🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 22nd Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Let's Discuss Abhir
Saiyaaara spoof
Thread for Round 1 Nerdtastically Navratri
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
ENTRY INTO RESORT 22.9
Nine Nights of Devotion - Shubh Navratri
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Anupama bags some Star Pariwaar Awards
Complaint Against The Ba***ds Of Bollywood
Thanks for the likes & comments! Over to..
Part 48
When Arnav comes back after attending the call,he finds both the families,esp. Khushi,waiting impatiently for him.
Khushi: Bataiyye naa.. kya hua tha Holi k din?
Arnav: Tum gazebo me akeli khadi thi. Maine tumhe bulaya toh tumne meri or dekha aur phir tum mud gayi. Par,kyunki tum stressed lag rahi thi, main tumhare paas aaya. Tumhari aankh me kuch chala gaya tha,isiliye tum bar-bar apni aankh ko rub kar rahi thi. Maine.. a.. tumhara..
He recalls how he cupped her face & blew gently in her eyes.
Khushi(thinks): Hey Devi Maiyya! Na jaane Arnavji ne aisa kya kiya tha jise bataane me unhe itni jhijak ho rahi hai?
Arnav catches the look of embarassment on Khushi's face & smiles.
Arnav: Relax!
Khushi(shocked): Ji?
Arnav: Maine.. sirf tumhara haath hataaya aur.. tumhari aankh me phoonk maari. Kuch der tak hum dono ne.. ek doosre ko dekha. Phir achaanak se tumne mera haath hataa diya. Mujhe laga ki.. shaayad mera tumhe chhoona tumhe pasand nahi aaya. Isiliye main mudkar jaane laga ki tabhi tumne mera haath pakadkar mujhe rok liya. Main shocked tha. Mujhe yeh samajh nahi aa raha tha ki tum chahti kya ho? Tab hi tumne kaha..
*Flashback*
Khushi(cups his face): Hum aapse kuch poochhna chahte hain,Arnavji..
She holds his right hand & places it on her chest,a little to the left.
She looks at his hand & then looks him in the eye.
Khushi: Aisa kyun hota hai?Jab bhi aap humare paas hote hain,toh humare dil ki dhadkan tez ho jaati hai! Humne samajhne ki bahut koshish ki, par samajh nahi paaye.(tearin up)Bhulana chahte the par bhula nahi paate the.
Arnav feels sad upon seeing her eyes glistening with tears.
Khushi: Aisa kyun hota hai?
In response,Arnav lovingly cupped her face.
Khushi: Bataiyye naa.. Aisa kyun hota hai?
Arnav swallowed a lump even as Khushi continued wondering aloud.
Khushi: Humare dil ki dhadkan humari saanson se bhi tez ho jaati hai. Aisa kyun hota hai?
Arnav didnt know how to answer the question.
He was baffled,shocked,happy that she loved him & sad to see her distressed.
Before he could answer,Khushi became unconscious.
Her limp body leaned against his hard,protective one.
Arnav wiped the lone tear that threatened to flow down his cheek.
He checked his emotions before scooping her up in his arms.
As he walked with her towards their room,his gait,his swagger,his eyes all screamed of confidence & a new found ray of hope.
*Flashback ends*
Khushi(shocked): Hum hairaan hai! Taajjub ki baat hai! Itna kuch keh diya humne lekin humein ek shabd yaad nahi hai! Phir.. kya hua?
Arnav: Maine tumhe poolside chair par utaara aur tumhare chehre se rang saaf karne laga. Itne me tumhe hosh aaya. Tumne mujhe dekha toh tumhari aankhein bhar aayi. Maine tumse kaha..
*Flashback*
Arnav sees tears forming in Khushi's eyes and shakes his head.
Arnav: Main bataata hoon ki aisa kyun hota hai..
He takes her fragile hand in his & places it on his chest,to the left.
Then he inches his face a little closer to hers.
