Hi All!I am overwhelmed with the amazing response...
Trust me when I began to write this I thought no one would bother to read this one and simply move to IKNMP...so I nvr gave much thought to what I write here...
But what surprises me is that this has got better response than IKNMP...
So henceforth I have decided to give this story as much importance as others...
Thnx for being the lovely people that u are...Lots of love🤗
Without much delay, lets stalk IshRA while they have their lunch and cherish some beautiful moments of their life
Part 4 Raman's POV
"Wow...Chinese!" Ishita squealed excitedly as soon as her eyes landed on the packets of food I had got home.
"Ye usi restaurant se hai jahan aap mujhe hamari shadi se pehle le gaye the?" she asked.
I nodded in affirmative and she clapped her hands excitedly.
Soon she served the food for both and started to gorge on it like there was no tomorrow.
We were almost done when I heard some noises that reminded me of my most helpless and embarassing memory that had turned into SHEER BLISSful experience.
I am sure you know what I mean.
If you still haven't guessed then listen to the noises I am hearing now. That will for sure help you guess it correctly.
"Ummm"
"This is amazing"
"Ummm"
"I love this"
"Ummm"
Kuch yaad aya?😉
Haan wahi...First breakfast after wedding...SHEER BLISS
"Ummm"
Her moans looked never ending!
"Jaan...Kya karti rehti ho tum? Lunch time me to aisa mat kiya karo please" I begged dramatically.
"Kya Raman? Kya bol rahe ho?" she asked confused.
"Lunch break khatam hone pe hai aur tum ho ki aisi harkatein kar rahi ho" I confused her further. Biwi ko apni baton me uljhane ka maza hi kuch aur hai😉
"Raman aap kya bol rahe ho? Mujhe kuch samajh me nahi araha" she stopped eating and paid all attention to me.
"Samajti nahi yaar tum. Aisi aisi awazein nikalti ho ke banda apni sanity kho baithe" I replied.
"What Raman! Kuchh bhi" she scolded.
"Kucch bhi kya? Janti ho kitna mushkil ho jata hai mere liye. Us din car me to tumhari innocence aur inexperience ke wajah se baksh diya tha. Ab to tum innocent bhi nahi ho aur inexperienced bhi nahi...To kya kehti ho chalein bedroom me" I winked.
"Cheee...Kitne besharam ho aap" she smacked my arm.
"Kya yaar tum bhi? Dedh saal hue shadi ko, aur abhi bhi CHEEE bolti ho. Itna kyun sharmati ho? Pati hi to hun mai tumhara" I asked something that I always wanted to.
"Aap nahi samjhoge Raman. Sharam aurat ka gehna hota hai" she declared confidently although her cheeks hed reddened due to shyness. Shy yet bold! That's what attracts me more towards her.
"Oh! Aisi baat hai? Agar Sharam aurat ka gehna hai to Besharam hona har mard ka janmsiddh adhikaar hai" I gave back.
"Kucchh bhi"
"Haan madam. Kuchh bhi karne ko tayyar hoon. Bas bedroom me chalo abhi ke abhi" I said in Singham style.
"Kuch to sharam karo Raman. Ansh aur Ruhi kya sochenge?" she used her favourite defence.
"Wo kya sochenge? Wo bhi to meri besharmi ka hi nateeja hain" I teased her further.
"Enough Raman. Mujhe aur kuch nahi sunna" she said covering her ears with her palms and then taking her plate walking off to the kitchen.
I followed her to the kitchen while she kept ignoring my presence around her.
She busied herself in placing the left-overs in the fridge. I gingerly walked towards her and sneaked my arms across her waist from behind her.
She struggled to get out of my hold "Chodo na"
"Uuunhuuun" I nodded negatively and tightened the hold across her bulge.
"Kya karte ho aap Raman! Kahin bhi kabhi bhi shur ho jate ho. Waqt maahol kuch mat dekhna aap" she chided.
"Biwi ko dekhne se fursat mile to dekhoon na kuch aur"
"Aaa...So cheeesyyy" she mocked.
"Tum kya mere pyar ko khane ki cheezon se compare karti rehti ho. Mai itna delicious hoon kya?" I teased her and her senses as I nuzzled into her neck passionately.
"Raman" she whispered affected by my ministrations.
I turned her around and looked into her eyes whispering huskily "Kya?"
"Mai ye kehna chahti thi ke" she said coming closer.
"Haan mai sun raha hoon" I closed the little distance between us.
"Wo mai keh rahi thi ke" she moved her hands gently and placed them close the heart.
"Hmmm...bolo" I touched my forehead with hers.
"2:30 baj gaye. Ab jao" she said and pushed me with both her hands that were placed near the heart.
"Achha ji mujhse chalaki? Ruko ab mai dikhata hoon mera asli roop" I said leaping towards her and lifting her off the ground.
"Raman kya kar rahe hain aap?" She was surprised at my sudden move.
"Wahi jo kab se karna chah raha tha. Now there is no escape darling" I smirked evilly.
"No Raman please no" she warned.
