B R Chopra's Mahabharat

|| BRC's Mahabharata : Song Gallery || - Page 2

Created

Last reply

Replies

22

Views

12992

Users

9

Likes

65

Frequent Posters

Swetha-Sai thumbnail
Posted: 4 years ago
diksha710 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 4 years ago

Originally posted by: Mannmohanaa

My favorite song from the whole of Ramayana!

https://youtu.be/GoVpOkJ0hn8



Mine too ❤️

shruthiravi thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Title track of MB was something. They lyrics are still fresh in my mind though I was just a 8 yr old child when it played first time and didnt knew one word of hindi. 

Swetha-Sai thumbnail
Posted: 4 years ago

Credit :  ShivangBuch 

Tune Coding
HH – High speed High tone
HL – High speed Low tone
LH – Low speed High tone
LL – Low speed Low tone


VCD 01

HL

Aankhen dekhen maun mukh, sahaa kahaa nahi jaay;
Lekh vidhataa ka likha, kaun kise samajhaay, kaun kise samajhaay.

LL

Vachan diya socha nahi, hoga kya parinaam;
Soch samajh kar kijiye, jeevan me har kaam.

HL

Jeevan ko samjha raha, jiya hua itihaas;
Jab tak tan me shwaas hai, tab tak mann me aas, tab tak mann me aas.

HL

Aas kehe rahi shwaas se, dheeraj dharanaa sikh;
Maange bin moti mile, maange mile na bhikh, maange mile bhikh.

LL

Shatru dharaashaaee hue, jyun aandhi ke aan;
Hai ye Gangaputr ka, pehela hi sangraam.

VCD 02

HL

Nahi nahi hoga nahi, yehe bheeshan anyaay;
Niti preeti sangharsh me, praan bhale hi jaay, praan bhale hi jaay.

LL

Chandra tale Suraj tale, dige adig Himvant;
Devavrat ka Bhishma vrat, rahe akhand anant.

HL

Saadhan sukh ke mann dukhi, rahi adhoori saandh;
Bhool na paataa mann kabhi, manmaanaa apraadh, manmaanaa apraadh.

LL

Hai apraadhi bhaavanaa, mrityu kaamnaa mool;
Gaya agnirath rehe gaye, shesh chita ke phool.

VCD 03

LL

Kruddh sarpini ban gai, sundar upvan bel;
Dosh kisi ka kya bhala, bhaagya khelaae khel.

LL

Chandravansh ke chandra ka, asamay yeh avsaan;
Singhaasan suna hua, raajbhavan sunsaan.

LL

Maataa yeh sambhav nahi, Bhishma kare vrat tyaag;
Chaahe sheetal Surya ho, barse Shashi se aag.

HL, HH 

Jeevan daataa ek hai, samdarshee bhagwaan;
Jaisi jiski bhaavanaa, waisa jeevan daan, waisa jeevandaan.
Tamas rajas sat gunvati, maataa prakruti pradhaan;
Jaisi janani bhaavanaa, waisi hi santaan, waisi hi santaan.

LL, LH 

Satyavati ki saadhnaa, Bhishma vrati ka tyaag;
Jaage jinke jatan se, Bharat vansh ke bhaag.
Dheer dhurandhar Bhishma ka, shishya dhanurdhar veer;
Udit hua phir Chandrama, andhakaar ko cheer.

VCD 04

LL

De haskar var ko vida, veer vadhu ki reet;
Raajdharm ki neet yeh, kshatraani ki preet.

LL

De ashish rishi dev den, tumhe sadaa vardaan;
God bhare jug jug jiye, bhaagyavant santaan.

VCD 05

HL

Sukh dukh me samras rahe, jeevan wahi mahaan;
Raajbhawan ya vangaman, dono ek samaan, dono ek samaan.

LH

Sabay bhumi Gopal ki, bhule jab sansaar;
Dhaar sudarshan chakra ki, hare bhoomi ka bhaar.

