Mohan ka sandesh hai yeh,
Haan geeta ka upadesh hai yeh.
Na tera jeevan hath mein tere,
Na hi mrityu hai vash mein,
Phir kyun tu yahan darta hai,
Jab nahi tu karta dharta hai,
Tere mere hai janma anek,
Bas yaad nahin tujhe koi bhi eik,
Nahi tera yaha koi bhi apna,
Ya phir hai shayad ye mera koi sapna ,
Nahi tu jeene maarne wala hai,
Nahi tu haar ya jeetne wala hai,
Tera moksh bhi mai tera arth bhi mai,
Tera karma bhi mai tera dharma bhi mai,
Na koi bhi yaha jeeta ya marta hai,
Ye to bas Manav deh ka karma hai jo wo karta hai,
Aatma manav ki yaha deh kai badalti hai,
Wo to mar kar bhi na marti hai,
Jo hona hai wo to hokar rahega,
Tere karne na karne se yaha na kuch badlega,
Phir tujhko yeh kaisa bhay hai,
Mann mein yeh kaisa sanchay hai,
Mai tere karmo ka fal hu mai to har pal hu,
Sarvatra hokar bhi mai kahi nahin hu,
Karma dharma mrityu moksha sab bhagwan hai,
Itna sa hi to bas geeta ka gyaan hai!!
I don’t know if I have shared it here or not, but this my personal favourite from all the poems I have ever written
Anything related to Krishna makes me soo Emotional ....
Then a writing piece like this that is written with sooo much love...& devotion..., Your love for Krishna shines in every word & line ....Divine ....
1.4k