Kyaa Paro ko khush nahi honaa chaahiye thaa uss waqt?
Jo ladki Rudra ki ek muskaan par jhoom uthti hai, kyaa itnaa badaa sach jaanane ke baad kyaa usse khush nahi honaa chaahiye thaa?
Uss waqt, kyaa sirf Rudra ko hi haqq thaa apni mann ki baatein jaahir karne kaa?
Kyaa Paro sirf Rudra ko sahaaraa dene ke liye hi hai?
Kyaa Paro ko apnaa reaction uss waqt apne andar dabaa ke rakhnaa chaahiye thaa?
Haan... Paro ne ghalat kiyaa... Haan... Wo bhool gayi ke uss waqt, uss pal usse Rudra ke aansu pochhne chaahiye the, naa ki khush honaa chaahiye thaa...
Par kyaa hum bhool gaye... Ke Paro bhi ek insaan hai...?
Kyaa Paro ke andar bhaavnaayein nahi hai?
Kyaa hum bhool gaye ke Paro kaa ek maasoom saa dil hai?
Kyaa hum bhool gaye ke Paro puraane zakhmon se zyaadaa aane waali khushiyon ki or chalti hai?
Vicky, mujhe iss week kaa kal kaa aur aaj kaa episode be-hadd pasand aayaa! Rudra-Paro apni jagah ekdum perfect the! Mujhe wo zagdaa aur dono ki maafi bohot acchhi lagi! 😊
Aur tum... Ye gaanaa mujhe bohot pasand hai aur meri aankhe bhar aayi thi padhte padhte! 😛
ThanQ! 😃
-Rahul