Moni , haan padha maine sahi bhi toh hai , baar baar alag alag se inn sabhi ke liye rone se toh accha hai ki ek hi baari mein rone dhone ka programme karke khatam kar dete hai 😒
but like i said " crying not allowed here , atleast not today "
back to the episode. Moni last epi hai toh iss pe toh detailed discussion banta hai, hai na😳
And I love ur Stressbusters Discussions / Comments / feedbacks 😳😆
let me start with Abhi
Abhi was just being his normal self 👍🏼 👏 ⭐️
yes he once gain was AWESOME 👏👏⭐️
Abhi in Mantri's office
kya autograph de raha tha uss entry registry book mein😳 . waise woh time log sheet kam khaate ki kitaab jaada lag rahi thi . dekha na kaise essay likha hua tha usme 😆
Then Abhi was frisked 😲 😲 aur bomb detector ki ghanti nahi baji 😲😡, aisa ho hi nahi sakta
isi se pata chalta hai inn ki security kitni tight hai 👎🏼 😡.
jab jeeta jaagta chalta phirta 'missile bomb "😉☺️ pe ghanti nahi baji toh kya kanjoos ki sasti choti wali pe khaak bajegi
tabhi toh mantriji ke cabin tak bade hi aaram se pahunch gaya yeh bomb
Haan sahi kaha . Itni dheeli Security ki aaraam se Bomb minister ke office cabin tak pahuch gaya ? Aur Sirf ek baar hi security check ? No CCTV ..nothing ? 🤔
say cheese
lagta hai kal sabhi ko pics kheechne ka bada mann kar raha tha🤔
kanjoos ko Abhi ki yaad na sataye isiliye wo apne mobile pe Abhi ki pic screensaver bana ke rakhna chahta tha🤪
waise Moni , Abhi ki pretend wali smile bhi kya kamaal ki thi na 😳☺️
next Nisha ki close up smile 😡
jise selfie ki bimaari thi woh toh kal Ms India bani hui thi , i mean Kiran😳
Woh toh hai ..Jis bhi mood mein ho humaara Hottie ..Magar uski Smile ek se badkar ek hoti hai , & we can't stop ourselves from drooling over his Beautiful infectious smile 😳
Climax
i agree with u Moni the climax was shot in such a hurry burry . sirf 4.30 min + 2.40 min mein rafa dafa kar diya 😲 😡
waise theek hi hai, jab itna kam time bacha ho toh screen space bhi ration mein hi dena padega na 😆
chal TAHR ki 2015 budget report dekhte hai 😉
pretty much its a linear graph with negative gradient 😆
dekh Bhootno ne RiYu ko poore 36 episodes tak sataaya 😡 😡 😡toh uss hisaab se uska anth hua in 5.30 min
Kanjoos ne 25 epi 😡😡-so iska anth hua in 4.30 min
Nisha ke bhi 25 epi banti hai b😡-par iska anth sirf 2.40 min , wo isiliye ki yeh jaada nazar hi nahi aati thi epi mein , aati bhi thi toh kabhi scarf ke peeche mooh chupaye ya kabhi pedh paudhon ke peeche wo bhi sirf uthwake transmitter fit karne ke samay 😡
@BOLD
Hahahhaaa this cracked me up 🤣🤣..But U are so right 😆
Action sequence
Action ke naam par hume sirf Abhi ki kick hi naseeb hui😲 . like u said agar thoda aur time milta toh hume full fledged Viren sood in action mil jaata 😉
koi baat nahi hum iss kick ki hi tareef kar lete hai -wah kya kamaal ki kick maari Abhi ne 👍🏼, par ghalath jagah 🤪
Haan uski KICK pe toh main humsesha se fida hun . Har ek kick jo KM ne apne career mein maaari hai ..ek se ek thi ..Simply Hottt .
Aur Haan Galat jagah mara Abhi ne .. uss jagah maarta toh bolne ki haalat meinb hi nahi hota Kanjoos 🤪😡kanjoos -lagta hai isne kal apni contact lens nahi pehani hogi🤓 -warna OK button dabane mein itni der nahi karta 😆 . dekha na wo kaise OK button ko dhoond raha tha , more than dhoond mehsoos kar raha the apne remote yaani Nokia mobile pe , bewakoof ,apni touch typing yaad kar raha tha shaayad . " kyun ki tera dimaag bas itna hi chalta hai " 😉😆
Touch typing !! 🤣..Contact Lens ...🤣.. OK Button ko mehsoos kar raha tha 🤣...
