Saputara,mein ahem ko aaye huye 15 din ho chuke the. Aur in 15 dInon mein uske halaat mein thoda sudhar hua tha. So, aaj wah apne hotel se bahar nikla tha. Weather kaafi suhana tha , so walk karte huye thodi dur nikal aaya tha. Wahan usne bachchon ki khilkhilati hansi sunayi di. Uske kadam khud hi rul gaye the, use bachchon ki goonjati aawajein kaafi sukoon dene wali lagi. Usne socha, yahan aas paas koi park hoga,magar use koi park nahi mila, haan, uski najar ek sign board par gayi, to use pata chala ki is boundary ke andar ek orphanage hai, aur shaayad aawaj wahi se aa rahi thi. Wah andar jana chahta tha ,magar gatekeeper ne rok diya tha. Usne bataya ki orphanage ke andar strangers ko jane ki permission sirf subah 7Se 9 baje tak hai. Agar, wo bachchon se milna chahe to subah aaye. Ahem hotel laut chuka tha.aur usne dher sare baloons ,chocklates, gifts bachchon ke liye kharida tha aur use ye sab karke bahut hi achcha laga tha.