Arnav: Jab tum mere paas hoti ho,toh tumhari dhadkanon k saath meri dhadkanein bhi tez ho jaati hain. Humari dhadkanein ek ho jaati hai,jo tum mehsus karti ho,jo main mehsus karta hoon!
Khushi,who's satisfied with his reply,smiles.
Khushi: Humari dhadkanein?
Arnav(nods): Ek ho jaati hain!
*Flashback ends*
Khushi: Phir.. kya hua?
Arnav: Phir hum.. kuch der poolside par baithe. Di ne humein neeche bulaya,nimbu ka achaar khane k liye. Main.. tumhare paas hi rehna chahta tha. Us moment ko.. jaane nahi dena chahta tha. Lekin..
He sighs audibly.
Khushi: Kya?
Arnav: Hum neeche chale gaye aur nimbu ka achaar khaane se humara nashaa utar gaya. Di ne apne phone par humare kuch videos nikaale the, jinme hum saath me dance kar rahe the. Main aur tum,dono hi unhe dekhkar shocked aur embarassed the.
Khushi: ji,woh toh humein yaad hai. Phir hum aapk peechhe kamre me pahuche. Wahaan humne aapse poochha bhi tha,ki aapko kuch yaad hai ya nahi? Toh aapne humse jhoot kyun kaha?
Arnav: Kyunki mujhe aisa laga ki tumhe sab kuch yaad hai par tum pretend kar rahi ho jaise tumhe kuch yaad nahi hai. Mujhe.. yeh laga ki.. perhaps u're only attracted to me. U know.. u dont love me. Shaayad yeh.. sirf ek.. I mean u hav a crush on me..
Khushi(confused): Crush?
Buaji: Ee kaa hovat raha,Nandkisore?
Anjali: Buaji,iss ka matlab hota hai kisi k prati aakarshit hona. In ko aisa laga ki Chhoti inse pyaar nahi karti hain. Bas inki or aakarshit hain.
Nani: Aap ko aisan kaahe laga,Chhotey, ki bitiya ki taraf se prem naahi aakarshan hai?
Arnav: Kyunki maine.. use aur Shyam ko.. terrace par saath me dekha tha. Mere hisaab se woh hi sach tha ki woh Shyam se pyaar karti hai. Maine toh yeh hi socha ki agar Khushi ko mujhse pyaar hota toh woh Shyam k saath milkar mujhe aur meri di ko dhoka thode hi na deti?
Paayal: Ek toh aapne shaadi ki raat ko puri baat jaanne ki koshish nahi ki. Phir jab Khushi ne khud ne aapse kaha tab bhi aapne uski baat ko nakaar diya!? Humein toh samajh nahi aata ki.. aapk dimaag me hamesha galat khayaal hi kyun aate hain? Aur agar aate bhi hain,toh aap bina soche- vichaare,bina kisi thos saboot k,unko sach maankar kaise baith jaate hain?
Buaji: Ee maa Arnav ki kauno galti naahi hai,Nandkisore!
Everyone is surprised to find buaji taking Arnav's side.
Paayal: Aap yeh keh rahi hain,buaji?
Buaji: Haa,hum kahe rahe hain! Ee Sanka devi ne hi kuchho saaf-saaf naahi kaha tau Arnav kaa karega,hain? Oo ko ee dhadkan tej hone wali baatwa kare ki kaa jarurat rahi? Seedhe-seedhe ee naahi kah sakti thi,ki oo Arnav se prem karti hai?
Paayal: Par Khushi ne yeh bhi toh nahi kaha naa buaji,ki woh Arnavji ko pasand karti hai? Arnavji ne khud hi soch liya ki Khushi ne jo kuch bhi kaha tha uska matlab yeh hai ki woh unki or aakarshit hai! Unki yeh hi toh diqqat hai- Khud ulta sochenge aur us baat ko sach maankar baith jayenge! Aur jo asal me sahi hai us par yaqeen nahi karenge!
