Part 7
Bihaan bike lekar ghar se nikalta hai aur thapki apne room me chali jati hai
Bihaan lake k pass bahut ro raha hai thapki ka naam lekar zor se thapki ka naam leta hai aur rotey hue neeche beth jata hai aur sbkuch yaad karta jo kuch aaj hua thapki se usaki baat thapki ka maa ko haa kehna sb aur wahi chup hoker beth jata hai tabhi bihaan k kandhe pr koi haath rakhta hai
Bihaan turn hota hai dekhne k liye aur
Dhurv:bihaan tu yaha pr kya kr raha hai mere bhai
(Note:anikt as dhurv aur woh apne bhai se behad pyaar karta hai)
B:bhai tum yaha kaise
D:main ghar aa raha tha toh rastey me tujhe is tarf aate hue dekha aur tu yaha tabhi aata hai jb yaa toh ghar pe kisi se naraz hota hai ya thapki se ladta hai ab kya hua
Thapki ka naam sunte hi bihaan dhruv ko hug karta hai aur roney lagta hai
D:bihaan kya hua ro q raha hai dekh rona band kr tu janta hai n main tujhe rotey hue nhi dekh sakta
B:bhai thapki
D:accha mtlb thapki se ladai karke aaya hai tu yaha ro raha hai aur woh pakka apne room beth k ro rahi hogi samjh nhi aata tum dono kb bade honge chal ghar pe main baat krta hu woh maan jayegi
B:nhi bhai woh mujhe chorke jaa rahi hai
D:chorke jaa rahi hai kaha
B:thapki ne veer se shaadi k liye haa kardi (bihaan continue ro raha hai woh dhruv k saamne poora tut chuka hai pr dhruv samjh nhi paa raha Hai k q)
D:bihaan ye toh khushi ki baat hai pr tu ro q raha hai dekh mujhe sab bata main tera bhai hu n mujhse kuch mat chupa ,bihaan bata n dekh mujhe darr lag raha hai tu aise q ro raha hai kya hua (aur woh bihaan ko zor se hilata hai aur bihaan chilakr kehta hai)
B:q k hum pyaar karte hai thapki se bahut pyaar itna k usake bina jine k baare me soch bhi nhi saktey hum mar jayenge bhai (ye sunte se hi dhruv bihaan ko slap karta hai)
D:bihaan khabardaar joh kabhi marney ki baat ki toh tune ek baar bhi humare baare me nhi socha main bauji maa dadimaa aur thapki uske baare me bhi nhi,bhale hi usane veer se shadi k liye haa ki pr kya tune apne dil ki baat usey batai ,mujhe yakeen hai k woh tujhe mana nhi karegi tu usey bata de tu janta hai woh maa ki baat manti hai isiliye usne shadi k liye haa kaha hoga
B:nhi bhai aaisa nhi hai usane khud apne marzi se haa kaha
D:tune thapki se baat ki apne baare me
Bihaan dhurv ko party k raat se lekar aaj subh tk sab bata deta hai
D:bihaan tune usey apne dil ki baat q nhi batai
B:flash back
(jb bihaan thapki k room me jaa raha hai
Suman:badki ye thapki kitni lucky hai n joh uske liye veer jaisa ladke ka rishta aaya
Priti:ha chutki doctor hai itna handsom hai aur khandani hai property bankbalance sbkuch
S: ek aur baat bilkul thapki jaisa shaant sanskari gussa bhi nhi aata usey toh
P:haa chutki agar bihaan deverji aur thapki ek dusare se shadi k liye mana n karte toh veer thapki se kabhi n milta
S:humare deverji aur veer me baht hi fark hai
P:haa woh doctor hai aur deverji sirf 12th pass woh shaant hai samjhdaar aur deverji ko to dadimaa moti buddi kehti hai aur gussa bhi toh bahot kartey hai har choti baat pe thapki se ladte hai dost hoker itna ladte hai husband wife bante toh pata nhi kya krte accha hua jo dono ne mana kr diya
Ye sunkr bihaan chala jata hai)
Fb end
B:bhai aap hi batao aise me main kaise thapki se apne dil ki baat kehta, main toh uske layak hi nhi
D:chup kr ab ek baar bhi kuch aisa kaha toh aur tu kinki baato me aa raha hai tu janta hai n bhabhi aise hi baate karti hai woh kabhi sochti bhi nhi k woh kya keh rahi hai tu unki bato ko Seriously mt le aur thapki ko apne dil ki baat bata k tu usase pyaar karta hai
B:nhi bhai jo bhi ho thapki k liye veer hi sahi hai woh usake saath kush rahegi aur humare liye usaki khushi se badkar kuch nhi toh aap bhi kisise kuch nhi kahenge wada kariye humse
D:aur tu bihaan tera kya hoga
B:aap ho n humare saath hume samhalne aur dono hug karte hai aur dono hi ro rahe hai
D:wada karta hu bihaan jb tak tu nhi chahega main kisise kuch nhi kahunga,ab chal ghar chalte hai maa rah dekh rahi hongi
Thapki apne room me ro rahi hai itna k uski aawaz usake room k bahar aati hai daadi wahi se jatey huey uski awaaz sunti hai aur darwaza kholne lagti hai k vasu rok leti hai aur unhe apne room me le jati hai
