Shayri ( My Collection) - Page 77

Created

Last reply

Replies

932

Views

59.8k

Users

11

Likes

2k

Frequent Posters

.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Jin ko chahte hain bhool nai paate hain Apni saari to yaadein chor jate hain Hum q apni muhabat ka yaqeen dilane bethe hain Bhala pathar k saamne bhi aansoo bahaye jaate hain Ik hum hain k tere dar se aas lagaye bethe hain Hote hain jo sache wo khud lot aate hain Par dil ke haathon hum bhi majboor hain K din rat teri raah mein palkein bithaye bethe hain Suna tha pyaar mein log rote hain Is raah mein fareb aur dhoke hain Is k liye log sab kuch apna khote hain Phir bhi hum band darwaze pe dastak diye bethe hain Pyaar mein log kitne badal jaateh ain Dil o jaan k kitne qareeb aa jate hain Hum tumhein pane ki justujoo karte hain Raasta humein maloom nahi aur manzil take bethe hain Ik din lot aaoge yahi umeed karte hain Marne se pehle tumhein pane ki bayed karte hain Teri yaad mein jagte teri yaad mein sote hain Jin ki tabeer nahi aankhon mein wo khuwab liye bethe
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
main tujhe chata nahi laikin... phir bhi jab tu paas nahee hoti khud ko kitna udas pata hoon gum se apne hawaas pata hoon janai kya dhun samai rehti hai ek khamoshi si chaai rehti hai dil se bhi guftugu nahee hoti main tujhe chata nahi laikin... phir bhi shab ki taweel khalwat mein tere auqaat sochta hoon main teri hur baat sochta hoon main kaun se phool tum ko bhaate hain rung kya kya pasand aatai hain kho sa jata hoon teri janat main main tujhe chata nahi laikin... phir bhi ehsaas se nijaat nahi sochta hoon toh ranj sa hota hai dil ko jaise koi dubota hai jis ko itna sarhata hoon main jis ko is darje chata hoon main is main teri si koi baat nahi main tujhe chata nahi laikin...
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
aaNkh jab band kiyaa karate hain saamane aap huaa karate hain aap jaisaa hii mujhe lagataa hai Khvaab main jis se milaa karate hain tuu agar chhoD ke jaataa hai to kyaa haadase roz huaa karate hain naam un kaa na koii un kaa pataa log jo dil main rahaa karate hain hamare Usman kaa chalan sikhaa hai ham akele hii chalaa karate hain
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Aaj Rootha huwa ik shakas bohot yaad aaya Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya. Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya. Jo mere dard ko seene main chupa laita tha aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya. Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya. Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya. Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus. aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota, Kabhi ik nazar chahat se dekh hee liya hota. Hum bhi tujhay ishq-0-mohabbat se aashna kartay, Bas ik baar apnay dil mein aanay to diya hota. Kia jata tumhara bas hamein hee dil se khushi milti, Apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota. Dekh letay zara ghor se shayad, Tumharay haath ki lakiron mein hamarai kismat ka bhi diya hota.
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Ham pe tere karam nahi hotay . ab wo pehlay sitam nahi hotay . paink daikta hoon dil se bahir main jan leowa jo gum nahi hotay . jin ko chahengay harkass aur nakass aj kal wo sanam nahi hotay . zulm kartay ho qatal kartay ho loug marnay se kam nahi hotay . chalta rehta hoon manzilon k leye faslay hai k kam nahi hotay .. aag hoty hai raag k nichay ashk pani se nam nahi hotay koi mehmood na ayaz raha ab tu zulfon main kham nahi hotay. sheher veraan main loug zinda hai murda lashon main dum nahi hotay .
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Kaisay kahoon k apna bana lo mujhey bahoun mein apni sama lo mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhari hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
abhi kuch bhi nahi badla darakhton per wohi mausam abhi tak muskuratey hain abhi tak surmaii shaamain humarey sath roti hain abhi tak merey honton per tumharey ahmaree(n) honton ki khushbu raqs kerti hai abhi tak meri aankhon main tumharey khuab hunstay hain abhi tak merey haathon per tumhari ungliyon ki narm poron say likhay sab harf zinda hain abhi tak meray seenay main tumhari saans chalti hai abhi to raaton per dodhya pairon sai pernay waley sarey naqsh qaaim hain abhi almaariyon main saarey tauhfay gungunaatey hain tumharey khat abhi bhi raat ki tanhaai main mujh say tumhari baat kertay hain bohat say saal guzrain hain ... bohat sa waqt beeta hai meri chahat nahi beeti... meri himmat nahi guzri abhi kuch bhi nahi badla... abhi kuch bhi nahi badla ager chaho...ager samjho... meri maano... to laut aana...
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
sadaa detii hai Khushbuu chaand taare bol parate hain nazar jaisii nazar ho to nazaare bol parate hain tumhaari hii nigaahon ne kahaa hai ham se ye aksar tumhaare jism par to rang saare bol parate hain mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se agar laharen muKhaatib hon kinaare bol parate hain zabaan se baat karane mai jahaan rusvaa_ii hotii hai vahaan Khaamosh aankhon ke ishaare bol parate hain chhupaanaa chaahate hain un se dil ka haal ham lekin hamaare aansuon mai gam hamaare bol parate hain terii paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden agar ham chup rahen to zakhm saare bol parate hain
.SalmanDeewani. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
Kamal e zabt ko khud per bhi azmaongi main apnay hath se us ki dulhan sajaongi superd kar k usay chandni k hathon main main apnay ghar k andhairon main lout jaongi badan k karb ko wo bhi samajh na paiga main dil main ro'aongi ankhon main muskuraongi wo kiya gaya k rafaqat k saray lutf gaye main kis se rotongi aur kisay manaongi wo aik rishta e benaam bhi nahi laikin main abb bhi us k isharon pe sir jhukaongi Bicha diya tha gulabon k sath apna wajood wo so k uthay tu khowabo k raak utaongi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".