CHAPTER- 17
After few minutes Madhuri opened Kalyani's room door and saw both Malhar and Kalyani were holding each others hand and then she entered after seeing her, both left there hands and stood up feeling a little embarrassed.
Kalyani- Madhuri tu.... Kya hua Papa se baat hui teri????
Madhuri- Sorry main knock karna bhool gayi.....
Malhar- Are nahi aunty aesi koi baat nahi hai aapki beti ka hi toh room hai...
Madhuri- Haan par ab meri yeh beti badi ho gayi hai toh thoda toh mujhe samajhna hi hoga....
Kalyani- Kya Madhuri kyun humein embarrass kar rahi hai..... Bata na kya baat hui Papa se.....
Madhuri- Acha theek hai ab aur taang nahi kheechni main..... Tension mat lo dono, maine samjha diya hai ab chalo dinner kar lete hain Atul wait kar rahe hain
Kalyani- Haan chal.....
Madhuri- Tu ja jaake table set kar main aur Malhar aate hain...
Kalyani- OK
After Kalyani left Madhuri stopped Malhar and asked-
Madhuri- Malhar tumhari aankhon aur baaton se toh mujhe pura vishwas hai ki tum humari beti se bahut pyaar karte ho..... Par please Atul ki baaton ka bura mat manna Kalyani humari ekloti beti hai aur humare saath saath humare pure ghar ki laadli bhi, toh issiliye uske liye hum zyada concerned rehte hain.... Aur kahin na kahin main Atul ka dar aur Kalyani ke liye pyaar bhi samajh sakti hun after all woh ek baap hai apni beti ke liye humesha best hi chahega.... Please tum uski baaton ka bura mat manna aur mujhe tumpe pura bharosa hai aur meri Kalyani ka humesha dhyaan rakhna.....
Malhar- Aap bilkul bhi tension mat lijiye aunty main humesha Kalyani ka dhyaan rakhunga aur maine bilkul bhi bura nahi mana Mr. Deshmukh ki baaton ka main unki chinta samajh sakta hun after all future mein meri bhi baari aayegi tab main bhi shayad unki hi tarah yaa unse bhi zyada concerned rahunga apne bacchon ke liye..... Toh aap bilkul bhi aesa mat sochiye ki mujhe unki baaton ka bura laga aur aapse main wada karta hun Kalyani ki aankhon mein kabhi bhi aansun nahi aane dunga meri wajah se toh bilkul bhi nahi....
Madhuri- Mujhe laga hi tha ki tum aesa hi kahoge.... Thanks for understanding.......
Malhar- No problem at all aunty......
Madhuri smiled and asked Malhar to come and have dinner with them, after that both went to the dining table and started having there dinner.
Atul- Waese main ek baat bata deta hun main abhi bhi puri tarah se satisfied nahi hun but kyunki meri beti ki khushi tumhare saath hai toh main uska dil nahi todunga aur tumhe fair chance dunga....
Malhar- Thanks a lot Mr. Deshmukh aapka itna kehna hi mere liye kaafi hai....
Atul- Waese apne baare mein kuch batao jaese kahan se ho, tumhare parents kaun hain, kya karte hain, apni family ke baare mein, wagera wagera....
Malhar- Yes Mr. Deshmukh..... Main Aurangabaad se hun......
Atul- Aurangabaad se??? Tumhe toh Kalyani ne bataya hi hoga ki hum bhi wahin se hain.....
Malhar- Ji bataya tha....
Atul- Toh Aurangabaad mein tumhare parents kya karte hain aur kya naam hai.....
Malhar- Ji jaesa ki maine pehle bataya tha ki mere Baba ek lawyer hain Mr. Sarthan Rane aur Meri Aai ek housewife hone saath saath social worker bhi hai Mrs. Anupriya Rane.....
Atul- Kya??? Tum Anupriya Ji ke bete ho???
Kalyani- Papa.... Aur Malhar Ji ki Aai ko jaante ho....
Atul- Haan beta.... Yaad hai tumhe Madhuri maine bataya tha ki jab kuch saal pehle humare Saree ke business mein problems chal rahi thi aur purane workers bhi chodh kar jaa rahe the tab ek bahut hi selfless lady ne apne jaan pehchan ke NGO's ko contact karke hume kitne saare zarurat mand woman workers diye the jis wajah se un auraton ka ghar bhi chal raha hai aur humare workshop mein kaam bhi kaafi tezi aur acchi tarah se chal raha hai jis wajah se purane losses bhi recover ho gaye....
Madhuri- Haan mujhe yaad hai Aaosaheb kitna pareshan thi us wakt aur chahti thi ki tum aake sambhalo iss problem ko.... Par Anupriya Ji ke wajah se sab solve ho gaya.... Aur unki wajah se hi toh humein kitne saare naye suppliers aur customers bhi mile.....
Atul- Haan bahut hi achi lady hain.... Aaj bhi Aaosaheb ko koi bhi pareshani aati hai toh woh sabse pehle unse hi baat karti hain..... Aur saal bhar jo donations karti hain Aaosaheb usmein bhi Anupriya Ji unka bahut saath deti hain aur zaroorat mand NGO's ke baare mein bhi suggestions deti hain.....