Dadi:dekh vasu ye kya kr diya tune mere baccho k saath ek traf bihaan ghar se rotey hue nikla aur yahaa ye itne dard me hai,tu dekh nhi paa rahi yaa dekhna nhi chahti
Vasu:maji main sb dekh rahi hu aur samjh bhi rahi hu aur main joh kar rahi hu isme in dono ki bhalai hai
D:kaisi bhalai vasu tu dekh nhi rahi k dono iss shadi se nakhush hai aur tu fir bhi veer aur thapki ki shadi kar rahi hai
V:maji main sirf thapki ki khushi dekh rahi hu abhi usey taklif hongi pr baad me sb thik ho jayega
D:thapki ki khushi aur tere bete ki bihaan ki tera apna beta hai woh koi maa apne bacche ko itna dard kaise de sakti hai
V:main janti hu bihaan ko maji aur mujhe ye bhi pata hai k uske liye thapki ki khushi se badkr kuch nhi aur ab iss baare me main chahungi k aap ab kisise baat n kare aaj raat ko hi veer aur thapki ka roka hai toh aap samjh rahi n
Dadi haa karte huey apne room me chali jati hai
Dhruv aur bihaan PN aatey hai,PN me decoration chal raha hai,bihaan aur dhruv confusion se dekhtey hai aur dhruv suman se poochta hai
D:bhabhi ye sb kya hai koi pooja hai ghar me ya party
S:deverji aaj thapki ka roka hai bs usake liye ye sb taiyaari
Ye suntey hi bihaan ka mann fir roney jaisa ho jata hai aur woh waha se bina kuch kahe apne room me chala jata hai,dhruv bhi usey nhi rokta,dhruv suman se morning me hui baaton k baare baat karta hai pr apne tarike se
D:bhabhi waise veer kitna samjhdar hai n kabhi gussa bhi nhi karta aur yaha humare bihaan k toh naak pr humesha gussa rehta hai kitna fark hai dono me
Dadimaa sahi kehti hai usey moti buddi hai woh
S:arey aaj kya ho gaya hai subah badki bhi aise hi bol rahi thi bihaan deverji k baare me aur ab aap bhi,dekhiye deverji humne badki se bhi kaha tha aur aap se bhi kehte hai k bhale hi bihaan deverji jyada padhe likhe nhi hai aur unhe bahut jaldi gussa aata hai moti buddhi hai pr ek cheez joh unke pass hai woh veer toh kya iss duniya me kisi k pass nhi hoga unka sone sa dil ekdum saccha ek baar woh jise apna maan lete hai uske liye kuch bhi kr jate hai apni khushi se pehle sbke baare me sochte bhala aaj k jamane me kon karta hai aisa aap kuch bhi kaho dhruv deverji pr agar thapki bihaan deverji ki shadi hoti toh woh iss duniya ki sabse khushnaseeb ladki hoti pr hum kuch nhi kr sakte q k un dono ne hi toh shaadi k liye mana kiya(itna kehke suman chali jati hai)
Dhruv in mind:accha toh ye baat hai Bihaan adhuri baat sunkr itani badi bevqufi kr betha aur ab pata nhi kya hoga(dhruv mandir k pass)
D:bhgwanji ab sb aapke haath hai mere bhai ko uski khushi dedo aur uski khushi thapki me hai
evening
In hall
Veer ki family jisme abhi sirf uski maa aur kuch friends aaye hai pandey family k log sabhi hai sabhi thapki k aane ka intezar kr rahe hai aur bihaan wahi ek koune me khada hai bahut hi jyada dukhi ek ek pal usey taklif de raha hai apne pyaar ko khone ki aur dhurv dadi ye sb dekh rahe hai vasu dekh kr bhi anjaan ban rahi hai aur kaam me busy ho jati hai
Sumitra veer ki maa vasu se baat kr rahi hai aur tabhi thapki suman k saath aati hai sb usey dekh rahe hai pr woh sirf bihaan ko dekh rahi hai veer thapki se baat karne ki koshish karta hai fir bhi thapki ka dhyaan sirf bihaan pr hai aur bihaan usasey ankhe chura raha hai q k usey lagta hai agar woh thapki ko dekega toh usake samne toot jayega aur apne dil ki saari baat keh dega joh woh kehna nhi chahta
Sumitra:chaliye pandit ji roka ki vidhi shuru karte hai
Sumitra saman joh thapki ko dena hota hai lati hai woh aage badti hai tabhi Wetter se takra jati hai aur sare drinks uske saman pr gir jate hai
S:dekh k nhi chal sakte sara saman khrab kr diya khaskr ye chunri joh shagun ki thi ab main kya karungi jao yaha se
Vasu:koi baat nhi agar tum chaho toh mere pass hai ek chunri hai tum thapki ko woh de sakti ho nayee hai maine thapki k liye hi layee thi
Sumitra:thik hai
Vasu chunri lati hai aur rasam shuru karte hai
Dadi:vasu ye wahi chunri hai n jo tu bihaan aur thapki k roke k liye lai thi
V:haa maji ye wahi hai aur akhir jiske liye thi usko mil gai chahe jis tarah se
