Kaya SS:Vampire's Love(Part 4: Page 13)

RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#1
Banner credit to-Koeli_Appy-

VAMPIRE'S LOVE

PART 1

1st SCENE

Ek bahut hi sunheri subah thi , RAJGAD gaon mein bahut chahel pehel thi . Saare gaon waale ek bahut hi khubsurat se saje ghar ki taraf badh rahe the jaha pe gaon ke sarpanch ki badi beti ki shaadi hone waali thi .

IN BRIDE'S ROOM

Do ladkiyaan ek ladki ko gher ke khadi thi

1G-richa didi bas karo , kitna sajogi

Ri-Ananya shaadi baar baar thodi hoti hai

2G-Ha Ananya sajne do na use

A-aap to chup kariye Trisha didi, aapka bas chale to aap Richa didi ko sajne ke alawa aur kuch karne hi na do

T-arey to shaadi mein sabse khubsurat dulhan ko lagna padta hai , us hisaab se Richa ko to sabse zyada sajna chahiye

A-hum keh rahe hai na aur sajne ki zaroorat nahi hai , Richa didi chaliye , panditji ne bulaya hai

Ri-hmm

T-kya hua Richa tum achanak se itni maayus kyu ho gayi

Ri-vo hume bas tum dono ki bahut yaad aayegi

A-hume bhi aapki bahut yaad aayegi didi

Aur un teeno ne ek dusre ko gale laga liya

Kuch der baad hum dekhte hai ek bahut hi khubsurat si dulhan ek acchi tarike se saje hue mandap mein baithi shaadi ki saari rasmein nibha rahi thi apne dulhe ke saath . Saare gaon waale unhe aashirwaad de rahe the

Kuch der baad dulhan ke pita dulhe ke pita ke paas jaate hai

S(haanth jodte hue)-thakur sahab , aaj se hamari beti aapki amaanat hai , iska pura khyaal rakhiyega , Richa hamari badi beti hai , usne maa banker hamari choti beti Ananya ki parvarish ki hai , hame hamare bure wakt mein sambhala hai , hume hamari dono betiyan jaan se bhi pyaari hai , kripya iska khyaal rakhiyega.

Th-aap chinta na kare sarpanch ji , hum aapki beti ka pura khyaal rakhenge.

Yaha dusri taraf

A-jija ji aap hamri didi ka pura khyaal rakhiyega , vo bahut acchi hai

G-aap bilkul chinta mat kariye saali sahiba , hum aapki didi ka pura khyaal rakhenge .

Aur isi tarah Richa ki bidaai ho gayi . Trisha jo richa ki sabse acchi dost hai vo bhi apne gaon laut gayi aur Sarpanch ji ko kisi kaam se dusre gaon jaana pada

S-Ananya apna khyaal rakhna , hum kal raat tak laut aayenge

A-ji papa aap aaram se jaaiyega

SO , here the 1st scene ended , INTRODUCTION TIME

Sudhir-Sarpanch of Village

Richa - elder daughter of Sarpanch , 24 years old

Ananya -younger daughter of sarpanch , 19 years old

Trisha-best friend of Richa , 24 years old

2nd SCENE

Ek bahut hi bada mahal , ek bahut hi bure vaatavaran ke saath JAIGAD naam ke gaon mein sthith tha . Vo bahar se bahut khubsurat dikhta tha lekin andar se kisi khandhar se kam nahi tha . Par vaha par bhi ek tarah ki jaati rehti thi . Insaan aur uski soch ke pare vaha par ek Vampires ka parivaar rehta tha .Puri duniya se vo log apni pehchan chupakar vaha rehte the , par raat ke vakt kuch insaano ko unke astitva ka ehsaas bhi ho jata tha jab vo apni pyaas bujhane ke liye insaan ka rakt peete the

Mahal mein bahut se kamre the. Ek bade se hall mein 3 Vampires baithkar aapas mein kuch baat kar rahe the.

