SiRa&MiLa :FF pt10-pg18 lakshman's confession:updated on 15th mar - Page 9

Created

Last reply

Replies

122

Views

53.1k

Users

38

Likes

372

Frequent Posters

zubi_23 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#81

Originally posted by: shivam030291

Hi Aushin


First of all , Take a bow

Your series has been outstanding .

I am falling short of words, the latest part 7 was the the best ones i have read till date.
It had everything : humour , emotions , respect , love

Do continue soon,

Shivam

thankyou sooo much shivam😊
zubi_23 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#82

PART 8

dheere dheere se meri zindagi mein aana...😉

(lines in pink are urmila's thoughts and lines in green are akshi's thoughts)

In chamber ...kaushalya and sumitra

Sum - didi... bhrata yudhjeet ne aisa kyun kia, unhein humari sita se kya pareshani hai (tensed) mujhe to bahot chinta ho rahi hai, jab maharaj ko ye satya gyaat hoga to...

K - sumitra chinta mat karo, kisiko kuchh gyaat nahi hoga tumne dekha na, kaise sita ne lakshman ko apni kathhan se badhya kar diya hai, vo apni bhabhi ki ichcha ke viruddh nahi jaega, or sita... vo to aadarsh parayan hai, vo apne parivaar ko banaye rakhne ke liye koi bhi apmaan sehen kar legi kintu use tootne nahi degi... kintu hum uska apmaan nahi hone denge,,, mai shighra hi ye pata lagati hoon ke bhrata yuddhjeet ke is shadyantra me kon unki sahayata kar raha hai...

Scene 2

Sita was standing near the fountain, thinking about the morning events

R - aapki vyagrata ka karan (said ram standing near her)

She looked at him surprised "mujhe humesha dashrath nandan ke nikat hone ki anubhooti ho jati hai, kintu aaj"

R - sitae... aaj aapko gyaat hi ni hua ke mai yahan aa raha hoon... koi gambheer karan

S - lakshman ... (she said lost in her thoughts)

R - lakshmannn... (confused)

S - lakshman ka prem... vo jis se prem karta hai uske liye bahot vyagrah ho jata hai...

R - aur vo kroddhit ho jata hai, vo jisse prem karta hai, uske liye vo apne pran bhi de sakta hai... aur ab us suchi me sabse pehla naam aapka hai sitae...

Kintu mai aapse nirash hu... (fake anger)

S - mujhse kya bhool hui hai raghunandan (tensed)

R - sitae aapko yahan aaye 3 din nahi hue ke aapne mera sthhaan le liya sabke hridya me... ye to galat hai na

S - (smiles) aapka sthhan koi nahi le sakta raghunandan... na kisi aur ke hridya me,,, aur na mere (she lowered her eyes in embarrassment)

Scene 3

Akshi's room

U - mujhe andar aane ki anumati hai?

A - urmila aapko anumati lene ki aavashyakta nahi (smiles)

U - mata kaushalya ne aapko kuchh samay pashchaat sabha greh me upasthit hone ke liye kaha hai... ab mai chalti hun... pranam (she turned to leave when akshi called her from behind)

A - ruko na, kuchh samay humare saath baithho, fir chalte hain

Urmila couldn't refuse her and stayed there unwillingly

A - sab theek hai na urmila, mujhe aisa aabhaas ho raha hai jaise... aapke aur laksh ke Madhya kuchh anuchit ghatit hua hai

Urmila looked at her with strange expressions "inhein bhali bhaanti gyaat hai ke anuchit kya hai, kintu fir bhi ye mujhse aise pprashna kyun kar rahi hain" (she thought)

U - kuchh... aisa toh kuchh nahi hai (she turned her face when she saw an earing on her table)

"ye karnika toh meri hai, yahan akshi ke pas..."

A - tumhari karnika hai... tanik mastishq pe zor do to tumhein smaran hoga ke ye vahi karnika hai jo tumne us din pehni thhi jab ek vishalkay sarp ne tum par aakraman kia thha... (urmila turned to face her)... mithila mein (she continued further)

U - kintu ye aapke pas

A - (smiles) aao... (she took her hand and made her sit on the bed)

Urmila saw a payal on her bed

U - yeh to...