LH

Naari tere dukh me, Naarayan dukhmant;
Ro mat teri kokh me, aayenge Bhagvant.

VCD 06

HH 

Antvant chhah deep hain, saptam deep Anant;
Do aanchal ke deep hain, Baldaau balvant, Baldaau balvant.

HL, HH      

Krishna paksha ki ashtami, ardh raatri Budhvaar; 
Karagruh me Kans ke, bhayo Krishna avtaar, bhayo Krishna avtaar.
Sinh raashi ke Soorya hain, udit uchcha ke Chandra; 
Devan dinhi dundubhi, taar madhya, swar mand, taar madhya swar mand.

HL, HH, HL, HH 

Megh nichhavar ho rahe, barse sau sau dhaar; 
Damak damak daamini kahe, dekho mukh ek baar, dekho mukh ek baar.
Chhatra banyo brijraaj hit, phan failaye naag; 
Mathura tere tyaag se, jaage Brij ke bhaag, jaage Brij ke bhaag.
Jaane Jamuna jag nahi, Shri Hari ko avtaar; 
Paawan pad parsanh chahi, badhi Jamun jaldhaar, badhi Jamun jaldhaar.
Dhaar madhya Vasudev jab, akulaae asahaay; 
Shri Hari ne Ravi suta hit, diyo charan latakaaye, diyo charan latakaay.

HL

Chali kumari Nandini, aaye Nand kumar; 
Tyaag bina sambhav nahi, jeev jagat uddhaar, jeev jagat uddhaar. 

HH

Atyaachaari Kans ki, kumati bani talwaar;
Ant tujhe khaa jaayega, tera atyaachaar.

LL

Daya dharm jab jab ghate, badhe paap abhimaan;
Tab tab jag me janm le, jag paalak bhagwaan.

LL

Dheer dharo maa Devaki, door n din sukhmool;
Ashru banenge janani ke, kalplata ke phool.

VCD 07

LL

Manmohan ki mohini, hare aham abhimaan;
Maayaa ko mohit kare, Mohan ki muskaan.

HL

Maavaa maakhan doodh dadhi, jage na inme jyot;
Jyot jage ghrit deep me, ghrit na tape bin hot, ghrit na tape bin hot.

LH

Naathyo Vishdhar Kaaliyaa, nirmal kar diyo neer;
Gunjegi murli madhur, jeevan Jamuna teer.

VCD 08

LH

Paapi hain dono asur, ahankaar abhimaan;
Dono ka mardan kare, tatsadiy bhagwaan.

HH, HL 

Govardhan dhaaran kare, leeladhar Brijraaj; 
Mor-Mukutdhar, venudhar, giridhar ban gaye aaj, giridhar ban gaye aaj.
Kshama maang li Indra ne, maanga yah vardaan; 
Naarayan rakhiye sadaa, nar Arjun ka dhyaan, nar Arjun ka dhyaan.

LL

Gau Prithvi Vaani Kiran, Gati Mati Maataa gnyaan;
Gau maataa ko pooj kar, tilak kare bhagwaan.

VCD 09

LL, LH 

Maarak sanhaarak nahi, uddhaarak Shrinaath;
Sadgati paayee asur ne, mar kar Hari ke haath.
Kumati gayee paayee sumati, aham ban gayaa Hans;
Naaraayan darshan hue, shaant ho gayaa Kans.

LL

Aatma amar amogh hai, nahi saanch ko aanch;
Paandu panchgun ho gaye, aaye Paandav paanch.

VCD 10

LL

Riti niti vidhya vinay, dwaar sumati ke chaar;
Preeti paatra hoga wahi, jiska hriday udaar.

HL

Janm maran ke madhya hai, jeevan karm pradhaan;
Ujjwal jiska karm ho, jeevan wahi mahaan, jeevan wahi mahaan.

LH

Maata mamtaa murty ke, panch poojari praan;
Maata ka aashish hi, putron ka kalyaan.

VCD 11

LL

Kurukul Gurukul ke pramukh, vidhya buddhi nidhaan;
Sadgun ko hi sulabh hai, sadgun ki pehchaan.

