Rudra is as seamless as the word goes, but Paro is one, who at this point intrigues me more. Rudra has been my favourite topic for last 4 months or soo,, but doesn't means I haven't felt fascinated by the purity of paro at the core.
Rudra has had started his journey as the closed person ,, has fallen victim to our research capabilities some more,, making him less stranger than before .But, Paro who has always been portrayed as a clean slate with no grim allowed,,,is actually the mystery of a girl hiding behind the curtains of her calmness and subtlety. We have been reflected upon with her layers from time to time while maintaining the secrecy of the strong lady behind..
Here are my thoughts about paro's thoughts of the night
kya kabhi khamoshi ke aane ka shor suna hai,,,
kya kabhi khamoshi ko apney bheetar jaate mehsoos kiya hai,,
kya kabhi dekha hai rooh ko khamoshi se aankhen milatey
kya kabhi mehsoos kiya hai zindagi ko khud se nazrein churate
maine kiya hai...
MAIN PARO HOON...
DUNIYA MAIN "PARVATI RUDRA PRATAP RANAWAT" KEHLAATI HOON
par jab woh haq se paro bulate hain
zindagi ko jaise kuch aur behtaar paati hoon
main nahin jaanti kitni parvati rehti hai mujhme
par jab unko dekhthi hoon,tho apne bholenaath ko
aamne saamne mehsoos karti hoon
jee leti hoon unse main
ishq kehte hai agar isse,
tho woh main unhe khoob karti hoon
duniya kehti hai,unse pyaar karna nahin hai asaan
main maanti hoon, nazaron main baat chahiye
pathhar main bhi dikh jaate hain bhagwan
lekin...
aaj mere bhagwaan main se jhaank raha insaan hai
kismat se bandhi dor ko,,khinchtaa dard ka toofan hai
aaj maine chan se tooti choodi ke dard ko jaana hai
aaj maine jaana kyun aansoon ka aankh se rishta purana hai
woh kehte hain khamoshi ki chubhan ne
tees ki leher yun chalayi thi
mann kahin reh gaya tha peeche
sirf bhool paane ki kasak hi sachaayi thi
iss sachaayi ko samjhate hue
aaj unhone ek aur sach ko maana hai
main na kehti thi,,,
aansoon ka aankh se rishta purana hai
woh kehte hain,pyaar unhe pata nahin
zaroorat hi ka ehsaas tha
agar yeh pehla sach hai tho
kya hamara rishte ka bhi yahi andaaz tha
kya woh tadap, woh fikr,,
woh nazarein,woh har baat main zikr
kya woh sab bhi zaroorat ka ghulam hai
kya hamara rishta bhi kuch khaas nahin
bus unke kahe sach ka doosra aayam hai
dard ki bhi apni hi ek kahaani hoti hai
shabad kho dete hain keemat
khamoshi aankh ka paani hoti hai
aaj aankhon ne yun manmarzi karne ki
raah pakdi hai
bheegi hui palkein bhi thak chuki hain
phir bhi chot ne har raah jakdi hai
unse khamosh hoon main,yaa unke liye khamosh
yeh sach tho abhi mujhse bhi nazar churata hai
uss rishte main pyaar na hone ki gwaahi ko
maan jaane se ghabraata hai
thak chukka hai mann,dhoke ke har tohfe se
dard jhankta hai kyun
mere har rishte ke jharokhe se
mere har vishwaas ne kyun mera saath choda hai
har bhagwaan ne kyun hamesha moonh moda hai
dil unko samjhane ki chaah rakhtha hai
par taaza zakham,shabdon ke malham main
kuch kam vishwaas rakhtha hai
main khamosh hoon, kyunki mann ko bha gaya
khamoshi ka shor hai
kal ki subah ka mujhe bhi intezaar hai
abhi tho bus andhera charoon aur hai
P.S... This is a continuity post,, my first post since the BITCHY TOOFAN happened in their lives was on RUDRA,, heres' the link,,,
LET THEM KILL ME,BUT I AM PROUD OF U RUDRA
If u like please do comment and share who intrigues u more,,, and what should be my next PHD TOPIC rudra or paro,,, although Monday episode will ofcourse decide the flow.😊