hey all Indians out there hip hip hooray!!
We made it Taj Mahal is now part of 7 wonder of the world👏👏
Lets dedicate songs that would befit the Taj.
hey all Indians out there hip hip hooray!!
We made it Taj Mahal is now part of 7 wonder of the world👏👏
Lets dedicate songs that would befit the Taj.
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
PARAYI AURAT 13.9
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aabeer Gulaal reviews and box office
Tanya was fab today👏🏻
Anupamaa 13 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Silences Between Hearts ~ A Rumya SS ~ Chapter 4 on pg 1
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
There is no better song on Taj than the one written by Shakeel Badayuni for the film Leader. Composed by Naushad and sung by Rafi-Lata. Do listen to it here
ek shahenashah ne banawa ke hasin taj mahal
saari duniya ko mohabbat ki nishaani di hain
is ke saaye mein sadaa pyar ke charche honge
khatm jo ho na sakegi woh kahani di hain
jo wadaa kiya woh nibhana padega
roke jamana chaahe, roke khudaee, tum ko aana padega
tarasatee nigaaho ne aawaaj dee hai
mohabbat kee raahaane ne aawaaj dee hai
jaana-ye-hayaa, jaana-ye-adaa chhodo tarasaanaa
tum ko aanaa padegaa
ye maanaa humei jaa se jaanaa padegaa
par ye samazalo tum ne jab bhee pukaaraa, hum ko aanaa padegaa
hum apanee wafaa pe naa iljaam lenge
tumhe dil diyaa hai, tumhe jaan bhee denge
jab ishk kaa saudaa kiyaa, fir kyaa ghabaraanaa, hum ko aanaa padegaa
chamakate hain jab tak ye chaand aaur taare
naa tootenge ab aye do payamaan humaare
yek dusaraa jab de sadaa, ho ke diwaanaa hum ko aanaa padegaa
ps: song is from movie Taj-Mahal..so fits here 😳..and plus this was on chitrahaar's all time play list 😉😆
This one is sung by Rajendra and Nina Mehta. It was shown many times on Bombay Doordarshan in 70s/80s--
jab aanchal raat ka lehraye
aur sara aalam sojaye-
tum mujh se milane shama jala kar
taj mahal mein aajaana
jab aanchal raat ka lehraye .......
yeh taj mahal do chaahat ki
aankhon ka sunhera moti hai
har raat yaahan do rooh hon ki,
khamoshi se zinda hoti hai,
is raat ke saayeme aakar,
tum geet wafa ka dohraana
tum mujh se milane shama jala kar
taj mahal mein aajaana
jab aanchal raat ka lehraye.....
tanhai hai jaagi jaagi si
mahol hai soya soya hua
jaise ke tumhare khwabon mein,
yeh taj mahal hai soya hua,
woh taj mahal khwab ho hi tumhi,
yeh raaz na meine pehchana,
tum mujh se milane shama jala kar
taj mahal mein aajaana
jab aanchal raat ka lehraye ......
This one is sung by Rajendra and Nina Mehta. It was shown many times on Bombay Doordarshan in 70s/80s--
Salil i hav a request.Is it possible to find this from UTube.I still remember this one.😊 Thanx a lot...
Salil i hav a request.Is it possible to find this from UTube.I still remember this one.😊 Thanx a lot...
I searched everywhere for audio/video but could not find. May be if someone has mp3, he/she can upload..
this is sahir ludhiyanvi's poetic offering to the taj..as weall know he was a true socialist at heart.another priceless gem from sahir
taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi
tujhko is vaadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi
meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
bazm-e-shahi me gareebon ka guzar, kya maani?
sabt jis raah pe ho satavat-e-shaahi ke nishan
us pe ulfat bhari rooho ka safar kya maani?
meri mehboob pas-e-parda-e-tash heer-e-wafa
toone satavat ke nishano ko to dekha hota
murda shahon ke maqabir se behalne waali
apne taarek makanon ko to dekha hota
anginat logon ne duniya me mohabbat ki hai
kaun kehta hai ke sadiq na the jazbe unke
lekin unke liye tash heer ka samaan nahin
kyonki woh log bhi apni hi tarah muflis the
yeh imarat-o-maqabir, yeh faseele, yeh hisar
mutal-kul-hukm shehenshahon ki azmat ke sutoon
daaman-e-dehar pe us rang ki gulkari hai
jisme shaamil hai tere aur mere ajdad ka khoon
meri mehboob! unhe bhi to mohabbat hogi
jinki sannai ne baqshi hai isse shakl-e-jameel
unke pyarron ke maqabir rahe be-naam-o-namood
aaj tak un pe jalai na kisi ne kindeel
yeh chamanzaar, yeh jamna ka kinara, yeh mahal
yeh munakkash dar-o-deewar, yeh mehraab, yeh taaq
ek shehenshah ne daulat ka sahara lekar
hum gareebon ke mohabbat ka udaya hai mazak
meri mehboob kahin aur mila kar mujhse