LL

Chandravansh par chal rahe, vishdhar kaale vaan;
Tyaage kumati kusang ko, jo chaahe kalyaan.

VCD 12

HL

Shishya saral satpaatra ko, phalata hai gurugyaan;
Guru ki raakhe aan jo, rahe usiki aan, rahe usiki aan.

HH

Gyaan daan guru se liya, diya maan sammaan;
Gurukul ko gaurav diya, shishya Krishna bhagwaan, shishya Krishna bhagwaan.

The only doha in the serial of this tune

Navyug ka aarambh hai, Paanchjanya jayghosh;
Naad sujan paritosh prad, Durjan ke prati rosh.

LL

Mahaaraaj hain raaj ke, sab yug purush mahaan;
Navyug ka aarambh ho, hai sab aashaavaan.

HH

Raajkumaaron ko nirakh, harshit jansamudaay;
Aaj Hastinapur nagar, phoola nahi samaay, phoola nahi samaay.

HL

Jane jo bole nahi, jo bole anjaan;
Karn swayam kaise kahe, kya uski pehechaan, kya uski pehchaan.

LL

Shankhnaad ne kar diya, samaaroh ka ant;
Ant kahaan is ant ka, Kurukshetra paryant.

VCD 13

HL

Ghaav bada apmaan ka, tadpe nishdin praan;
Manmaanaa pratishodh hi, uska kare nidaan, uska kare nidaan.

HL

Diye bina gurudakshina, vidhyadhan nissaar;
Jyon auron ki sampadaa, auron ka adhikaar, auron ka adhikaar.

LH

Dharm karm nishchit karo, sunkar samay pukaar;
Jag me aaye kis liye, uska karo vichaar.

LH

Swaarth aur adhikaar ke, beech rakhi talwaar;
Kaat fenkati hai kise, dekhen uski dhaar.

VCD 14 (First 2 dohas of this VCD are only dohas sung by Rajkamal - rest all in the entire serial are by Mahendra Kapoor)

HH

Vijay hui phir nyaay ki, hata moh ka paash;
Satymev jayate bana, antim satya prakaash, antim satya prakaash.

LL

Baanch rahe Hari patrika, sunte prem pukaar;
Akshar akshar dekhte, khula prem ka dwaar.

LH

Jwaalamukhi bhavishya hai, aashankaa me raaj;
Chintakul hai veerataa, veer vivash hain aaj.

VCD 15

LH

Agyaani ki laalsaa, kutil buddhi ka gyaan;
Kutniti ke yog se, bantaa pralay samaan.

HH

Samajh n paaye Paandusut, kapat jaal ka chaal;
Prem sana vish prem se, swikara tatkaal, swikara tatkaal.

HL

Duryodhan ke harsh ka, raha n vaaraapaar;
Swayam jaal me aa phansa, aaj Pandu parivaar, aaj Pandu parivaar.

HL

Jaano pratham nikaas ko, tab gruh karo pravesh;
Soch samajh lo Vidur ka, yukti yukt aadesh, yukti yukt aadesh.

LH

Dharm karm kartavya jo, samay rahe kar jaaye;
Samay bitane par nahi, wohi manuj pachhataaye.

VCD 16

HL

Vidurniti sanket ho, Krishn kripa ho chaah;
Sankat ki jwala swayam, bane mukti ki raah, bane mukti ki raah.

HH

Jaako raakhe saaniyaan, maari sake na koi;
Baal n baanka kari sake, jo jag beiri hoi, jo jag beiri hoi.

LL

Bheeshm hriday me jal uthi, Laakshagruh ki aag;
Bandh kiye gruhdwaar sab, rain bitaaye jaag.

HL

Maataa aru laghu bhraat do, chale utha kar Bheem;
Pavan putr ka veg tha, Pavan samaan aseem, Pavan samaan aseem.