Aakash: Enough Paayal! Bhai k baare me iss tarah se baat mat karo!
Paayal: Maaf kijiyega,par hum kuch galat nahi keh rahe hain,Aakash. Yeh baat yahaan baithe sab jaante hain,bas koi kehta nahi hai!
Nani: Shaant hui jaiyye,Paayal bitiya. Chhotey,aap aage bataiyye..
Arnav: Holi k baad bhi kuch incidents..
Anjali(interrupts): 1 minute..
Everyone turns their attention towards Anjali.
Anjali: Shaayad aap kuch bhool rahe hain. Ya,ho sakta hai,bhaang ki wajah se aapko yaad na ho. Magar,kyunki humne bhaang nahi pee thi,humein woh baat yaad hai.
Arnav(confused): Kya di?
Anjali: Hum aur nani kone me khade hokar sabko Holi khelte huye dekh rahe the. Itne me aap peechhe se aaye,aapne humare kandhon par haath rakha,Chhoti ki or dekha aur bole..
*Flashback*
Arnav: Kitni sundar hai na Khushi? She's beeaauuutttiiifffuuulll!
He looked towards her,awestruck by her beauty.
Arnav: Uski aankhein,us k baal,(smiles) uski smile..! Thodi paagal hai but.. cute hai!
*Flashback ends*
Arnav looks towards Khushi to find her blushing.
The moment their eyes meet,she lowers her gaze.
Buaji: Ab batiyaao,kaun kis k prati aakarsit raha? Humka tau aisan laagat hai ki tumhai the jaun humri Khusi k prati aakarsit the! Jaun bhaavna ko tum prem samajh rahe hau naa,oo aakarsan tha! Aur kuchho naahi!
Arnav: I admit,buaji,main Khushi ki beauty se attracted tha! Lekin iss ka matlab yeh nahi hai ki main usse pyaar nahi karta tha ya sirf usse attracted tha! Main jaanta hoon ki woh pyaar tha!
Khushi: Sirf aap hi nahi,hum bhi.. yaqeen se keh sakte hain ki.. hum ek doosre k prati jo mehsus karte the,woh keval aakarshan nahi,pyaar tha!
They look at each other & smile.
Mamiji: Ekkuj me pileej! Ee k pahile ki ee lovebirds aapan love ki philam (film) maa khoyi jaayein,humka interrupsan (interruption) kari ki padi!
Aakash: Interruption nahi maate, Intermission!
Mamiji: Oo hai! Humre Arnav bitwa kab se batiyaaye jaaye rahe hain. Oo ka gala sookh gaya hui. Hari Parkaas, sabki khaatir jooice lekar aao! Aur humri khaatir humra imported jooice hi lana,samjheo?
HP: Ji mamiji. Hum abhi lekar aate hain.
Nani: Humka Manorama ki baat sahi laagat hai. Hum sab ka kuch der ki khaatir aaraam kare ki chaahi. Aap sab tanik sustaaye lijiye. Hum 15 se 20 minute baad hiyaan hi milenge.
With that nani left for her room.
Mamiji: Hello hi bye bye! Laagat hai sasumaa aapan last lifewa ma kauno isskool ki head masterni rahi hongi!
Mamaji(confused): Ee kaa kahat hau?
Mamiji: Dekhiye naa! Intermisan di tau oo bhi 15-20 minute kaa, jaisan isskool maa birek (break) hovat hai,waisan! Hum tau totally conphusiya gaya hain ki ee 15-20 minute maa kaa karein? Makeupiya k touchupiya karein ki jooice piyein?
_________________________________________________________________
While mamaji thought of ways to clear mamiji's confusion, Aakash went up to Arnav.
Aakash: Bhai..
He couldnt look at him in the eye.
Arnav(placing a hand on his shoulder): Its okay Aakash..