A - aap hi ki hai

U - ye sab aapke pas

A - kisi aur ko inhe apne pas rakhna uchit nahi laga, isiliye hume sambhal ke rakhne ki liye kaha gaya... lijiye (she said giving her both the things)

Urmila was confused, still she took the things, looked at her smiling face and left from there without saying anything

"ye sab akshi ke pas arthaat sumitra nandan ne unhe ye diye hain, kintu kyun"

She reached in the hall and got to know that they all are leaving for kuldev darshan... akshi and acharya sumantra will accompany them

All left for the journey

They all were given seprate chariot

Ram-sita

Bharat-mandvi

Shatrughan-shrutkirti

Lakshman-urmila

and Akshi was siting in another royal chariot

Everyone was sooo happy except 2... akshi and urmila

Both were in thoughts

"ye kya hai jo mai samajh nahi pa rahi hoon"

"pata nahi urmila ne laksh se is vishya me baat ki hogi ya nai, agar ki hoti to itni shaanti nahi hoti"

"akshi ke patron ko itna sambhal ke rakha hai inhone, aur meri vastuon ko bhi"

"ye laksh pata nahi kab baat karenge urmila se, na jane kitni baar samjhaun mai inhe"

Lakshman's thoughts

"kitni sunder dikh rahi hain urmila"

"kintu ye ajkal mujhse baat kyu nahi karti hain"

"jhagadti bhi nahi hain"

"us ratri ke baad mujhe laga thha ke unko mujhse jo bhi shikayat hogi door ho jaegi kintu uske baad se to ye meri taraf dekh bhi nahi rahi hain"

"aisa hi raha toh mai inse baat kaise karunga"

L - urmila... aapka ghav kaisa hai

U - theek hai ab

Its evening by now and sumantra told them that they have to give the journey a halt and they will continue it tomorrow morning

They all entered their respective tent chambers while akshi drags lakshman with her and urmila saw this and entered her chamber where she saw the letters

She unwillingly hold those letters "urmila kisike patra padhna uchit nahi hai, kintu fir ye mere kaksh mein kyu rakhe hain, mere kaksh me rakhi hui cheez meri hui na, itna hi thha to yahan kyun rakha use, dekhu to sahi, sumitra nandan kya baatein karte thhey akshi se"

She opened the first letter

Akshi abhinandan

kaisi hain aap ...

yeh patra mai mithila se likh raha hoon,aaj mandir mein rajkumari sita se bhent hui, vahi rajkumari sita jinke liye mithila prasiddh hai,,, satya kehte thhey log alokik hain ve

Jaanti ho akshi devi sita mata kaushalya ki tarah shaant, mata kekayi ki tarah buddhiman v mata sumitra ki tarah hasmukh v prasannata ki moorat hain, vichitra hai kintu mai unke liye aisa kyu sochta hoon ye samajh nahi pa raha sambhavteh bhavishya me iska karan gyaat ho...

Aur ram bhaiya...

Ram bhaiya to mano unhein dekh ke kho se gaye thhey, maine kabhi unhein is tarah kisi stri ko nihaarte nahi dekha

Aisa lag raha thha mano ve varshon se unhein jaante hain, bhaiya ki aankhein unpe se hat hi nahi rahi thhi... mano devi sita ne unhe summohit kar diya ho

Fir hamara parichay unki chhoti behen urmila se hua, uske pshchat rajrishi janak se...

Bahot apnatva hai unme,,, aisa prateet hi nahi hua ke humari unse bhent pehli baar hui ho

Akshi mithila bahot sunder hai

Aur yahan ki mitti evam vayu bhi bahot pavitra hai

Hum shighra hi yahan se lautenge, tum matao ka dhyan rakhna

Lakshman

Urmila's face turned into a serene smile

-----------------------------------------------------------------------

She took another letter and starts reading it

Kaisi ho akshi

ek shubh samachar hai, jab hum yahan aaye thhey to hume gyaat hua thha ke devi sita ka swayamvar rachaya ja raha hai, pure aryavrat ke smasth rajyo ko nyota bheja gaya thha, sab upasthit bhi hue thhey,,,kintu unme se ek bhi unke yogya nahi thha akshi, hume gyaat hua ke ve dharti ki kokh se janmi hain... adbhut hai na

prakriti ki den hain ve...