HL, HH

Dekh Bheem ke roop ko, bhuli apna bhaan;
Prem uday man me hua, hataa n paayi dhyaan, hataa n paayi dhyaan.
Kare Hidimba praarthana, bhare hriday me peer;
Mahadev vardaan do, vare mujhe yah veer, vare mujhe yah veer.

LL

Naari ho ya daanavi, rakhaa prem ka maan;
Maataa Kunti ne use, diyaa vadhu sammaan.

VCD 17

HH

Kaal bada balwaan hai, sab ko naach nachaaye;
Paanduputr bhi maangate, bhiksha ghar ghar jaaye, bhikshaa ghar ghar jaaye.

LH

Rituen badle samay par, samay aa rahaa paas;
Avsar dekho bhaagya ka, rakho hriday-vishwaas.

HL

Lakshya bane pratishodh jab, hota nasht vivek;
Putr roop me bhi Drupad, shastr maangata ek, shastr maangata ek.

LH

Avsar parkhe veerko, veer parkhataa baan;
Aankh lakshya par Paarth ki, kare matsya-sandhaan.

VCD 18

HL

Poorv-janm me the diye, Shiv ne jo vardaan;
Vare paanch var Draupadi, paancho guni mahaan, paancho guni mahaan.

LL

Chhal ka bal jab viphal ho, chhali vikal ho aap;
Jab ulta paasaa pade, var bhi lagtaa shaap.

LL

Agnisuta yah Draupadi, dharm karm ke saath;
Pandusuton sang jaa rahi, laane naya prabhaat.

VCD 19

HL, HH 

Dhanya Hastinapur hua, dhanya raaj grihdwaar;
Deep aarati ke jale, ho swaagat satkaar, ho swaagat satkaar.
Raajlakshmi nav-vadhoo, mangal dwaaraachaar;
Paandusuton sang Draupadi, sab ne ki swikaar, sab ne ki swikaar.

LL, LH 

Sajjantaa phir jhuk gai, dekha bebas roop;
Paandusuton ke hit bani, phir wohi kaali dhoop.
Putrprem ke swaarth me, tha andhaa Drhitraashtra;
Dikha vivashtaa vyarth hi, kiya vibhaajit raashtra.

HL

Karm karen kismat bane, jeevan ka yah marm;
Praani tere haath me, tera apna karm, tera apna karm.

HL

Kurukul ko aisa dansaa, abhishaapon ka saanp;
Kiya vibhaajan raashtra ka, gaya aatmbal kaamp, gaya aatmbal kaamp.

HH

Adhipati teeno lok ke, khaaye Vidur ghar saag;
Swaad bhara tha prem ka, saag bana anuraag, saag bana anuraag.

LL

Bhole se Balraam ko, kar ke meethi baat;
Duryodhan ki chaal ne, phasa liya kar ghaat.

VCD 20

HL

Maa apne adhikaar de, putravadhu ko sonp;
Vriksh badhe parivaar ka, dukh na kare prakop, dukh na kare prakop.

LL, LH 

Apmaanit ho kar rahe, shatru jahan chup chaap;
Wahi maun toofan ki, hai pehli padchaap.
Raajya na jeeto jeet lo, apne hit ke meet;
Meet badhenge preet se, wahi sahi hai jeet.

LL

Bigadi baat sanwaarna, Saanvariya ki reet;
Parth Subhadra mil gaye, hui prem ki jeet.

VCD 21

HL

Ganga Yamuna si mili, dharaaen anmol;
Dravit ho uthi Draupadi, sun kar meethe bol, sun kar meethe bol.

LH

Abhimaani ke dwaar par, aaye din dayaal;
Swayam chun liya aham ne, apne haathon kaal.

HL

Chhod diye bandi sabhi, kiya unhe swaadhin;
Meet Paandavon ko mile, hue preet me lin, hue preet me lin.

HH

Sau aparaadhon tak tabhi, kar di kshama pradaan;
Vachan diyaa Shri Krishna ne, diya moksha vardaan, diya moksha vardaan.