Aakash(looks at him): No bhai,its not! I'm sorry! Main.. Paayal ki baaton me aa gaya aur yeh.. sochne laga ki.. aap meri aur uski shaad tudvana chahte hain. Main yeh bhool gaya tha ki aapne hum dono ko milvaane k liye kya kuch nahi kiya tha! Suicide wale drama me mera saath dene se lekar maa ko shaadi k liye convince karne tak. New year's eve par meri help karne se lekar, shagun k waqt Paayal ki family ki izzat rakhne tak- aapne bahut kuch kiya hai hum dono k liye! I'm.. really sorry,bhai! Main..
Arnav: Its okay,Aakash. U need not feel guilty. In fact,I'm sorry! Maine.. jo kuch bhi kiya,usme indirectly tumhe aur Paayal ko involve kar liya aur woh bhi bina tum dono ko bataaye. Trust me! Mere paas koi aur option nahi tha. Shaayad tha.. but.. mujhe uss waqt soojha nahi. I'm really sorry!
Aakash: Nahi bhai,aap sorry mat kahiye. I can understand ur predicament.. Lets put the past behind us. Aaj aap aur Khushiji aaj ek saath hain aur di ki life me Rakshitji aa gaye hain. Sab khush hain! Yeh hi sabse achchhi baat hai naa?
Arnav: Ha,hum toh khush hain but I know tumhare aur paayal k beechh..
He stops sensing Aakash's awkwardness.
Arnav: Look Aakash,agar iss issue ki wajah se tum dono k beechh kuch.. problems hui toh mujhe aisa lagegea ki.. indirectly main responsible hoon.
Aakash: Aapko aisa sochne ki zaroorat nahi hai,bhai! Whatever.. it is.. main use sort out kar lunga..
Arnav: I'm sure! Lekin.. main 1 baat kehna chahunga..
Aakash: Ha bhai,kahiye?
Arnav: Paayal k liye.. shaayad mushqil hoga.. mujhe maaf kar paana. Even if that is the case,dont pressurize her. Woh jo bhi keh rahi hai,sunne me bura lage,tab bhi,sahi hai. I deserve it,for whatever I've done! Paayal kuch kehti hai toh.. Khushi aur tum mere defence me aa jaate ho aur Paayal ko bolne nahi dete ho. Aisa mat karo! Let her say whatever she wants to say,kyunki iss hi bahaane usska frustration aur gussa nikal jayega. 1 baar usska gussa shaant ho gaya,toh I'm sure things will b better between u both & both the sisters.
Aakash nods.
Khushi approaches the two brothers with a smile.
Khushi: Lagta hai aap dono ka Bharat Milaap ho gaya hai!
Arnav(smles): What the..!?
Khushi: Ha! Aapk moonh se what the..!? nikla matlab aap dono k beechh sab sahi hai! Sharbat lijiye..
Arnav: 1 minute,Khushi.
He hugs Aakash.
Arnav: Ha,ab sharbat de do aur.. mere saath chalo.
Khushi(surprised): Kahaan?
Arnav(makes a face): Honalulu!
Khushi: Kya?
Arnav(holds her hand): Chalo.. Excuse us,Aakash.
Aakash(smiles): Sure bhai!
Arnav drags Khushi towards nani's room on the ground floor.
Khushi: Areh! Suniye toh..!Wahaan naniji hain.
Arnav: Pata hai!
Khushi: Kya pata hai? Sharbat toh pi lijiye. Aur humein aise kheechiye mat,sharbat chhalak raha hai. Farsh ganda ho raha hai. (tries to free herself)Humein jaane dijiye!
Arnav(holds her wrist tighter): Kyun?Tumhe kya karna hai?
Khushi: Pyaas lagi hai,sharbat pee..
Khushi stops abruptly when nani opens the door of her bedroom.
Arnav leaves her wrist.
Nani: Kaa baat rahi Chhoti bitiya?
Khushi(embarassed): Woh.. naniji..
