Jab kalyani ka abortion hua tha tab aao saheb ne Malharji ko kitna sunaya tha ki tumhare bure karmo ka phal tumhara bachha aur hamari poti bhugat rahe hai....
he will tell kalyani...
Yahi karan hai kalyani ki jabse main tumhari zindagi me aaya hu tab se tum kitni pareshaniyo ma phasi ho....
Unn pareshaniyo se aapne hi mujhe bachaya hai Malharji... kalyani said
Aur pareshani me main apni galti ki wajah se phasti thi kyunki maine aapse baatein chhupayi thi aap ko agar pehle hi bta deti to aap uska solution dhund lete aur waise bhi...
Aap ne hamesha sach ka sath diya hai Malharji aur sachhai ka rashta kaha asaan hota hai..,
Isme to kathinayi aati hai na to iska matlb ye to nhi ki hum sach ka sath chhod de....aapne itni problem sahi lekin sach ka sath kyu nhi chhoda kyunki aap ko pta hai aaj bhale hi musibat ho lekin uska result hamesha achha hi hoga....
Hamara rishta bhi aisa hi sachha aur pure bhale hi aaj hame apne rishte ko nibhane me kayi pareshaniyo ka saamna karna padh rha hai... lekin main janti hu hamara rishta aage chal k bahut strong hoga......
main hi pagal hu jo aap par gussa ho rhi thi apni pagli ko maaf kar dijiye....Maine aapko samjhne mai galti kardi... plz ise meri naasamjhi samajh kar mujhe maaf kar dijiye I’m sorry.... she holds her ear...
Malharji bolenge tum na samajh nhi ho kalyani main tumhe nhi samajh paya
tum itni samajhdar kab ho gyi....mujhe pta hi nhi chala.... I’m sorry kalyani main tumhara dil kabhi nhi dukhaunga...
Maine pehle galtiya ki hai tumhara dil dukhaya hai tumhare bharose ko thes pahuchayi hai.... Main koshish karunga ki tumhara bharosa jeet saku...
Iss duniya me aap se jyada kisi pr trust nhi karti malharji...