HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode - Page 4

Created

Last reply

Replies

161

Views

8366

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

Thank you. It's how she finds feelings in herself and I will try to show them in updates. Thanks for reading 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

Part 4

Vidhi : Aap gussa kyun kar rahe hein? Maine kuch galat...

Dev : I am sorry, mujhe shout nahi karna chahiye but kuch galat tum naa socho isliye roka. Vidhi tumhari age ke ladke ladkiyon ko yeh infatuation, crush yeh sab hona natural hein. Baat jahan fatherly affection kee hein toh theek hein. Par kuch aur yeh...

Vidhi; Aapke umra 41 hein. Mere Paapa ki umra 54  the jab woh guzar gaye. Mein aapko koyi Paapa ki jagah lun aisa soch bhi nahi sakti. Kya ek ladki kisi aadmi mein desire ke saath saath uske Paapa ke affection ko bhi dekhe toh kya woh galat hein ? Aap mein mujhe ek acche dost dikhaye dete hein, kabhi kabhi kuch baatein mere Paapa ki yaad dilate hein, aur kuch aise ehsas feel hote hein, jaise kee jab aap hurt huye college mein Professor ne care taker kaha toh mujhe bhi bura laga. In fact mein yeh Sochi kee log aise kyun kehte hain? Kya ek 41 ke  aadmi aur ek 21 kee ladki saath mein chal nahi sakte ? Woh donon dost nahi ban sakte ? Woh dosti hi thi ek alag level kee. Jab aapne mere liye khaana banaye, mere banaye huye sada huwa pohe mein bhi apnapan dhoonde toh kuch hone lagi man mein. Yeh crush hein, desire hein yaa kya hein which I don't know to explain. Phir pata nahi mein itni crazy kyun ho gayi kee aapki personal parcel ko dekhne ke liye ladder pe chadi. Yeh jaante huye bhi kee kisi kee personal Cheezein aise chori chupke dekhna acchi baat nahi hein . Pata nahi kyun meri anxiety badh gayi? Par jaise hi mein giri , aapn ne mujhe apne baahon mein udaye . Aajtak Paapa ke alawa kisi aur aadmi ne mujhe chuwa tak nahi aur uss waqt jab aapke haathon mein mein leti thi toh mera yeh ittu saa dil aur maangi, mein chahne lagi kee aap aise hi thodi der aur mujhe aise hi leke chale.....I don't know yeh kya hein , sahi hein, galat hein...Par kuch toh hein , something very special. Aap abb daant sakte hein mujhe ..kyunki mein...

Her eyes were went teary after telling this. Dev wasn't able to say anything. He handover a kerchief to her. 

Dev : Apna aansu poch lo aur dawai khaa lo.

Vidhi : I am .,

Dev : Tum aaram Karo . Good night. 

Dev walked away from there by closing the door. 

He thought over Vidhi's words and shut his eyes. Memories started flashing at his mind.

" Aaj toh arts day hein naa college mein? Dev kya tum banoge mere dance partner ?"

" Tumhein white se itni obsession kyun ? Ajeeb ladki ho tum. Apne lover se white flowers lpaapne ko keh rahe ho " 

" Because I love white , dekho naa aaj mein yeh white anarkali suit pehani hoon. "

" Toh kya kuch saal baad jab hum shaadi Karenge tab bhi tum roz white hi pehanogi ? "

" Aur nahi toh kya! Tumhein bhi pehnawunga white shirts , Dev " 

Dev sat in sofa recalling all those things and slowly he went asleep. Time passed and at early morning Dev's sleep got break when his phone was ringing.

Dev : Hello Maa

Satyawati; Dev !!! Beta Aaj toh ..

Dev : Yaad hein maa. Parcel dekh liya hein maine. Thodi der mein pahunchunga ghar.

His eyes went on the door and he recalled what all things Vidhi said to him last night. Dev prepared two cups of coffee . He went inside the room..

Vidhi had already woke up and seeing Dev she smiled.

Dev : Good morning

Vidhi : Good morning

Dev ; coffee pee lo 

Vidhi : Thank you

Dev : Abb kaisi hein tabiyat?

Vidhi : Abhi bhi dard hein.

Dev : Mmhh... Tumhari koyi relatives hein kya ? Mmmhh ... actually mujhe ....