Arnav: Nani,kya hum 5 minute aapk room me baithkar baat kar sakte hain? Humein thodi privacy chahiye thi aur baahar bahut log hai. So..
Nani: Ha,ha. Hum.. baahar hi jaa rahe the. Aaplog.. jaldi aaiyega.
Arnav: Ji. Thanks!
___________________________________________________________________
Arnav closes & bolts the door while Khushi keeps the glass of sherbet on the coffee table.
Arnav: Khushi.. (holds her hand)I'm sorry!
He kisses the red marks on her wrist.
Khushi closes her eyes & lets out a sigh.
Arnav: Ek baat kahoon?
Khushi opens her eyes to find him gazing at her with guilty,remorseful eyes.
Khushi(cups his cheek): Chinta ki koi baat nahi hai! Hum theek hain.
Arnav(holds both her hands): Janta hoon. Par.. kuch aur kehna chahta hoon.
Khushi: Ji,kahiye?
Arnav: Agli baar jab main tumhe apne saath kahin chalne k liye kahoon naa toh tum.. plz.. aa jana. Mujhe.. mana mat karna. Kyunki jab tum mere saath aane se manaa karti ho ya.. mere haath se apna haath chhudaane ki koshish karti ho.. toh.. mujhe aisa lagta hai ki.. tum.. mujhe chhodkar jaa rahi ho.
Khushi(shocked): Kya? Par Arnavji..
Arnav(interrupts): I know!.. I know ki.. tum sirf lounge tak jaane ki baat kar rahi thi. Par.. aise waqt me.. pata nahi mujhe kya ho jata hai? Tum jitna mujhse jaane k liye kahogi naa main utna hi zyada tumhe nahi jaane dunga! Aur.. phir.. (looks at her wrist) main.. mere se yeh sab ho jata hai aur mujhe achchha nahi lagta hai! Main tumhe chot nahi pahuchana chahta hoon but..
Khushi: Par aap humein khud se door jaate huye nahi dekh sakte hain,hai naa?
Arnav(nods): I guess.. Sorry Khushi! Tumhe lag raha hoga main paagal hoon but.. main kya karoon? Main aisa hi hoon!
Khushi: Jaante hain. Aap jaise hain waise hi achchhe lagte hain!
She kisses his widow's peak.
Khushi: Ab chaliye,sharbat pee lijiye phir baahar chalte hain. Aise achchha nahi lagta hai. Sab humara intezar kar rahe honge naa?
Arnav(cups her face): Abhi 20 minute poore nahi huye hain..
He tucks a loose tendril of her hair behind her right ear.
Khushi: Ha.. Par.. Arnavji..
Arnav: Hmm?
He kisses her forehead.
Khushi: Aapko.. pyaas lagi.. hogi naa? Toh..
Arnav(kisses the tip of her nose): Toh?
Khushi: Ssh.. shar.. bat..
Arnav inches his face closer & Khushi closes her eyes.
Arnav: Mujhe sharbat ki nahi strength ki zaroorat hai!
Khushi(opens her eyes): Ji?
Arnav(nods): Strength,encouragement,love,peace... Basically mujhe tumhari zaroorat hai!
Khushi(smiles): Hum toh yaheen hain..
Arnav(smiles): Right!
He claims her lips,pulling her closer to himself.
Khushi feels his body relaxing against her own.
When she gently runs a hand over his back,Arnav sighs in her mouth.
Even after ending the kiss,they remain in each other's arms.
Arnav rests his forehead against Khushi's and admires the changing hues of her cheeks-from pink to red & red to crimson.
Khushi closes her eyes and relaxes as Arnav's breath fans her face.
They stay like that for a few minutes.
Khushi: Ab chalna chahiye..
Arnav(nods): Sharbat pee lo..
He brings the glass of sherbet near her mouth.
Khushi: Par yeh toh aapka hai naa?
Arnav: toh kya hua? Tumhe sharbat peena tha naa?Isse pee lo.