Bihaan ab bhi kone me akela khada hai vasu dekhti hai aur usey awaaz lagati hai bihaan na chahte huey bhi jata hai
B:ji maa
V:beta veer k saath raho uske pass betho aakhir woh humare ghar mehmaan hai jao uske saath jaker betho
Bihaan na chakr bhi veer k pass jaker bethta hai
V:panditji tilak ki rasam shuru kijiye
Pandit:ji
Vasu aur sumitra baat kr rahe hote hai aur pandit galatfehmi me veer ki jagah bihaan ko tilak kr dete hai kisi ka dhyaan nhi hota but veer thapki aur bihaan shock me ek dusare ko dekhte hai aur dadi dhruv dekh rahe hote hai pr issey bhagwaanji ki marzi maankr kuch nhi kehte tabhi vasu sumitra ki najar padti hai
Vasu:arey panditji ye kya kiya bihaan nhi veer ka roka hai
Pandit:maaf kijiye main abhi veer ko tilak kr deta hu aur veer ko tilak karta hai
roka ho jata hai
Bihaan in mind:kaash thapki main us din maa se haa keh deta toh shayad aaj hum dono ka roka hota
Thapki in mind:kaash bihaan tum bhi mujhse pyaar karte toh aaj hum saath hotey
Dono ek dusare ko dekhte huey ye soch rahe hai
Sumitra:toh thik hai vasu hum chalte hai
Priti:arey aise kaise auntyji aaj itne khushi k mauke pe kuch dhamaal toh hona chahiye hum couple dance karenge pr normal wala dance nhi isme dance karte huey couple change hotey jayenge thik hai
Aur sab hami bharte hai
Sabhi suman priti unke husband aur woh thapki aur veer ko bhi manatey hai ye dekhkr bihaan jane lagta hai k priti rok leti hai aur usey bhi dance k liye kehti hai aur akhirkar woh maan jata hai
Dance start hota song hawanyee from herry met sejal
(Veer thapki k saath dance karta hai
Priti suman unke husband k saath aur bihaan veer ki friend k saath)
Tujhko Main Rakh Loon Wahaan
Jahaan Pe Kahin Hai Mera Yaqeen
(bihaan thapki ki aur dekhtey huey)
Main Jo Tera Naa Huaa
Kisi Ka Nahin
Kisi Ka Nahin
Le Jaaye Jaane Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Tujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
(thapki veer k saath aur bihaan veer k friend k saath dance karta hai pr bihaan thapki dance karte huey ek dusarey ko dekh rahe hai)
Begaani Hai Yeh Baaghi
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Mujhe Kahan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Jaane Kahaan
Na Mujhko Khabar
Na Tujhko Pataa
O...
(partner change hotey hai aur thapki aur bihaan apni yaando me khoye hai)
Banaati Hai Jo Tu...
Woh Yaadein Jaane Sang Mere Kab Tak Chale
Inhi Mein To Meri...
Subah Bhi Dhale
Shamein Dhale
Mausam Dhale
(jb thapki bihaan ko subh jagati hai unki masti aur unki ladai aur jb bihaan thapki ko forehead pr kiss karta hai ye sb dono yaad kr rahe hai)
Khayalon Ka Shehar
Tu Jaane Tere Hone Se Hi Aabaad Hai
Hawayein Haq Mein
Wohi Hai Aate Jaate joh Tera Naam Le
Deti Hain Jo Sadayein
Hawayein, Hawayein
Na Jaane Kya Batayein
Hawayein, Hawayein
(partner change)
Le Jaaye Tujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Mujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Jaane Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Tujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein (X2)
Ooo...
(partner change hotey hai aur iss baar thapki bihaan ek dusare k partner hai aur dono ek dusarey me khoye huey hai dance karte hai dono ko ajeeb lag raha hai k ek dusarey k pass hotey huey saath hotey bhi woh kitne door hai dono ku aankho me dard hai woh tadap hai ye sb dekhte huey bhi woh ek dusare ki feelings ko samjh nhi paa rahe)
Chehara q milta tera
U khwabon se mere
Ye kya raaz hai
Kal bhi meri n thi tu
Na hogi tu kal
Meri aaj hai
Teri hai meri sari wafanyee
Mangi hai tere liye duaanyein
Le Jaaye Tujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Mujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Jaane Kahaan
Hawayein, Hawayein
Le Jaaye Mujhe Kahaan
Hawayein, Hawayein
(partner change aur bihaan dance chorke chala jata hai thapki dekhti hai)
Le Jaaye Jaane Kahaan
Le jaaye tujhe kahaan
Hawayein hawayein
Le jaaye mujhe kahaan
Ooo...Ooo...
Dance khtm hota hai sumitra veer sabse milke ghar chale jate hai aur thapki yaha bihaan k peeche uske room me jati hai jaha bihaan ek box ko lekar betha hai
T:bihaan..
To be continued...