1V-kya yaar Kabir , is gaon mein ek to koi rehta nahi hai , upar se dusre gaon waale bhi dar dark e bhaagne lage hai , unhe itna nahi samajh aata ki hum bas unka thoda sa rakt(blood) chahte hai , zinda rehne ke liye.

2V-ha yaar Kabir , ye log thoda dard hamare liye nahi seh sakte kya , hum inhe maar thodi daalte hai

Jab ye sab baatein ho rahi thi to Kabir sirf apni soch mein duba hua tha , ki achanak se usne kaha

K-hume alag hona padega

Un dono ne use hairaani se dekha , un dono ne ye jawaab ki ummeed nahi ki thi

1V-Kabir ye tu kya keh raha hai

K-main bilkul sahi keh raha hu Ronnie

2V-lekin Kabir

K-Rohan , just listen to me , hum duniya kea lag alag hisso mein jaakar shikaar karenge , jiski wajah se kisi ko hamare astitva ka pata bhi nahi chalega aur na hi koi humpe shak kar paayega , kyuki hum alag alag rahenge , koi hume dhundh nahi paayega.

Ro-baat to vaise sahi hai tumhari , hamare jeene ke liye ab hume ek dusre se alag hona hi padega

R- hmm , lekin kya aur koi raasta nahi hai

Kabir shook his head in negative and all the three sighed .

Ro-thik hai to fir Kabir tum yahi raho , hum dono jaayenge

K-guys , are you sure , tum dono ko bahut takleef hogi

R-yaar hum dono ke liye tumne kitni baar apni jaan ko khatre mein daala hai , ye to fir bhi bahut choti baat hai

Kabir ne gehri saans li aur haan mein sar hilaya.

Kuch der aur baat karne ke baad Ronnie aur Rohan waha se chale gaye aur Kabir apne meals ke baare mein sochne laga

K(pov)-ab main kya karu . Aas paas ke gaon waale to ab satark ho gaye hai , agar mujhe roz rakt nahi mila to main zinda kaise rahunga , ha main jaakar dur ke gaon mein dhundhta hu , koi ek aisa insaan to zaroor hoga jo roz meri pyaas bujha sake.

END OF 2nd SCENE

Kehte hai raat ke baad nayi subah hoti hai , aur har kaali raat ek sunahri subah ki ore le jaati hai , par vahi kaali raat mein kuch aisi cheezein ho jaati hai ki hamari zindagi ki disha hi badal jaati hai
3rd SCENE

Ananya apne kamre mein so rahi thi ki use kuch dheemi awaaze sunayi di , uski neend tut gayi jab ye awaazein tez hone lagi . Vo dar gayi ye sochkar ki koi chor ya lootera andar ghus aaya hai . Vo dheere dheere bina aawaz karte hue apne kamre ke darwaaze tak pahuchi aur dheere se bahar jhaankne ki koshish ki. Use kuch nahi dikha . Fir vo apne kamre se bahar aayi aur us ore chalne lagi jaha se ye aawazein aa rahi thi . Vo kitchen ke darwaaze ke saamne ruki , usne dheere se andar jhankne ki koshish ki aur hairaan ho gayi . Uski saasein uske gale mein atak gayi, uski aawaz jaise mar si gayi aur uska chehra pale ho gaya.

Kitchen mein ek thode unche kad ka insaan jiske tan ka rang gora tha par chehre pe ek devil look tha . Usne white colur ka shirt , black vest coat , black jeans ek cape ke saath pehna hua tha .vo bahut handsome lag raha tha lekin saath hi saath ek perfect devil lag raha tha, Uski annkhein khooni laal thi jo ki Ananya ko sabse zyada dara rahi thi.

Kabir ne uski taraf dekha , usne yellow aur pink colour ki rajasthani ghaghra choli pehni hui
thi, uske baal khule the jo hawa ki wajah se ud rahe the lekin uski aankhein sirf hairaani aur dar ke saath Kabir ko dekh rahi thi.