Khushi: Hum toh wahaan baithkar bhi pee lenge. Aap pijiye,aapko iss ki zaroorat hai. Bol-bol kar aapka gala sookh gaya hoga. Lijiye..
Arnav: Wahaan jaane k saath-saath hi tum nervous ho jaogi. Theek se baith bhi nahi paa rahi thi,tum sharbat kaise piyogi? Pee lo.
Khushi: Humse behes kiye bina reh nahi sakte naa?
Arnav clicks his tongue & smiles.
Khushi: Aap aadha gilaas khatm kariye phir baaki ka hum pee lenge. Chaliye..
Arnav: Par Khushi..
Khushi(interrupts): Bas! Har jagah aapki manmaani nahi chalegi! Chaliye,pee lijiye.
Arnav: Okay!
______________________________________________________________
Mamiji: Aakas bitwa,jaay k dunno lovebirds ko bulaay lao. Naahi tau oo sasumaa k room maa hi aapan lovenest banaane lagenge aur hum sab hiyaan baithk ek-doosre ka facewa dekhte rah jayenge!
Nani(chides): Manorama! Kuch bhi kahat hain aap! Oo dunno ko tanik samay dijiye..
Mamiji: Aur kitna samay denge sasumaa? 20 minutes tau kab k poore huye gaye! Hum aapan jooice bhi peeye rahe aur makeupiya k touchupiya bhi kiye rahe! Par still,ee lovebirds ka kauno ataa,pataa,thikaana hi naahi hai!
Aakash: Lijiye maa, bhai aur Khushiji aa gaye.
Everyone turns their attention towards the couple,who enter the living room,holding hands.
Arnav: Hari Prakash...!
HP comes running from the kitchen.
HP: Ji,Arnav bhaiyya?
Arnav: Dining room se do chairs lekar aao.
HP: Ji,abhi laaye!
After HP brings the chairs,Arnav makes sit on one of them while he sits on the other,beside her.
Arnav: Aaplogon ko.. wait karaane k liye,we're sorry!
Nani: Kauno baat naahi! Ab aage bataiyye..
Arnav: Jaisa maine socha tha waisa nahi hua. Khushi ne yeh baat accept nahi ki,ki use 6 mahinon tak meri biwi banne ka drama karna hoga.
He looks at Khushi & cocks an eyebrow.
Khushi: woh.. (turns towards the family) Humein laga ki.. shaadi se bachne ka ek hi tareeka hai..
Nani: Kaun sa tareeka?
Khushi: woh a.. Arnavji ko.. itna pareshan karna ki woh khud hi tang aakar humein iss ghar se nikaal denge!
Nani(shocked): Kaa?
Khushi: Humein laga ki.. iss shaadi k naatak se chhutkara paane ka yeh hi.. tareeka tha!
Arnav: Aur Khushi ne mujhe pareshan karna shuru kar diya. Kabhi chheekh-chheekh kar toh kabhi zor-zor se gaana gaakar toh kabhi poolside par kapde dhokar! Toh kabhi mere cupboard,bathroom aur room ko apna banaakar!
Khushi: Maaf kijiyega..
Arnav: Nahi,nahi! Its okay. Tumhare alaava iss duniya me shaayad hi koi aur hoga jis ki wajah se Arnav Singh Raizada ko poolside par sona pada!
Mamiji(shocked): Arnav bitwa,bhat r u tailing? (telling)
Arnav: U heard it right,mami. Khushi ne zuqaam ka drama kiya toh.. mujhe poolside par sona pada.
Mamiji: Tau tum ko pata raha ki oo dirama karat hai?
Arnav: Of course!
Mamiji: Phir bhi tum phati saadi se kuchchho naahi kahe?! Bhy?
Arnav: Kyunki main dekhna chahta tha ki Khushi aur kya kar sakti hai apneaap ko situation se nikaalne k liye. Main dekhna chahta tha ki woh kis hadd tak jaa sakti hai. I hav to admit.. (turns to Khushi) I really admire ur fighting spirit!
