My Poetry Collection (Updated Page 9 And 10) - Page 3

Created

Last reply

Replies

74

Views

10.8k

Users

5

Likes

117

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#21


Mujhay Afsos Hai Khud Par
Ki Main Ne Aik Aise Shaks Ko Chaha
Jo Chaahe Janay Ke Kaabil Na Tha
Main Ne Aik Aise Shaks Ko Pooja
Jo Saraahe Janay Ke Kaabil Na Tha
Main Ne Usse Chaaha
Jisne Mujhe Pyaar Ke Siwa Har Woh Gham Diye
Jiska Mujhe Kabhi Ghumaan Na Tha
Main Us Ke Ishq Main Magan Raha
Jise Mughe Se Nafrat Thi Pyar Na Tha
Jisse Main Samjha Tha Apna Mukhlis
Woh Mera Dushman Tha Dost Na Tha

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#22

Mujhe Mitti ke Ghar Bananay Ka Shoq Tha
Usay Ashiyaan Jalanay Ka Shoq Tha
Mai Khud Se Rooth Jata Hoon Aksar Isliye
Mujhay Roothay Hue Logo Ko Mananay Ka Shoq Tha
Usay Waadoon Ki Paasdari Pasand Na Thi
Lekin Mujhay Waaday Nibhanay Ka Shoq Tha
Main Masroof Tha Tanhaiyoon Ki Talash Mai
Usay Logo Se Milnay Milanay Ka Shoq Tha
Wo Bewafa Tha Ismai Hairat Ki Baat Kya Hai
Mujhay Bhi Bewafa Se Dil Laganay Ka Shoq Tha

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#23

Toot Kar Zara Dekho,

Tum Agar Bikhar Jao,

Bebasi Mai Ghir Jao

Dil Se Ek Sada Dena

Bus Mujhay Bula Lena

Mai Tumhay Samhal Loonga

Zindagi Mai Chalnay Ka

Raasta Badalnay Ka

Ek Hunar Sikha Doonga

Tumko Hosla Doonga

Or Jab Samhal Jao

Roshni mai Dhal Jao

Mujhko Yun Sila Dena

Tum Mujhay Bhula Dena

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#24

Aankhoon Ka Rang Baat Ka Lehja Badal Gaya
Woh Shaks Ek Shaam Mai Kitna Badal Gaya
Qadmo Talay Jo Rait Bichi Thi Woh Chal Padi
Usnay Churaya Haath To Sehra Badal Gaya
Koi Bhi Cheez Apni Jagha Par Nahi Rahi
Jatay Hi Ek Shaks Ke Kya Kya Badal Gaya
Hairat Se Saray Lafz Usay Dekhtey Rahay
Baaaton Mai Apni Baat Ko Kaisay Badal Gaya
Shayad Wafa Ke Khel Se Ukta Gaya Tha Woh
Manzil Ke Paas Aakar Jo Rasta Badal Gaya

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#25

I Want To Dedicate This Ghazal To Someone Very Special In My Life 😊

Hatheli Saamnay Rakhna
Ke Sab Aansoo Gire Usmai
Jo Ruk Jayega Hontoon Par
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Aankhen Band Kar Lena
Jo Jhonka Tez Ho Sabse
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Jo Zyaada Yaad Aaun Main
To Ro Lena Jee Bhar Ke
Agar Hichki Koi Aaye
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Agar Tum Bhoolna Chaho
Mujhay Shayad Bhula Do Tum
Magar Jab Saans Lena Tum
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Edited by Alone_Prince - 15 years ago
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#26

Originally posted by: Alone_Prince

I Want To Dedicate This Ghazal To Someone Very Special In My Life 😊

Hatheli Saamnay Rakhna
Ke Sab Aansoo Gire Usmai
Jo Euk Jayega Hontoon Par
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Aankhen Band Kar Lena
Jo Jhonka Tez Ho Sabse
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Jo Zyaada Yaad Aaun Main
To Ro Lena Jee Bhar Ke
Agar Hichki Koi Aaye
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"
Agar Tum Bhoolna Chaho
Mujhay Shayad Bhula Do Tum
Magar Jab Saans Lena Tum
Samjh Jaana Ke "Wo Hum Hain"

aww beautiful Smile
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#27
Thanks 4 LiKinG And Comment Urooj 😊
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#28

Jo Banana Hai Isi Waqt Bana Lo MujhKo
Ab Kisi Aur Zamane Pe Na Talo MujhKo
Kisi Jhoomer Ki Tarha Khud Pe Saja Lo MujhKo
Zindagi Apni Kisi Tarha Bana Lo MujhKo
Apni Aagosh Ke Takiye Pe Mera Sar Rakh Do
Ungliyan Pher Ke Baalon Mein Sula Do MujhKo
MujhKo Tanhai Ki Duniya Mein Na Rakho Jaana
Apne Aaine Ka Ik Aks Bana Lo MujhKo
Dushmani Par Uter Aaye Hain, Duniya Wale
Apni Palkon Ki Panahon Mein Chhupa Lo MujhKo

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#29

Apney Pehloo Main Gulaboo Ne Sajaye Kantey
Isliye Merey Tasavvur Main Bhi Aye Kantey
Jab Bhi Gulshan Main Pahunchta Hoon Lipat Jatay Hain
Kon Kehta Hai ke Hotey Hain Paraye Kantey
Jabki Kismat Main Mehkna Hi Nahi Tha Inki
Besabab Oo's ki Boondoon Main Nahaye Kantey
Merey Khuwaboo Main Gulaaboo ke Shajar Mehkey Jab
Mainay Ek Rat Ko Bistar Par Sajaye Kantey
Jisnay Har Simt Bichayein Hain Meri Rahoon Main
Mainay Us Shaks Ki Rahoon Se Hataye Kantey
Yun To Daman Main Merey Inkey Siwa Kuch Bhi Nahi
Phir Bhi Saughaat Main Ahbaab Bhi Laye Kantey

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#30

Meri Zindagi To Firaaq Hai, Woh Azal Sey Dil Main Makin Sahi
Woh Nigah-E-Shooq Sey Door Hain, Rag-E-Jaan Sey Lakh Qareeb Sahi

Sar-E-Toor Ho Sar-e-Hashar Ho, Hamain Intazar Qabool Hai
Woh Kabhi Milain Woh Kahin Milain, Woh Kabhi Sahi Woh Kahin Sahi

Jo Un Pey Mera Bas Nahi Ke, Ya Aashiqi Hai Hawas Nahi
Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hoon, Woh Merey Nahi To Nahi Sahi

Jo Ho Faisla Woh Sunaiye, Usey Hasher Per Na Uthaiye
Jo Karain Gey Aap Sitam Wahan, Woh Abhi Sahi Woh Yahin Sahi

Usey Dekhney Ki Jo Lao Lagi, To Dekh Hi Lain Gey Hum
Woh Hazar Aankh Se Door Ho, Woh Hazar Parda Nasheen Sahi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".