Vidhi : Aap jaana chahte toh Jaa sakte hein.. Relatives ke baare mein mujhe kuch nahi pata..Jab se aankh kholi hein tab Paapa ko hi dekha hein. Maa ko tasweer mein....Ek baar poocha ki Paapa ke parents hein yaa koyi rishtedar hein ? Par Paapa ne kaha ki unhein khud nahi pata. Paapa ek orphanage mein pale badhe hein, shayad maa ki hogi. But Maa ne toh unn sabko chodke Paapa se shaadi ki thi...Iss se zyada kuch pata nahi aur Maine kabhi pooch bhi nahi.

Dev : I am so sorry. Mujhe bahut urgently ghar jaana hein. Par tumhein iss haalat mein....

Vidhi : It's ok. Aap jaayiye . 

Dev : Par tum theek se chal bhi nahi paa rahi ho toh..

Vidhi : Mujhe kya hua hai? Rukiye ,mein abhi aapko Chalke huye dikhati hein.

Vidhi tried to walk but she felt extremely pain at her knees and she screamed.

Dev : Oh God !! Kya zaroorat thi khud udke chalne kee ? Koyi running race join karni hein ? Chupchap wahin pe Leto.

Vidhi: Mujhe washroom jaana hein.....

Dev : Okay I will help you....

Dev again lifted her in his arms..Vidhi looked him .

Dev ; Koyi sapne wapne mat dekhna. Yeh humanity hein , nothing else.

Vidhi : Maine koyi explanation thodi maangi aap se . Please kal raat joh bhi baat ..

Dev : Vidhi, washroom aa gaye. Tum andar...

Vidhi; Mein jawungi..Itna bhi toota nahi hein pair.

Dev : Mein bahar hall mein....

After a while Vidhi got ready by herself. She slowly stepped her feet  though it was paining much she didn't want to trouble Dev more. Finally she managed to come out from the room .

Dev : Vidhi , awwaz diya hota ,mein aa jaata 

Vidhi; Mein abb theek hun Mr Dev... Waise aur kitna takleef dun aapko ? Mujhe udake aapke arms kamzor pad gaye honge.

Dev : Not at all....Tum baitho aaram se.

Dev pulled a chair and made her to sat there.

Vidhi: Kal raat joh bhi...

Dev ; Kyun naa kuch aur baat karen ? Tum joh keh rahi thi woh keh toh daali . But Mera koyi point Nahi hein kuch kehne kaa. Advice dunga toh bore ho jawogi..Let's be good friends..What you say ?

Vidhi ; Yeah..

They both shook each other's hands. 

Dev : Toh kya mein jawun ? 

Vidhi thought: Agar  mein rokungi toh aap rukenge kya ? 

Dev : Kya mein jawun ? Mmhh...Ghar se Maa ne do baar phone kee.

Vidhi; Yeah..mmh kab tak lautenge ?

Dev : Do din baad .

Dev packed his bags and gave some flowers to Vidhi. 

Dev : Mmhh maine bhi paudhon ko paani Dena shuru kiya. Apna khayal rakhna. Bas do din kee baat hein. Mein AA jawunga.

Vidhi nodded her head with a smile.

At Raichand house

Satyawati; Har saal tum yeh karte aa rahe ho Dev. Beta joh bhi huwa usse badal toh nahi sakte. Tumhari zindagi se woh jaa chuki hein..She has no space in your life any more. Uske baad Dev , kitne saare  uljhan huye hamare zindagi mein.  Shantanu ji ke demise ke baad business, ghar sab sambhala tum ne. Beta tumhari zindagi mein, tumhare sukh dukh mein ek humsafar ka hona zaroori hein .

Dev : Aap jaante hai naa phir bhi 

Satyawati: Rakshita kisi aur ki wife ban chuki hein.....Aur yeh kya pagalpan hein Dev kee tum aaj bhi sirf white shirts hi pehante ho ? Isliye kee woh Rakshita ko pasand thi .... Dev !!..kismat ne jaise hi tumhare Paapa ko hum sabse Cheena hamare pariwar keee neew toot gayi . Hamare paas tabh itne saare paise, yeh bungalow kuch bhi nahi bacha thaa .Uss ladki ne tumse nahi tumhare paison se pyaar kiya. Tumhein saalon lage phir se Raichand Empire banane mein..Aur woh ladki tab tak kisi aur se shaadi kee , ek ameeer ghar mein aur tumhare dil ko chot pahunchayi...Usne kabhi pyaar kiya hi nahi tumse

Dev : Par maine toh kiya naa. 

Satyawati : Dev

Dev : Maa please thodi der mujhe akela chod deejiye...

Dev got a phone call from Vidhi.

Dev : Haan bolo Vidhi.

Vidhi: Kaafi raat ho gayi. Ghar mein akele...

Dev : Mein aata hoon theen ghante mein 

Vidhi: Lekin aap toh do din baad ..

Dev : Kaha naa aata hun. Doors acche se close kar lo. 

Dev cuts the call and quickly took his bags 

Satyawati: Kuch batayega kee abb kahan jaa rahe ho ? 

Dev : Mera jaana zaroori hein Maa.

Dev walked away without saying anything taking his bags. 

Om the other hand Vidhi was thinking about Dev .

Vidhi ; Kya mujhe joh ho rahi hein woh sahi hein?.

Par Aisa ho raha hein toh kya karun ?. 

Suddenly she Heard the calling bell..Vidhi in excitement opened the door.

She was shocked to see Arjun.

Arjun : Hello Vidhi .

Vidhi: Tum itne raat ko yahan kya kar rahe ho ? 

Arjun ; Oh Come on Vidhi !! Jaise kee kuch pata naa ho......Aaj Tak college ke kisi ladke ne tujhe pataya nahin aur tum kisi ladke ke saath dance nahi kee toh socha thoda mein usse badal dun 

Vidhi : Iss se pehle kee mere chappal jawab de chupchap jawo yahan se Arjun. 

Arjun : Nahin jawunga. Kya karogi tum ? Tumhein toh uss uncle ke bahon mein letne mein koyi problem nahi, sirf mujhse problem hein

Vidhi : Don't dare to say anything about my Dev . 

Arjun : Dev!! Toh wahi naam hein, kitni raat soya usne tumhare saath? 

Vidhi gave a tight slap at Arjun's face. Meanwhile Dev who came there grabbed Arjun from back. He punched at Arjun's back. 

Arjun : Tum ho kaun Vidhi ke ? 

Dev : Boy Friend hun, koyi shikayat hein? Agar hein toh aur khelunga tumhare body ke sath. 

Arjun ran from there..

 Dev looked Vidhi. She was surprised with the word BF and her jaws and mouth were opened 😲 .

To be continued 😊😊😊😊😊😊

Edited by Revutty - 11 months ago
Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

Please read guys. Updated next part 

Stephen123 thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 months ago

Uff, 🔥🔥🔥, 'boyfriend hun, koi shikayat hai?', love it every time we get a possessive Dev 😍❤️❤️, thanks for tagging and amazing update, like always ❤️💯💯

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

Thank you so much 😊😊😊😊😊😊

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

Awwww thanks a lot 

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 4
Posted: 11 months ago

I just love possessive Dev.. ❤️❤️ 

Damn that "Boyfriend Hu koi problem hai" 🔥🔥 

Can't wait for the next one 

Update soon..  Thanks for the tag 😍😍❤️ 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

PART 5

Dev : Vidhi, Vidhi are you okay ?

Vidhi : Yeah. Aap ne joh kaha abhi...

Dev : Woh.....woh toh uss ko bhagane ke liye kaha .....Tum theek ho naa ? 

Vidhi thought : Mein bhi kya silly girl hun ? Ek BOY FRIEND sunke itni khush huyi !! Silly me ...

Dev : Yeh aajkal har baat pe itna soch kyun rahi ho tum ? Kuch aur toh nahi 

Vidhi ; No.Baithiye naa Dev.

Dev : Dev!!

Vidhi : Oh Mr.

Dev : Dev hi bulawo, accha lagta hein. Dost hein naa hum, kaun doston ko Mr kehake bulate hein ? Waise kuch khaaya tumne ?

Vidhi : Sada huwa poha , aur kya jaanti hun mein !!

Dev : Yeh khaa lo, meri Maa ne banayi hein. 

Dev gave her a packet.

Vidhi : Aapki Maa kaisi hein ?Ghar mein sab kaise hein ?

Dev : Sab acche hein. 

Vidhi : Aap kyun aaye Dev ? Aaj toh aapko aapke ghar mein rehna chahiye thaa.

Dev : What do you mean ?

Vidhi took a letter.

Dev : Yeh kahan se mila ? 

Vidhi : Aap jab bags pack karke nikle tabh mein rooms clean karne gayi. Aapki parcel se giri thi naa yeh, Maine pad lee. Aapke Paapa kaa birthday thaa aaj . Aapki maa ne dress bhijwayi thi parcel mein aur yeh letter bhi.

Dev : Tumne yeh letter padi !! Seriously Vidhi !! Tum mere personal letter kaise ..

Vidhi :  I am sorry. Gussa mat ho jaayiye please. Woh jaise hi mili mujhse raha nahi gaya. Isliye padhi .....I am really very sorry. 

Dev : Mere room se , meri cheezon se door raho Vidhi .....Actually mein yeh soch raha hoon kee mein rehne kaa intezam kahin aur kar lun...

Vidhi : Please aisa mat keejiye. Aap bhi chale jaayenge toh mein bilkul akeli pad jawungi. Please .....

Dev : Mein outhouse jaa raha hoon. 

Vidhi nodded her head. 

Dev opened his bag and took a file. He recalled his meeting with Hariprasad.

Hariprasad : Sacchai kee jeet hamesha hoti hein Dev.. Abb factory ke authority ko leke koi problems nahin aayenge.

Dev : Thank you so much Hari prasad . Aap jaise efficient advocate agar yeh case handle nahi kiye hote toh woh factory waapis nahi mil jaate ....

Hariprasad ; Arrey Dev, saare documents , saboot sab hamare side mein the. Phir kaam aasan ho gaya . ... Mujhe abb jaana hoga . Ghar mein meri beti akeli hein. 

Dev : Yeah Sure.

Hariprasad started wiping his head and face again and again. 

Dev : Yeh baar baar pasine kyun aa rahe hein ? AC barabar kaam kar rahe hein , any problem.

Hariprasad : Paani, please get me some water.

Dev gave him a glass of water.

Hariprasad took  a strip of tablet and quickly had it . 

Dev : Yeh kaisi tablet hein ? Kya health issue hein aapiki ?

Hariprasad : Nothing serious . 

Dev : No , kuch toh hein. Aap chaliye hospital chalte hein.

Hariprasad : Mein dikha raha hoon hospital mein aur yeh dawai bhi wahin se . Aapse ek favour chahta hoon.

Dev : Kaisa favour ? Mujhse joh ban padega woh mein karunga .

Hariprasad : Aap bata rahe the naa kee aapke company kee ek naye office hamare shehar mein khulne waale hein .. Aap khud jaake uske kaam saare dekhnege , thode time ke liye wahin rahenge. 

Dev ; Haan 

Hariprasad : Toh kya aap uss waqt mere ghar mein reh sakte hein?

Dev : Aapke ghar mein 

Hariprasad ; Mera ghar matlab ghar ke paas hi outhouse hein. Wahan rahenge. Aap rahenge toh meri beti safe rahegi . Ek Paapa aap se request kar rahe hein.

Dev ; Aap kahin jaa rahe hein

Hariprasad : Shayad haan. Ek aisa safar jiss mein shayad laut nahi pawunga . 

Dev ; Kya matlab hein ?

Hariprasad : Yeh dekhiye aapko pata chal jaayega.

Dev : Hariprasad ji aapko yeh bimari.....

Hariprasad : Meri gudiya jaisi beti ko pata nahin. Woh toot jaayegi, royegi .....Aur woh mein dekh nahi pawunga. 

Dev ; Mein samajh sakta hoon.

Hariprasad : Mujhe kuch ho jaaye naa tabh bhi meri beti ko koyi takleef nahi, maine usse sab samjhayi hein bank mein FD hein, LIC hein sab ...Aur court se bhi toh milenge naa woh....

Dev ; Please sambhaliye khud ko . 

Hariprasad : Mein yeh sab isliye bata raha hoon Dev kyunki hum donon ke beech sirf professional hi nahi uss se badhkar ek relationship hein. Ek apnapan hein. Abhi meri beti kaa umra hi kya hein kee mein kisi ke haathon uska haath doon. Par uska khayaal kaun rakhega mere jaane ke baad ? 

Dev : Kuch nahi hoga aapko.

Hariprasad : Sunne mein accha hein. Par yeh last stage hein. Aap jaldi aayiyega.

Dev : Mein aise achanak aake rehne lagun toh kya feel karegi aapki beti? Mein rent dunga 

Hariprasad : Nahin nahin.

Dev : Mana mat keejiye. Please....

Flash back ends. 

Dev took the hospital records , the will of Sharma niwas, and a registered document  which were placed in that file. 

Dev thought : Yeh Vidhi ko kaise de pawunga mein ? Par dena toh padega hee naa ....

Next day morning

Dev saw Vidhi watering plants . 

Dev : Vidhi !!

Vidhi : Dev aa gaye aap. Zara uss taraf ke pedon ko paani deejiye.

Dev : Vidhi ek bahut zaruri baat karni hein tumse. Please andar chalke baat kare 

Vidhi : Okay

Dev : Yeh file tumhein....

Vidhi : Kya hein iss mein 

Dev : Tumhare Paapa kaa hein

Vidhi quickly took the file and started going through it. Without saying anything she rushed inside her room and closed the door.

Dev was much shocked. He started knocking the door.

Dev :Vidhi open the door. Vidhi please.....

Vidhi was sitting at the floor with teary eyes. 

Dev : Vidhi , darwaza kholo naa , please Vidhi...

Vidhi opened the door and Dev held her hands.

Dev : Vidhi mein....

Vidhi : Aapko pehale se hi pata thaa naa Paapa ko brain tumour thaa ...

Dev nodded his head ....

Dev ; Tumhare Paapa ne mujhe yahan sirf ek kirayedaar banne ke liye nahi bheja Vidhi , unhein laga kee shayad mein.... khayal rakh pawunga unki beti kaa.... Vidhi tumhare Paapa tumhein rote huye nahin dekh paayenge ...isliye yeh baat chupayi tumse....

Vidhi screamed : Paapa !!

She bend at her own knees before the wall pic of Hariprasad. With trembling hands she touched the photo.

Vidhi : Kyun Paapa !! Kyun !! 

Dev : Vidhi sambhalo apane aap ko.......Maine bahut koshish kee.....infact aur bhi doctors ko search kar raha thaa mein.....Par uss se pehle hi....

Dev went behind Vidhi and touched her shoulder. She was crying again and again. 

Dev ; Vidhi !! please.

Vidhi hugged Dev tightly and burst out her pain in tears. Dev gently kept his hands behind her back . He doesn't know at that time how to console her . After a while when Vidhi released herself from Dev, Dev cupped her face and wiped her tears with his index finger. 

Dev : Tumhara Paapa tumhein roti huyi nahi dekh sakta aur mein bhi .....Tumhein aage badhni hein. Bahut kuch karna hein life mein Vidhi. Tabhi tumhare Paapa khush ho jaayenge.....

Jaake ready ho jawo. Tumhein college jaana hein naa ...Mein drop karta hoon ..... Please mere liye ...

Vidhi wasn't able to say anything . She walked inside her room but sat at the bed only . Dev went inside and opened her cupboard. He took the black and white  midi and top .

Dev ; Mujhe nahi pata kya pehanna pasand karogi tum . Joh haath mein aaya wahi pick kiya. Abb jaldi se ready ho jawo Vidhi. Please..Mere liye....

Dev signed her to smile.Vidhi gave a simple smile and nodded her head. After a while she wore the midi top and came from room. 

Dev ; Tum earrings daalna bhool gayi !! 

Vidhi ;Kya fark padta hein....

Dev : Fark padta hein...Mere dost earrings pehane bina kaise jaayenge . 

Vidhi : Aap please drop keejiye mujhe....

Dev : Theek hein.

Vidhi sat at Dev's bike . Dev started riding the bike and on the way his eyes went on a fancy store .

Dev : Ek minute !!

Dev quickly bought a piece of earrings and gave that to Vidhi

Vidhi : Kyun ?

Dev : Wahin ruko , kyun ,kis liye yeh saari baatein naa karna .Boy Friend hoon tumhara......

Vidhi : Par woh toh aap uss Arjun ko bhagane ke liye ..

Dev : Dost hein naa !! Aur tum girl aur mein boy ...Toh huwa naa Boy Friend 

Vidhi : Aap kis angle se boy lagte hein 

Dev : Uss ladke se jamkar fight  kee, tumhein do baar bahon mein udaye, itna bhi buddha nahi hoon mein. 

Vidhi smiled 

Dev : Abb chale...

Vidhi : Haan

Vidhi wore the earrings looking at the glass of bike. Dev started riding the bike again. And when they arrived college some started commenting on them .

Vidhi : Hey you all, aage se aise ghurke unwanted comments aap paas naa kare usse pehle hi mein aap logon ko clearly bata doon kee yeh kaun hein. Yeh mera BOYFRIEND hein aur mein inki GIRLFRIEND hein. Tum mein se kisi ko problem hein ? Nahi hein naa, toh just go to your classes ....Yahan gappe maarke kuch milne waala toh hein nahi life mein.

And when the guys went away Dev give a round of applause for Vidhi.

Dev : That's the spirit Vidhi. Aise hi aage badho Vidhi.

He touched her shoulder with a smile.

Dev ; Shaam ko milte hein .....Mein office jaa raha hoon.

Vidhi felt magic over the touch of Dev. 

TO BE CONTINUED 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago

please read and drop your views 

Chaostud thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 months ago

loving the progression of the story... enjoyed both parts... keep them coming... as far as my writing goes i don't think you've read my last work... i'd be glad if you try reading that