LL

Hari upkaari kar rahe, aaj atithi satkaar;
Dhanya kare aatithya ko, dhanya kare vyavhaar.

VCD 22

HL, HH 

Diya dand Shri Krishna ne, kiya khand abhimaan; 
Aanchal chire Draupadi, baandh rahi bhagwaan, baandh rahi bhagwan.
Premaanchal me bandh gaye, diya vachan phir aap; 
Is rin ke bhugtaan ko, jag na sakega maap, jag na sakega maap."

LH

Vidur dharm se keh rahe, Duryodhan ko dekh;
Neki kaisi chaahie, raaja kaisa nek.

HL

Jaanbujh kar haarnaa, thi Shakuni ki chaal;
Haar bunegi ab yahi, kapat dhyut kaa jaal, kapat dhyut ka jaal.

LH

Duryodhan ke dukh ko, seh na saka Dhritaraashtra;
Shakuni ne ulta diye, niti dharm ke shaastra.

VCD 23

HH

Bol amolak bol hain, bol sake to bol; 
Pahele bhitar tol ke, phir mukh baahar khol, phir mukh baahar khol.

HL

Chhal hi chhal ka devtaa, chhal hi chhal ka paap;
Dar hi dar ko poojataa, dar kar apne aap.

HL

Mann me jalti aag thi, mukh me meethee baat;
Khel khel me jeet le, dusht lagaataa ghaat, dusht lagaataa ghaat.

LL

Kapat saumyata ka kare, kapat purna samman;
Swaarth keech me neech ki, neeyat sake na jaan. 

LL, LH 

Raajpaath sab haarkar, haare bhai chaar;
Das bane, daasi bani, paanchaali si naar.
Jua bura hai khelna, kare buddhi ka naash;
Dharmraj ka dharm bhi, bandha juye ke paash.

VCD 24

LH

Paar kar gaya paap ki, har seema ko neech;
kul maryada kheenchta, bhari sabha ke beech.

LH, LH

Goonj uthi akaash me, naari ki awaaz.
Sannata sa chha gaya, beecha sabha mein aaj.
Jo bhi naari jaati ka, karta yoon apmaan.
Uska naash avashya hi, kar deta bhagwaan.

LL, LH

Ek ore pratishodh hai, ek ore apmaan;
Bheeshma ghire hain bheech me, gehri nadi samaan.
Naari ke apmaan se, giri sabhyata aaj;
Haar jeet ke khel me, gayi vansh ki laaj.

VCD 25

LH

Lekh vidhi ka naa tale, kar lo laakh upaay;
Dharmraaj ne phir diya, sab kuch aaj lutaay.

HL

Aaj bhoomi par chal pade, bhupati deen samaan;
Chhod chale re ghar nagar, samay badaa balwaan, samay badaa balwaan.

LH

Kapati apne kapat ko, dekh na paata aap;
Ek ek din naash ka, ginta uska paap.

VCD 26

LL

Aag na bujhati dvesh ki, barse megh mahaan;
Bheeshma Drona dono thake, de paaye nahi gyaan.

LL

Krodh aur apmaan ki, bujh na sakegi jwal;
Shaurya na dheeraj dhar saka, khada hua tatkaal. 

VCD 27

HH

Pavanatanay sankat haran, mangal murati roop;
Ram, lakhan, sita sahit, hridaye basahu sur bhoop, hridaye basahu sur bhoop.

LL

Bhadak uthi jab vaasna, diya krodh mein shraap;
Rok na paayi Urvashi, veg kaam ka aap.

HL

Yahi dharohar vansh ki, yahi rache itihaas;
Ek maatr aasha yahi, ek maatr vishwaas, ek maatr vishwaas.

LL

Jahan satya ka saath hai, wahin dharm ka vaas;
Jahan dharm ka vaas hai, wahin vijay ki aas.

VCD 28

LH

Desh prem par swarth ne, vish ka kiya prayog;
Bheeshma Vidhur dono vivash, hai asaadhya yeh rog.