aur vo dusht raja... swayamvar ki garima ka maan nahi rakha unhone... rajrishi janak jaise mahatma ka apmaan kia unhone, rajkumari sita jaisi devi ke janam par prashna uthhaye unhone... mera man to kia ke vahin sabka vadh kar du, kintu mithila yudhh aur hinsa ke viruddh hai... ye aadarsh bhi devi sita ke hi banaye hue hain

Rajrishi janak ne shiv ji ke ek vishal v bhavya dhanush ko uthhane v uspar pratyancha chadhanevale se devi sita ke vivaah ki shart rakhi thhi... jaanti ho koi bhi raja v rajkumar ye nahi kar paya isiliye apne purusharth ka apmaan man kar unhone devi sita ka apmaan kia... fir humare ram bhaiya ne ek hi pal me us baan ko uthha liya aur jaise hi unhone us par pratyancha chadhane ke liye hath badhaya... vo dhanush bhang ho gaya

Sabne bahot virodh kia, kintu akshi mere vichar se jo hua achha hi hua

Mujhme rajrishi janak, ram bhaiya v auron se adhik buddhi to nahi kintu us dhanush ka tootna is baat ka sanket hai ke devi sita keval aur keval ram bhaiya ki hain

Aisa prateet hua mano bhaiya ne us dhanush ko tod kar baki rajao ka ahenkaar toda ho,aur un rajao ka ahenkaar bhang kia jo ye sochtey thhey ke dhanush ko uthha lene se ve devi sita ko jeet lenge aur gyaat hai akshi isi beech jahan sab dhanush ke bhanng ho jane ke karan vichlit thhey vahin devi sita,,, unke ashko mein maine eek chamak dekhi, jaise ve ram bhaiya ki hi prateeksha kar rahi honn... jaise man hi man vo gauri ma ka dhanyavaad kar rahi hon

Smaran hai maine tumse kaha thha ke jane kyu mujhe humari teeno mataon ka smaran karvati hain devi sita... uska karan mujhe gyat ho gaya akshi, ye hona hi thha... hum sabse unka sambandh... humare janm poorv hi nirdharit ho gaya thha... prabhu parshuram bhi vahan aaye aur unhone kaha ke ye Milan sansar me pati patni ki paribhasha hi badal dega...

Mai bahot prasann hoon akshi devi sita jaisi bhabhi paakar... ab bas pitaji ki aagya ki prateeksha hai... fir mere ram bhaiya aur sita bhabhi ka vivaah hoga..

shubkamnao ke sath

Lakshman

-----------------------------------------------------------------------

Urmila took third letter with curiosity

Akshi... pranam

asha karta hoon tum theek ho, aur mataen bhi

aaj prateh sita bhabhi ki chhoti behen urmila hume bhojan ke liye aamantrit karne ke liye padhari thhi, bilkul hi naadan hain ve, cheezen keh kar bhool jati hain ve, poochhne aayi thhi ki bhaiya ko kis prakar ka bhojan achha lagta hai... to maine bhi keh diya ke har prakar ke vyanjan bhaiya ko priye hain, kintu teekha nahi... swabhavik thha na akshi ve jis prakar baatein kar rahin thhi aisa lag raha thha jaise atyant teekha bhojan banane me kushal hain ve... kintu akshi

unse jhagda karke mera hriday prafullit ho gaya...

jaanta hoon aisa kehna uchit nahi hai,,, kintu vo bhi bahot chidchidi si hain... isliye mai unhe chidha raha thha

Aur pata hai aaj to bhaiya ne unka saath diya, kaha ke ve sita bhabhi ka pratibimb hain... asambhav hai ye,kahan sita bhabhi aur kahan urmila, akshi... bhaiya apne sasural ka paksh lene lage hain abhi se, vivaah poorv to apni saali ke hi gungaan gayenge hume to bhool hi jaenge ve

