Recape:kabeer ki entry vaneeta urf thapki bihaan se kehti hai k kabeer uska mangetar hai aur vahaan ki emotional fight
Ok lets start
Night
Vahaan apne apne room me hai
Vaneeta in mind
Kal main yaha se humesha k liye chali jaungi pr aisa lag raha hai apna sbkuch yahi chorke jaa rahi hu, q bihaan q aaye tum meri zindagi me aur aaye bhi toh q main tumhare saath nhi reh sakti aisa q hua mere saath,jaanti hu tum baar baar kehte ho k tum mujhse pyaar karte ho pr har baar mujhe yahi lagta k tum mujhse nhi is chehare se pyaar karte ho joh tumhari thapki se milta hai aur mujhe kisi aur k naam ka pyaar nhi chahiye kisi aur ki parchai me rehkar main tumhe nhi pana chahti aur isliye accha hoga k main yaha se chali jau tumse door chali jau(aur itna khete huey vaneeta roney lagti hai)
Bihaan in mind:q thapki aakhir kya ho gaya hai tumhe,maana k tumhe kuch yaad nhi pr tumhara dil humse judha hua hai tabhi toh tumhe kuch yaad na hone k bawjood tumhe humse phir se pyaar hua pr ab q maan nhi rahi aakhir kya hai joh tumhe rok raha hai please wapas chali aao ab ek pal bhi tumse door nhi reh sakte hum (bihaan bhi rota hai)
Next day morning
Sb ready hai apna saman bus me rakhte hai bihaan wahi hai vaneeta ka wait kr raha hai,vaneeta aati hai aur vahaan ka eyelock dono ek dusre se door nhi jana chahte pr phir bhi kuch nhi kr paa rahe hai
(background song)
Mana k hum yaar nhi
Vaneeta bus me jaati hai uske pehle bihaan uska haath pakrta hai
B:vaneeta humari baat suno
V:mujhe koi baat nhi karni hai pr ye khahungi thank u humari tumne itni madad ki aur tumhari wajh se hum jeetey bhi
B:tumhe thanks kehne ki zarurat nhi ye humne apne liye kiya pr abhi hum us baare baat nhi karna chahte, hame tumse zaruri baat karni hai please ek baar sunlo
V:dekho bihaan humhare beech baat karne k liye kuch nhi hai please mujhe jane do
(vaneeta apna haat churati hai aur bs me bethne jaati hai tabhi kabeer aata hai)
K:ruko hum bus me nhi humari car me jayenge
V:car me q
K:q k hum dono ko kahi aur jana hai tumhare liye Surprice hai
Ye sb bihaan dekh raha hai aur usey gussa bhi aa raha hai aur vaneeta sochti hai k agar woh kabeer k saath gai toh shayad bihaan ko yakeen ho jayega k woh uska mangetar hai aur woh bihaan se pyaar nhi karti
V:thik hai chalo
Dono nikaltey hai bihaan ko gussa bhi aa raha hai aur woh kuch kr bhi nhi paa raha bihaan waha se chala jata hai aur vaneeta hurt hoker kabeer k saath car me jaati hai
On a road
V:kabeer ye hum kaha jaa rahe hai tumne galat rout liya hai
K:hum sahi jagah jaa rahe hai maine kaha n k tumhare liye surprice hai toh bs wahi jaa rahe hai
V:kya batao n please
K:tumhe pata chal jayega
Kabeer car drive kr raha hai tabhi usey kisi ka call aata hai
K:ok thik hai main wahi pahuchta hu tum mujhe address batao
(kabeer vaneeta ko add note karne k liye kehta hai aur woh note karti hai)
Tabhi vaneeta ko rasta kuch jana pehchana lagta hai aur bina kuch soche woh kabeer ko guide karne lagti hai
V:kabeer yaha se right lo
K:ok
aur woh aise hi saara rastey usey guide karti hai
V:bs yaha roko (woh car utarti hai aur ek ghar k gate k samne hai jis pr Pandey Niwaas likha hai,vaneeta soch me padh jaati hai k woh kaise is ghar ka pata jaanti aur q isey ye jana pehchana lag raha hai tabhi kabeer aata hai
K:arrey vaneeta tumhe rasta kaise pata kya tum pehle noida aa chuki ho
V:(shock) nhi toh tumne hi toh address bataya tabhi toh hum yaha aaye
K:haa pr sirf add bataya rasta nhi hume ek baar bhi kisi se poochne ki zarurat nhi padhi maano jaise tum noida acche se jaanti ho ab chalo ander chalte hai
Vaneeta kabeer ki baato se soch me padh jaati hai woh pandey niwwas me jaati hai toh jaise uske aankho k samne jaise koi film chal rahi hai usey dhoodhle se do shaks dikh rahe hai ek ladka ek ladki U hi idhar udhar bhagte ek dusare ko chedte huey ek dusre se jhagdte huey aur ek dusare se pyaar karte huey jaise hi andar k darwaaje pr woh aati hai usey jaise uske saath koi dikhta hai chehra clear nhi pr jaise woh us shaks k saath apna grahpravesh kr rahi hai tabhi saamne se dhruv aata hai
Dhruv k aankho me aansoo hai pr woh chupa leta hai
D:hello kabeer tum aa gaye ander aao
K:dhruv ye vaneeta hai iske liye hi main woh
D:accha main samjh gaya ander aao
Vaneeta apne hi dhoon me khoi hai achanak uska sir chakrane lagta hai aur woh gir padhti hai
D:thapki, kabeer kya hua
K:ho sakta hai isey kuch yaad aa raha ho jia wajh se usey chakar aa gaye aisa hona aam baata hai
D:thik hai chalo hum isey room me jaate hai
