saal baad yeh trophy wapis ghar aayi hain.. mujhe bahout garv hain apni team aur apne coaches pey jinhone jee jaan laga di isey wapis laney ke liye.. main puri school aur board and trustee ki aur sey un sabka shukriya karti hoon...aur aaj ke function ki shuruvat karti hoon... sabse pehle mein bulana chahoongi hamare sports teacher ko jo aake do shabd kahenge... Everyone claps
Sports teacher: thank you Mam.. jaise inhone kahan.. yeh trophy ke aane sey aisa lag raha hain jaise VJN ka naam fir sey buland ho gaya ho Gujarat rajya mein.. aur is ka shrey jaata hain hamare coach aur team ko jinhone itna behtarin pradarshan kiya Cricket ka, ki trophy to aani hi thi... Everyone claps
To ab main bulana chahoonga team key coaches ko jinhone hamari team ko sirf coaching hi nahi di par raah aur chaah bhi di aur jab team ka honsla toot raha tha to unhone ji jaan lagane ki seekh bhi di. Unhone sahi mayno mein naki sirf ek coach par ek dost bankar team ko sambhala. Main school ki taraf sey unko VJN ki trophy dena chahta hoon..
Sports Teacher: sab se pehle.. VK- inhe shaayad VJN ke sabhi log jaante hain... vo sirf ek behtarin Cricketer hi nahin par bahut hi acche student bhi reh chuke hain ... aur VK stage pey aata hain.. Princi VK ko trophy deti hain.. aur vo trophy leke side mein khada ho jata hain. Ab mein bulana chahunga ek naye chehrey ko jinhe aap to kya mein bhi nahi janta tha is match sey phele par yeh zaroor kahoonga cricket ki duniya ke yeh definitely ek ubharte hue sitare hain ... Arjun Agrawal... A comes and Princi gives trophy and he takes it and stands next to VK. VK and A both give each other hugs.. and hand shakes..
S and gang watches this and are very happy. N is crying because she is elated to see A getting the appreciation he deserves and thinks if papa yahan hote to A ko gale se lagake unhe chum lete, par unhe aaj hi school ke kaam se bahar jaane ka hua. S sees N crying and is little sad but knows its all good and happy and asks her to smile with a sign. N sees it and gives a nice big smile- because she knows all this is happening because of him only.
Princi: to ab uska jinko aap sab ko besabri sey intezaar hain... Apne team ke captain aur vice-captain ki trophy ka..to mein sabse pehle bulana chahungi Kartik ko... jo nahi sirf trusteeji ka pota hain par... VJN ki shaan bhi hain.. Cricket ke saath padhai mein bhi aage hain... Karthik aage badhke trophy leta hain aur VK aur A ke saath jaake khada ho jata hain.. Karthik aur gang khoob taliyan bajati hain aur S aur gang bhi taliyan bajati hain..
S yeh soch ke hansta hain.. ki is cricket match ki wajah sey , sirf A hi nahin .. K bhi unka dost ho gaya tha.. bahout acche wala to nahin par dost to ho gaya tha... aur vo khush hokey taali bajata hain K kay liye
Princi: aur ab mein bulana chahungi team ke Vice captain ko : Sameer Maheshwari.. aaj mein sabko kehna chahungi..ki A kay chunao Coach ke post ke liye S ne hi sifarish ki thi.. tab hum sabko uspe vishwaash nahin tha... ki kya yeh sahi hoga ya nahin par ab dekhiye.. vo best decision tha... S tumney aakhri match mein accha khel ka pradarshan kiya aur end tak datey rahey match mein.. jiski wajah sey VJN ko jit ki trophy mili.. Princi S ko uski trophy deti hain.. aur S trophy leke baki ke saath khada ho jata hain aur N ko dekhta hain...
N to bas S ko dekhey hi jaa rahi hain... use samaj hi nahin aa raha ki vo kya karein.. aur bas maan hi maan soch rahi thi.. aaj jo S ney kiya hain... uska inaam to usey milna hi chahiye... aur ek halki si naughty wali smile uske hotoon pe aa jati hain.. aur vo S ki taraf dekhti hain.. aur ek pyara sa flying kiss deti hain... (flashback to first day of college flying kiss )
V, A aur K tino ek dusare ko gale lagane mein lage hue the.. aur S jaise hi N ka flying kiss dekhta hain.. ladkhadata hain.. aur A usey sambhal leta hain...
A: S tum thik ho? Tumhari tabiyat thik hain??
S- ka mooh gulab ki tarah kheel uthata hain vo flying kiss sey aur usey samaj hi nahin aata vo kya karein... usey bhi vo college ka pehla din yaad aata hain.. par us din to vo N sey bhagne me laga tha ki vo kiss ko acche se mehsoos bhi nahi kar paya.. par aaj.. N jo ek dum pari jaisi lag rahi thi.. aur usey ek flying kiss de rahi thi.. : haa mein thik hoon A vo .. vo... umm kutch nahin...
Tabhi Princi Charon ko saath mein bulati hain aur VNJ ki cricket trophy deti hain...charon usey upar uthate hain..
Party ka hall taliyon sey gunj uthta hain...
Tabhi isi shor mein.. N dheere se sarak ne lagti hain... aur S ki taraf dekh key muskuratein hue.. bheed sey thodi door jaane lagti hain...
S bhi N ko dheere dheere sey kahin jaate hue dekhta hain.. aur ( PVKM ki match ke baad wala din yaad karta hain) aur ek dum khush ho jata hain.. aur jaldi sey uske piche jaane lagta hain.. tabhi Sports teacher un sabko photo ke liye bulate hain.. aur vo pakda jaata hain... jaldi sey photo khichane ke liye kehta hain.. kyunki uska dhyan to N pe tha jo kahin dheere dheere jaa rahi thi.. par kahan? Tabhi vo hansta hain.. aur maloom hain kahan.. unki vo secret room aur sidhi.. sabse upar kay floor pe...aur vo muskurata hain... jaisai hi photo ho jaate hain... vo stage se niche jump karta hain... Mundit dar jaate hain..