Aur urmila ne kaha ke mai bhaiya ka pratibimb nahi hoon... satya hi kaha ,,,mai bhaiya ki parchain hoon... sadev unse do kadam peechhe hi chalunga... bhaiya ka koi pratibimb hai hi nahi is poorn sansaar me...

humare ram bhaiya keval ek hi hain... theek usi prakar jaise sita bhabhi keval ek hi hain, unke jaisa is sansaar mein koi nahi...

bhabhi ke haathon me ma annapoorna ka vaas hai, itna swadisht bhojan maine aaj tak nahi kia, satya ayodhya unhein pakar dhanya ho jaega

ratri bahot ho gayi hai... bhaiya bhi vishram kar rahe hain

Tumhare uttar ki prateeksha karunga

Lakshman

-----------------------------------------------------------------------

Urmila was admiring his husband's thoughts about her sister

She took another letter and start reading it

Akshi aaj to hadh hi ho gayi... aaj urmila mujhse takra gayi aur vo kalash jisme mai ashvo ke liye jal le ja raha thha unpar gir gaya... ek baar to mai bhaybheet hi ho gaya thha kahin vo kalash unpar gir jata toh... unhe chote bhi lag sakti thhi na

Kintu pura jal unke upar gir gaya,,, aur vo mujhpar hi naaraz ho gayi... mai toh unhi ke liye chintit thha... aur phir kehkar chali gayi ke maine aisa karne ka dussahas bhi kaise kia... mand buddhi prateet hoti hain mujhe ve kabhi kabhi... bahot ziddi hain

Phir agle din unhein kamal ka phool lena thha isliye unhone ram bhaiya se sahayta maangi... ram bhaiya kaise ghoor rahe thhey mujhe... ye urmila na kabhi kabhi lajjit kar deti hain

Isiliye ram bhaiya ki aagya anusar mai unke saath chala gaya... vahan jakar unhone mera parihaas udaane ka koi moka nahi chhoda... yoddha,,, yoddha kehkar bahot chidha rahi thhi ve mujhe aur fir ekaek ek vishalkay sarp nadi me se nikla aur usne urmila par aakraman kia... mai to dar hi gaya thha, jab ve bahot teevrata se cheekhi... kintu samay par unka bachav kar liya maine, ziddi... kaha thha na maine bahot ziddi hain ve, ek kamal ke phool ke liye nadi tatt par baccho ki tarah khelta hai bhala koi

kintu Bahot bhaybheet prateet ho rahi thhi ve

Askhi na jaane kyun mai unhe peeda mein nahi dekh sakta, ve mujhse jhagdein... ye sehneey hai,,, kintu unke mukh par vichlitata asehneey hai

Tum mujhe balyakaal se jaanti ho, akshi mai samajh nahi pa raha hoon ye kya ho raha hai, kintu unhe dekhne ke, unse baat karne ke bahane khojta rehta hoon...

Tum bhi sochogi ke lakshman itni moorkhta poorvak baatein kyun kar raha hai... ek aur shubh samachar hai akshi... pitaji v mataon ne vivaah ke liye savikriti de di hai, ve yahan padhar rahe hain... mai ati prasann hoon aur mithila vaasi bhi

Badhai ho akshi... humare ram bhaiya ke vivaah ki bahot bahot badhai ho

Lakshman

-----------------------------------------------------------------------

Urmila... sighed and sat on the bed ... she felt butterflies in her stomach,,,,, that moment she forgot everything, she was only thinking about lakshman and his feelings... this is the first time she get to know that lakshman had feelings for her from the very first day

She opened the next letter

Akshi...

Kaisi ho tum, yahan sab achha ho raha hai pita shree ke aagman ki prateeksha hai

Kal sita bhabhi ne mere liye bhojan bheja thha jise lekar urmila aashram mein aayi thhi

Ek hi din me unka mere prati vyavhaar parivartit sa gaya hai, ve ab mujhse jhagda nahi karti, na vaad vivaad karti hain, unhone kaha ke ve mere liye kam teekhe ka bhojan banaengi aur unhe mere liye bhojan banakar prasannata hogi... akshi main bhi unse kehna chahta thha ke mujhe bhi prasannata hogi aapke haathon se banaya hua bhojan grehan karke...

