Namaste pyaare mitragano,
yeh hai Biggboss ki nayi paathshala,yaha aap aakar hindi me baat karke apne hindi ke gyaan ko badha sakte ho aur baaki saathiyo ko shudh hindi sikhane me sahayata bhi kar sakte ho...........aajkal waise bhi humari rashtrabhasha ka upyog kam hota jaa raha hai to kyo na humsab milkar yaha BBF pe apni rashtrabhasha ko lokpriya banane me sahayak ho sakte hai aur isse behtar aur kya ho sakta hai rashtrabhasha ke prachar ka tarika ke humsab yaha sikhe........
Is paathshaala ke mukhya pradhan/pracharya(Princiipal) hai - Shriman Anshumanji
aur shikshak hai((yeh saath saath vidyarthi bhi hai))
1) Sushri Sarahji
2)Sushri Anureetji
aur jis kisi bhi hindi ka gyaan ho wo aakar apne mitragano ko kuch sikha sakta hai....... mai is paathshaala ki pratham vidyaarthini hun😳,baaki Rosa,Anu,Sarah,delma,Sweta yeh bhi mere seh-vidhyarthi hai pichle hinglish school se...............
to pratiksha kis baat ki hai,shubast shidram.........
.....Rashtrabhasha ki pracharak,
Mandakini