END OF 3rd SCENE

Kabir ek halki si muskurahat ke saath Ananya ko dekh raha tha , vo uske paas aane laga aur ye dekhke Ananya peeche jaane lagi , uski saansein tez ho rahi thi , jaise jaise Kabir uske paas aa raha tha , Ananya dar se aur peeche peeche jaa rahi thi . Ananya peeche jaate jaate deewar se takra gayi aur Kabir uske ek dam paas aa gaya aur uske dono haanthon ko apne haanthon mein lekar deewar se tika diya.

Ananya bahut zyada dar gayi lekin fir usne himmat karke kuch bolne ki koshish ki

A-a..aa...ap k...kau...kaun hai

Kabir ki devil waali muskurahat abhi tak uske chehre pe barkaraar thi , usne apne chehre ko Ananya ke chehre ke kareeb laaya , ab uski saasein Ananya ke chehre ko chu rahi thi , Ananya ne apni aankhein band kar li . Kabir Ananya ki khushboo se uski taraf kheencha chala jaa raha tha , Kabir ki annkhein aur laal hoti jaa rahi thi . Usne apna sar Ananya ke gale ki taraf jhukaya aur use Ananya ke rakt ki khushboo aayi jo use bahut hi acchi lagi . Ananya to jaise kuch bol hi nahi paa rahi thi

K-ahh your smell of blood is seriously nice

A-j..ji aap kya bol rahe hai , hume kuch samajh nahi aa raha

Kabir ne fir uske chehre ko dekha aur apne dono haantho ko uskje haanth se hatakar uski bare waist pe rakha , aur use apni taraf zor se kheechkar uske kaano mein dheere se kaha

K-mujhe tumhare rakt ki khushboo bahut pasand aayi , main tumhara rakt peena chahta hu

Ananya sehem gayi dar gayi , uski aankhone mein dar aur maasumiyat dono thi , unhi aankhon se vo kabir ko hairaani se dekh rahi thi

Kabir ne use kuch bolne ka mauka hi nahi diya aur apne fangs ko uske veins mein daalkar uska rakt pee liya . Ananya itna dard seh nahi paayi aur usne chillaya , uski aankhon se aansu behne lage jiske kaaran behosh ho gayi.

END

So as It is a TS
I will post the next part tonight or tomorrow , it will be of 2 or three parts only
Guys maine first time hindi mein try kiya hai vo bhi alag sa topic so plzz batana accha hai ya bura aur main ise continue karu ya nahi
Edited by vssdp - 8 years ago

Created

Last reply

Replies

95

Views

8.8k

Users

28

Likes

120

Frequent Posters

palzz_2612 thumbnail
Posted: 8 years ago
#2
Plsss post!!!!!!!! Which vampire story on raina ??? 😲 🥱
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#3

Originally posted by: palzz_2612

Plsss post!!!!!!!! Which vampire story on raina ??? 😲 🥱

Sorry dear But I forgot the name😊
Kabirananyalove thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#4
awesome ...
loving it...
plz post next part tonight only wait nhi ho rha
Ayushi2608 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#5
awesome story
plz continue the story soon wait nhi ho rha h
yeh kya kabir ek vampire h...😲😲
aur vo ananya ka blood pena chata h...
thanks for the pm...
Ariya_1325 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#6
Awesome story
Pls continue
Thanks for pm
Prasu1095 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#7
Yaar story ko yaha kyun end kiya plz continue vaishanavi
Aage kya hua sach Mae kabir ne Anu ki khoon piliya
Cont.soon
Arohi6 thumbnail
Posted: 8 years ago
#8
of course you should continue
ye b koi puchne ki baat h
I m already in love with your both stories 'hmko pyaar hua' n 'gustakh dil'
n now this one too. :)
Edited by Arohi6 - 8 years ago
sona_naksh thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#9
awesum
kabir as vampire
interesting
update soon
thanks for pm
Sp8699 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#10
Excited for new part do PM when u update next do soon

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".