Malhar- Haan meri Aai hai hi aesi..... Woh toh apna khud ka NGO bhi kholne ke baare mein soch rahi hain......
Atul- Haan bahut hi achi hain..... Unka sapna zaroor pura hoga aur hum bhi unka pura saath denge.....
Malhar smiled and said- Thanks Mr. Deshmukh.....
Atul smiled and replied- Are ismein thanks ki koi baat nahi tum bahut lucky ho jo tumhe aesi Aai mili hain...
Malhar- I know Mr. Deshmukh....
After few minutes Atul realised that he was smiling towards Malhar and saying such nice words to him, so he again made a straight face and said- Aai itna nek kaam kar rahi hain aur tum..... Tumhe toh unki madad karni chahiye......
Madhuri- Atul...... Tum fir start ho gaye naa.....
Atul- Acha baba sorry.....
Kalyani- Woow Malhar Ji mujhe toh pata hi nahi tha ki aapki Aai itni achi hain aur mere family se unka itna acha connection hai.....
Madhuri- Haan Kalyani mujhe bhi yeh jaanke acha laga.....
Atul- Acha bas theek hai.... Yeh batao maine toh suna tha ki unki ek beti hai jo ki Law ki padhayi kar rahi hai..... Unke bete ke baare mein toh kabhi koi zikr hi nahi aaya.....
Malhar- Ji Mr. Deshmukh aap sahi keh rahe hain..... Meri ek behen hai Swara jo ki mere Baba ki hi tarah Lawyer banna chahti hain issiliye abhi Delhi mein apni studies complete kar rahi hai fir Baba ke paas aakar practice karegi aur unka haath batayegi.... Actually mein woh meri cousin sister hai, mere Kaka aur Kaki ki beti jab hum bahut chote the aur Swara kareeb 5 saal ki thi tabhi ek Car accident mein Kaka aur Kaki ki death ho gayi thi tab se Swara humare saath hi hai aur mere Aai Baba ko hi apne Aai Baba manti hai aur woh log bhi use apni sagi beti hi mante hain.....
Madhuri- We are so sorry Malhar, bahut dukh hua yeh sunke bichari bacchi....
Malhar- No aunty please don't be sorry hum ab uss dukh se bilkul ubhar chuke hain.... Ganpati Bappa ne unki itni hi zindagi likhi thi......
Atul- Sahi kaha honi ko koi nahi taal sakta.... Chalo kam se kam koi ek toh hai us ghar mein jo apni zimmedari samajhta hai warna yahan toh......
Kalyani- Papa please.....
Atul- Acha ok..... But ek cheez main bilkul clear kar deta hun no late night outing..... Mujhe pata hai tumhari generation ko pyaar hota nahi boyfriend banta nahi ki late tak ghar se bahar rehna start..... I want you in your house by 9:30 p.m. is that clear......
Malhar- Aap iski bilkul bhi chinta mat kariye Mr. Deshmukh main khud Kalyani ko ghar par time se chodh kar jaaunga......
Atul- Issi baar ki toh chinta hai.....
Malhar- Jii????
Atul- Kuch nahi.......
Madhuri- Ab yeh saari baatein chodo Malhar Beta khana kaese laga...... Sab acha toh laga naaa
Atul- Haan Aunty sabkuch bahut tasty hai aur sab meri pasand ki hi dishes hain.....
Madhuri- Iske liye toh main Kalyani ko hi credit dungi usne mujhe achi tarah se supervise kiya iss mamle mein ki tumhe yeh pasand hai aur yeh nahii
After hearing this Malhar looked lovingly at Kalyani and Kalyani shyly put her head down. After seeing this Atul coughed and said- I am done aur agar tumlogon ka sharmana band ho jaaye toh apna bhi khana jaldi finish kar lo.
After having there dinner all went and sat on the sofa's present in the hall.
Malhar hesitantly asked Atul- Mr. Deshmukh if you don't mind can I ask you something???
Atul- Haan pucho.....
Malhar- Actually mujhe aapse permission leni thi ki kya main Kalyani ko abhi ice- cream khilane le jaaun and I promise ice- cream khila ke main khud usse safely ghar tak chodh dunga.....
Atul- Abhi maine thode der pehle kaha no night outs aur tum mujhe issi cheez ke liye permission mang rahe ho
Malhar- Mr. Deshmukh aapne kaha tha aapko Kalyani 9:30 tak ghar par chahiye aur abhi sirf 8:00 baj rahe hain..... Main aapko promise karta hun ki 9:30 se pehle usse ghar tak chodh dunga.....
Madhuri- Bilkul sahi keh raha hai Malhar, yeh unnecessary restrictions mat lagao meri beti par..... Jaao Malhar beta Kalyani tu bhi jaa and enjoy yourself....
Atul- Woh meri bhi beti hai....
Madhuri- Atul......
Atul- Ok fine.... But sharp 9:30 at home is that clear
Kalyani- Haan Papa.... Thank You Papa.....