M: arey arey S kya kar raha hain... gir jayega..
PT: arey tera suit ganda ho jayega...kya kar raha hain..
S: Mundit yeh trophy sambhalo.. mein apni asli trophy ke pass jaa raha hoon.. tum yahan sabko sambhalo.. yeh kehte hue vo N ko dhoondne ke liye uske piche bhaagta hain...
N- khidki kay paas khadi hain.. store room mein.. wahin jahan vo chup chup ke mila karte hain ... shaam ka waqt ho chala tha.. aur thandi thandi hawan aa rahi thi.. jismein uske baal aur dress dono hi lehera rahe the.. tabhi use S ke aane ka ehsaas hota hain.. aur vo mudti hain darwaje ki tarf... aur bas saans ruk jaati hain uski...S wahan khade khade pyar bhari nazaroin sey usey hi dekh raha tha...aur aaj to sach mein kamaal lag raha tha...jaise mere malai ke katore pe kisi ne gulabi raang daal diya ho...
S- N ko wahan khidki ke pass khade dekh sahem jata hain... koi itna massom aur khubsurat kaise dikh sakta hain? uske baal jis mein chote chote butterfly clips thi vo lehera rahe the.. mano vo sabhi uske saath udne ki koshish kar rahe ho.. uska vo dress jo usey aisai choo raha tha mano vo usi ke liye banaya ho.. aur vo dekh rahi thi pyar bhari nazaroon sey mujhe... meri to saansey hi tham gayi.. aur mein dheere se uske piche jaake khada ho gaya...
N- S ke itne pass aaney sey na jaane aisa current laga usne jhat se window grill pakad li...
S- ne halke se apne haat uske haat pe rakha aur N ney S key haat ke chune se window chod di.. aur mud ke dekh key sharmai...
S: N aaj tum jaise dikh rahi hoo mein to mar gaya.. aab shaadi tak kaise intezaar hoga..
N- yeh sunke shock ho jati hain aur sharam kay nazarein jhuka leti hain.. accha abhi sey shaadi ke saapney? Bacchu abhi delhi bahut door hain..
S: hmmm par koi nahin... pehla kadam to kamyaab raha.. baki manzeelein bhi kahan jayengi... haasil ho hi jayengi..tum chinta mat karo...accha suno... vo ... vo..
N: hmm kaho kya kehna hain...
S: vo mein tumhare liye kutch laya hooon... aur yeh keh ke vo necklace ka box nikalta hain aur khol key N ko dikhata hain..
N: ek dum khush ho jaati hain.. arey yeh to kitni sundar motiyon ki maala hain...
S: aaj jab mujhe trophy milne wali thi.. to tumhe kutch naa mile aisa mein kaise hone de sakta tha...
N- is baat pe hasti hain: buddhu aaj mujhe tumne jo diya hain uska to pata tumhe bhi nahin hain...aaj sach mein nanaji ki yaad aa rahi hain... vo hote to tumhe yeh trophy jit tey hue dekh ke kitna khush hote.. aur tumhe gale se laaga ke chum lete..
N kay mooh se nanaji na naam sunke uski aankhein nam hojati hain.. Yeh bas N hi hain jo har waqt mera aur mere apno ke barein mein sochati rehti hain... : N kya mere maan ki koi baat tumse chup sakti hain bhala? Tumne sach kaha aaj mein nanaji ko bahut miss kar raha hoon.. vo hote to meri khushi ka koi thikana nahi hota.. aur yeh bolte hi uski aankon se ek aasoon tapak jata hain...
N yeh dekh ke turant us aasoon ko ponch leti hain..aur isharey se mana karti hain...
S- tabhi maala necklace box sey nikalta hain aur puchata hain- kya main yeh pehna doon?
N sharma ke mud jaati hain aur aapney baloono ko ek taraf kar deti hain...
S- necklace ko kholke N ke gale mein pehna deta hain aur jhook ke dheere sey uski neck pey ke pyari si phook maarta hain...
N sahem jaati hain aur aankhen baand kar leti hain aur sirf yeh ehsaas mehsoos karti hain.. tabhi vo mudti hain aur S ko necklace phene hue dikhati hain...
S ki nazar uske chehrey pe jaisay ruk si gayi thi.. vo necklace ki aur dekh hi nahi paa raha tha..
N: kaisa lag raha hain... arey bolo na .. kaisa lag raha hain?
S: ab tumne isey pehna hain to acha hi lag raha hain... yeh sunke N muskurati hain... aur mud jaati hain window ki taraf... aur dono baahar aasmaan ko dekh rahein hain.. aur ek dusarey ki badhti hui dhadkan ko feel kar rahe hain...
N tabhi palat key S ko ek aur flying kiss deti hain...aur sharma jati hain..
S: jhuk ke kehta hain.. aaj to chalega par jaldi ... sirf flying kiss sey kaam nahin chalega.. samjhi...
N- sharam se laal ho jati hain.. aur S ko gale laga leti hain.. aur dono ke liye jaise waqt wahin tham jaat hain...
Ek Pari aur uska rajkumar... ek dusarey ki bahon mein...puri kaynaat aaj unhe dekh ke rashk ( jealous ) mehsoos kar rahi thi us lamhe pey jise mein yeh dono kho gaye the...
Tum ho bandagi meri.. tum hi meri ibaadat ho.. tumhi meri pehli aur aakhari muhoobat ho ... Meri Naina
[/B][B] Edited by viraf4u - 7 years ago