Chapter-3
"Kya hua tumhe?" Saarthak ko ab chinta hone lagi thi, "Ye chot kaise lagi?"
"Kuch nahi kaka," Malhar ne apni jeans se dhool jhadte huye kaha, "yahin mod par ek paagal ladki se takra gaya tha."
"Ladki ke takrane se itni chot lag gayi tumhe? Ladki thi ya ironwoman?"
"Kaka aap bhi na..." Malhar ko na chahte huye bhi muskurana hi para.
Anupriya ne ek booklet Kalyani ko di aur kaha, "Isme cable vala, doodh vala, kaam vali bai, newspaper vala sabke contacts likhe hain. Aur saath hi Ahalya Niwas me rehne ke saare rules bhi. Kuch aur poochna ho to mujhe ek Email kar dena shaam nau se das ke beech. Rest of the time, I don't want to get disturbed. And remember, tumhari personal life me mujhe koi dilchaspi nahin hai but ye yaad rakhna ki ye ghar hai, koi pub nahin jahaan tumhare friends, boyfriends gather ho. I hope you've understood."
Kalyani ka jawaab sune bina hi Anupriya vahaan se car keys lekar chali gayi.
"Is Street ka naam to Khadoosnagar hona chahiye. Sab ek se badhkar ek sadu hain. Kalyani kya hoga tera? Kaise milegi tujhe inspiration?"
After some hours (near 8 pm):
Kalyani pajama and ek teddy vali Tshirt pehankar chill kar rahi thi. Taylor Swift ka Love story full volume par chal raha tha.
"Kaun bewakoof hai jo raat me itna halla kar raha h? Aaj shaam tak is module ki coding complete karke team se updates bhi leni thi. Magar yahaan to kaam adha bhi khatm nahin ho paya."
"Excuse me!" Malhar balcony me aakar bulaane laga. Poore pandrah minute tak excuse me kehne ke baad Kalyani apni balcony par aayi.
"Tum?" Malhar ke muh se nikla.
"Kya kaha apne? Aur aap mujhe bula kyon rahe the?"
"Lagta hai Helmet ki vajah se isne mera chehra nahin dekha."
"Please kya aap music ka volume low kar sakti ho?"
"Kya? Kuch sunai nahi de raha."
"KYA...AAP...MUSIC...KA Volume dheema kar sakti ho?"
"Kyon? Taylor Swift is such a great singer. Aap uske talent ko yahaan ke logon se kyon chipana chahte ho?"
"Main kisi ke talent ko kisi se nahi chupana chahta. Mere office ka kaam pending hai aur main bilkul focus nahin kar paa raha hoon."
"To that's your problem?"
"What did you just say?"
"I said, agar music se koi issue hota to apke alawa aur bhi logon ne object kiya hota. Magar ye problem sirf aapko hui that means problem aap me hi hai. Huh!" Kalyani apne room me chali gayi.
Subah paanch baje
Kalyani yawn karte huye, "Ye kon subah subah black and white zamaane ke gaane baja raha h?"
Aap ki nazron ne samjha pyaar ke kaabil hame...playing in full volume and Malhar doing pushups on his balcony.
"Suniye!" Malhar keeps doing pushups singing along.
Poore pandrah minute Kalyani ke chillane ke baad Malhar finally khada hua aur smirk karte huye bola, "Aap subah subah mujhe kyon bula rahi hain? Is anything wrong?"
"Yes, everything is wrong. Ye subah paanch baje baba Adam ke zamaane ke gaane kon sunta hai?"
"Vahi log jinke paas raat aath baje music sunne ka time nahin hota."
"Ise off kariye abhi!"
"Kyon? Apko problem hai koi? Kal hi mujhe kisi ne kaha tha ki agar kisi cheez se kisi ek insaan ko hi problem ho to problem us cheez me nahin us insaan me hoti h."
"Ok fine!" Kalyani vaapis apne room me chali gayi.