Malhar- Be rest assured Mr. Deshmukh.....
After that both Kalyani and Malhar left the house.
Atul- Madhuri tum khuch zyada hi nahi bharosa kar rahi ho uss Malhar par....
Madhuri- Tum kya chahte ho Atul ki humari beti firse jhooth bolkar jaaye yaa fir humse cheezen chupaye.... Yeh 21st century hai kyun purane zamane ke pita ki tarah behave kar rahe ho..... Apni beti par trust karna sikho aur use apni life enjoy karne do
Atul- Mujhe uspar pura bharosa hai par apne andar ke Baap ko kaese rokun.....
Madhuri- Mujhe Kitchen mein help karke....
Atul- Haan???? Kya matlab.....
Madhuri- Chalo aur meri help karao sab kuch clean karne mein tab tak tumhari beti bhi wapas aa jayegi.... Fir uska chehra dekh ke shanti se so jaana...... Ab chalo....
On the other side both Kalyani and Malhar were walking hand in hand and then Kalyani said-
Kalyani- Malhar Jii aapko sach mein Papa ki baaton ka bura nahi laga naa....
Malhar- Nahi laga baba....
Kalyani smiled and said- Ek baat batayiye aaj toh aapka bahut busy schedule tha na aapne sab manage kaese kiya....
Malhar- Zyada kuch nahi kiya meri episode ki dubbing bachi hui thi jo ki dupeher mein scheduled thi usko apne AD ko call karke early morning rakhwa di taaki jo baaki ke action scenes ka shoot bacha hua hai woh dupeher mein start karke shaam tak complete ho jaye uske baad free....
Kalyani- Aap kitna thak gaye honge subhah se kaam kar rahe hain aur fir shaam ko mere ghar..... Maine aapse kaha tha main Papa ko bol ke kabhi aur rakhwa leti hun dinner.
Malhar- Kalyani maine kaha na tum meri itni chinta mat karo main tumhare liye agar time aur kaam nahi manage karunga fir kiske liye karunga batao....
Kalyani- Aur main aapki chinta nahi karungi toh fir kiski karungi...... Acha yeh batayiye apko mere parents kaese lage???
Malhar- Bahut hi loving..... Specially tumhari Aai.... Unhone mujhe bahut support kiya tumhare Baba ke saamne..... Aur tumhare Baba bhi mujhe bahut ache lage ekdum Coconut ki tarah hain bahar se sakt aur andar se utne hi naram....
Kalyani- Haan Papa hai hi aese chahe kitna hi strict kyu na ho jaayen par andar se bahut hi soft hain aur mujhse bahut pyaar karte hain..... Aur Madhuri toh hai hi meri dost ki tarah mujhe samajhti hai aur support bhi karti hai.....
Malhar- Haan mujhe itne time baad family ka pyaar dekhne ko mila aur ghar ka bana khana bhi khaya.... Mujhe bahut maza aaya....
Kalyani- I am glad ki aapko sab acha laga..... Waese Papa ne haan kiya nahi ki aapne mujhe bahar le jaane ka permission bhi mang liya????
Malhar- Haan toh itne time se sab chup chup kar hum kar rahe hain ab jab tumhare parents ko sab pata hai toh fir dar kis baat ka.....
Kalyani- Acha bahut daring ho gaye hain naa aap.... tabhi toh Papa ki 9:30 baje waali baat chup chaap maan li aapne.... Itne hi daring the toh tab bolte ki main nahi manunga aapki baat....
Malhar- Acha tum mujhe challenge kar rahi ho..... Ruko....
After saying that Malhar took Kalyani to the corner of a footpath which was fully secluded and then kissed her passionately after few seconds Kalyani was also responding with the same passion. This was a very long kiss with full of passion and love that now nothing can stop them from being together. After few minutes both ended there kiss and Malhar said-
Malhar- Maine isse shaam se rok kar rakha tha jab se tumhe dekha.....
Kalyani- Aapki saari daring mere saamne hi nikalti hai naa....
Malhar- Aesi koi bhi baat nahi hai Kalyani..... Dekho woh tumhare Baba hain main unka concern puri tarah se samajh sakta hun toh iss cheez ke liye main unhe kaese inkaar karta tumhi batao????
Kalyani- But aap iss condition ka matlab jaante hain na.... Ki ab hum late night nahi mil sakte yaani ki main ab aapke paas nahi ruk paungi aapke ghar.....
Malhar- Haan pata hain mujhe par abhi hum kuch nahi kar sakte aur sabkuch kal par chodh dete hain.... And don't worry main tumse zyada der door nahi reh sakta koi na koi solution nikal hi lunga.....
After that Kalyani hugged him and said- Main bhi aapse door nahi reh sakti.....
Malhar- I know.... Acha ab chalte hain warna yahin par 9:30 baj jayenge.....
Kalyani- Haan chalte hain bas thodi der aur mujhe aapko hug karne dijiye....
Malhar smiled and hugged her tightly, after few minutes both walked towards the nearby ice- cream parlour.