Kintu vo uchit nahi lagta na...

akshi tumne apne patra mein theek hi kaha thha... sambhavteh mera aur videh kumari ka bhi koi na koi sambandh hai.. arthaat ho sakta hai mitrata ka,,, mujhe unse jhagadna chha lagta hai, unhe pareshan karna achha lagta hai, jab ve naaraz hoti hain to unke mukh par ek alag hi prakash nazar aata hai...

Kintu aajkal ve mujhse jhagadti nahi hai akshi...

aur ek vichitra baat hai...

man mein ek bhinn sa dar hai ke jab bhaiya bhabhi ka vivaah ho jaega to hume yahan se prasthaan karna hoga... yadi uske pashchaat videh kumari se kabhi bhent nahi ho payi to...

Akshi pitashree yahan padhar chuke hain... kal haldi hai... aur yahan sab bahot prasann hain

Aaj ke liye keval itna hi

lakshman

-----------------------------------------------------------------------

urmila had tears of happiness in her eyes...

sumitra nandan ne mere bare me likha akshi ko... as soon she took akshi's name her face frowned... kaise vichitra praani hain ye... akshi se baat ki mere vishya mein... aur mujhse baat karte hain akshi ke vishya mein (now she is in full urmila mode)

meri payal, meri karnika yahan tak ke vo angoothhi jo unhe mujhe pehnani thhi unhone akshi ko de di...

aur akshi ko patra likhe kaise vichitra se hain sumitra nandan

us se mere bare me or mujhse uske bare me baat kaise kar sakte hain ve

she huffed and sat on the bed holding all the letters

outside their tents

L - akshi tum

A - kab karoge tum us se baat, lakshman mera vivaah ho jaega... mai yahan se chali jaungi uske pashchaat (she asked in an angry tone)

L - tumhein bahot shighrata hai tumhare vivaah ki... haan akshi (raising an eyebrow)

A - tumse to baat karna vyarth hai laksh

She left from there furiously and laskhman also headed towards urmila's chamber...

TBC

Danceegirl92 thumbnail
Posted: 9 years ago
#83
Finally got to read the letters!!!! Loved this chapter...only wish the letters had continued through haldi and diya Milan...did lakshman put the letters inner tent? As always, next part ke liye adhir hai hum 😉
Edited by Danceegirl92 - 9 years ago
rati_pandya thumbnail
Posted: 9 years ago
#84

Originally posted by: zubi_23

hey rati... thank you so muccch
this means a lott to me
and yeah dunn irritate your husband like lakshman is irritating milaaa...😆😉
i ll update the next part today only

love
aushin


How should I start..Very beautiful update zubi. Please update next one ASAP. Thats all I can say. You made my weekend. I was full busy with guests. I was not able to check for updates. Finally when I checked, found your post. My husband is getting(and he has to) used to my newly found love for these FF and OS which you and everyone write😛. My sister also started reading your OS. I am commenting on her behalf as well.

Do write more.
sumana.shesha thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#85
Wonderful update :)
Beautifully written :)
Awesome :)
Loved it :)
Update soon :)
Ankita.11 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#86
UFF!!😃
Why are such scenes not in 'Siya ke Ram'??😭
Please update the next part ASAP.
GrilledCheese thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#87
lovely update! do continue soon!
DilMereSuntaNhi thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#88
Aushin 🤗
I had a pleasant Smile reading all those letters .
Such a lovely Update . 😳
Awww it was too too Beautiful Dear .
SO Next update probably is Confession Part
Cant wait . Update Soon ❤️

Love,
Sruthi

sugarbird thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#89
awesome update. atlast urmila read all his letters. waiting to read more
Beautiful... thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#90
Hai😊very very good. Expressing feelings of Lakshman through his letters. Wow. Ijustlikedthis concept. Very nice please update soon what is urmila's reaction. How Lakshman confess his love to her. 😛😊😛 Have some romantic moments please. Please. At least here. 😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".