LH

Praan harunga shakuni ke, karta dukhi sadaiv;
Aaj pratigya kar raha, Paandu putra Sahdev.

VCD 29

HL

Durjanta ke vriksh par, phal lagta jo aap;
Keechak aisa shraap hai, Keechak aisa paap.


LL

Jab mann bebas ho kare, koi anuchit kaam;
Tab usko na dikhta, kya hoga parinaam.

HL

Chaaha chhoona aag ko, gayi Keechak ki jaan;
Draupadi ke ashru ko, mila aatmasammaan, mila aatmasammaan.

LL

Bheeshma Pitamah sochte, soch kaampte aap;
Naash nimantran de raha, Duryodhan ka paap.


VCD 30

LL

Baan chadha kar dhanush par, karte Bheeshma vichaar;
Praanon se priye jo mujhe, kaise karun prahaar.

HL

Lahu dharm ka jab gire, kare dhara ka naash;
Sehnandri aage badhi, diye dharm vishwas, diye dharm vishwas.

LL, LH 

Byah bane Abhimanyu ka, Kurukul milan suyog;
Issi aas vishwaas par, kiye nimantrit log.
Kul darpan me darp ki, jab jab pade daraar;
Vikrit roop sawaarna, mann chahe har baar.

VCD 31

LL

Jab jab hoti dharm ko, satya shaanti ki chaah;
Tab tab sheesh adharm ka, uthe rokne raah.

LL, LH 

Dharmatula me aa pada, yudh shaanti ka bhaar;
Dekhein ab kya hot hai, yudh khada us paar.
Bhoolein jab ghar ke bade, satya shaanti ka saar;
Dharmaraj ka dharm bhi, phasse beech majdhaar.

VCD 32

HL

Duvidha me Dhritrashtra hai, raja bane ke baap;
raja ka yahi putramoh, bana rashtra ka shraap, bana rashtra ka shraap.

LL

Bhai bhai me yudh na ho, aur rahe dhram ka maan;
Chale shaanti prastav le, swayam Krishna Bhagwaan.

HL, HH 

Mat ro behena Draupadi, jeevan hai sangraam;
Dheeraj dhar mann shaant kar, purna honge sab kaam, purna honge sab kaam.
Sat asat sarvatra hai, aplaa sablaa hoy; b
Narayan poorak bane, Paanchaali jab roye, Paanchaali jab roye. 

HL

Kaun raah kiski take, bhala bataaye kaun; 
karein pratiksha samay ki, rakhen dhairya aur maun, rakhen dhairya aur maun.

LH

Jab buddhi vipreet ho, sachmuch kaal vinaash;
Lagta hai kuruvansh ka, naash, naash bas naash.

VCD 33

HH

Vishwaroop dikhla rahe, vishwambhar bhagwaan;
Aankhen jinke paas hon, le inko pehchaan.

HH

Janmjaat kundal kavach, the angon ke ang;
Wahi kaat kar de diye, adbhut divya prasang.

HL

Paschim se Suraj uge, din ban jaaye raat;
Kintu kabhi na mitra se, Karn karega ghaat, Karn karega ghaat.

LL

Kaurav senapati banu, agar shart lo maan;
paandav dharm prateek hain, harun na unke praan.

VCD 34

HH

Vidur dharm ke saath hai, chuka raha hai mol;
Apne pad ko tyaagtaa, apni aankhen khol, apni aankhen khol.

HH

Maata tere doodh ko, nahi lagegi aanch;
Karn rahe Arjun rahe, putra sadaa hi paanch, putra sadaa hi paanch.

LL, LH 

Bada dharm sankat khada, Kunti ka mann rok;
Kise vijay aashish de, kise maut ka shok?
Dono apne baahu hain, dono apni shaakh;
Kise bithaaun hriday me, kis par daalun raakh?

HL

Dushasan ke rakt se, jab tak ho na snaan;
Tab tak karti Draupadi, mahaa pralay ka dhyaan, mahaa pralay ka dhyaan.