OMGG!! Bas Kar yaar ...Warna main yahin haste haste gir jaaungi 🤣🤣Dialogues 😎waise arrest hua Kanjoos ke saamne Abhi ne kya dialogues maare👍🏼 👏, mujhe toh Moreji ki yaad aa gayi sacchi 😎 ☺️
" tujhe kya laga , main tujh jaise kamino ko uske mansoobo pe kaamiyaab hona deta, apne desh aur pariwar par koi aanch tak nahi aane deta " 😉😆
Dialogues toh humesha se hi Abhi ke awesome rahe hai . Kal bhi it was no exception .. Especially Woh Dimaag waala dialogue ..& then woh waala " Tujhe kaahawatein bolne ka bahut shauk hai naa ?..Aaj mein tujhe ek kahaawat sunaata hun .." 👏👍🏼KM Glass🤓Moni waise kya tune observe kiya hai 🤓 jo bhi Abhi karta hai wo style statement ban jaata hai 😎
dekh Abhi ne thappad kya maara , Anushka toh uski kaayal hi hogayi aur mouka milte hi usne Kanjoos pe apna haath aasmaya 😆
Abhi ne ek baar danda kya uthaya , yahaan sheetal aur Ria se bhi raha nahi gaaya ☺️. dat gaye danda pakad ke . Abhi ne toh sirf do baar danda maara but Ria Abhi se itni impress hui ki usne mouka milte hi teen teen baar mara 😲, kyun ki mouka jo phir nahi milega use 🤪
waise iss dande wale scene ne mujhe Dev ki yaad dila di sacchi ☺️
" yeh danda kyun maar rahi ho " 😉😆
Toh Phir ? ... Aise hi thodi naa humaare KM ko trensteer kehta hai hum 😎
Arre Dev waakla kaunsa scene ? Mujhe yaad nahi aa raha 🤔...Dev ki Fights toh mujhe bahut saari yaad hai btw 😳😉😆Defusing the bomb bilkul sahi kehata tha Abhi " Ria tumhare haathon mein magical healing touch hai "😉😆
jo na sirf jaan dete hai balki jaan bachati bhi hai 😉. kabhi danda maara toh kabhi apni magical haathon se bomb ke detonator ko diffuse kiya .😲woh toh aise nikaal rahi thi jaise patient ke chest se ECG monitor ke leads 🤪.
wah wah Abhi dhanya ho gaya aise multitasking versatile magical haathon ko paa kar ke 🤣
Hahahahaaa Main bhi exactly yahi soch rahi thi . Just likha nahi yahan ..But tune kya sahi pakda 😆😆
Family wala scene
Abhi ka sawal karna apni Maa ke aansoon ko le karke bilkul jaayaz tha 👍🏼 . kise pata hum soche baithe ki yeh khushi ke aansoon hai 😳aur baad mein pata chala ki yeh dukh ke aansoon the apne uss Bhagwaan samaan mehmaan ke liye jo Bhagwaan ko pyaare hone chale the😲😡. kuch aur samay milta TAHR ko toh hume Rukmainji ke saakshaat "chameleon "roop ke darshan bhi prapth ho jaate 🤣
waise Abhi ka -" aap humari MAA hai " wala dialogue ne mujhe DBPS ki yaad dila di sacchi ☺️
" e kaa kar rahi hai aap , aap humri Maa hai " 😉😆
Sach kaha . Episode end ho gayawarna humko Sirf Rukmaniji ka hi roop kyon ..sabke alag alag roop dikhte ..I am sure 😆
Aww I used to love DBPS jab bhi uske mooh se MAA sunti thi toh 😳
Tribute to family members missing in action -our Mr/Mrs/Ms India 😳kya yaar atleast last epi mein family reunion ho jaati toh kya baat thi 😕
missed Kiran n Pinky 😳, jatin bhaiya 😳 , kammo 😳 aur humare pyaare se Raman chachu 😡jo Mr India ho chale . lagta hai CT's ne meri laaj aur aapki aadesh ka maan rakhte hua inne gaayab kar diya 🤪. and ofcourse how can we forget Abhi ke Mummy Papa❤️
waise thode hadd tak humare Senior Abhi ,yaani Kailashji 🤪ne uss kami ko poori karne ki koshish bhi ki 😉
Haan kaafi saare missing the . kaash humko thoda aur time hota toh we would have got them as well 😒 . Aacha hai naa ..warna soch humko ending bhi Raman chachu ke Taano se hi milti 😡😆
lastly RiYu aur unka bedroom
kya romantic tha na ☺️, waise yeh jab apni dil ki bateein kar rahe the aur Abhi naughtily aage mooh karta hai , mujhe Ranvir ki yaad aa gayi sacchi . ☺️
"aur badle mein tumhari dil ki dhadkan kya kehati hai " aur apna mooh aage karta hai , naughty boy 😉😆
Hahahhaaa I know 😳bas agar koi kami reh gayi thi toh woh tha Kinny ka hall mark "FOREHEAD KISS" 😳
I also wanted the Forehead Kiss . Kaash mil jata 😳Bedoom decor Wahi classy flowers , candles ❤️, but iss baar ek new entry hui
uss night ko aur bhi special karne ke liye jannab ne ekdum naya wala cushion bhi sajaaya tha bed pe -red wali with "Just Luv You" likha hua❤️ ☺️
Aacha hai naa . Atleast humko mila toh sahi yeh dekhneke liye , bhale hi Last scene mein ho woh 😳bas ek doorse ka dil ka haal poocha aur jaana 😲 , koi humse bhi toh poochta humare dil ki baat , kya keh rahi hai humari dil ki dhadkan 😕
Humse poochta toh humaara answer kabhi khatam hi nahi hota 😆😆Last scene waise luved the ending , like u said 1st epi ended on RiYu hug with TAHR tittle song n last epi ended on RiYu hug again with TAHR track ❤️, but this time in their or should i say "our beloved bedroom" 🤪 ☺️
candle lit RiYu bedroom jo kal tak itna romantic lag raha tha woh aaj , raat ke kaale saaye ki tarah haunt kar raha hai 😒
like i said ealier " crying not allowed here , atleast not today "
but that " atleast not today"has now become " yesterday"
so technically speaking we are allowed to express our feelings today wo bhi khulke
toh loji sun lo humari dil ki baat -" tusi jaa rahe ho , tusi mat jao " ,🥺 kaise jee paayenge hum aap ke bina 🥺
😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭
NB crying still not allowed at the Farewell thread, not now not ever
Awww.. Meri taraf se Itna sweet fun filled feedback ke liye 🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗..
I hope Tera Rona ruk jaayega 🤗