Originally posted by: Vidhi1989
ITV me seriously lene layak kuch to hai nahi. Mai keval tabhi kuch point out karti hu jab ye log violence ko normalize karte hain ya romance banankar dikhate hain.
Waise mujhe Sahiba kai mauko par kharab lagi hai. Uska "Seerat" aur "Angad" dono ke prati affection/jhukav samjh ke bahar hai aur kafi 17th century types hai.
Lekin meri Nazar me Sahiba Simran ke masale par bilkul thik hai. Bachhe ki wellbeing ke liye tamam badi cheeze sacrifice ki ja sakti hain, aur ki jani chahiye.
Lekin yaha log Angad Sahiba ke fake love ke liye mayus ho rahe. Yaar.. fangirling thik bat hai lekin ese etna toxic bhi nahi hona chahiye ki aap apne couple ko banaye rakhne ke liye ek bachhe ko degrade kare.
Baki... Manbir aur Angad dono adult hain. Par dono me se kisi ka behaviour adult jaisa nahi. Jis desh me log shadiya bachane ke liye bachhe paida karte hain ya aise hi accidently pregnant ho jate hain.. wahan child ki value kaun samjhega? Jayaj najayaj to baad ki baat hai. Jyadatar to marital rape ke products hain.
Anyway.. baki sabhi cheezo se baccho ka adhikar jyada bada aur important hota hai. Kisi bhi religion ke angle se dekhe ya constitution ke hawale se. So Simran's rights trump everything else.
Baki Angad aur Manbeer ki problem kya hai? Both are psychos. Manbeer aisi koi bechari gareeb ya middle class ki housewife nahi hai jo economically dependent ho, jiske pas koi education na ho ya kam padhi likhi ho, jise Sasural ya mayke kahi se support na mile.. Manbir to aaram se Inderpal ko divorce de sakti hai, divorce na de to Separation ka option to hai hi. India ke jyadatar gharo me divorce ki bajay separation ka option choose kiya jata hai. Isme to sabhi partiyan khush hongi. Manbeer ko apne trauma ke liye therapy leni chaiye. Angad bhi Sahiba se jabardasti ki shadi kyon nibha raha hai? Kaun sa Ameer ghar ka ladka 21st century me is tarah se shadi karta hai? Aur wo bhi Oxford se padha likha!
Ye to wahi wali baat hue ki meri life me real problems to hain nahi to mai jabardasti create karunga aur Devdas ki tarah acting karunga.
He can divorce Sahiba, and move on.. take therapy, travel the world and engage with someone who belongs to the same class. Duniya me Sahiba aur Seerat ye do women hi hain kya puri duniya me?
Baki Sahiba to ab padh rhi hai. Spousal Maintenance le sakti hai, apne papa ki dukan par fir se kaam kar sakti hai. And she also can move on. Rahi baat Seerat ki to wo padi rahe Brar Mansion me.. waise bhi use to koi kaam karna hi nahi hai.
Rahi baat Inderpal ki... To mujhe is baat se hamdardi hai ki he was not supported in his dreams. He was forced to stay in a marriage that crumbled years ago. He is an alcoholic (aur alcoholism character kharab hone ka sign nahi, mental health issue hai). Lekin ek to wo adult hai, dusra etne Ameer ghar ka hai ki bina Manbeer ko Divorce diye bhi apni life sort out kar sakta hai.
Simran ke prati sari responsibility uski hai. Simran uski "najayaj" aulad nahi bhi hoti, ek stranger bhi hoti to Brar Mansion kisi bhi bachhe ki healthy upbringing ke liye sahi nahi hai. To aise ghar me kisi bachhe ko rakhne ki jid karan to nautanki hai.
Real life me aise gharo ke bachho ko bahar bhej diya jata hai padhne ko. Pahle hi ghar ke sare bachhe bahar padhe hain. Ab jabardasti Simran ko ghar me rakhne ki baat ho rhi.
Dusre shows me bachho ke samne ye sab nautanki karte nahi dikhate hain. Waise haan.. real life me log etne decent kaha hote hain. Sab samne hi ladte hain. Isliye Manbeer aur Angad par bahut gussa aa rha. Par sabse jyada Inderpal par.
Adult apni taklif ka excuse leker kisi bachhe ko abuse nahi kar sakte. Par yaha unhe iske liye support mil haha hai.
Sahiba aur Inderpal ko do thappad lagne chahiye ki wo jabardasti Simran ko ye sab sahne ko majbur kar rahe. Simran ko ek achhe boarding school bheja ja sakta hai (jyadatar bachhe to aise school apni khushi se jana chahte hain), Weekends par Sahiba aur Inderpal use mil sakte hain. Phone par baate kar sakte hain. Aur uske Boarding me rahne ke dauran ... Angad ko cool-off ka chance mil sakta hai.
In the end mujhe yahi kahna hai.. aisi toxicity mere bardasht ke to bahar hai. Jabardasti shadi, rape, child abuse yahi sab dikha rhe hain. EMA is not my concern. That is very small issue, also it's not a criminal one. Par yaha EMA EMA aise chillate hain jaise ki shadi ka matlab ek dusre ki body par kabza hota ho.