"Ab aap meri captive hain Mrs. Ishita Raman Kumar Bhalla. Mai jo marzi karun Raman" I was on a threatening spree.
"No na Raman. Please na" she begged.
"Ab tumhari koi chaal mujhpe asar nahi karnewali" I totally declined her request.
"Raman please na. Ansh aur Ruhi kya sochenge?" she again used her favourite defense.
"Yahi ke unke Papa unki Mumma se bahut pyar karte hain. Aur unki Mumma hai ke hamesha ki tarah unhe tadpati hi rehti hain" I said while placing her gently on the bed.
"Haan tadpati rehti hoon. Tabhi to ye do badmash meri jism ko apna ghar banake baithe hain" she stated.
And I slowly slipped into the memory lane and stayed there for God knows how long.
A jerk brought me back "Kya soch rahe ho Raman?" she asked.
"Waqt kitni jaldi guzar jata hai na Ishita. Kal hi ki baat lagti hai ke maine tumhe pehli baar dekha aur dekhte hi tumse pyar kar baitha. Us waqt ye pata bhi nahi tha ke tum koun ho, kahan se ayi ho, hum phir milenge bhi ya nahi. Aur aaj dekho hum sath hain aur hamari pyar ki nishaniyan bhi tumhare kok me pal rahi hain" I poured my thoughts into words.
She hugged my arm and snuggled closer "Haan Raman. Yaqeen hi nahi hota ke us baat ko dhai (2 and half) saal guzar gaye. Kitna sab kuch hua hai na is dauran! Hamari kahani kisi novel se kam nahi"
"Exactly...Aur is novel ka ab tak ka best chapter..." I said looking at her and we both smiled as our hands moved to her bulge.
"Apko yaad hai wo din jab humne ek doosre se ye khushkhabri share ki thi?" she asked excitedly.
"Of course yaad hai. Maine kitni sari mehnat jo ki thi uske liye" I reminded.
"Aur maine bhi. Itni badi khushkhabri ko aap se chupaye rakhna koi asan baat thodi na thi" she confessed.
"Same here" I admitted and we both laughed.
"Kitna lade the na hum donon us din" she reminisced and we laughed louder.
"I know. Bechari Doc to pareshan hi hogayi thi. Wo to achha hua ke wo meri batchmate hai aur mujhe pehle se janti hai. Warna to wo hum donon ko clinic se baahar hi karwa deti"
"I know right" she said and we kept laughing.
Reader's POV
Arey ye donon to bas yaad karke hase jaa rahe hain...
Hum yahan kab se is intezar me hain ke kabhi to pata chale ke in dono ne kaise ek doosre ko bataya...aur ye hain ki paheliyan me baat kiye jaa rahe hain...
Koi to explain kare ke akhir hua kya tha...
Kaise bataya tha unhone ek doosre ko...
Doc kyun pareshan ho gayi thi...
Koi to batao yaar...
Raman's POV
"Really...I can't stop laughing" She said in between her laughs.
"Same here" I too continued laughing.
Reader's POV
Ye dono to batane se rahe yaar...
Abhi to ek hi bandi hai jo humein bata sakti hai ke akhir hua kya tha...
Chalo usi se pooch lete hain...
Tab tak in dono ko hasne do...
knock knock
"Koun hai?" came from the other side of the screen.
"Hum hain CK ke readers" we replied.
"Kya hai?"
"Ek help chahye"
"Kaisi help?"
"Humein jaanna hai ke Ishita aur Raman ne ek doosre ko Ansh aur Ruhi ke ane ki khabar kaise di thi"
"Oh woh...Unhi se pooch lete"
"Yaar wo dono to hasne me lage hue hain. Hum bechare readers ko koi kuch nahi batata" we tired our emotional hatyaar.
"To isme mai kya kar sakti hoon?"
"Tum hi to ho Mannu Di jo iski khabar rakhti ho. Please bata do na" we begged.
"Sochungi"
"Sochungi kya? Hum abhi tak bhoole nahi hain ke tumne IshRa ki shadi ka invitation aur Anniversary party ki khabar hum tak pahunchne nahi di" we warned her.
"Ooops...Tum logon ko abhi tak yaad hai" she sounded scared.
"Hum YHM Cv's nahi hain jo bhool jate hain. Hum fans hain jo koi baat nahi bhoolte"
"Oh! I am sorry"
"Sorry se kuch nahi chalega. Bataana padega ke kya hua tha" we ordered.
"Ok ok batati hun. Bas thoda waqt de do please. Agle update me pakka bata dungi. Abhi mere patidev ke ane ka time hogaya. Please jane do"
"Theek hai. Abhi keliye baksh diya. Lekin wapas aake update de dena"
"Pakka...Promise"
"Theek hai...To ab jao"
"Thanks"
Chalo theek hai ab hum bhi thodi der forum me tehel ate hain.
Tab tak keliye IshRa ko hasne do aur Mannu di ko pati seva karne do...
--------TO BE CONTINUED-----------
Edited by maanvir - 9 years ago
12