Kaya SS:Vampire's Love(Part 4: Page 13) - Page 7

Created

Last reply

Replies

95

Views

8.8k

Users

28

Likes

120

Frequent Posters

Prakrutibhat thumbnail
Posted: 8 years ago
#61
Hey,
Awesome banner...mind blowing story...continue soon , it's been long since you updated.
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#62
Please wait for more 15 days then I will update regularly promise
cuteariya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
#63

Originally posted by: vssdp

Please wait for more 15 days then I will update regularly promise

ouch more 15 days?😭
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#64

Originally posted by: cuteariya

ouch more 15 days?😭

Yes dear actually my board exams are going on
Just 15 days then I will surely update all my stories and also will start new stories
I promise 😊😊
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#65

Part 3

SCENE 5

Ananya ki aankhon se aansu rukne ka naam hi nahi le rahe the , use aaj pehli baar apki kismet pe gussa aa raha tha , use aisa lag raha tha ki vo kitni badnaseeb hai ki uske papa use pyaar nai karte , lekin achanak se fir vo sochne lagi

A(pov)-kya hume inki baato pe bharosa karna chahiye , aisa bhi to ho sakta hai ki ye humse jhooth bol rahe ho taaki ye hume yaha rok sake , lekin fir bhi hamara dil keh raha hai ki hume inpe vishwaas karna chahiye

Achanak se Ananya chaunk gayi , use yakeen nahi ho raha tha ki vo apne papa par vishwaas na karkar , ek ajnabee insaan par bharosa kar rahi hai , jisne abhi abhi khud use ye bataya ki vo insaan nahi koi alag kism ka praani hai

A(pov)-kya kaha tha unhone V...Vam..ha Vimpire nahi nahi Vampire , ha Vampire jo insaan ka rakt peete hai , aur hum inpe vishwaas kar rahe hai apne papa par nahi , ye kya ho gaya hai hume

Fir Ananya apne haanth jodti hai aur aankhein band karke kehti hai

A-hey Krishna bhagwan hamari sahayata kijiye , hume kuch samajh nahi aa raha.

SCENE 6

Kabir ek badi si khidki se dur base gaon , khet ki lehraati fasal , aur vaha ki chehel pehel ko dekh aha tha , uske chaaro taraf shaanti faili hui thi , lekin uske man ke andar toofan chal raha tha , use samajh mein nahi aa raha tha ki aakhir ho kya raha hai uske saath.

K(pov)-aakhir kar kya raha hu main , mujhe us ladki se sirf meri pyaas bujhane tak ka matlab rakhna chahiye lekin uski care karne se , uske liye concerned feel karne se main apne aapko rok nahi paata , maasumiyat hai uske andar , aisi maasumiyat jo mujhe rude behave karne se rokti hai , aakhir main karu to kya karu . Kya use vaapas chod du ..., nahi lekin vaha uski jaan ko khatra...tumhe kya fark padta hai Kabeer , vo jiye ya mare use tumhe kya...ofcourse mujhe fark padta hai , afterall vo itni pyaari hai aur ye sab deserve nahi karti...lekin.

"STOP IT"

Kabir apne dono haanth apne sar par rakh kar zor se chillata hai , aur fir bolta hai

K-mujhe yakeen nahi ho raha ki main apne aapse argue kar raha hu , what has she done to me

Ki tabhi use ek darwaaze ke khulne ki aawaz aati hai aur vo jab us aawaz ki taraf dekhta hai to use Ananya dikhti hai jo kaampte hue apne kamre se bahar nikal rahi thi .

SCENE 7

Ananya sehemte hue Kabir ke thoda aur paas gayi aur uske saamne khadi hui , Kabir use ajeeb nazro se dek raha tha jaise vo uska chera dekhke uski zindagi pad raha ho , vahi zindagi jo ab Kabeer ke haanton mei hai , Ananya ko uski nazar se apne dil mein kuch ajeeb mehsus ho raha tha jise vo shabdo mein kabhi vyakt(express) nahi kar paayegi.

Ananya ne bahut himmat jutaane ke baad apna sar uthaya , lekin abhi bhi vo Kabir ki aankhon mein nahi dekh paa rai thi ,

K(pov)-Ananya aakhir kya kehna chahti hai mujhse

A-vo hum aapse ye puchna tha ki aapne humse hume yaha rakhne ke liye jhooth bola hai na

Aur fir jaise hi vo Kabir ki aankhon mein gusse ka laal rang dekhti vo apna sar fir neeche kal leti hai

A-hamare papa aisa nahi kar sakte

Ananya ne fir se rote hue kaha , Kabir ka chehra dekhne laayak ho gaya jab usne Ananya ki bheegi palke dekhi , use ek taraf bura lag raha tha to dusri taraf gussa aa raha tha . Vo Ananya ke aansuon ko bardaash nahi kar paa raha tha , yaha tak ki uske dil ko thes bhi pahuchi thi .

Kabir ne ek gehri saans li aur Ananya ko kandho ke sahare pakadkar use saamne ek diwan(couch type) pe bitha diya aur uske saamne apne ghutno pe baith gaya . Usne apne dono haanth se Ananya ke dono haanth pakde aur kaha

K-dekho Ananya main bhale hi tumhara rakt peena chahta hu , aur main peeyunga bhi (Ananya aur sehem gayi) , lekin iska matlab ye nahi hai ki main tumhe dhoke se yaha rakhu , mere bhi kuch usool hai , bhale hi insaan na hou lekin insaan se zyada bharosemand hu , tumhe mujhpe vishwaas karna hi hoga Ananya , tumhare paas iske alawa aur koi raasta nahi hai

Aur ye keh kar Kabir vaha se chala gaya , ek hairaan aur khoyi hu Ananya ko chodkar .