Dhruv aur kabeer usey thahaan k room me le jaate hai aur usey bed pr letate hai
(note:kabeer doctor hai)
Kabeer thahaan ka room dekhta hai
K:dhruv ye sb
D:bihaan ne kiya hai jbse thapki chali gai thi tb se usasey judi har yaad ko usne yaha sahej kr rakha hai
K:bihaan bahut pyaar karta hai thapki se tabhi jb gurumaa ne mujhe saari sacchai batai toh maine tumse baat ki q k main agar bihaan se baat karta toh shayad usey tb samjh na pata aur ab hum dono ko milke thahaan ko ek karna hai
D:haa akhir mere bhai ki zindagi hai thapki chalo thapki ko aaram karne dete hai
Dhruv aur kabeer ne poori pandey family ko sb samjha diya hai aur sb maan bhi jaate hai vasu khush hai k aakhir thapki wapas aa gai woh milna chahti hai usey gale lagana chahti hai pr dhruv usey mana karta hai
Evening
Bihaan poori tarah tpot chuka hai woh bahut hi jyada dukhi hai k thapki uske itne pass thi phir bhi woh usey wapas naa laa saka,tabhi woh dekhta uske room se thapki ka saman hata jaa raha hai
B:(gussey me)tumse kisne kaha ye saman humare kamre se lane k liye
Nouker:saab dhruv saab ne
B:choro isey do hume wapas (thapki ki badi si photoframe hai
Bihaan apne room me jata hai dim light hai aur vaneeta ko bhi hosh aata hai aankhe kholti hai
Bihaan aata hai aur tasveer rakhta hai aur bed pr koi betha hai door se chehra clear nhi dikhta hai q k roshni km hai jaise moonlight, vaneeta bhi dekh nhi paati aur kuch react bhi nhi karti q k chehra n dekhe huey bhi usey woh sahksh apna lagta hai
Dono ek dusare k samne bed pr bethe hai aur bihaan thik se dekhta hai uski aankho ko yakeen nhi hota k thapki uske samne hai aur vaneeta ko lagta hai k woh sapna dekh rahi joh bihaan uske saamne hai,bina waqt barbaad kiye dono hug karte hai vahaan hug karte huey ro rahe hai aur bihaan ek tight hug deta hai maano thapki usey chorke na jaye woh ye bhi sochna nhi chahta k ye sapna hai yaa haqiqat bs apni thapki ko apne pass rakhna chahta hai jaise hi bihaan k aankho se gira aanso vaneeta k neck pr girta hai woh alert ho jaati hai usey ehsaas hota hai ye sapna nahi haqiqat hai aur woh bihaan ko hug kar rahi hai itne me hi bihaan se alag ho bed se uthti hai aur bihaan ko bhi hosh aata hai k ye sb sach hai thpaki yahi hai uake samne
V:main yaha kaise aai kya tumne mujhe kidnap kr liya hai
B:tum ye kya keh rahi ho hum aisa q karenge aur tumne hume samjh kya rakha hai
V:jaanti hu tum apni thapki se pyaar karte ho aur usaki shakl mujhse milti hai isliye tumne mujhe kidnap kr liya taki apni khawaishe poori kr sako
Ye sunte bihaan ko gussa aata hai
B:aakhi samjhti kya ho hume hum thapki se pyaar karte hai uski shakl yaa uski shareer se nhi joh itna ganda ilzaam laga rahi ho humpr aur tumhe kaise samjhaye hum q nhi samjhti tum k hum tumse pyaar karte hai
V:ek tarf kehte ho thapki se pyaar karte aur mujhse bhi tum jaisa insaan main aajtk nhi dekha aur chalo maan bhi jaati k logo ko dubara pyaar hota hai pr tum toh apni biwi k zinda hone pr bhi kisi aur se pyaar karne ka dawa kr rahe ho, kaho thapki toh zinda hai tumhe chorke kahi gai hai yaa phir tumhare liye woh mar gai
Ye sunte hi bihaan ko bahut gussa aata hai q k jb sbne thapki ko mara hua maan liya tha tb bhi usey yakeen tha thapki zinda aur aaj khud thapki apne mooh se khud k marne ki baat kr rahi hai
Bihaan gussey me vaneeta ko slap karne k liye haat uthata hai aur vaneeta dar jaati hai woh slap nhi karta
B:hum nhi maar sakte tumhe thik hai tumhe humare baare me joh sochna hai socho pr please humari thapki k liye kabhi aisa kuch mat bolo
Vaneeta bahut hurt hoti bihaan ki itni care dekh woh bhi thapki k liye aur usaki aankho me aansoo aate hai tabhi kabeer aur dhruv room me aate hai aur light on karte hai
K:vaneeta tumhe hosh aa gaya
D:bihaan tu kb aaya
B:bhai hum abhi aaye pr ye
D:hum baad me baat karte bihaan
V:kabeer tumne mujhe q nhi bataya k hum bihaan k ghar aa rahe hai
K:vaneeta mujhe nhi pata tha aur main toh dhruv pandey se milne aaya tha
V:toh chalo ab chalte hai
K:abhi nhi hume kuch din yaha rukna hoga ek zaruri kaam hai phir chalenge
V:kya zaruri kaam mujhe nhi rehna mujhe yaha jana hai
Bihaan ko thapki ki baate sunkr dukh hota hai
K:please vaneeta
V: thik hai
Bihaan khush hai k ab woh yaha ruk gai toh usey aur waqt mil gay sb yaad dilane k liye, wahi dhruv aur kabeer bhi khush hai pr vaneeta ko darr hai k kahi in kuch dino me bihaan k samne apna pyaar zahir n karde q k bihaan k itne pass hoker us se door rehna uske liye bahut mushqil hai
Precape:vahaan Romantic night