LL

Maata ne sut ko diya, nahi vijay vardaan;
Chala hathi sut yuddh par, phir bhi sina taan.

VCD 35

HL

Toden naataa yaa vachan, hai duvidhaa me praan;
Veer gale mil sochate, kisko den sammaan, kisko den sammaan.

LL

Dosh bhaagya par kyun madhe, dosh karm ka jaan;
Chhal karta kyun aapse, apne ko pehechaan.

HH

Pran pura nahi kar saki, janm gaya tha beet;
Amba phir se janm le, ban kar naya ateet, ban kar naya ateet.

LL, LH 

Aanch nahi shastraagni ki, dhimi padne paae;
Agnimurti pratishodh ki, shourya shakti ban jaae.
Kurukshetra ke yuddh ka, Paanchaali aadhaar;
Yahi bani hai dhaal bhi, yahi bani talvaar.


VCD 36

LH

Raah dekhiye surya ki, hoga naya prabhaat;
Dharm joojane ja raha, hai adharm ke sath

HH

Duvidha me Dhritraashtra hai, yuddh saka nahi rok;
Yogeshwar samajha rahe, Arjun karo na shok, Arjun karo na shok.

LL

Aatma to marta nahi, mar jaati hain deh;
Mann me tum rakkho nahi, duvidha ya sandeh.

VCD 37

LL

Karm karo tum gyaan se, shreshth gyaan hai dharm;
Karmyog hi dharm hai, dharmyog hi karm.

LH

Mahayuddh aage khada, kaal badhaae haath;
Bhishm vivash ho de rahe, Duryodhan ka saath.

VCD 38

HH

Badla paksh Yuyutsu ne, dhar prakash ki dor;
Bhai bhai lad rahe, maata ho kis ore, maata ho kis ore!!!

LH

Bali Bheem ke vachan ka, rakhne ko sammaan;
Jhuka diye Abhimanyu ne, apne teer kamaan.

LL

Yuddh khada ho saamne, aur vivash ho veer;
Pal pal yoddha sochata, hota aur adhir.

VCD 39

LL

Bharani padti hai sadaa, apni karni aap;
Boya jisne paap hai, kaatega wah paap.

HL

Mukt karen daasatva se, Bhishma pitaamah daas;
Ab na kahin daasatva ka, ho Bhaarat me vaas, ho Bhaarat me vaas.

LL, LH 

Bhishma Shikhandi par nahi, kabhi karenge vaar;
Kintu pitaamah ki karen, rakshaa kisi prakaar.
Sab Shakuni sang sochate, koi uchit upaay;
Sab mil gheren taat ko, unke praan bachaay.

VCD 40

HL

Maa Ganga aashish de, aakar sut ke paas;
Aaj gira ho bhoomi par, jyun koi aakaash, jyun koi aakaash.

HH, HL, HH, HL 

Aaj dharashayee huye, kurukul ke sartaaj.
Unko abhivaadan kare, saara veer samaaj, saara veer samaaj.
Shwet aatma, shwet yug, shwet kesh ya vesh;
Kahan dikhe is lok me, aisa veer vishesh, aisa veer vishesh.
Rakt sanaa har teer hai, ashru bhara har nain;
Rundha rundha har kanth hai, rundha rundha har bain, rundha rundha har bain.
Arjun ne chhue charan, liye hridaye me ghaav;
Krishna khade karbabddh ho, aisa punya prabhaav, aisa punya prabhaav.

LL

Sharshaiya par Bhishma hai, karein Karna se baat;
Veeron ka yeh dharm hai, rahein Dharm ke saath.

HL, HH, HL 

Kurukul ki vadhuen milin, liye aarti deep;
Kaal rakhega deep ye, apne hriday sameep, apne hriday sameep.
Jhadi lagaye ashru ki, khadi reh gayi raat;
Mann me aandhi si uthe, honth karen na baat.
Maun dishayen dekhti, sharshaiya par kaun;
Haath jodkar saamne, maut khadi hai maun, maut khadi hai maun.