Ananya use bahut alag tarah se dekh rahi thi , jaise ki vo uspe bahut zyada vishwas karna chahti ho.

SCENE 8

Chaand ki roshni puri haveli ko roshan kar rahi thi , raat ke kale pan se bacha rahi thi .
Ek kamre ki khidki ke paas Kabir khada tha aur dusre kamre ki khidki ke paas Ananya.

K(pov)-kya aaj mera waha jaana thik rahega , kya aaj Ananya ka rakt peena thik rahega , uski haalat kamzor hai , main kaise uska rakt peeyu...kabir tum ye sab kabse sochne lag gaye , Ananya ko tum sirf yaha isliye laaye ho taaki tum uska rakt pee sako , tumhe uske thik ya fir thik na hone se koi fark nahi padna chahiye , ha yahi thik hai main abhi uske paas jaata hu .
Aur isi soch ke saath Kabir Ananya ke kamre mein gaya .

Usne dekha ki Ananya khidki ke paas khadi chaand ko nihaar rahi hai ,uske chehra chaand ki chaandni mein aur bhi khubsurat lag vo khidki k eek taraf tek lagaye khadi thi , jiski wajah se Kabir ko uska chehra saaf saaf dikhayi de raha tha.Kabir uske chehre ko gaur se dekh raha tha , vo ek taraf Ananya ki khubsurti mein kho raha tha dusri taraf ye jaankar bhi use khushi ho rahi thi ki Ananya ka aakhir uspar vishwaas ho gaya . Use hairaani bhi thi aakhir Ananya ko itni jaldi uspar vishwaas kaise ho gaya , use kahi na kahi is baat ka shak tha ki Ananya ur uske papa ke beech ka jo sambandh vo shayad itna accha nahi isliye Ananya ko uspar jaldi vishwaas ho gaya .

Kabir Anaya ke baalo ki komalta dekh raha tha , uski aankhon ki maasumiyat mein kho raha tha , uski hontho ki halki si muskurahat jo chaand dekhkar saji hai use accha mehsus karwa rahi ti . Lekin jaise hi Kabir ki nazar uske galepar padi use yaad aaya ki vo yaha kyu aaya hai .
Usne apne aapko sambhala ko Ananya ki taraf tezi se badha . Usne apna ke haanth Ananya ke haanth pe rakhkar use apni taraf zor se kheencha.

Ananya ki aankhen dar aur hairaani ke mare badi ho gayi ar Kabir use dekhkar samaj gaya ki vo bahut zyada dar gayi.Ananya kaap rahi thi aur uski aankhon mein halke aansu bhi the kyuki vo samajh gayi thi Kabir uske paas kyu aaya hai .

Kabir apne subah ke roop mein nahi tha , uski aankhen laal thi aur uske fangs bhi nikle hue the.

Kabir ne apne dono haanth Ananya ke kandhe par rakhe aur use bade pyaar se kaha

K-Ananya tum ro kyu rahi ho , maine tumhe pehle hi kaha tha na ki main tumhara rakt roz peeyunga , kaha than a

Ananya ne haan mein sar hilaaya

K-dekho Ananya , I promise , main kasam khaa ke kehta hu ki main puri koshish karunga ki tumhe zyada dard nahi ho , lekin tum pehle rona band karo

Ananya fir se haan mein sar hilati hai aur apni aankhein band kar leti hai .

Kabir dheere se apna chehra Ananya ke gale ke paas laaya . Uska ek haath Ananya ki waist pe tha , vo aaram se uski waist pe apna haanth rub kar raha tha taaki Ananya ko aaram mehsus ho . Uska dusra haanth Ananya ke kandhe pet ha , taaki vo hile na .

Kabir ne apne fangs Ananya ki veins mein dale , aur uska blood suck karne laga . Ananya dard se cillayi to Kabir ne se aur paas kheench liya apne aur uska blood suck kiye jaa raha tha .

Kuch der baad jab Kabir ki pyaas bujhi to usne dekha ki Ananya uske baahon mein behosh ho gayi hai.

Usne Ananya ko apni baahon mein uthaya aur use jaakar palang pe sula diya , aur pyaar se uske baal selane lagta hai.

K(pov)-main iski care to bilkul karta hu .

Aur Kabir ek muskurahat ke saath bahar chala gaya.

END

Hope you like it
Do comments😊
cuteariya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
#66
finally got update after such a longtime 😃
poor ananya it broke her heart knowing her own papa want to kill her 🥺
but why the hell that jerk want to kill ananya? 😡
somewhere ananya believe kabir more then her so called papa 😊
even kabir want to drink ananya's blood but he is very honest with her didn't lie 🤗
oops kabir lost in ananya's innocent & care for her 😃
ouch kabir drank ananya's blood poor girl couldn't take it anymore the pain & fainted in kabir's arms 😭
continue plz
manishapatro thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Senior Member Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#67
Bahut badhiya... Reporters se hatke story hai
Kabirananyalove thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#68
Awesome update.👏
Really a superb concept.
Plz continue soon.
Jade0001 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#69
Fantastic Chapter

Why does Ananya's father wanted to kill her
her sadness was so overwhelming
Prasu1095 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#70
Anu ek obedient child ki taraha kabir ka baath man rahi hai
Superb ud vaishu

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".