Khushi smiles proudly.
Arnav: Iss ka matlab yeh nahi hai ki main pareshan nahi hota tha.
The smile is wiped off Khushi's face.
Arnav: I swear.. jab maine woh Salman Khan ka poster dekha tha.. I was totally enraged! I wanted to tear it into pieces!
Khushi: Bas! Bas!(makes a face) Aur kuch kehne ki zaroorat nahi hai!
Arnav: Tum mujhe irritate zaroor karti thi lekin.. kuch na kuch aisa bhi karti thi jisse.. mujhe bahut achchha lagta tha!
Khushi(wonders): Jaise?
Arnav: Jaise.. (smiles) meri tarah kan par handsfree lagaakar ghoomte rehna.. Office me khana lekar aana.. Aur..
Khushi: Kya?
Arnav(turns towards family): Ek baar main office se aaya toh maine dekha ki Khushi bed par chadhi hui hai. Woh handsfree par kisi ko instructions de rahi thi. (turns to Khushi) Tumne ek sentence kaha tha jo.. mujhe bahut achchha laga!
Khushi: Hum halwaai ki beti hain aur businessman ki patni?
Arnav: Ya! Yeh wala! Tumhe kaise pata chala?
Khushi: Tab hi aap humein dekhkar muskuraa rahe the! Varna kabhi aap humein dekhkar muskuraate the kya? (pouts) hamesha cheekhte-chillaate ya phir daant-te rehte the!
Arnav: Aww! I'm sorry!
Khushi: Hum bhi sorry hain! Humne bhi toh koi qasar nahi chhodi thi aapko sataane k liye!
Arnav: U need not say sorry,Khushi! Tumne mujhe isiliye sataaya naa kyunki main tumhe harass kar raha tha,blackmail kar raha tha. Varna tum soch- samajh kar,jaan-bhoojkar kisi ka bura nahi chahogi,yeh main bahut achchhe se jaanta hoon!
Khushi smiles at him.
Nani clears her throat loudly.
Mamiji: Laagat hai birek no. 2 leve ka samay aai gaya hai,sasumaa!
Khushi: Mamiji,aapko bhookh lagi hai naa?
Mamiji: Naahi tau!
Khushi: Hum soch rahe the ki hum pyaaz aur aaloo k pakore tal kar laate hain?
Mamiji(excited): Bhy naat,phati saadee! Subh kaam maa kaisi deri?
Khushi(to Arnav): Aap aage ki kahaani sunaiyye hum jab tak pakore lekar aate hain.
Buaji: Aye Sanka devi! Kahin jaane ki jaroorat naahi hai! Hiyaan ka kauno philam chal rahi hai? Ki oo ko dekhte-dekhte hum jal-pan karte rahe?
Baitho hiyaan hi! Jaun ko bhookh lagi hai oo khudai jaayik aapan jal-pan ki byabastha kar lenge!
Mamiji gets up,makes a face at the Guptas & birdwalks to the kitchen.
Khushi: Par.. hum mamiji ki madad kar dete..
Arnav: Khushi,HP hai naa. Woh mami ki help kar dega. Tum yaheen raho. Aage main jo kehne wala hoon woh tumhe bhi jaanne ki zaroorat hai.
Khushi: Aisa kya kehne wale hain aap?
Arnav glances towards the coffee table.Following his gaze,Khushi's eyes also fall on the table first & then on the files delivered by Mr. Roy.
_____________________________________________________________
No precap
Kindly ignore typos & mistakes. Translation pg 58. Next update on Saturday.
One of my entries for Love-O-Rama Pyaar Ka Trope Fest Storyline: Enemies to Lovers Setting: Crime Character/Pairing: Arnav Khushi from IPPKND...
Graphic Credits: itsShonali This is one of my entries for the Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest Trope: Set A: Best Friend’s Sibling Set B:...
Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...
10