LL

Dron chale kar Bhishma ko, antim aaj pranaam;
Phir na dikhega Bhishma sa, dheer veer nishkaam.

VCD 41

LH

Duryodhan ne kapat se, turat banayee baat;
Vachan diya jhootha swayam, kiya mitra se ghaat.

LL

Veer akela hi lada, saat saat ke saath;
Aur veergati pa gaya, jhuka garv ka maath.

VCD 42

HL, HH 

Pita agni de putr ko, rakhe hriday par bhaar;
Mann me to badvaagni hai, nayan ashru ki dhaar, nayan ashru ki dhaar.
'Dhoo dhoo' kar jalti chita, 'dhoo dhoo' kar pratishodh;
Jaydrath par nar Paarth ka, pal pal badhta krodh, pal pal badhta krodh.

LL, LH 

Rambaan ki hi tarah, hai Arjun ka baan;
Chuk na kar sakta kabhi, jab kar le sandhaan.
Diye ja rahe saantvanaa, Jaydrath ko sab log;
Par sabke mann kha raha, bhay ka bhishan rog.

LL

Aage dikhta kaal jab, sujh na padti chaal;
Aise me to mitr bhi, lagte hain vikraal.

VCD 43

LH

Pran pura kar Paarth ne, siddh kiya sandhaan;
Jaydrath pitu sang mar mita, bache Paarth ke praan.

HL

Kshatriya hota karm se, badhe vansh ki shaan;
Veer putr se sarvada, badhata maa ka maan, badhta maa ka maan.

HL, HH 

Chinta apni chhod kar, rakhen raashtra ka dhyaan;
Dhanya dhanya is bhoomi ke, Bhishma sapoot mahaan, Bhishma sapoot mahaan.
Bhaarat bhoomi akhand ho, rahe surakshit desh;
Yug yug tak jeevit rahe, yahi amar sandesh, yahi amar sandesh.

LL, LH 

Kar na sakega Karn ab, phir se shakti prayog;
Yahi soch Hari has diye, dikhe dukhi sab log.
Amar Ghatotkach ne kiya, mar kar yeh paramaarth;
Karn arakshit ho gaya, hua surakshit Paarth.

VCD 44

LL

Maryaadaaen mar mitin, ghiri andheri raat;
Aadarshon ki ab kahin, sune na koi baat.

LL

Karndhaar jab Karn ho, niyam na honge bhang;
Daanveer ki veerta, sada rahegi sang.

VCD 45

LH

Daanveer ka ho gaya, is prakaar balidaan;
Paanchon Paandav paa gaye, jeevan ka vardaan.

LH

Mare mitr ke saath hi, vijay aas vishwaas;
Aansu hi aansu bache, Duryodhan ke paas.

VCD 46

LL, LH 

Pran pura kar Bheem ne, jangha daali tod;
Maata ka vardaan bhi, gaya dusht ko chhod.
Samajhaya Shri Krishna ne, kruddh na ho Balraam;
Yeh to hai phal paap ka, yahi nyaay ka kaam.

LH

Duryodhan ke roop me, aaj mara anyaay;
Paap shaap santaap ka, hua ant adhyaay.

LL

Vanshnaash karne chalaa, sab mariyaadaa khoe;
Baal na baankaa kar sake, jo kripa Krishna ki hoe.

VCD 47

HL

In maataaon se badhe, sadaa desh ka maan;
Dhanya karen aashish den, mamataa murti mahaan, mamtaa murti mahaan.

HH

Raajtilak yeh dharm ka, naya sukhad vardaan;
Hoga ab is desh me, navyug ka nirmaan.

LL, LH 

Jo kuchh hai sansaar me, jo kuchh hai sansaar;
Isi kathaa me kehe diya, Ved Vyaas ne saar.
Yaad rakhen hum aap sab, karmo ke parinaam;
Vidaa le rahe aaj hum, karte hue pranaam.

surabhi01 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago
surabhi01 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago
surabhi01 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago
surabhi01 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago
surabhi01 thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago